Azlan and Azka's Fanfiction:
1st Part- Pg 38
2nd Part- Pg 40
3rd Part- Pg 43
4th Part- Pg 44
5th Part- Pg 46
Part 6
Next day, Azlan calls Azka to be ready in the evening as they have to attend a business party....
When he returns home ... Azka was not ready...
Azlan: Tum ready nahi hui abhi tak...
Azka: mujhe time ka dhyan nahi raha...Aap change kar lijiye.. maine aapke kapde nikal diye hain...Main ho jaungi jaldi se...
Vo bahar jaane lagti hai apne kapde leke...
Azlan: Tum kahan ja rahi ho...
Azka: Aunty ke room mei...main wahan ready ho jaungiâŚ
Azlan: nahi tum yahin raho...main dusre room mei chala jata hu...
Azka nods and after he leaves ...she starts getting ready....
When Azlan returns to the room ...she was wearing jewellery...
He looks at her...she was looking so beautiful in that pink dress...her persona exuded simplicity and elegance...Vo us par se apni nazre nahi hata pa raha tha...
Azka looks at him though mirror...
Azka: Kya hua...
Azlan comes out of his stupor .......Haan...
Azka: Kya hua..kya dekh rahein hain?
Azlan: kuch nahi..kuch bhi nahi...
Azka: bas do minute ...I know late ho gaye...
Azlan: koi nahi...
Azka finishes her look and turns towards him...
Azka: Chalein...
Azlan: haan kya...
Azka: maine kaha chalein ab...
Azlan: haan haan..chalo...
They go to the party...and talk to several people there..Somebody calls him so he excuses himself from Azka and goes to meet one of his associates...Tabhi Zainab Azka ke paas aati hai...
Zainab: Hello Azka...kaisi ho tum?
Azka: I am fine...Aap kaisi hain?
Zainab: I am good..Azlan Kahan hai?
Azka: Yahin hain....apne kisi associate se milne gaye hain...abhi aa jayenge...
Zainab: Hmm...aur btao kya chal raha hai..
Azka: Kuch khas nahi..routine...
Zainab: if you don't mind, can I ask you something?
Azka looks at her...ki akhir usko usse kya puchhna hai...
Azka: Aisi kya baat hai...
Zainab: Tum aur Azlan...
Azka samajh jati hai ki fir ye uske aur Azlan Sahab ke relationship ke barei mei Janna chah rahi hai...aunty ne bta toh diya tha isko...ab usse kya Janna hai...
Azka: aapko aunty ne bta toh diya tha sab...
Zainab: Nahi unhe sab kuch toh pta nahi hoga na...
Azka: Aapko Aisa kya puchhna hai...
Zainab: Main Azlan ki friend hoon toh I just care for him...hope you don't mind..
Azka knew she wants to be more than just his friend...Jhooti kahin kiâŚ
Azka: Ok...bataiye....
Zainab: Azlan kafi hot headed hai..decisions immediately le leta hai...toh tum dono aapas mein khush ho...I mean mujhe lagta hai ki jaise usne aunty ki khatir tumse shaadi karli...please galat mat samjhna...I am just looking after him as his friend...
Azka: Jii...Vo hot headed hain ye mujhse jyada kisko pta hoga...meri aur unki banti nahi thi pehle...Jab unki mom ki tabiyat kharab hui thi...we both came to an understanding and took that decision...he is a good man...and I am happy with him...
Zainab: Oh ...vo pyaar karta hai tumse ..
Azka ko gussa aata hai uske iss sawaal pe...Ye Azlan Sahab aur uska personal matter hai...Vo kyun btaye ye sab usko..hadd ho gayi..But she controls herself...
Azka: Aapne unse nahi puchha?
Zainab: puchaa tha indirectly...but usne kuch btaya nahi iss barei mei...
Azka: Vo apni feelings har kisi ko nahi btate...bura mat maniyega...I understand ki Aap unki friend hain par fir bhi vo aapse shayad ye sab na discuss karein...it's too personal for him...
Zainab ko bahut gussa aata hai ye sunke...Azka khud ko samajhti kya hai..Just because she is his wife...vo usko aise kaise keh sakti hai...
Azka: Mera matlab...vo jyada kuch kehte nahi hain....par mujhe ye toh bilkul pta hai ki Vo mere alawa kisi aur se shaadi nahi karte..
Zainab: Toh tumhe lagta hai ki use tumse mohabbat hai...usne kaha hai kabhi?
Isse pehle ki Azka kuch kehti...Azlan wahan aa jata hai aur ye sun leta hai...
Use achha nahi lagta ki Zainab fir se unki personal life ke barei mei janne ki koshish kar rahi hai...aur Uski wife se ye sab puchhne ka kya haq hai usko....ye Azka aur uska personal matter hai....kahin Azka fir se kuch galat na samajhle..
Azlan: Har baat kehne ki jarurat nahi hoti Zainab...Kuch batein khud hi samjhi jati hain..aur mere aur Azka ke bich mei bahut achhi understanding hai...toh main kabhi na bhi kahu toh bhi usko pta hai mere dil mei kya hai...And she knows ki uske alawa main kisi aur se shaadi nahi karta...She is my wife so obviously we have a lovely relationship....
Azka hairan ho jati hai Azlan ka Jawaab sunkar and looks at him...unhone kuch jyada hi bol diya.....Kya ye sirf Zainab ko dikhane ke liye hai...yahi hoga...
Azlan smiles at her....
Zainab: Azlan main toh vaise hi puchh rahi thi...
Azlan: Ok..jo bhi ho...Its too personal for us...please understand... and don't bother my wife with this...
Zainab: I am sorry...I did not mean it like that...
Azlan nods...Well hame deir ho rahi hai...we should go...Azka chalein...
Azka was already too surprised to say anything....She just nods at Zainab in greetings and leaves with him...Zainab feels very upset about all this...Azlan is too engrossed in his wife...and she can't do anything now....
Azlan car drive kar raha hota hai aur Azka ki taraf dekhta hai...She was lost in her thoughts..
Azlan: Azka..
Azka: Hmm...
Azlan: Zainab ne tumhe kuch kaha hai kya...
Azka: Kya matlab...
Azlan: Nahi tum kisi baat se naraaz toh nahi ho...Tumhe pta hai na ki Mera usse ...
Azka: nahi...aisi koi baat nahi hai...mujhe pta hai sab..
Azlan: Vo kya keh rahi thi tumse ..
Azka: Aapke barei mei?
Azlan: kisi bhi barei mei..
Azka: Usko lagta hai ki aapne mujhse aunty ki kahtir shaadi ki hai....sach bhi hai vaise...toh yahi puchh rahi thi ki aapka aur mera relation kaisa hai? Mohabbat hai ya nahi?
Azlan: Tumne kya kaha...
Azka: Vahi jo aapne kaha tha...
Azlan: Sahi kaha fir...
Azka uski taraf dekhti hai and he just smiles at her...
Vo sidha dekhne lag jati hai...kuch bhi keh dete hain bas...Ab iska kya matlab hua...Vo toh bas us Zainab ko btana chahti thi ki she is Mrs. Azlan aur vo jyada khwaab na dekhe faltu mei...Azlan Sahab se vo alag bhi ho jayegi toh bhi vo us Zainab se toh kabhi bhi shaadi nahi karenge...she smiles at this thought...
Azlan: Kya soch rahi ho...kis baat pe itni khush ho rahi ho..
Azka: Kuch nahi...aise hi bas...kuch yaad aagya tha...
Azlan: Ok...and he also smiles at her...
In the morning, she tries to get up but feels weight on herself....She opens her eyes and finds herself hugging him...He has her right hand around her waist and she was also clinging to him with her head touching his chest..She moves his head upwards and looks at his face....he was too close to her...She smiles and then immediately it fades as realisation dawns on her ...She tries to move and it disturbs his sleep too...Azlan also opens his eyes and comes across beautiful face of his wife...Both look at each other...
Azka: Aap yahan kya kar rahe hain?
Azlan looks at her surprisingly...
Azlan: Main toh yahin sota hu...
Then Azka looks at her surroundings and then realises that she had moved in her sleep and trespassed in his place....
Azka again looks at him...and keeps looking at him curiously as to why is he not leaving her...
Azlan was also looking at her in curiousity as to why is she looking at him like that...
Azka: Kya?
Azlan: Kya?
Azka: Kya dekh rahein hain aap?... Chhodiye na...
Azlan then realises that Azka is still in his hold...
Azlan: Oh haan... sorry....
And he leaves her...she immediately moves...gets off the bed and rushes to the washroom...
A full bloom smile appears on his face seeing her antics... ....was she in his arms the entire night...this thought excites him....
Azka was in the washroom and bashing herself regarding the thoughts she was having for him...Ye galat haiâŚvo toh sirf Azlan sahab ki mom ke liya hai yahan bas aur kuch nahi.. use apne ghar jana haiâŚ.Is tarah ki feelings kyun aa gayi hai uske dil mei unke liyeâŚ. Vo toh usse mohabbat bhi nahi karteâŚPar vo karne lagi hai?⌠shayad...pta nahi...she gets upset.
Azka mom ke room me hoti haiâŚ
Mom: Azlan chala gya kya beta?
Azka: NahiâŚvo bas aate hi honge aapse milneâŚâŚ
Mom: Hmm mujhe bahut zaruri baat karni thi tum dono seâŚ
Azka soch me padh jati hai ki kahin vo fir se grandchild ki baat na kareinâŚ..
Azlan: good morning momâŚ.
Mom: good morning betaâŚkuch baat karni thi tumseâŚ.
Azlan: haan mom boliye naâŚ..
Mom: Main Walime ka soch rahi thiâŚ.
Azlan and Azka both look at each other surprisinglyâŚ
Azlan: Mom WalimaâŚ
Mom: haan WalimaâŚvo toh main bimaar padh gayi par walima toh karna hai na iskaâŚMujhe iske sare armaan poore karne hainâŚ.vaise bhi jab se tumhari shaadi hui haiâŚYe bas mera khayal rakh rahi haiâŚbas bahut jald ek Zabardast walime ka arrangement karna hai tumneâŚthik hai naâŚ
Azlan: OkayâŚ.
Azka gets puzzled but kuch nahi kehtiâŚKaunse armaanâŚ.Koi armaan nahi the uske mann mei iss shaadi ko lekeâŚaur ab jo sochein uske mann mei aa rahi hainâŚuse toh kuch bhi karke unhe khtm karna hai basâŚSab unke sath rehne ke natija haiâŚVarna pehle vo kabhi unke barei mei aisa nahi scohti thiâŚ
Office mei bethe bethe Azlan yahi soch rha hota hai ki Azka ko kaise batayeâŚVo toh hamesha bas talaak ki baat karti haiâŚ.Use Azka se baat karni padhegi ki vo use jane nahi de sakta⌠bas use Azka ko apni mohabbat ka yaqeen dilana haiâŚShayad vo maan jayeâŚpar tab bhi nahi maani tohâŚnahiâŚPehle use Azka ko apni taraf mayal karna hoga fir hi vo usse apni mohabbat ka izhaar karegaâŚ.yahi thik haiâŚ
Raat ko jab vo room me aata hai toh Azka ko couch pe bethe dekhta haiâŚ
Azlan: ye kab aaya...
Azka: Maine pehle se order kiya hua tha but delivery late ho gayi....
Azlan: toh fir....
Azka: toh fir kuch nahiâŚI will sleep here....
Azlan: NahiâŚ.Uski koi Zarurat nahi hai....Yahan aake so jaoâŚVo samajh jata hai ki Azka subah wale incident ki wajah se aisa kar rahi haiâŚ
Azka: Nahi...main comfortable hu yahanâŚvaise bhi ye hi meri jagah haiâŚAzka ko subah ka waqya yaad tha toh usne jaldi mei vo couch kharid liya tha... Use unse duri banake rakhni hai basâŚ
Azlan: Azka tum meri biwi ho aur iss ghar ki bahuâŚ.tumhara pura haq hai sab cheejo pe⌠we are married toh tum yahan so skti hoâŚKoi galat baat nahi haiâŚ..subah jo bhi huaâŚhum dono ka fault nahi thaâŚho jata hai aisa and its okâŚ.
Azka: Nahi âŚAapko aisi koi bhi baat nahi kehni chahiye jo sach nahi haiâŚiss ghar mei meri kya haisiyat hai main kabhi nahi bhuliâŚna hi bhulna chahti hu⌠Kaagzi rishta hai hamara bas aur kuch nahi âŚ..Mera aapse kisi bhi lihaaz se betakkaluf hona zayaz nahi haiâŚaur meri jagah bhi aapke sath nahi haiâŚna thi aur na hi kabhi ho sakti haiâŚmera wahan hona galat hi haiâŚaapko shayad iss baat se koi fark na padhta ho par mujhe padhta hai.. ab vaise bhi Sirf kuch dino ki baat haiâŚmain apne ghar chali jaungiâŚfir sab pehle jaise ho jayegaâŚSab kuch thikâŚ.
Azlan feels badâŚUsne shaadi ki raat jo kaha Azka ke dil pe aaj bhi vo sab naksh haiâŚVo kuch bhi nahi bhuli itne dino meiâŚ
Azlan: Azka idhar aa jao...Mujhse tumse baat karni haiâŚ
Azka unki taraf dekhti hai aur unko serious dekhkar wahan aa jati haiâŚ.
Azlan apni jagah se uthta hai aur uske saamne aake beth jata haiâŚ.I am sorry...
Azka: Kis liye...
Azlan: un sab galat baton ke liye jo maine tumse kahiâŚ
She keeps looking at him ...but kuch nahi kehtiâŚ
Azlan: main jaanta hu maine har baar tumhara dil dukhaya haiâŚmaine itni galtiya ki hai kadam kadam pe ki samajh nahi aata kis kis ki maafi mangu tumseâŚHar baar koi baat saamne aa jati hai mereâŚMaine hamesha tumpe apna gussa utara haiâŚmeri life mei mere sath jo hua uska kasoorwar bhi tumhe thehra diya ...shaadi ki raat maine jo kuch bhi kaha uske liye main bahut sharminda huâŚmujhe nahi kehna chahiye thaâŚ. Aur main samajhta hu tumhe Shayad mujhse kafi nafrat hogi un sab wajaho se jo maine khud tumhe di haiâŚ.par ho sake toh mujhe maaf kardoâŚ.
Azka ko samajh nahi aata vo kya kaheâŚAzlan sahab fir kisi baat ke liye maafi mang rhe hain⌠Uska dil vaise hi aajkal confuse hai bahut ki kya kare aur kya na kareâŚvo unhe pasand nahi karti thi ye sach haiâŚpar ab aisi koi baat nahi haiâŚvo bas gussa thi tabâŚnaraaz bhi thiâŚ.par nafrat toh kabhi bhi nahi ki usneâŚ.
Azka: Azlan Sahab⌠Mujhe apse koi shikayat nahi haiâŚAgar kabhi thi bhi toh ab nahi hai⌠Aap shayad nafrat karte honge mujhse par aapne fir bhi meri medical fees pay ki chahe shanaya ji k iwajah seâŚpar wasila toh aap hi bane⌠aapki wajah se main aaj doctor bani huâŚiss mukaam tak pahuchi huâŚ.main ye baat kabhi bhi nahi bhool sakti⌠aur iske liye main apki hamesha shukargujaar rahungiâŚ.itni nafrat ke bavjood Aapne mere liye jo kuch bhi kiya us wajah se aap mere liye kabile aitraam hai⌠Aur maine kabhi bhi aapse nafrat nahi ki thiâŚna pehle ki na karti huâŚ
Azlan stays rooted to his placeâŚVo kya soch rha tha aur Azka uske bare me kya sochti aayi haiâŚVo use kabile aitraam samajhti haiâŚuski sari batmeeziyo aur bure ravaiyyo ke baad bhiâŚ.Vo shukargujaar hai uski par uske liye toh uski medical fees pay karna koi badi baat nahi thi Par Azka ke liye thiâŚAzka ka khwaab tha doctor bannaâŚ.Shanaya ne btaya tha useâŚ.Azka hamesha se hi itni achi thiâŚuse hi kuch dikhayi nahi diyaâŚVo usse nafrat nahi karti⌠Kafi sukoon mehsoos ho raha hai use ye jaankeâŚ
Azlan: Main Jannta hu maine tumhare sath bahut galat kiya haiâŚUs waqt bhi jab main tumhare ghar aya tha gawahi ke liyeâŚ..
Azka: Aapko yahi laga tha na ki hum kitne behiss hainâŚkitne berahamâŚ.shanaya ji ne hamari itni madad ki âŚus case ki wajah se unki jaan chali gayi aur humne kuch bhi nahi kiyaâŚAzlan Sahab hum behiss nahi the âŚ.bahut majboor theâŚKamjor theâŚ.Sultan bhai ke jaane ke baad hamari zindagi aur bhi mushkil ho gayi thiâŚHum ghar mei sirf aurtein aur logo ki galat nazreinâŚ.Fir meri Aliha kidnap ho gayiâŚUs waqt jo hamare dil pe gujariâŚmain aapko bayaa bhi nahi kar saktiâŚusko kuch ho jata ya uski ijjatâŚbahut muhskil tha hamare liyeâŚ
Aapne jab gawahi ki liye kahaâŚ.toh bhi hum aapki madad nahi kar sakeâŚitni himmat hi nahi thi hamare andarâŚAgar fir se vaisa kuch ho jata toh hum kya karte⌠Sultan bhai chale gaye aur hum kuch nah ikar sakeâŚ.Shanaya ji chali gayi aur aap kuch nahi kar sakeâŚMain jaanti hu ki aap apna sab kuch gawake bhi unko insaaf dilana chahte theâŚ. par hum log jo bacha thaâŚuse bachana chahte theâŚShayad aapke liye ye baat samjhna mushkil tha us waqt ya hum thik se aapko samjha nahi sakeâŚ
Azlan ko bahut bura lagta haiâŚusne un logo se kitni nafrat ki iss baat ko lekeâŚVo unhe ehsaan faramosh samajhta thaâŚbeharam samjhta thaâŚusne kabhi unki majboori samjhne ki koshish nhi kiâŚshayad vo samajhna hi nahi chahta tha kuch bhiâŚ
Azlan: Azka main us waqt kuch bhi samjhne ki condition mei nahi thaâŚMeri Shanaya chali gayi aur main uske qatilo ko saza dilwana chahta tha basâŚTumhari aur tumhare gharwalo ki majboori nahi samajh sakaâŚShayad mere andar vo salahiyat hi nahi thiâŚ.Us waqt maine kafi insult ki thi tum sabki⌠mujhe maafâŚ
Azka: Nahi please âŚAap maafi mat mangiyeâŚaapki galti nahi thiâŚAapki taqleefâŚaapka dukh bahut bada thaâŚ.aap sahi the apni jagahâŚshayad main bhi yahi karti agar aapki jagah hoti tohâŚHalaat hi kuch aise theâŚAap shayad nahi jaanteâŚShanaya ji ko maine btaya tha Aliha ke barei meiâŚmain dari hui thi aur unke alawa koi nahi tha jise main ye keh saktiâŚAgar maine us waqt unhe na btaya hota toh aaj vo zinda hoti aur aapke sath hotiâŚMain samajhti hu ki aap mujhe iske liye maaf nahi kar sakengeâŚpar mere liye ye baat aapko btana bahut jaruri thaâŚ
Azlan: Nahi Tum meri jagah hoti toh aisa nahi kartiâŚtum saamne wale ki majboori samajhtiâŚTumne mom ke liye mujhse nikaah tak kar liya jabki maine hamesha tumhari insult kiâŚAur tumne shanaya ko na bhi btaya hota toh bhi kuch nahi badaltaâŚtumhare gharwalo ke case wapas lene ke bavjood vo puri tarah case mei lagi hui thiâŚvo kaise bhi pta kar leti aur wahan jarur jatiâŚKafi brave thi Shanaya aur ahmak bhiâŚJaan ki toh parwah thi hi nahi uskoâŚYe Allah ki marzi thi âŚtumhari galti nahi âŚUs waqt shayad main ye na samjhta par aaj samjhta huâŚuska aur mera sath tabhi tak thaâŚaur maine accept kar li hai ye baatâŚ
Azka has tears inher eyesâŚAap waqai aisa sochte hainâŚ.Mujhe gunaahgaar nahi mante?
Azlan: Haan main tumhe gunaahgaar nahi mantaâŚ.Tumhara fault nahi thaâŚ.Allah ne usko itni hi Zindagi bakshi thiâŚ
Azka usko dekhti rehti haiâŚaaj unse iss bare mei baat karke vo kafi halka mehsoos kar rahi haiâŚdil pe bojh sa tha jo aaj utar gaya..Uski aur Azlan sahab ki kismat mei shayad aise hi milna likha tha aur fir aise hi bichhadna bhiâŚ.Kuch waqt mei unka talaak ho jaegaâŚaur vo chali jayegi yahan se⌠vo pehle ki tarah latalluq ho jayengeâŚshayad yahi sahi haiâŚUske khud kuch bhi chahne se kuch nahi hotaâŚ.Allah ne uske liye yahi chuna hai aur usko apne allah ka har faisla qubool haiâŚVo jo bhi karenge uske haq mei behar hogaâŚ.Vo wapas couch pe chali jati haiâŚ
Azlan apni socho mei gum hota haiâŚShayad haqeeqat ko accept kar lena hi sabse bada marham haiâŚWaqt har Zakhm bhar deta haiâŚAzka ke aane ke baad sab kuch badal gaya haiâŚUski sochâŚJazbaat âŚhalaatâŚuski ZindagiâŚKhushi ka matlab bhiâŚUski and Azka ki Kismat shuru se hi judi hui thiâŚYe vo aaj jake samjha haiâŚ.Azka ne toh usko hamesha se affect kiya haiâŚvo kabhi bhi usko ignore nahi kar sakaâŚ.Uski mojudgi mei usne har ehsaas mehsoos kiya haiâŚChidâŚirritationâŚgussaâŚnafratâŚbechaini âŚkhushiâŚsukoonâŚ.aur ab mohabbatâŚ.Azka uske har sawaal ka jawaab banke aayi haiâŚaur vo ab usko kabhi apne se alag nahi hone dega⌠He also sleeps looking at herâŚ
Next morning...Kanwal calls Azka to come to homeâŚ.
Azlan and Azka was having breakfastâŚShe looks at himâŚ
Azka: Mujhe Ghar jana thaâŚ
Azlan: ok main drop kar dungaâŚ
Azka: ummâŚNahi main baad mei jaungi abhi nahiâŚ
Azlan: Achha thik haiâŚ
Azka: HmmâŚmain kal aa jaungiâŚ
Azlan: Kal?
Azka: Haan kalâŚkya hua?
Azlan: Nahi main keh raha tha ki Sham ko aa jati wapasâŚ
Azka: Aapko kuch kaam hai mujhseâŚ
Azlan: KaamâŚ..Nahi toh âŚ..vaise hi keh rha thaâŚTumhari marzi hai jaise thik samjhoâŚ
Azka: Vo main sham ko jaungi naâŚBhabhi bhi sham ko aa rahi hai toh...Jaun na?
Azlan sighs in defeat and then nodsâŚHe goes to his officeâŚ.
Azka also informs mom about it.
Azlan returns home and goes to his mom..
Azlan: Kaisi Hain mom...
Mom: main thik hu beta...Azka toh kal subah ayegi...pta hai na tumheâŚ
Azlan: Ji mom jaanta hu....
Mom: hmm...Bahut achhi bachchi hai...Azlan main bahut khush hu tumne uska intkhab kiya...uske aane se ghar mei jaan si aa gyi hai... Mujhe toh pehle bhi bahut achhi lagti thi..Tum hi pta nahi kyun usko daante rehte theâŚ.
Azlan: Mom tab ki baat aur thiâŚAapko pta hai main kaisa tha aur mujhe gussa aata tha kafiâŚ
Mom: Hmm vo toh tumhe bahut aata thaâŚAb kahin jake tum thoda sukoon mei hoâŚAzka ne kafi badal diya hai tumheâŚUske aane ke baad kafi khush lagte ho mujheâŚKash vo thoda pehle mil jatiâŚtumne itna arsa tanhai mei gujaraâŚMujhe bahut dukh hota tha tumhe dekhkeâŚPar ab main bahut khush huâŚ
Azlan: Shayad usne mujhe ab hi milna thaâŚAur main sach mei bahut khush hu uske sathâŚ
Mom: Haan âŚAzka bahut acchi haiâŚKhidmatguzaarâŚbahut mohabbat karne waliâŚ
Azlan yaad karta hai uski aur Azka ki mulaqaate...Vo kaise gussa karta tha uspe hamesha...aur ab sirf pyaar aata hai usko uspeâŚ
Mom: kya soch rhe hoâŚ.
Azlan: vahi jo aap keh rahi hain...Azka waqai bahut achhi hai...
He was lying on the bed...he looks at her side of bed and moves there...then decides to call her...
Azka Azlan ke barein mei soch rahi thi..âŚusko kyun unka khayal aa raha hai baar baar⌠usko mohabbat ho gayi hai kyaâŚHaan shayadâŚaur kya jawaab hai uski iss kafiyat ka....par honi toh nahi chahiye thi naâŚKaise kar liya usne aisa...Sab Azlan Sahab ki wajah se hua hai...ab kya hoga...Use apne har jazbaat ko dafan karna hai..she has to be strong....ye sab nhi ho sakta....then her phone ringsâŚ
Azka: Assalamualaikum..
Azlan: Walequm salaam..
Azka: jii bataiye..
Azlan: Kya...
Azka; Aapne phone Kiya na...
Azlan: Haan...
Azka: toh wajah..
Azlan: mujhe tumse baat karne ke liye kya wajah chahiye...Tum meri biwi ho...
Azka: Azlan Sahab.. mere aas paas koi nahi hai aur please koi majaak mat kijiyeâŚbataiye aapne kyun call ki hai...
Azlan: bataya toh...Main shohar hu tumhara....right hai mere paas tumse baat karne ka...
Azka: kya hua hai aapko aaj...
Azlan: Kuch nahi hua...kya hona hai mujhe...I am just missing you here..
Azka: Ye kya bol rahein hain aap âŚ
Azlan: Sach bol raha huâŚ.tumhe vaise yahan hona chahiye tha mere paasâŚab miss na karu toh aur kya karu⌠Tumhare barei mei hi soch raha thaâŚtum bhi soch rahi thi kya mere barei meiâŚ
Azka stillsâŚVo toh unhi ke barei mei soch rahi thiâŚ.
Azka: Aap fir mujhse koi majaak kar rahein hain?
Azlan: Mujhe aadat ho gayi hai tumhariâŚtumhe apne paas chahta huâŚaur tum keh rahi ho majaak kar raha huâŚtumhari bhabhi ne tumhe samjhaya nahi ki jab shohar romantic baat karta hai toh usko kaise jawaab dena chahiye....
Azka: Bas karein aap aur aapko kaise pta unhone mujhse aisa kuch kaha hai ya nahiâŚ.
Azlan: Toh kya samjhaya unhone aur kya sikha tumne..
Azka: Ye kaisi batein kar rahein hain aap mujhse..
Azlan: kaisi matlab...Ek shohar apni biwi se kaisi batein karta hai...
Azka: dekhein...aapko ye sab nahi kehna chahiye...ye sab thik nahi hai...
Azlan: Kyun nahi kehna chahiye...kya thik nahi hai..
Azka: Aapka ye sab kehna...Kya ho gya hai aapko...aap bhul gye hain kya hamara contract..
Azlan: Tum bhul gayi ho kya hamara nikaahâŚ.
Azka: Uske koi maayne nhi hai...
Azlan: Tumhare liye uske koi maayne nahi hai?
Azka: Aapke liye toh nhi hain na...toh fir aap yeâŚaur meri baat alag haiâŚ.
Azlan: aur agar main kahoon hain mere liye uske maayne hain toh firâŚ
Azka: .....
Azlan: Azka..
Azka: Azlan Sahab aapko mujhse ye sab nahi kehna chahiye...mujhe nahi pta aap ye sab kyun kar rahe hain....bas main ye jaanti hu ki ye galat hai...kisi bhi lihaaz se thik nahi hai...
Azlan: Azka hamara rishta kya hai...
Azka: Kya matlab...ye kaisa sawaal hai......
Azlan: Batao hamara kya rishta haiâŚ
Azka: Aap mere ..
Azlan: hmmâŚ
Azka: Aap mere husband hain..
Azlan: Toh kya galat hai aur kya thik nahi hu...Main tumhara husband hu ...koi aur nahi hu jiske sath koi aisi baat karna tum galat samjho..
Azka: Par hamara rishta aisa nahi hai aur kuch dino mei hamara...aap sab jaante huae bhi ye sabâŚ.
Azlan: Aisa kuch nhi hone wala...
Azka: Kya matlab hai aapka...
Azlan: Yahi ki aisa kuch nahi hone walaâŚaur mera jo bhi matlab hai...vo baat hum aamne saamne karenge....phone pe nhi .. aur ek baat samajhlo...tumhare aur mere bich koi bhi baat galat nhi hai...sab Zayaz hai...tum meri biwi ho aur main tumhara shohar ....sirf ye baat sach haiâŚ.
Azka: mujhe aapki baat samajh nahi aa rahi...aap ye sab kyun bol rahein hai...subah tak toh sab thik tha...
Azlan: nahi ab sab thik ho jaega...aur tum zara apni bhabhi se sikho kuch jo vo tumhe samjhati hain..
Azka: kya matlab hai aapka...mujhe aisa kuch sikhne ki jarurat nahi hai...
Azlan: Nahi tumhe bahut kuch sikhne ki zarurat hai...
Azka: Ji nahi main sab jaanti hu...samjhe aapâŚ
Azlan: Zara mujhe bhi batao ki kya jaanti ho tum married life ke barei meâŚkaise chalti hai ek married life achhiâŚ
Azka:...
Azlan: chup kyun ho gayi...abhi toh bol rahi thi sab jaanti ho...batao na ab..
Azka: Aap ye kis tarah ki batein kar rahe hain mujhse...mujhe aapse koi baat hi nahi karni...
Azlan smiles...he knows he is pushing her too hard and uski biwi bahut masoom hai...
Azlan: AcchaâŚ.thik hai firâŚmain tumhe abhi lene aa raha huâŚ
Azka: Aa jayeinâŚmain aaungi nahi aapke sath wapas abhiâŚ
Azlan: Karke dekh lena ya bhiâŚMain tumhari mom se kahunga ki ek toh main itni raat ko isko lene aaya hu aur ye mere sath jaane se inkaar kar rahi haiâŚ
Azka gets surprised listening to thisâŚ
Azka: Aap aisa nahi karengeâŚ
Azlan: HmmâŚPar agar kiya toh vo puri mohabbat ke sath tumhe mere sath bhej dengiâŚ
Azka: Dekein maine aapse puchha tha subahâŚAapko koi aitraaz nahi tha toh firâŚ
Azlan: Achha preshan mat hoâŚnahi aa raha abhiâŚRehlo aaj raat wahinâŚ
Tabhi Kanwal enters the room and Azka ko awaaz deti hai...Azlan bhi sun leta hai...Azka phone niche kar leti hai but call cut karna bhul jati hai jaldi me...Azlan thinks to cut the call but then decides against itâŚ.
Kanwal: kya kar rahi thi?
Azka: kuch nhi bhabhi....
Kanwal: Azlan Sahab se baat ho gayi teri...unka phone aya?
Azka: haan meri toh ho gayi unse baat...maine pehle hi kar li thi...she smiles nervously....
Kanwal: Ye toh acha kiya tune...kya huaâŚtu itni ghabrai kyun hai...unhone kuch keh diya kya tujhe...
Azka: Nahi toh bhabhi...unhone aisa kuch nhi kaha...
Kanwal: Samajh gayiâŚunhone koi romantic baat ki hogi tujhse aur tu fir se vaise hi nervous ho gayi hogi ..
Azka: nahi toh...aisa kuch nahi hai...
Kanwal: Azka teri shakal pe saaf likha hai ki tu jhoot bol rahi hai...Maine us din bhi samjhaya tha na ki shohar ki mohabbat ka jawaab mohabbat se dete hain ..tu kab samjhegi...
Azka: bhabhi aap ye sab kya leke beth gayi...maine bola na sab thik hai...aur maine unse acche se baat ki thi...
Kanwal: mujhe pta hai tera achhe se baat karna...tere muh se lafz nahi nikla hoga ek...ya tune ye kaha hoga ki aap ye kya keh rhe hain...main jaanti hu tujheâŚ
Azka Kanwal ki taraf badi badi ankhein karke dekhne lag jati hai...bhabhi vo main...maine ..
Kanwal: Pta tha mujhe...Teri shakal se pta lag rha hai tune Aisa hi Kiya hai....
Azlan sab sun raha hota hai...he knew ki Ab vo Azka ko samjhana shuru kar dengi...
Azka: aisi koi baat nhi hai bhabhi...please mujhe baksh dein .... aur kuch samjhane na lag jana ..
Kanwal: samjhna padega tujhe...Azka ab tu shadi shuda hai...kyun nahi samjhti tu...Apne bachpane se bahar nikalâŚ
Azka: bhabhi aap bhi mujhe bachcha samajhti hai ....sab pta hai mujhe ..
Kanwal: Acha...main bhi matlab...Azlan Sahab ne bhi tujhe bachchi keh diya hai kya ..
Azka: Aapko kaise pta ki unhone mujhe bachchi kaha hai...
Kanwal: teri harqatein hi aisi hain...acha tum dono ke bich relationship toh hai na...
Azka ghabrake kanwal ko dekhne lag jati haiâŚ
Udhar Azlan Samajh jata hai ki Azka fir nervous ho gayi hai......
Kanwal: Mujhe kya dekh rahi hai...bta na...relationship hai bhi ya nhi...
Azka: Bhabhi ye kaisa sawaal hai...
Kanwal: Hain...kaisa matlab...tu mujhe bta sakti hai...Vo tere kareeb aaye hain ya nahi?
Azlan ekdum se alert ho jata hai ye sunkeâŚ.Azka kya jawaab degi iss sab kaâŚ.
Azka: ye kya puchh rahi hai aap...mujhe kuch nahi btanaâŚ
Kanwal: Azka dekh...agar tune sach mei khud unse duri bana ke rakhi hai na toh sach me bevkoof hai tu...mujhe toh laga tha ki tu khush hai unke sathâŚ.
Azka: Haan toh hu na khush main ..aapko bta toh rahi huâŚ
Kanwal: jo maine puchha...vo toh nhi bta rahi.... tu unki biwi hai toh agar vo tujhse mohabbat karna chahte hain...tere kareeb aana chahte hain toh isme koi galat baat nhi hai...
Azlan just closes his eyesâŚUsko pta hai ki Azka ki toh haalat kharab ho rahi hogi ye sab sunkeâŚ
Azka: Bhabhi aap ye sab kyun bta rahin hai mujheâŚmujhe nahi karni aisi koi baatâŚ
Kanwal: Tujhe samjha Rahi hu...Mujhe teri haalat dekhke lag rha hai tune unhe apne kareeb nhi aane diya hai abhi tak...toh agar aisa hai toh bahut galat baat hai...Tum dono kareeb aaoge tabi toh tumhara rishta majboot hogaâŚ
Azka: bhabhi please ...aap jayein aur so jayein...mujhe aur kuch nahi samjhna...
Kanwal:Agar shohar ko biwi se mohabbat na mile na toh vo bahar mohabbat dhund lete hain....samjhi kuch..
Azka: Vo aise nahin hain...Mujhse kabhi bhi bewafai nahi karengeâŚ
Azka ko uski kahi baat pe yaqeen hai...Azlan ko bahut acha lagta hai ye jaankarâŚ.
Kanwal: toh tu aisi kyun hai ..
Azka: Bhabhi ye mere aur unke bich ki baat hai naâŚtoh hum dekh lengeâŚaur vaise bhi unko mujhse koi shikyat nahi haiâŚagar koi baat hoti toh keh dete voâŚ.aap jyada na socheinâŚ
Kanwal: AchhaâŚye unka zarf hai ki vo tujhe kuch nahi keh rahe jabki tune unko unka haq bhi nahi diyaâŚUnki jarurato kakhayal bhi nahi rakhtiâŚ
Azka: Main unka aur unki jarurato ke poora khyal rakhti huâŚSaare kaam karti hu unkeâŚaur hamare bich sab thik haiâŚ.Puchh lijiyega chahe aap unseâŚ
Azlan ko pta hai ki uski Bhabhi kya kehna chah rahi hain aur Azka vo alag hi tangent par haiâŚ.
Kanwal: Azka meri baat samajh tu...Miya biwi ko kareeb rehna chahiye...aur shadishuda Zindagi sirf ikhlaaq se nahi chalti...Mohabbat bhi chahiye...
Azka: Main doctor hu bhabhi..mujhe sab pta haiâŚ
Kanwal: Shohar ke sath doctor nahi Biwi ban...jab pta hai toh fir kyun ye sab...
Azka: Bhabhi aap kyun aisi batein kar rahi hainâŚ.pehle toh nahi karti thiâŚkya ho gya hai aapkoâŚ
Kanwal: bas yahi karte rehna tu..pehle teri shaadi nahi hui thiâŚpar ab tu biwi hai kisi kiâŚislye samjha rahi huâŚ.mohabbat karti hai na unse?
Azlan sari batein sunke muskura raha hota hai ki Vo Azka ko kya kya samjhaye ja rahi hain....par iss sawaal pe vo sanjida hojata hai ..
Kanwal: Bta naâŚKarti hai na?
Azka: Haan...karti hu mohabbat unseâŚ
His heart flipsâŚ.vo jaanta hai ki Azka ne yuhi bol diya par uske liye ye sunna bahut badi baat hai ki Azka usse mohabbat karti hai ..vo bahut khush hota haiâŚ.
Kanwal: toh fir kya dikkat hai...
Azka: koi dikkat nahi hai...main samajh gayi aapki baat...aapne mujhe samjha diya ....
Kanwal: Amal karegi meri baat pe...
Azka: bilkul...puri tarah se...
Kanwal: thik hai...ab agar vo tere paas ayein...tujhse pyar karna chahe toh mana mat karna.....samjhi...
Azka: Bhabhi please agar aapne dobara ab ye sab bola na main behosh ho jaungi...main apki sari baat samajh gayi hu aur Maan bhi gayi hu...
Kanwal: vo toh mujhe pta lag hi jayega ki kitna samjhi tu...chal ab soja...
Azka was thinking about what her bhabhi said...Uski bhabhi ko is shaadi ki Haqeeqat nahi pta...Uska and Azlan Sahab ka rishta Aisa hai hi nahi ... mohabbat...Unke rishte mei kya ahmiyat hai is lafz ki ..Vo aur Azlan Sahab kabhi bhi kareeb nhi ho sakte...vo usse mohabbat nahi karteâŚAur uske khud ke dil mei jo chal raha haiâŚusse kuch fark nahi padhtaâŚPar Azlan Sahab kis tarah ki batein kar rhe the...biwi ... shohar ...Unko kya ho gaya haiâŚ.Vaise hi vo kam preshan hai ki ab vo aisi batein karne lag gaye hainâŚ.
Azlan also thinks about the conversation...he was very happy...he has got something to tease Azka...uski biwi bahut innocent hai ....nervous ho jati hai aisi baton seâŚ.Doctor Azka...Jisko sab pta haiâŚAb toh usko hi kuch karna padhegaâŚ.
To be continuedâ¤ď¸â¤ď¸â¤ď¸
742