Ishq E Laa #3 (HUM) Azaan Sami , Yumna Zaidi , Sajal Ali - Page 36

Created

Last reply

Replies

889

Views

105.5k

Users

25

Likes

1.5k

Frequent Posters

prohelika thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Azlaan ❤️

Thanks for the update, it's amazing.

I like how You're building tension gradually. They both have feelings, unconditional love and respect towards each other but not evident right now.

Even in the drama Azlan Mom was big fan of this couple and giving right amount of advice to them. Here's too. I love that about your writing.

Another good point, You're not repeatedly bringing his beloved ex wife which is great for their present and future. I know she'll be always with them in a positive way yet never like it how the drama team drag it for a long time. Thank you, for that too.

And the entry of Zainab, good plot device to pull the love bird closer.

Thank you for tagging me, I actually read the story right away but I want to give you a sincere thank you for the hard work and a little late to comment.

This thread still alive for this kind of stories. I hope other writer also join and write/continue their stories. Coz, drama never did the Justice with that amazing couple, properly.

Waiting for your next update and the next chapter of Azka Azlaan, eagerly ❤️❤️❤️

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: prohelika

Thank you for all the appreciation....It means a lot for an amateur like me❤️❤️

They both have place for each other in their heart but they are in the process of discovering it..

His mom was my favourite in the show too...She is Azkaan shipper....Always gives good advice....

Shanaya was an important part of Azlan's life and Azka's too...but Even I did not like that her reference was given too many times in the show...For some part, it was necessary...but not always...I will use it too but where it is absolutely necessary ...

Zainab is just a mean to pull out their hidden feelings for each other..

Your review is always appreciated....Thank you for liking it...

I am also waiting for the other writers to continue their pending stories ... I love their writing and ideas...Hope they will find time from their busy schedule and continue again...

Next update will be soon❤️❤️

mala06 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 4

#EmAar (Radd)

Posted: 3 years ago

Originally posted by: kamleshmehra

Azlan and Azka's Fanfiction:

1st part - Pg No. 38

2nd Part - Pg No. 40

3rd Part

Azlan thinks to talk to Azka to not leave him...Stay with him...they can be friends and then more than that...he won't rush things when he himself is so much confused about his feelings...will she agree?

Azlan: Azka main vo...

Azka: Azlan Sahab maine soch liya hai kya karna hai...

Azlan gets surprised and thinks ki isne kya soch liya...

Azka: Aap jante hi hain ki hmara rishta waqti hai...

Azlan sochta hai ki ye akhir kehna kya chah rahi hai...he then gets alert...kahin rishta todne ki baat toh nahi kar rahi...

Azka: Aap Mujhe Divorce de dijiye jitni jaldi ho sake….Contract toh vaise bhi poora ho chuka hai and aapki mom bhi pehle se behtar hain…

Azlan: Ye kya keh rahi ho tum....Aise achanak se divorce…I thought kuch din toh …..I mean main mom ko kya kahunga abhi …Main kidney wali baat unko nahi bta sakta …

Azka: Achanak se aapka kya matlab..Humne contract sign kiya hai….Aur aap aisa hi chahte the…aap toh kidney transplant bhi jaldi se jaldi chahte the taki aap mujhe jald se jald divorce de sakein…. Aur main jaanti hu ki unhe kidney donation ki baat nahi btayi ja sakti…main bhi nahi chahti unhe pta chale aur dukh ho…Aap baki reasons bta sakte hain…

Azlan gets confused ki ye kaun se reasons ki baat kar rahi hai...

Azlan: Baki kaun se reasons?

Azka: Aap ek sach nahi bta sakte na…toh baaki bta dein…Ki aap mujhe pasand nahi karte aur aapne unke israar pe mujhse shaadi ki thi kyunki vo mujhe pasand karti thi.…Hamare bich koi compatilbility nahi hai…Aapko mujhse mohabbat nahi hai aur na hi ho sakti hai…aur aapne poori koshish ki ye rishta nibhane ki…mere sath khush rehne ki….Par aap khush nahi hain aur ab mere sath nahi reh sakte…I know ki unko ye sab jaankar bhi dukh hoga par fir bhi ye valid reasons hain…vo dhire dhire samajh jayengi...aur aapko force nahi karengi is rishte me rehne ke liye...

Azlan uski batein sunke shock ho jata hai…mana unki shaadi ka reason kuch aur tha par vo usko napasand nahi karta…aur mohabbat kyun nahi ho sakti…Aur vo toh khush hai yahan uske sath aur uske sath rehna chahta hai...

Azlan: Tum ye sab kya keh rahi ho.....tumhare hisaab se ye sab sach hai?

Azka: Isme kafi batein sach hai….

Azlan: Aisa tumhe lagta hai mujhe nahi…Mom ko ye sab sunke bahut taqleef hogi...

Azka: main samajhti hu…unhe mere jaane se dukh hoga….par aap shaadi kar lijiyega…is baar apni pasand se…ab toh aapki koi majboori bhi nahi hai...Vo aapse bahut mohabbat karti hain aur aapko khush dekhna chahti hain…toh agar aap khush rahenge toh vo bhi khush ho jayengi…

Azlan: Azka bas karo...main koi shaadi nahi karne wala…tum akhir aisa soch bhi kaise sakti ho …aisa kaise chah sakti ho….

Azka: Yahi hal hai is masle ka….vaise bhi divorce toh hona hi hai…toh jitna jaldi ho jaye utna behtar….Apki mom aapse waris chah rahi hain toh iska solution shaadi hi hai….Aap unki khawaish poori kar sakenge…. main bas aapko mashwara de rahi hu aapki mom ki khatir…. Baki aapki apni marzi hai…Aap jo behtar samjhe….....aur mere kuch chahne ya na chahne ki baat kahan se aa gayi...aapki shaadi se mera kya vasta hai...

Azlan ko gussa aane lag jata hai Azka ki batein sunkar… He is already married...contract hai toh kya hua….Akhir vo uski biwi hai…vo usko kaise keh sakti hai kisi aur se shaadi ko…kya usko koi fark nahi padhta isse….. usse shaadi ka keh diya itni asaani se......divorce mang liya…Par divorce ki baat toh usne khud ki thi pehle...usi ne toh vo contract kiya tha...

Azlan: Nahi main ye nahi karunga…aur mom ne jo khawaish ki hai hum dono se ki hai sirf mujhse nahi..samjhi tum...

Azka: Nahi Karenge ka kya matlab?…Aur main kaise unki khawaish poori kar sakti hu...Aapko apni mom ko batana padhega jald se jald kuch…kab tak unse jhoot bolenge….

Azlan: Main soch lunga kuch….Please tum ye sab mat socho…

Azka: kaise na sochu.....aap kya samajhte hai ki mujhe kaisa lagta hai jab vo mujhse vo sab kehti hain..

Azlan turns soft...he knows Azka is feeling guilty about all this when it is all his fault...Azka... galti meri hai...tumhari nahi...tum guilty feel mat karo...Mujhe hi contract nahi karna chahiye tha...

Azka gets stunned to hear this...

Azlan: Agar maine us waqt contract ki baat na ki hoti toh kya tum mere sath rehna chahti...

Azka: aap ye sab kya ...

Azlan: Agar maine us waqt contract na kiya hota toh tum mere sath rehti?

Azka does not say anything...she was too shocked to say anything...

Azlan: Azka....Tumhe mom ka pta hai…vo tumhe bahut chahti hain….unki khatir...

Azka: Toh aap ye puchh rahe hain ki main aapke sath rehti aapki mom ki khatir..Azlan neither denies nor acknowledges what he already said...

Azka was feeling anguish over what he said ..how could he ask her such a thing... Does he want her to stay with him because his mother wants him to and wishes for a grandchild.... Nahi main aapke sath nahi rehti...kabhi bhi nahi....

Azlan knew that Azka does not like him very much but does she hate him so much that she can't even think of the possibility of him being with her....
He feels like she just took his heart and crushed it...She doesn't even want to think about it...She just refused him like that...

Azka feels hurt by his words.....Vo usse mohabbat nahi karte...vo jaanti hai...vo bhi nahi karti...vo kyun kare bhala... lekin vo kya samajhte hain...Vo majboori me apni zindagi unke sath gujaar degi...unhone use samjha kya hai… Jab chahe kuch bhi keh denge vo Maan legi ...Vaise toh Aajkal bada ikhlaaq dikhate firte hain aur fir ye sab batein..

In the night, Both of them were sleeping on their side....Azlan was disheartened...He was going through their conversation and suddenly it hits him..what a blunder he made...how can he be so stupid. He told his wife that he wants to continue this relationship for his mother's sake.. Par vo kehta kya ki uske liye ruk jao….vo nahi chahta ki vo jaaye….but whatever he said …It was really a wrong approach….what she might be feeling and here he is muling over his broken heart...he did hurt her ...he looks at Azka who was sleeping besides him....he will have to apologise in the morning...

Next day, Azka was in mom's room...Azlan comes there ...

Azka mom se baat karti rehti hai...Azlan use dekhta rehta hai but vo usko poori tarah ignore karti hai...Mom ko bhi lagta hai ki kuch hua hai...when Azka goes outside then Azlan gets up to follow her..

Mom: Azlan..

Azlan stops and turns...ji Mom…

Mom: Azka tumse naraaz hai...

Azlan: Mom apko kaise pta ..kya usne aapko kuch kaha hai...

Mom: Vo kya kahegi...vo toh kabhi tumhari koi shikayat nahi karti..Maine khudhi samajh liya tumhari haalat dekhke...Vo bhi upset thi kuch...maine puchha bhi par usne taal Diya...

Azlan: Mom main usko mana lunga...aap pareshan mat ho...

Mom: Thik hai jao tum uske paas…..

Azka was in the kitchen and Azlan goes there.. he tries to talk but she again ignores ...but he keeps on following her wherever she was going...Even house staff seems to notice this and keeps smiling seeing Azlan Sahab following her begum...Azka goes to her room...

Azka: Kya kar rahein hain aap...mujhe follow karne ka matlab... sab dekh rahein hain….

Azlan: Mujhe baat karni thi tumse…

Azka: Par mujhe aapse koi baat nahi karni…

Azlan: Naraaz ho mujhse…

Azka: Mera koi right nahi hai aapse naraaz hone ka…

Azlan: Right hai tumhara...Maine tumhari feelings hurt ki hai...I am really sorry...mera vo matlab nahi tha…..main preshani me tumse is tarah ki baat bol gaya …main tumhe hurt nahi karna chahta tha….Mujhe maaf kardo please..

she tries to gauge his expressions and realises that he indeed is sorry..

Azka: It's ok...

Azlan smiles and goes from there...Azka thinks ki kya hi karte rehte hain…pehle kuch bhi boldo aur fir sorry….

Raat ko Azlan waits for her .... he thinks to talk to Azka about their relationship ... Azka comes and sits on the bed...

Azlan: Azka...

Azka: Jii..

Azlan: Vo Main soch raha tha ki main aur tum means hamara Jo relation hai...maine jo contract kiya tha us waqt...

Azka: Maine toh pehle hi kaha hai..yahi solution hai...

Azlan: Kaisa solution..

Azka: Jo Maine aapko btaya tha kal..

Azlan: tum fir wahi leke Beth gayi ..maine kaha na tum mat socho...main khud soch lunga...

Azka: Kyun aap khud ko jyada samjhdar samajhte hain..Main bhi samajhdar hu…I am a doctor..

Azlan: Psychology ki nahi ho...isilye kisi ke mann me kya hai nahi samajhti...aur bachchi ho tum iss maamle me...

Azka: Main koi bachchi nahi hoon...dekhein mujhe I am an adult...

Azlan looks at her ...smiles and says Hmm bachchi toh nahi ho ab tum...

Then she realizes what she said and gets embarassed...

Azka: Aap apni mom ke bare me sochein...mujhe jaldi divorce dein aur shaadi kar lein...

Azlan: Aur tum?

Azka: Main kya

Azlan: Tum bhi apni pasand se shaadi kar sakogi...

Azka looks at him... usne toh kuch socha hi nhi...Vo toh bas apne ghar chali jayegi... hospital join karna hai vaise bhi kuch dino mei...fir uska kaam aur vo...shaadi...kya vo shaadi karna chahti hai dobara...nahi...use nahi karni shaadi...kisi se dobara shaadi karna...ye khayal hi kitna ajeeb hai...

Azka: Maine aise kuch nhi socha... Mujhe koi shaadi nahi karni....

Azlan: Kyun mere liye toh itna kuch soch liya tumne...Apne bare me nahi socha...koi khas wajah...

Azka: Koi wajah nahi hai...Aur main aapke nahi apki mom ke bare me soch rahi hu….

Azlan: Maine nahi karni koi shaadi aur ye akhiri baar hai jo tum mujhse ye baat keh rahi ho ..dobara mat kehna…..

Azka thinks ki vo shayad kuch jyada hi bol gayi…

Azka: ok...

Azlan: Good…..Aur Mom ne vo sab jazbaat me kaha hai…I don’t think ki kuch din tak ab vo dobara aisa kuch kahengi toh don’t worry..

Azka: hmm....

Both lie down and Azlan is thinking about convincing her to stay... He knows he needs her in his life...but why .... why does he want to have her forever.. He can't bear this thought that she will leave him...He wants her to stay with him forever….She does not want to marry again...does the thought of marrying someone else make her unhappy...Should he be hopeful...But she does not like him.. does she? He will never know....Agar Azka maan jaye toh kya vo uske sath apni puri zindagi guzarna chahta hai .. Haan ...Azka ke sath...He smiles at this thought....Vo kya mohabbat karne laga hai usse...pta nahi …shayad…. Par kya Azka karegi usse mohabbat....Ye khayal use dara deta hai...Agar usne mana kar diya toh vo kya karega...

Azka was thinking about her feelings...She does not want to marry...kyun..Kya isilye ki vo Azlan Sahab ke nikaah me hai ..aur unke alawa kisi aur ke bare mei sochna bhi galat hai...Par unke bare me sochna bhi galat hai….Aur Shaadi toh divorce ke baad ki baat hai ...Jab uske gharwale sari baat jaan jayenge…uska talaak ho jaega….toh vo chahenge uski shaadi karna...vo kaise mana karegi..vo toh Azlan Sahab ko chhodna chahti hai na.... Ya ab nahi chahti?...nahi use yes ab nahi sochna...Contract yaad rakhna hai bas...Par vo use chhodna nahi chahte..Haan par apni mom ki khatir...Aunty use chahti hai sirf isliye...aur koi wajah nahi hai...Unhe koi fark nahi padhta vo unke sath rahe ya na rahe…

Next morning Azlan office chala jata hai and Azka is with his mom…

Mom: Azka tum khush toh ho na yahan...

Azka: Ji Anuty….main bahut khush hu….aap kyun puchh rahi hain aisa...

Mom: Beta…main nahi chahti ki tumhe koi bhi taqleef ho yahan….Azlan tumhare sath thik hai na…

Azka: aunty sab achha hai .Vo thik hain mere sath..

Mom: Vo tumse bahut mohabbat karta hai ...par apne dil ki baat asaani se keh nahi pata…Kafi tanha Zindagi gujaari hai usne...par tum jabse uski Zindagi me aayi ho na vo bahut khush hai...…tumhari mohabbat ne use pursukoon kar diya hai...

Azka ko samajh nahi aata vo kya kahe…aunty usse kitni mohabbat karti hain …Par kuch din me vo yahan se chali jayegi ….Kya bolegi ki jhoot bola tha usne…Haqeeqat toh kuch aur hi hai...usko bahut bura lagta hai...

In the evening …Waleed comes to meet Azlan at his house...Use hall me Azka dikhayi deti hai aur vo Samra ko kuch samjha rahi hoti hai...Samra chali jati hai...toh Azka ki nazar Waleed par padhti hai….

Waleed: Assalamualaikum...

Azka: Walequm Salaam..

Waleed: Aap yahan kaise?

Azka: Aap Azlan Sahab se milne aye hain ...main unhe batati hu aapke aane ka... Ye bolkar vo jaane lagti hai...

Waleed: Ek minute rukein..mujhe aapse kuch kehna tha ..

Azka stops and turns towards him..

Waleed: Vo main keh raha tha...jo us din hua main uske liye bahut sharminda hu...mujhe vo sab nahi kehna chahiye tha...kisi ladki ke bare me is tarah se baat karna galat hai....mujhe baad mei apni galti ka ehsaas hua aur fir kabhi aapse mulaqat nahi hui ki maafi maang saku....Agar ho sake toh mujhe maaf kar dijiye...main waqai bahut sharminda hu apni us harqat ke liye...

Azka Uski baat sunke bahut hairaan hoti hai...Us waqt vo kafi gussa thi un dono par...Par ab jab vo usse maafi mang raha hai toh uska bhi farz hai ki vo maaf karde...Maafi mangne ke liye bhi bada zarf chahiye ..aur uske chehre ke haav bhaav bta rahe hain ki wo sach mei sharminda hai...

Azka: Agar meri maafi aapke liye itni jaruri hai toh main aapko maaf karti hu...

Waleed: Aapka bahut shukriya....

Azka ja hi rahi hoti hai Azlan ko bulane par vo khud hi wahan aa jata hai...aur un dono ko dekhke ghabra jata hai...Kahin Waleed ne Azka ko kuch fir se?

Azka bina kuch kahe chali jati hai....

Azlan: Waleed tu yahan...

Waleed: Haan Bhai...kaisa hai tu...

Dono gale milte hain...

Azlan: Itne time baad...kaise yaad aa gayi tujhe meri..bich me bilkul gayab ho gaya tha tu...

Waleed: yaar London me tha ..tujhe toh pata hai Dad ka business aur vo sab...kuch dino pehle wapas aya hu...Aunty ka pata chala toh Milne chala aya...tu bata sab thik...

Azlan: Haan sab thik hai yahan...

Isse pehle ki Azlan usse kuch puchhe Azka se interaction ke bare me.. Waleed bol padhta hai...

Waleed: Mujhe ye bata Ye ladki yahan kaise...

Azlan: kaun si Ladki....

Waleed: Arae yar...ek hi toh thi jisne hum dono ka band baja diya tha.....jo abhi gayi hain ..kya naam tha Inka...Azka...

Azlan: She is my wife now...

Waleed hairaan ho jata hai ..

Azlan: Kyun tujhe Azka ne nahi btaya...

Waleed: Maine puchha tha unse...par unhone mujhe kuch nahi bataya...

Azlan hairaan hota hai...akhir Azka ne kyun nahi btaya...

Waleed: Par tu aur vo kaise…tumhari toh banti bhi nahi thi…

Azlan: long story…fir kabhi bataunga….

Waleed: Par tune toh kaha tha ki mera taste bura…

Azlan interrupts him before he completes and says mera dimag kharab tha tab…

Waleed: Bachat ho gayi yaar ..

Azlan: Kya matlab...

Waleed: Main unhe dekhkar ghabra gya tha ki vo fir se class le lengi..shukar hai maine maafi mang li unse pehle hi...galti toh thi na meri...Varna ab kis muh se bhabhi kehta....

Azlan: Tune maafi mang li? usne maaf kar diya tujhe kya?

Waleed: Haan aur kya.. mujhe toh laga tha vo mujhe aur bhi kuch sunayengi...but unhone mujhe foran hi maaf kar diya.…Iska matlab Bhabhi kafi softheared hain….par tu kyun hairaan ho raha hai..tune toh pehle hi maafi maang li hogi ...aise hi thodi vo tujhe mil gayi....

Azlan soch me padh jata hai kyunki usne toh us baat ke liye maafi maangi hi nahi abhi tak....

Waleed: Tu unse contact mei tha..mujhe nahi pta tha...varna main pehle hi maafi mang leta....Love marriage hui hai teri?

Azlan: Nahi main nahi tha contact mei....Hospital me mili thi dobara mom ke treatment ke waqt....doctor hai....Mom k toh pehle se hi bahut pasand thi aur vo kafi achhi hai....mom ka bahut khayal rakhti hai....aur.......pasand hai mujhe bhi...

Waleed: Sahi hai yaar... hospital mei tujhe apne dard e dil ki dawa mil gayi…that’s something amazing…Apne dil ka ilaaz bhi karwa liya tune aunty ke treatment ke sath sath…

Azlan: Jyada faltu mat bol....

Tabhi Azka aati hai Samra ke sath with snacks and tea....Samra serves them and Azka fir jaane lagti hai...

Waleed: Bhabhi aap bhi bethiye na hamare sath...

Azka Waleed ke muh se bhabhi sunti hai toh vo Azlan ki taraf dekhti hai ...vo samajh jati hai ki Azlan ne usko bata diya unke rishte ke bare me..Azlan usi ko dekh raha hota hai...vo koi react nahi karti ispe aur politely kehti hai....Nahi aap log batein kijiye...mujhe aunty ke paas jana hai...unki medicine ka time hai.. aur ye kehkar vo chali jati hai...

Azlan poore time use hi dekhta rehta hai even jab vo Jaa Rahi hoti hai tab bhi...

Waleed: Bas bhi kar bhai...kab tak dekhta rahega... teri hi biwi hai...

Azlan: Haan kya...aisa kuch nahi hai...vo toh bas aise hi...

Waleed: Rehne de...Teri shakal pe likha hai tere dil ka haal...

Azlan: Chup karja...jyada bakwas na kar..

Waleed: Vaise mujhe ek baat samajh nahi aayi...ki tera toh main samajhta hu ki Bhabhi itni achhi hain...aunty ka khayal bhi karti hain...maine khud bhi dekh liya abhi ye aur vo bahut khoobsurat ...

Azlan: Oye tu fir se ye...

Waleed: Chill karja bhai...tere liye bol raha hu....bhabhi hai meri...baat sun pehle....aur vo bahut khoobsurat hain..toh tera dil fisal gaya...vo I can understand...par unhone tujhse shaadi kaise kar li...tujhe kaise pasand kar liya....

Azlan: Kya matlab hai tera...Vo mujhse shaadi nahi kar sakti kya....Aur pasand kyun nahi kar sakti vo mujhe.....

Waleed: Yaar I mean.. jitni Zabardast insult unhone teri ki thi...

Azlan: teri bhi ki thi...

Waleed: Haan haan...meri bhi ki thi....par ladai toh tune ki thi na... Zindagi me pehli baar shayad kisi ladki ne teri insult ki hogi ....maanna padhega guts toh bahut hai un mei...us waqt jitna unhone tujhe sunaya tha...aisa laga tha jaise vo tujhe bilkul pasand nahi karti...toh tune aise kaun se mohabbat ke zaal me unko fasaliya ki vo shaadi ke liye Maan gayi....

Azlan: Vo pehle ki baat hai… Aur maine Jis bhi Zaal me fasaya ho...usne Haan kardi aur ab meri biwi hai vo...jyada dimag mat chala tu....

Waleed: Ye bta ...bhabhi abhi bhi gusse ki tej hain...

Azlan: Haan aur kya...bahut jaldi gussa aata hai use...

Waleed: toh fir tu kaise handle karta hai... gussa toh tujhe bhi bahut aata hai... Us waqt bhi ladai ho gayi thi...

Azlan: tu pagal hai...maine gussa Kiya na toh chhod ke chali jayegi....

Waleed: Aur tu reh nahi payega...

Azlan smiles and says haan vo toh hai...main nahi reh sakta uske bina…

Waleed: Lucky hai tu yar...tujhe toh itni achi biwi mil gayi...Doctor hai... khoobsurat hai...Teri mom ka bhi khayal rakhti hai...Teri pasand ki bhi hai....

Azlan: Toh tu shaadi kyun nahi kar leta...

Waleed: Dekh rahein hain yaar mom dad...par abhi tak koi match nahi mila...inki koi behan hai kya inke jaisi...

Azlan: Nahi...Single daughter hai ye...aur ye already meri ho chuki hai...tujhe kahin aur dhundni padhegi....

Waleed: Hmm...ab yahi kar sakte hai..chal Aunty se milte hain...

Kuch time baad Waleed chala jata hai...

Azka free hokar jab room me aati hai...toh Azlan already wahan hota hai....

Azlan: Azka ...tumse kuch puchhna tha ..

Azka: Jii puchhiye....

Azlan: Tumne Waleed ko kyun nahi bataya tha.....

Azka: Kya nahi bataya...

Azlan: Ki tumhara aur Mera relation kya hai...

Azka: Mujhe munasib nahi laga...

Azlan: tum meri biwi ho...tumhe kisi ko ye batane me kya namunasib lagta hai...

Azka: Nahi....Vo aapke dost hain toh aapki marzi hai aap unhe kya btana chahte hain... ye contract hai toh mujhe laga aap shayad sach bataye unhe...

Azlan: Contract?...Achha….uske baad jo main baqaida sabke saamne nikaah karke tumhe ghar laya hu....vo nahi yaad tumhe...fake marriage nahi hai ye….Aur Agar sirf contract hota toh tum kya yahan ek room me rehti mere sath….

Azka: ....

Azlan thinks ki is baare me usko vo abhi kuch aur nahi keh sakta toh vo kehta hai Mujhe ek aur baat karni thi ....

Azka: Kya...

Azlan: Vo jo us din hua....uske liye main bahut sharminda hu tumse....maine apne gusse aur ego mei tumse itni batmeezi ki...tumhe support karne ke bajaye tumse hi ladna shuru kar diya...I am really sorry for that...Mujhe tumhe protect karna chahiye tha aur maine tum par hi sara blame daal diya...Kya tum us galti ke liye mujhe maaf kar sakogi?

Azka usko dekhti rehti hai...ab vo kya kahe...aajkal bas yahi hota hai ...vo usse purani har baat ke liye maafi mangte rehte hain..,use us waqt bahut gussa aya tha par ab aisa kuch nahi hai....fir bhi ye sunkar ki unhe ehsaas ho gaya ki unhone us waqt sahi nahi kiya...use kafi achha laga...kisi ladki ke bare me is tarah baat karna uski tauheen karna hai jo unhone aur uske dost ne kiya....

Azka: Jii...Maine aapko maaf Kiya uske liye...mujhe aapse koi shikwa nahi...

Azlan khush ho jata hai ye sunke..shayad ye itna hi asaan tha...Azka toh usko hmesha maaf kar deti hai...use pehle hi maafi mang leni chahiye thi....

Next morning…they both go to the doctor with mom…Azka ka checkup ho chuka hota hai and mom ka bhi but vo cabin me hi hoti hain …Azlan aata hai doctor ke cabin se bahar toh Azka kisi ladke se baat kar rahi hoti hai jo doctor tha…Vo kafi haste haste Azka se baat kar raha hota hai and Azka bhi kafi achhe se usse baat kar rahi hoti hai… Azlan ko kuch ajeeb se mehsus hota hai…Azka baat khtm karke aati hai…

Azlan: Tum kahan thi...

Azka: Main toh yahin thi...

Azlan: Vo kaun tha?

Azka: Kaun?

Azlan: tum jisse baat kar rahi thi...

Azka: Vo toh doctor Zain hain...

Azlan: Oh…friend hai tumhara..

Azka: Jii ….Hum ek hi university mei the...

Azlan: Hmm…..Kafi khush lag rhi thi tum tab toh maine islye puchha...

Azka: haan…Vo batein hi aisi karta hai...

Azlan upset ho jata hai Azka ko Zain ki tareef karta dekhkar…Vo Zain bhi kafi close sa lag rha tha Azka ke….Kya vo Azka ko…nahi nahi..Azka is married….use pta hi hoga….par agar nahi pta toh…Par Azka ki taraf se aisa kuch nahi ho sakta…Vo toh dobara shaadi karne ka bhi nahi soch rahi ... Par kya pta vo pehle pasand karti ho…nahi aisa nahi hoga…. par uske sath toh vo kabhi aise baat nahi karti itna khush hokar…halanki usne kafi had tak khud ko change kar liya hai for the better….Usko bilkul acha nahi lagta....

To be continuedsmiley27smiley27smiley27

Lovely update. So Waleed came back, he doesn't seem to be that bad though. Also azka and azlaan have started falling for each other. Looking forward to jealous Azlaansmiley42

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: mala06

Lovely update. So Waleed came back, he doesn't seem to be that bad though. Also azka and azlaan have started falling for each other. Looking forward to jealous Azlaansmiley42

Thank you❤️

I did not want Waleed to be bad ....I wanted him and Azlan to sing praises for Azka..So I wrote about him in a positive light...Both Azlan and Azka are falling...but Azlan some more...Azka has a liking for him....Please do read part 4 too❤️

mala06 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 4

#EmAar (Radd)

Posted: 3 years ago

Originally posted by: kamleshmehra

Azlan and Azka's fanfiction..

1st Part- Pg 38

2nd Part- pg 40

3rd Part- Pg 43

4th Part

Azka: Kya soch rhe hain aap…

Azlan: Kuch nahi…chalo bas yahan se…

Azka thinks kya ho gya inko abhi abhi…thodi der pehle toh thik the…

Ghar aake they both go to their room…

Azlan goes to change…When he comes back…She was talking to someone...

Azka: Abhi mili toh thi tumse,,,,call kaise kardi tumne?

Zain: Itne din se tum aayi nahi…kuch ata pta nahi…aur tum call bhi nahi utha rahi thi…abhi bhi bas 5 min ke liye mili ho…

Azka: main busy thi…kuch jaruri kaam the….toh bas isilye….but I will join in few days …

Zain: But I was missing you...Tumhare bina mann nahi lagta….

Azka: Tum aisi batein kyun karte ho…kitni baar kaha hai mujhse ye sab mat kaha karo… tum mere dost ho isliye main tumhe zyada kuch nahi kehti but mujhe is tarah ki baatein bilkul pasand nahi hain...

Zain: Acha na…sorry...aage se dhyan rakhunga...Leave it…Vaise mujhe tumse kuch baat karni hai…

Azka: Kaun si baat…

Zain: Nahi vo aamne saamne karenge…..

Azka: Acha thik hai…Tumhari marzi…jab milenge tab bta dena…aur main ab phone rakh rahi hu…mujhe kuch kaam hai..Khudahafiz...

Azka puts the phone down and then vo Azlan ko notice karti hai…Aap ka lunch lagadu?

Azlan: nahi thodi der mein…tum kisse baat kar rahi thi?

Azka: jii…

Azlan: Azka …kisse baat kar rahi thi tum?

Azka: Aap kyun puchh rhe hain?

Azlan: Tumhe btane me kya problem hai...

Azka: Zain se...

Azlan: Vo toh abhi mila tha tumhe hospital me toh fir...

Azka: toh fir kya…

Azlan: Kuch nahi…Main office ja raha hu…

Azka: Aapka lunch...

Azlan: Mujhe bhukh nahi hai and vo chala jata hai....

Azka uske piche piche jati hai…sune…rukein…kya ho gaya…abhi toh aap keh rhe the thodi der mei…ab kya ho gya…dekhein aunty ko pta chala toh vo upset hongi ki maine bhi aapko aise jaane diya….

Azlan sochta hai isko bas mom ki fikar hai…meri zara bhi nahi…..

Azlan: Toh mat batana mom ko fir…

Azka: Achha kuch kha lijiyega office mei…Aap vaise bhi apne khane pine ka dhyan nahi rakhte….

Azlan: tumhe kya parwaah hai meri…. tum bas karo phone pe batein..

Azka: ab iss baat ka kya matlab hai...

Azlan use dekhta rehta hai aur bina kuch bole chala jata hai….office mei bhi vo soch rha hota hai…Zain ne kyun phone kiya isko…abhi toh mila tha toh fir …Azka ko kya bola usne…kahin vo Azka ko…nahi…par Azka ne usse kaha ki vo aisi batein na kiya karein…kaisi batein…kya chal raha hai….Kya Azka usse……nahi we are married aur vo aisa kuch nahi karegi….par vo sirf mom ke liye yahan hai aur jald hi wapas bhi jana chahti hai…Kya vo aur Zain fir sath…Azlan ka mood kafi kharaab ho jata hai…

Azka calls to remind him to have lunch….he looks at his phone but does not pick up…he was kind of upset with her….He knows it is not fair and he is being petty about it…but he is not able to control this feeling….Why is she even entertaining that Zain…Pta nahi Zain isse kehna kya chahta tha…kahin vo ise propose…Nahi aise kaise…par kyun nahi…Azka jaheen hai…doctor hai…khoobsurat bhi hai…aur vo university mei bhi sath the..toh uska Azka ki taraf attract hona mushkil toh nahi….ye sochke Azlan aur jyada irritate ho jata hai….

Azka also does not understand ki akhir unko hua kya hai… kyun ajeeb se behave kar rahe hain….

Mom was talking to her but her mind was occupied with him…

Mom:Azka kya hua hai….tumhara dhyan kahan hain?

Azka:Aunty main toh yahin hu…

Mom:haan tum toh yahin ho…par dhyan kahan hai tumhara….Koi preshani hai…

Azka:Nahi toh aunty…aisa toh kuch bhi nahi….

Mom:Kuch toh hai…btao mujhe…

Azka: Vo ….Vo lunch kiye bina chale gye…Aur mera phone bhi nahi utha rahe…

Mom: Kyun aisa kya hua….

Azka: Pta nahi mujhe…maine puchha bhi tha…par unhone kuch jawaab nahi diya aur chale gaye…

Mom:Tum kyun preshan ho rahi ho…business ki koi problem hogi…Vo thik ho jaega khud…ruko main usko phone karti hu….

Azlan: mom kya hua…aap thik toh hain…

Mom: haan main bilkul thik hu…tumhe kya hua hai…lunch kiye bina chale gaye….

Azlan: Mom vo kuch problem thi yahan…toh main jaldi me chala aaya…aur koi baat nahi…

Mom: Azka ka phone kyun nahi utha rahe…

Azlan: Main kafi busy tha toh phone nahi utha paya…

Mom: Acha thik hai…Lo Azka se baat karo….

Azka nervous ho jati hai….

Azka: Hello….

Azlan:Hmm…

Azka: vo… aapne lunch kar liya?

Azlan: Nahi….

Azka: toh kar lijiye…kafi time ho gaya hai…

Azlan: Jab bhuk lagegi…..kar lunga….tumhe preshan hone ki koi jarurat nahi hai….

Azka mom ki taraf dekhti hai toh mom usko bahar jane ka ishara kar deti hain… Azka bahar aa jati hai….

Azka: aap aise kyun baat kar rahein hai…kuch hua hai kya…

Azlan: Kuch nahi hua…kya hona hai…

Azka: Aap naraaz hain mujhse…

Azlan: Main kyun naraaz hone laga….aur tumhe kya fark padhta hai agar main hu bhi toh…

Azka: akhir hua kya hai….maine toh aapse kuch bhi nahi kaha….

Azlan: Maine kab kaha ki tumne kuch kaha hai…

Azka: toh iss sab ka matlab….

Azlan: Azka main bahut busy hu….toh please…

Azka: Ok….Aap lunch jarur kar lijiyega…

Azlan: hmm…

Azka ko samajh nahi aata ki unhe sach me business ki koi tension hai ya vo usse naraaz hain…Par unka toh koi jhagda bhi nahi hua hai abhi....

Azka andar aati hai toh toh mom usse pucchti hain..

Mom: Azka ho gayi tumhari baat…

Azka: Jii Aunty..

Mom: Beta preshan mat ho…Uske office mei koi problem hai aur uska mood aise hi ho jata hai tab…koi badi baat nahi hai…vo thik ho jaega….

Azka just nods….

Azlan soch me padh jata hai….usko kyun meri itni chinta ho rahi hai ab….Us Zain mei hi rahe na busy…. jarur mom ne usse puchha hoga…usne khud phone bhi mom ke kehne pe kiya hoga…..Varna Usko kaunsi meri parwaah hai….

Raat ko ghar aake vo siddha mom ke room me jata hai and unki god me sar rakhke let jata hai…

Mom: Kya hua hai...

Azlan: Kuch nahi…bas aise hi...

Mom: nahi kuch toh hua hai…Azka kahan hai?

Azlan: room me hogi….

Mom: fir tum yahan kyun…uske paas kyun nahi gaye...

Azlan: Kyun main aapke paas nahi aa sakta....

Mom: Aa sakte ho…tum preshan lag rhe ho…Kya baat hai...

Azlan: Koi baat nahi hai…bas mera mann kar raha tha....

Mom: Acha…thik hai…tumhari problem ho gayi solve….

Azlan: Hmmm...

Mom: Aur Azka…kafi preshan thi vo aaj tumhe leke….

Azlan: aapko kaise pata…

Mom: Kyunki maine dekha tha usko….tum bina kuch khaye chale gaye… tum uska phone bhi nahi utha rahe the…..maine puchha toh usne btaya ...tabhi toh maine tumhe phone kiya ….

Azlan: Usne khud phone kiya tha pehle? …Aapne nahi kaha usko…

Mom: nahi main kyun kahungi….mujhe toh kuch pta hi nahi tha…vo bahut preshan si aayi thi mere paas….Beta dhyan rakha karo in baton ka…tumhari biwi hai vo…Tum agar usse baat nahi karoge ya ignore karoge toh vo dukhi ho jayegi na…Usko bataya karo apni problems…Usko aise na lage ki tum usse kuch share hi nahi karte….aur ek biwi ko sabse jyada apne shohar ki tawajjo chahiye hoti hai…

Azlan: Mom main dhyan rakhunga aage se…thoda busy tha bas us waqt…aur koi baat nahi hai…

Mom: tum dono khush ho sath me?

Azlan: Main toh hu…uska pta nahi...

Mom: Vo toh kehti hai…vo khush hai…tum uska khayal rakhte ho...

Azlan looks at his mom and asks usne khud kaha ye aapse...

Mom: haan usne khud kaha hai….maine pucha tha usse…Main bahut khush hu ki tum dono me itni mohabbat hai....miya biwi ka rishta hota hi khoobsurat hai…jab dil mil jaye toh zindagi bhi khoobsurat ho jati hai…

Azlan: Aapko lagta hai ki vo mujhse mohabbat kar sakti hai...Usne aapse kaha ki vo mujhse mohabbat karti hai….

Mom: ye kya baat hui…tumhe nahi pta ki vo karti hai ya nahi…usne tumse nahi kaha...

Azlan: nahi…

Mom: Tum kehte ho usse…

Azlan: nahi…

Mom: toh kaha karo na beta…. Biwiyan pyar ka izhaar sunke khush hoti hain….ab tumne hi nahi kaha toh vo kaise kahegi…

Azlan: Par agar usne kaha ki vo nahi karti fir…

Mom: kaisi ahemkana batein karte ho….Vo tumhari biwi hai…kyun nahi karti hogi…bina mohabbat ke tumhare sath Zindagi kyun gujaregi bhala…..vo tumhare paas hai …tumhare sath hai….tumhari itni parwah karti hai….toh pyar toh karti hogi na tumse…Varna vo shaadi ke liye haan hi kyun karti…

Azlan soch me padh jata hai…iss shaadi ki haqeeqat sirf vo aur Azka jaante hai,,,aur Azka ne kyun haan kaha tha…ye usse behtar kaun jaanta hoga...

Mom: Acha tum jao uske paas...vo bhi tumhara intezaar kar rahi hogi....

Azlan goes to his room but Azka was not there…Vo change karke bahar aata hai toh Sameena use dinner ke liye bulane aati hai…vo bahar jata hai toh wahan Azka bethi hoti hai dining table pe…

Azlan: Azka...

Azka: Ji...

Azlan: vo dopahar ke liye sorry…mujhe tumse aise baat nahi karni chahiye thi..

Azka: Koi baat nahi…Aap preshan the shayad apne kaam ko leke…

Azlan: Hmm….

Azka: Kya hua tha….Apke office me koi problem thi…

Azlan: Haan...Ek important deal hai meri life ki aur mujhe laga ki koi mujhse chinne ki koshish kar raha hai…Par main aisa hone nahi dunga…

Azka: Aap poore dil se koshish kijiye…Aap hi successful honge…

Azlan smiles and nods in affirmation..

After dinner Azlan goes to their room and Azka went to check on his mom…After that she also returns to the room...

Azlan keeps looking at her…Thinking about so many things…

Azlan: Azka...

Azka: Jii...

Azlan: tumse ek baat puchhu if you don’t mind...

Azka looks at him…haan boliye...

Azlan: I know its your personal matter...I don’t have any right to ask you and you can choose not to answer...

Azka: Aapko kya puchhna hai aisa…aur jab aapko lagta hai ki mera personal matter hai toh fir kyun puchhna chahte hain?

Azlan: main bas thoda curious tha toh...

Azka: Achha boliye...

Azlan: Tum hamari shaadi se pehle kisi ko pasand karti thi ya ab karti ho…I mean tumhe koi pasand hai?

Azka Azlan ke is sawaal se hairan ho jati hai….unhe kya matlab is baat se ki vo kisi ko pasand karti thi ya nahi…ye bilkul uska personal matter hai and she is not obligated to answer him…then she goes through his full sentence ki ab karti ho… she gets triggered ki Kya vo kehna chah rahein hain ki vo unke nikaah rehte huae kisi aur ke sath...Use gussa aa jata hai…

Azlan: mera matlab ki tum agar kisi aur ko…

Azka: Azlan Sahab…agar aapko is baat ki chinta hai ki main aapke sath nikaah me rehte huae kisi aur ke sath involve hu toh aap ko bta du aisa kuch nahi hu…Ye nikaah chahe contract ho lekin fir bhi nikaah hai aur main kabhi bhi iski tauheen nahi kar sakti…mere liye ye ek mukaddas rishta hai …maqsad chahe kuch bhi ho….toh jab tak main iss rishte me hu main aisa kuch nahi karungi jisse iss rishte ki badnaami ho ya hamare khandano ki….

Azlan: Azka main aisa kuch nahi keh raha tha…I am sorry agar tumhe aisa laga toh…mera ye matlab bilkul nahi tha….main toh bas...

Azka: aapko kuch kehne ki jarurat nahi hai….Jo aapne kehna tha aap keh chuke…aur jo maine kehna tha main keh chuki…uske baad aapko jo sochna hai sochlein…

Azlan: Azka please…I am really sorry…mujhe tumhare kirdaar pe koi shak nahi hai…main janta hu tum kabhi bhi mere ya mere khandaan ki ijjat pe koi baat nahi aane dogi….

Azka: toh fir ye sab kehne ka maqsad....

Azlan: main bas tumhari pasand puchhna chahta tha ki shayad tum kisi ko pasand karti ho par fir hamari shaadi ho gayi us halaat me….

Azka: Aisi koi baat nahi …

Azlan: ok…I am sorry again….mera vo matlab sach mei nahi tha..

Azka: ok…

They both lie on their side…Azlan was thinking about what she said…Uski nazar me iss nikaah ki bahut ahmiyat hai…Aur usne kya kiya…iske liye contract kar liya….. Uski galtiyo ki list me ye bhi shumar ho gya…Vo kya kehna chahta tha aur kya ho gaya….Akhir vo kehna kya chahta tha ki mohabbat ho gayi hai usko...…Mohabbat…Par uske dil me jo feelings hain Azka ke liye Mohabbat nahi hai toh kya hai…Kya ho raha hai usko….Vo uske sath rehna chahta hai,,,Uske paas…he looks at Azka…She was not sleeping…He keeps looking at her..She smiles thinking about something and he thinks what is she thinking…Kya uske bare mei…Par kya uske bare mei koi soch Azka ke face pe smile la sakti hai….

Azka soch rahi hoti hai ki aaj inhone is tarah ki baat kyun ki…Vo agar kisi ko pasand karti bhi thi toh kya….inhe kya fark padhta hai…Tab toh inhe meri koi parwaah nahi thi…meri life mei koi hai ya nahi ..puchha bhi nahi tha…sidha shaadi ki baat kar di thi….kya inhe ye ehsaas hone laga hai ki ye meri khushiyo ke bich aa gye…nahi aisa toh nahi soch sakte…par soch bhi sakte hai…Azlan Sahab vaise toh nahi hai jaise vo socha karti thi….kafi alag hain…Agar vo yahan unke sath nahi rehti toh use kabhi ye pta nahi chalta…Achhe insaan hain vo…vo yahan dukhi bhi nahi hai…sab thik hi hai…unka behaviour bhi…ab unki nazro me vo nafrat vo ilzaam najar nahi aate…unka lehza bhi kafi narm hai uske sath…maafi mangte rehte hain….kya unhe apni badsalooki ka ehsaas ho rha hai….yahi baat hogi…aur kya ho sakta hai…she smiles thinking about it....

Next day….Zainab comes to Azlan’s house to meet his mom…

Zainab: Hello Azlan…Kaise ho tum?

Azlan: I am fine…How are you?

Zainab: Main bhi bilkul thik thak…tumhari wife nazar nahi aa rahi…

Azlan: Vo mom ke paas hogi…abhi aa jayegi…

Zainab: Azlan ek baat puchhu tumse?

Azlan: haan bolo…

Zainab: Ye tumne jo shaadi ki hai vo aunty ki wajah se ki hai na…Unke paas bhi koi ho unka khayal rakhne ke liye…I mean tumhari pasand ki shaadi toh nahi hai na shayad..Tum aur Azka…I mean it’s not a love marriage… right? Aunty ne kaha hoga na….

Azlan ko azeeb sa lagta hai ki Zainab iss tarah ke sawaal kyun puchh rahi hai…Usko is baat se kya matlab ki uska aur Azka ka relationship kaisa hai? meanwhile Zainab Azlan ke hath par apna hath rakh deti hai aur bolti hai….Azlan tum mujhe bta skte ho…I am your friend…you can share your feelings…

Azlan ekdum se uncomfortable ho jata hai uske iss behaviour se…vo apna hath hatane hi wala hota hai ki tabhi wahan Azka aa jati hai with Samra in tow.. Azlan and Azka ka eye contact hota hai….Azlan ekdum se apna hath khich leta hai…Azka koi reaction nahi deti….Samra serves them tea… and Azka Azlan ke samne wali seat pe beth jati hai and smiles at Zainab.

Azlan pehle relieved feel karta hai ki shayad Azka ne kuch galat nahi samjha…Vo Azka ki taraf dekhta rehta hai…She was all similing like a proper hostess…then his relief disappears and he starts to feel disappointed ki Azka ko shayad koi fark hi nahi padhta…halanki padhna chahiye tha..

Azka: Zainab…Kya haal hain aapke..

Zainab: Main bilkul thik…tum kaisi ho…

Azka: Main bhi thik hu....

Zainab: Aur Azka…tum kya karti ho Aunty ki care karne ke alawa…

Isse pehle ki Azka koi jawaab deti...Azlan bich me bol padhta hai….

Azlan: She is a doctor…Usne mom ke liye leaves li hui hai…

Zainab: Oh Acha….

Azka: Aur aapka kaam kaisa chal raha hai…

Zainab: oh bahut acha…hamari company kafi progess kar rahi hai..All because of Azlan…He is really a good businessman…

Azka: Hmm…

Zainab: Azka tum usi hospital mei doctor ho kya ….jahan aunty ke treatment hua tha…

Azka: Jii…Main wahin recruited hoon…

Zainab: Achha..tabhi…

Azka: Jii?

Zainab: Nahi kuch nahi….Acha Azlan main soch rahi thi…Why don’t we meet outside for lunch tomorrow…When he does not say anything for few seconds so she also invites Azka…I mean Azka tum bhi aana…maza aayega…

Azlan looks at Azka for her reply…

Azka: Actually mujhe toh kuch kaam hai…Aap log hi mil lijiyega…

Zainab: Oh acha…no problem …next time then… Azlan tum toh mana mat karna…you will have to come…

Azlan ko achha nahi lagta ki Azka ne mana kar diya aur usko jaane ke liye bol diya…Akhir aisa kya kaam hai usko jo vo uske sath jaa nahi sakti…aur iska kya matlab ki aap log mil lijiyega…Akhir vo kyun jaake mile aise akele…..

Azlan:I have an important call right now.. so please excuse me…vo ye bolkar wahan se chala jata hai…

Azka: Zainab chaliye…Aap aunty se mil lijiye…

Zainab goes with her and meets his mom…

Zainab: Aur aunty ....kya haal hain aapke... thik toh hain na aap...

Mom: Main bilkul thik hu ...meri beti hai na ye mera poora khayal rakhti hai... She looks at Azka with lots of love..Azka smiles looking at her...

Zainab: Hmm...tabhi aapne Azlan ki shaadi jaldi se kardi...

Mom: Arae nahi nahi...Ye toh Azlan ne khud khawaish Zahir ki thi isse shaadi karne ki....usi ko jaldi thi...

Zainab: Achha...mujhe laga Azka aap ki pasand hai...

Mom: Haan… Mujhe Azka bahut pasand hai...lekin mujhe pta nahi tha ki Azlan isse shaadi karna chahta hai...usne mujhe khud btaya tha....Kahan vo har rishte ko mana kar deta tha...Par Azka ke maamle me toh usne kaha tha...mom jaldi se jaldi nikaah karna hai...tabhi toh jaldi mei karna padha sab kuch..

Zainab: Azlan kya pehle se Azka ko jaanta tha?

Mom: Haan bilkul....Azka pehle bhi hamare ghar aati thi apni ammi ke sath...Tab toh dono mei bilkul nahi banti thi…Par fir hospital mei mili Gayi....Aur shayad inke dil bhi….uske baad hi toh usne mujhse kaha ki Usko Azka se shaadi karni hai....Main toh hairaan hi ho gayi thi…Kyunki pehle toh vo shaadi ka naam sunke hi naraaz ho jata tha…Par yahan toh usko wait hi nahi karna tha….

Zainab ko bilkul achha nahi lagta ye sunke ...use toh laga tha ki Azlan ne sirf apni maa ki pasand se Azka se shaadi ki hai...

Mom: Aur main bahut khush hu uske iss decision se...jab se ye aayi hai tab se mere ghar me ronak ho gayi hai .. Mujhe kabhi nahi laga tha ki Shanaya ke Jaane ke baad vo kabhi bhi kisi se itni mohabbat kar sakega …Par Azka ke aane ke baad sab badal gaya hai…...Azlan toh bahut hi khush hai…. isse bahut mohabbat karta hai....iske bina uska bilkul mann nahi lagta… Aur apne bete bahu ko khush dekhke main bahut khush hu….Allah talaa ne mere bete ki kismat mei itni achhi ladki likhi hai..Dono ka joda bhi mashaallah itna pyara hai….

Mom Azka ke gaal pe pyar se hath ferti hain....Azka sirf smile karti hai aur kuch nahi bolti... kyunki sach toh sirf use pata hai...Aunty ko toh yahi lagta hai ki Azlan Sahab usse bahut mohabaat karte hain…jabki haqeeqat iske bilkul baraks hai…

Zainab was feeling very jealous...Akhir..aisi bhi kya khaas baat hai Azka mei...Shayad ye doctor hai isilye…aur uski mom ka khayal rakh sakti hai….aur kya baat hogi…vo apni mom se itna pyaar jo karta hai….Par Azlan ki attention Azka pe hi thi…party mei bhi …Aur Aaj bhi yahi haal tha uska…

Tabhi wahan Azlan aata hai…use Azka se baat karni thi…Vo kafi bechain tha tabse…Azka ne usko kuch bhi nahi kaha lounge wale incident par…

Azlan: Azka Vo meri file nahi mil rahi…Aana zara mere sath…

Azka: Kaun si file?

Azlan: mmm…kal laya tha main…black file hai…

Azka: Vo toh aapki bedside table ke second drawer mei hai…Aap hi ne toh rakhi thi…

Azlan gets embarrassed…Azka bhi na….ye nahi ki aa jaaye…kuch samajh nahi aata isko…yahan main itna preshan hu….baat karna chah rha hu…aur ye yahan aaram se bethi hai….

Azlan: Haan main bhul gaya tha…Okay…and vo wahan se chala jata hai…

Mom: Zainab kya soch rahi ho tum...

Zainab: kuch nahi aunty...kafi deir ho gayi hai.. main ab chalti hu...aap apna dhyan rakhiyega....

Zainab goes from there...she thinks to go to his room....toh vo uska room dhund hi rahi hoti hai ki usko vo bed pe betha dikhayi deta hai....door khula hota hai toh vo sidha andar aa jati hai...

Zainab: Azlan tum yahan ho...

Azlan use dekhta hai aur immediately he stands up ...

Azlan: Zainab tum yahan kya kar rahi ho?

Zainab: main ja rahi thi toh socha tumse mil lu....

Azlan: Ok….Bahar Chalke baat karte hain...

Zainab: Kya ho gaya hai.. main toh bas ye kehne aayi thi ki tum mujhe apne dil ki baat bta sakte…. ho....main dost hu tumhari...haina….

Azlan ko uska iss tarah se baat karna achha nahi lagta...Aur vo unke room mei kyun aa gayi iss tarah se…

Azlan: Zainab aisi koi baat hai hi nahi….I married her because I like her….Vo meri biwi hai aur main bahut khush hu uske sath…. I feel lucky ki mujhe Azka mil gayi…Now let's go outside please..

Zainab ko ye sunke bilkul accha nahi lagta… Tabhi Azka room me aati hai...Azlan usko dekhke ghabra jata hai...

Azka: Zainab aap yahan hai...

Zainab turns and says haan...main Azlan ko bye bolne aayi thi...

Azka just smiles….

Zainab goes with her...and Azlan keeps standing there as he was too scared...Azka kya soch rahi hogi... ab vo kya karega.. ye aaj ho kya rha hai..kahin vo use galat toh nahi samajh rahi....par usne kuch kaha kyun nahi...Bina kuch bole chali gayi…Aur iss smile ka kya matlab…hadd ho gayi hai….Ab use kya karna chahiye…Vo baat kare khud usse ya wait kare uske baat karne ka…Agar usne kuch kaha hi nahi toh…Toh iska kya matlab hoga ki Azka ki life mei uski koi ahmiyat hi nahi hai…..Vo aur preshan ho jata hai ye sab sochkar…

To be continued❤️❤️❤️

Lovely Update 😍😍. Zainab is annoying 😡😡. Jealous Azlaan is fun to watch. Is Azka jealous or not😳? Looking foward to next update 😊

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: mala06

Lovely Update 😍😍. Zainab is annoying 😡😡. Jealous Azlaan is fun to watch. Is Azka jealous or not😳? Looking foward to next update 😊

Thank you dear❤️....Zainab toh pichhe padhi thi...I just love Azlan and his thought process very much❤️

Azka ka toh next mei pta chalega😆

Update is coming tomorrow😊

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Azlan and Azka's Fanfiction:

1st Part- Pg 38

2nd Part- pg 40

3rd Part- Pg 43

4th Part- pg 44

Part 5

In the night also….Vo vahi sab soch raha hota hai…Azka ne akhir kuch kaha kyun nahi… she was just smiling at Zainab…ye kya baat hui… chahe kuch bhi ho.. she is his wife … Usko kuch toh kehna chahiye tha…Contract marriage hai toh kya marriage toh hai…Vo uska husband hai…Kya Azka ke dil me uske liye kuch bhi nahi hai…Koi ladki unke room tak aa gayi par Azka…she doesn’t care…he hates it when he is not able to read her…Hmesha aisa hi karti hai vo uske sath…cold expressions….That empty face….devoid of any expression… is only reserved for him…jaise koi feelings hi na ho…

Kuch Waqt baad Jab Azka room me aati hai toh she does not look at him aur apni jagah pe beth jati hai and starts checking her phone…Azlan use dekhta rehta hai ki shayad vo kuch bole…par vo toh uski taraf dekhti bhi nahi…Azlan se bardhasht nahi hota…

Azlan: Azka....

Azka: haan...

Azlan: mera koi fault nahi tha…mujhe nahi pta usne kyun kiya …par main hath hatane wala tha…aur vo yahan bhi khud aayi thi....

Azka looks at him…

Azka: Aap kya bol rahe hain?

Azlan: I mean..Us waqt mera koi fault nahi tha…Zainab ne aisa kyun kiya..I don’t know..I was also shocked aur main apna hath hatane wala tha tabhi tum aa gayi…vo room me bhi achanak aa gayi thi.. maine usko nahi bulaya....

Azka: Achha…

Azlan: Bas tumne yahi kehna hai..

Azka: Toh main aur kya kahu…Aap btana chahte hain…maine toh aapse kuch nahi puchha…

Azlan: Hmm…Main hi btana chahta hu…tumhe toh vaise bhi koi fark nahi padhta…

Azka: Toh… mujhe kya fark padhna chahiye…

Azlan: Pta nahi mujhe…Shayad padhna chahiye...

Azka: Aapki life hai toh aapki Marzi hai……Aap kisi ka hath pakde ya koi aapka...aur aap usko room mei bulaye ya kuch bhi karein...mujhe kyun fark padhega….

Azlan ko bahut gussa aata hai uski baat sunkar…Akhir kyun fark nahi padhta isko…Zain aur isko dekhkar uska toh jaise dil tut gaya tha…par Azka…uska dil nahi jalta in sab baton se…gussa nahi aata zara bhi…kuch feelings toh sab mei hoti hai....Aisa kaisa ho sakta hai ki vo itna bechain hai yahan aur ye aise normal behave kar rahi hai…jaise kuch hua hi na ho….

Azlan: So you just don’t bother....koi aitraaz nahi hai tumhe kisi bhi baat se....

Azka: Bhala main kaun hoti hu aitraaz karne wali...Aap toh Puri tarah se Azaad hain kuch bhi karne ke liye toh kijiye jo Mann mei aaye...aapko kaun hai rokne wala yahan....

Azlan: Azaad? Tum kehna kya chah rahi ho...aisa kya kar raha hu main..

Azka: Aapko pta hai aap kya kar rahe hain....Bas aapko hamare divorce tak ka wait karna chahiye tha… par agar aapko usse itni mohabbat hai …itni pasand hai vo toh… jo karein …ghar se bahar karein…ghar pe kisi ne dekh liya aur aapki mom ko bata diya toh unhe kafi dukh hoga…

Azlan: Mohabbat?…Kaun si mohabbat …kaisi mohabbat…aur kya karu main bahar jaake… jab maine kuch kiya hi nahi toh…Tumhe yahi btane ki koshish kar raha hu…

Azka: Jo maine dekha hai…vahi bol rahi hu…toh ab aap rehne dein…Majeed safai na dein is barei mei..

Azlan: Azka please ..jo bhi tumne samjha hai...its not true...

Azka: Maine Jo samajhna tha samajh liya aur uske aage mujhe kuch bhi mat samjhayein aap...

Azlan: Toh tum mujhe blame karo aur main kuch kahoon bhi na…Bas tumhe kuch bhi sochne du…

Azka: Main koi blame nahi kar rahi…bas aapko ehtiyaat karne ke liye bol rahi hu…aur aapko vaise bhi kya fark padhta hai ki mujhe kya lagta hai….toh bas chhodein….Hum baat hi kyun kar rahe hain is barei mei…

Azlan: Kya Ehtiyaat rakhu main…Azka aisi koi baat hai hi nahi…Aur mujhe fark padhta is baat se ki tum kya soch rahi ho…

Azka: Achha….Agar Aapko mera zara bhi ehsaas hota toh aap aisa kuch karte hi nahi…Aap jo uske sath itna free ho rahe the...

Azlan: Ehsaas hai mujhe tumhara…..tabhi tumhe samjhane ki koshish kar rha hu ki mera usse koi vasta nahi hai....Aur free hone se tumhara kya matlab…maine aisa kuch nahi kiya…main bilkul apni limit mei hu…

Azka: Hmm.. tabhi toh lounge mei usne aapka hath pakda tha ....aur vo iss tarah betakkaluf hokar yahan hamare room mei aa gayi....kyunki aapka usse koi vasta nahi hai....Agar aap apni limit mei hote toh aisa kuch hota hi nahi…akhir vo khud se kyun aisa karegi agar usko aapki taraf se koi sign na mila ho…kyun iss tarah room mei aa jayegi....

Azlan: Mujhe kya pta ye sab…meri taraf se maine koi aisi baat nahi ki usse.....Vo pta nahi kyun kar rahi hai aisa…

Azka: Aapko kafi pasand karti hai vo aur aap bhi karte hi hain…toh bas fir…iske aage koi bhi baat karna bekaar hai…aur akhir aap mujhe safai de hi kyun rahein hain....aapki marzi hai na...jo chahe karein....I don't care....But ghar se ye sab batein durr rakhein….

Azlan: Azka...meri taraf se aisi koi baat nahi hai...agar aisa kuch bhi hota toh main pehle hi shaadi kar leta usse…tab toh mom ki tabiyat bhi kharab nahi thi…mere paas poora mauka tha usse shaadi karne ka…maine nahi ki na…aur tumhe pta hai ye baat fir bhi tum aise…

Azka uski taraf dekhti hai aur fir apni nazre hata leti hai…

Azka: Believe me please.......agar aisa kuch bhi hota toh accept kar leta main… You know main jhoot nahi bolta..Bharosa nahi karti mujhpe zara bhi?

Azka Jaanti hai ki vo jhoot nahi bolte...aur aisa nahi ki usko unki baton pe yaqeen nahi hai…maan liya ki vo sach keh rahein hain..Par agar inhe vo pasand nahi toh akhir inhone Zainab ko itni liberty lene hi kyun di...Vo inke kareeb aane ki koshish kar rahi thi toh ye mana bhi toh kar sakte the usko.....Vaise toh pehle har kisi pe gussa kar dete the…aur uspe toh hmesha hi....batein sunana shuru kar dete the vo bhi bina reason ke...toh Zainab ko kuch kyun nahi bola…Usko kuch toh kehte….par nahi...inhone kuch nahi kaha hoga usko...Inhe kaunsi parwaah hai kisi ki ....Usko gussa aur badh jatahai ye sochkar...…

Azka jab koi jawaab hi nahi deti toh vo fir se uske expressions read karne ki koshish karta hai… he just wants to see through her for once and then what he see on her face surprises him….She was angry…really angry...There were so many emotions on her face...Anger...frustration...Disappointment ....complain …irritation.iska matlab ki…. she is affected somehow…Vo usse tabse lad rahi hai...batein suna Rahi hai.... chahe Azka na maane par AZKO KO FARK PADHTA HAI …and then a faint smile appears on his face....Vo khush ho jata hai...…Azka uski taraf dekhti hai…aur uski smile dekhkar hairan hoti hai.…yahan uska dimag kharab hua padha hai...aur inhe itni khushi kis baat ki ho rahi hai…

Azka: Kya….

Azlan: tumhe gussa aa raha hai….

Azka: Toh kya..

Azlan: Kuch nahi…bas tumhe gussa aa raha hai….

Azka then realizes ki usne fir se apne Jazbaat Zahir kar diye…nahi nahi nahi…use ye nahi karna tha…usne pehle hi sochliye tha ki she won’t react par usne fir se vahi kiya…usko khud par control rakhna chahiye tha… vo kyun unse ye sab kehne lag gayi? Uska kya haq hai sawaal karne ka…koi bhi toh nahi…Vo kya soch rahe honge uske barei mei...Use ye sab nahi kehna chahiye tha....Uska koi matlab nahi iss .sab se...

Azka: Aisi koi baat nahi…main koi gussa nahi hu…bas aapki mom ki khatir ek baat keh rahi thi…

Azlan: Achha ok…tum kehti ho toh…

Azka uski taraf dekhti hai…vo samajh jati hai…he is being sarcastic about it…

Azlan was now feeling very calm and composed...Azka ki in sab shikayato se vo khush ho gaya tha...ab usko sirf Azka ko samjhana tha....and he knew she will trust his words …

Azlan: Azka…meri baat suno...tum jaisa samajh rahi ho aisa kuch nahi…Mujhe Zainab se koi mohabbat nahi hai aur na hi main use pasand karta hu….main khud uske aise behaviour se surprised hu…I was about to release my hand from her hold..Main khud awkward feel kar raha tha...aur vo room mei bhi achanak aa gayi thi ...Mujhe toh khud uski ye harqat namunasib lagi thi….maine usko bola tha bahar jaane ko par vo nahi gayi aur tabhi tum aa gayi toh main ghabra gaya ki tum pta nahi kya samajh logi…aur haan main usse bilkul nhi milunga tumhare bina...mana kar dunga..Main usmei na pehle interested tha aur na ab ho sakta hu....Uska mujhe nahi pta….par main usse koi bhi aisa rishta nahi rakh sakta aur na hi rakhna chahta hu…

Azka unki taraf hi dekh rahi thi Sara waqt jab vo usse ye sab bol rahe the... aur unke expressions dekhke vo narm padh jati hai....Vo kafi sanjeeda the...…vo sirf yahi bol pati hai...... Kyun..

Azlan: Because I am married….Tumse nikaah kiya hai maine....Contract marriage ho ya kuch bhi ho…chahe koi bhi reason ho…Chahe hamara rishta kaisa bhi ho…aur chahe tum maano ya na maano…tum meri biwi ho aur main kisi bhi haal mei tumse bewafai nahi kar sakta…

Ye sab sunke uske hawase ud jaate hain…Uska dil joro se dhadakna shuru kar deta hai…Vo jaanti hai vo sach keh rahein hai…She can see that in his eyes…read out on his face….Is it all real or is she dreaming……

Azlan: Azka….

Azka comes back in her senses...haan

Azlan: Tum samajh rahi ho na…

Azka: Haan….Haan...

Azlan: Okay….main bahut preshan ho gya tha ki tumhe kaise samjhaunga...thank you for believing me....

Azka was again lost….she just says monotonously….I am sorry…mujhe aapse vo sab nahi kehna chahiye tha…

Azlan smiles....

Azlan: koi baat nahi…Ye toh achhi baat hai ki tumhare dil me jo bhi tha tumne bol diya…aur aage bhi tum mujhse puchh sakti ho kuch bhi…jo tum chaho…

She just nods….. .because she is speechless now…she has too much to digest....

Azlan was very happy about how all this turned out…Atleast now he knows that Azka was deeply affected by this incident…she was trying to hide it well but couldn’t…She was absolutely fighting him like a wife should be…It is giving him some kind of happiness…a ray of hope….She is not at all indifferent towards him as she shows… Azka ko fark padhta hai usse….Use toh vo bahut acchi lagti hai aur ab vo yeh bhi keh sakta hai ki usko usse mohabbat ho gayi hai…Aur koi jawaab nahi hai iske alawa uske iss haal ka..iss bechaini ka… Mohabbat kar betha hai vo usse…Par Azka ka kya jawaab hoga jab vo usko kahega…Maan jayegi ya gussa karegi…Shayad Gussa karegi…Vo gussa hi karti hai hamesha…He smiles thinking of that…Azka aur uska Gussa….

Azka bahut bechain hoti hai sab baton ko leke…Use Azlan Sahab aur Zainab ko dekhke bahut bura laga tha…bahut gussa aya tha….par usne socha tha vo kuch nahi kahegi…Azlan Sahab jo chahe karein…. Par use kyun itna gussa aa gaya…Usko itni jealousy kaise ho gayi … kya ho raha hai usko....Kyun unse shikayatein kar rahi thi…Vo jisse chahe rishta banaye…usko kya…Vo kyun sochne lagi hai Azlan Sahab ke barei me aisa...Vo uske shohar hai bas isiliye ya fir vo unse…

Vo usse bewafai nahi kar sakte…ye baat uske dil ko jaake lagi hai... Par ye toh kuch waqt ki baat hai… Vo toh unka nikaah hua hai toh he is loyal towards their marriage….iske alawa aur koi wajah nahi….Unke talaak ke baad kaunsi wafa nibhani hain unko..koi nahi....Aur kuch time pehle toh usne khud kaha tha unse ki vo shaadi karlein kisi aur se uske baad…par kya vo sach mei aisa chahti hai…nahi…Vo preshan ho jati hai ye sochkar…Ye sirf ek contract hai aur use isse aage nahi sochna chahiye....Kuch aur sochna bhi galat hai...Haqeeqat yahi hai ki she has to go from here...

Next day vo Azlan se baat karne ka sochti hai...Par use subah time hi nahi milta toh vo sochti hai ki raat ko unse baat karegi…

Azlan was working on his laptop...

Azka: Aap busy hain?

Vo uski taraf dekhta hai...

Azlan: Nahi....kya hua?

Azka: Mujhe aapse kuch baat karni thi...

Azlan apna laptop side rakh deta hai and slightly turns towards her...

Azlan: Haan bolo...

Azka: Aap mujhe talaak kab de rahein hain?

Azlan uski baat sunke hairaan ho jata hai..vo fir se achanak aisi baat kyun kar rahi hai...aisa kya ho gya ab?

Azlan: Kya hua hai? Tumse mom ne fir se bachche ke barei mei baat ki hai? dekho main mom se baat karunga ki vo abhi...

Azka interrupts him...

Azka: nahi aisi koi baat nahi hai...unhone kuch nahi kaha mujhse...

Azlan: Toh fir tum kyun?

Azka: kya matlab aapka...ye toh hona hi hai na toh isiliye... mujhe mere Ghar mei bhi toh baat karni padhegi..unhe bhi toh sab kuch samjhana hai...I know ekdum se nahi ho sakta…fir bhi aap bta dete mujhe ki kab…toh main us hisaab se dekh leti apne ghar ka…

Azlan: toh kya tumne socha liya tum kya kahogi unse?

Azka: Vo bahut dukhi honge ye jaankar...Unhe toh yahi lagta hai ki Hum ek dusre se bahut mohabbat karte hain...khush hain sath mei...

Azlan: Jaanta hu main ye baat...tabhi puchh rha hu....

Azka: Aap ye mat sochein ki main kidney wali baat unko bataungi...Main unse yahi kahungi ki hum dono ne bahut koshish hai ki ye rishta nibhane ki...khush rehne ki par hamari soch kafi different hai...khayalat nahi milte aur hum adjust nahi kar pa rahe abhi tak bhi...toh hamne mutually decide Kiya hai separation ka...

Azlan: tumhe lagta hai ye kafi hai...shaadi ko din hi kitne huae hain Azka….Vo ye nahi puchhenge ki fir shaadi ki hi kyun...

Azka: hmmm vo puchhenge....Main keh dungi...Ki Hum hospital mein jab mile the toh hum kareeb aa gye the thoda because jo bhi situation thi aapki mom ke sath..toh uske basis pe hi aapne aur maine decide Kiya tha shaadi ka...

Azlan: Aur Vo Maan lenge...

Azka: Mere gharwale jante hain ki Aapki aur meri banti nahi thi pehle...aur jab maine iss shaadi ke liye haan ki thi toh vo hairan bhi the aur preshan bhi...fir bhi unhone mujhe support Kiya tha toh main yahi sochti hu ki abhi bhi vo mera sath denge aur mere decision ki kadr bhi karenge...

Azlan uski tarah dekhta rehta hai aur sochta hai ye sab kuch sochke bethi hai...

Azlan: Tumne toh kafi kuch soch liya...par ye sab kafi nahi hai...nayi nayi shaadi hai hamari... aur adjust hone mei time lagta hai...ye reasons valid nahi hain....

Azka: Hmm...par aur koi option bhi nahi hai mere paas...mujhe unhe convince toh karna hi hai kaise na kaise..main soch lungi kuch…

Azlan: Tumse ek baat puchhu...

Azka: Hmm...

Azlan: Agar maine us waqt contract na kiya hota toh tum sochti iss rishte ko nibhane ka...

Azka: Aap fir vahi puchh rahein hain...aapki mom ki khatir?

Azlan: Nahi main vo nahi puchh raha..main sirf apni aur tumhari baat kar raha hu...

Azka: Aap kya puchh rahein hai mujhse?

Azlan ke dil mei jo sawaal tha uske liye use words nahi mil rahe the sahi ki vo usko kis tarah se samjhaye apna sawaal...toh vo bahut soch samajh ke aur sambhal ke bolna shuru karta hai….

Azlan: Mera matlab...Maine contract kiya......par agar nahi karta...ek normal shaadi ka kehta ki we can try to work it out...chahe past me jo hua ho...toh mujhe shohar maan leti aur rishta nibhane ki koshish karti….I mean Bahut log hote hai jo kisi reason se shaadi karte hai...par baad mei bahut achhi Zindagi gujarte hai ek dusre ke sath aur khushi se...

Ya chalo contract bhi hai...toh tumne kabhi bhi...I mean ek pal ke liye ...kabhi socha ki hum sath reh sakte hain...hamesha....tumhe us waqt laga ya tum chahti ki talaak na ho aur hum sath reh jayein..tumhare mann mei aaya ye khayal kabhi bhi.....

Azka uski taraf dekhti rehti hai...aur vo shayad unka sawaal kafi hadd tak samjh gayi thi ya nahi bhi samjhi...use nahi pta.... fir bhi vo bahut soch rahi thi ki vo kis tarah se jawaab de unko...

Azka: Azlan Sahab…Aapne jab shaadi ki baat ki thi toh aapne saaf saaf kaha tha ki ye bas aapki majboori hai ... khawaish nahi hai ...jo ki sach tha kyunki meri bhi majboori thi...main aise insaan se shaadi nahi karna chahti thi kabhi bhi jo mujhpe zara bhi trust nahi karta... respect nahi krta... mohabbat toh Durr ki baat hai...Contract hota ya na hota….

Agar aap sirf zubaani keh dete ki Azka...kidney transplant ke baad tumhe divorce de dunga…main tab bhi Maan jati ...Kyunki main bhi aise rishte mei nahi rehti jahan mera shohar mujhse mohabbat hi na karta ho….Kher aapko trust nahi tha toh Zahir si baat hai aap contract hi karte...toh iss sab mei main ye kabhi nahi soch sakti thi ki hum sath rehte...mujhe pehle se pta tha iss shaadi ka maqsad..aur aap kya chahte hain...toh maine Aisa kuch nahi socha tab...

Azlan: Hmm...samajhta hu main tumhari baat...par aaj...aaj kya sochti ho tum...ab tumhe kya lagta hai...Kya chahti ho…

Azka: Ab iss barei mei kya sochna hai...sab kuch pehle se decided hai...main kya soch sakti thi ya kya chah sakti thi .... Kya fark padhta hai...Jo tey ho chuka hai...vo ho chuka hai...

Azlan: Mom nahi manengi...

Azka: Main jaanti hu...mujhse mohabbat karti hain vo...Hame hamesha sath dekhna chahti hain....Par aapko unhe btana toh padhega hi ..aap baat kar lena fir main bhi unse baat karungi..ki main aapke sath...

Azka uski aankhon mei dekhti hai aur chup ho jati hai...usse aage bola nahi jaata...

Azka: Aap samajh rahein hain...

Azlan just nods...Aur vo chala jata hai room se bahar...

Azka’s eyes start flowing after that...She was holding herself for so long... Azlan Sahab se alag ho jana uske liye asaan nahi ho pa raha .. bas use samajh nahi aa rha ki vo kyun itna ro rahi hai....Kya ho gya hai usko...vo bhi toh yahi chahti thi aur use pehle se pta tha toh kya badal gya hai...Kyun use itna dukh ho raha hai....

Azlan was too overwhelmed...Azka usse alag hona chahti hai ....kya usko apni mohabbat paane ka koi haq nahi...Jab vo Azka se mohabbat nahi karta tha toh vo uski zindagi mei aa gayi aur ab jab vo usse itni mohabbat karta hai aur uske bina nahi rehna chahta tab vo usse durr ja rahi hai....Kya allah talaa ne uski kismat mei sirf tanhai likhi hai...Kya Azka ko uski ankhon mei mohabbat dikhayi nahi deti... A lone tear escapes his eye...

When he returns to the room...Azka was sleeoing on her side....He also lies beside her and keep looking at her sleeping figure...She has traces of tears on her cheeks... He thinks about her....Why was she crying...because she has to get separated from him...kya ye wajah ho sakti hai....Kya vo alag nahi hona chahti aur contract hai bas islye talaak mang rahi hai kyunki vo chahta tha aisa.... toh kya vo uske sath rehna chahti hai....pta nahi....ye toh waqt hi batayega ki Azka ke dil mei kya hai...Par uske dil mei toh bas Azka hai aur vo usko khud se durr jane nhi dega chahe kuch bhi ho jaye...With this determined thought, he sleeps....

Next Morning…at the dining table…

Azka: Vo mujhe apne ghar jana tha thodi deir ke liye…

Azlan: Mere sath chalo …I will drop you…

Azka: nahi abhi nahi…I will go in the afternoon…

Azlan: ok…driver ke sath chali jana fir…I will pick you up after office…

Azka: Hmm…

Azka apni ammi ke ghar hoti hai….aur tabhi Abid wahan aata hai …Azka usko dekhke hairan ho jati hai kyunki vo toh jail mei tha…

Azka: Aap yahan kaise? Aap toh?

Abid: Tumne kya samjha tha…main Jail me hi rahunga…Aur ye kya sun raha hu main tumne nikaah kiya hai kisi ameer ladke se…

Azka: Dekhein…Mera nikaah ho chuka hai…Ab mera pichha chhod dijiye?

Abid: Kya matlab hai tumhara….Pichha chhod do…Main tumhe kabhi nahi chhodunga…Tum sirf meri ho….ye wahi ladka hai na jo tumhe pehle ghar chhodne bhi aaya tha…Mujhe pehle hi samajh lena chahiye tha ki tumhara koi chakkar chal raha hai uske sath…Usi waqt uske hosh thikane laga deta…..

Azka: Main na tab aapki thi aur na kabhi ho sakti hu…Aur zara tameez se baat kijiye....Mere shohar hain vo ... Kisi ki biwi hu main ab…toh please ab ye sab band kijiye…

Abid: Azka…use Jaan se maar dunga main…Tum sirf meri biwi banogi…Jald hi tumse nikaah karunga… Uske jiteji ya uski maut ke baad….Tumhe kya lagta hai tum kisi se nikaah kar logi toh main jaane dunga tumhe…tumse mohabbat karta hu….Kya tumhe zara bhi ehsaas nahi hota meri mohabbat ka…Itne saal ho gaye…Maine tumhara bahut intezaar kiya hai….toh ab kaise chhod du…Aisa toh nahi ho sakta…

Azka darr jati hai…Kahin Abid sach me Azlan Sahab ko kuch nuksaan na pahuchaye….

Azka: Par main Aapse mohabbat nahi karti….Aapko ye baat samajh kyun nahi aati…Aur ab toh meri shaadi bhi ho gayi hai….main kabhi bhi aapse shaadi nahi karungi…chahe kuch bhi ho jaye…Aap mujhe preshan karna band kar dijiye…Aap jo chah rahein hain …aisa kabhi nahi hoga….

Abid: Acha mujhse koi mohabbat nahi hui tumhe itne saalo mei...aur apne kal ke aaye shohar se ho gayi...

Azka: Haan ho gayi bas...mere shohar hain vo....aur mujhe aapse koi baat nahi karni... jayein yahan se....

Abid: Mujhe isse koi fark nahi padhta…main tumhe apna banake rahunga bas….Tum chaho ya na chaho….

Azka ko bahut gussa aata hai ye sab sunke….Aap Jayein yahan se….Varna main shor machake sabko bula dungi…

Abid: Ja raha hu…lekin tumhe lene aaunga….samjhi tum…Tumhari mohabbat pe sirf mera haq hai…Aur tumhare us Shohar ko toh main chhodunga nahi…

Azka ko samajh nahi aata vo kya kare….Azlan Sahab ko btade…nahi unhe involve karna thik nahi…Abid ka kuch bharosa nahi…Agar isne sach me unko…she gets upset…

In the evening Azlan takes her home….Abid unhe jaate huae dekh leta hai toh he follows them and when they enter their home then Abid also comes in….

Azlan was talking on phone toh vo aage chala jata hai .. Azka piche hoti hai tabhi Abid aake uska hath pakad leta hai…Azka use dekhke ekdum ghabra jati hai aur Azlan ki taraf dekhti hai par vo toh aage chala gya hota hai….

Abid: Yahi hai na vo tumhara ameer shohar….Isike chakkar me tumne mujhe chhoda hai na…

Azka: maine aapse pehle bhi kaha hai ki mera aapse koi vasta nahi hai…Chhodein mera hath…

Abid: Nahi chhodunga…Chalo mere sath tumabhi…Tumhe kya laga tha main tumhe iske sath rehne dunga…tumhe abhi ke abhi mere sath chalna hai…ham abhi nikaah karenge….He tries to pull her….

Azka ko bahut gussa aata hai aur vo uspe chilla padhti hai...

Azka: chhodein mera hath…mujhe kahin nahi jana aapke sath…Nikaah ho chuka hai mera…Chhodein mujhe….

Tabhi Azlan unki Awazein sunkar mudta hai aur dekhta hai ki ek aadmi ne Azka ka hath pakda hua hai…

Azlan foran hi bhagta hua wahan aata hai…Aur abid ko dhakka de deta hai…

Azlan: tumhari himmat kaise hui uska hath pakadne ki…Ho kaun tum?….Azka tum andar jao….

Azka aur ghabra jati hai Azlan ka gussa dekhke...

Azka: Nahi main aapko chhodke nahi jaungi…

Abid ko gussa aata hai ye sunke…

Abid: Ye meri hone wali biwi hai…aur main ise yahan se leke ja raha hu…Isse nikaah karunga…

Azlan: Kya bakwas kar rahe to tum…Ye meri biwi hai…durr raho isse…dobara hath lagane ki koshish bhi mat karna…

Abid: Azka ….btao ise…tum meri mangetar ho….hamari shaadi hone wali thi….

Azka: Nahi ye jhut bol rahein hain…Aisa kuch bhi nahi hai….

Abid: Azka maine tumhe kaha hai tum sirf meri ho aur main tumse shaadi karke rahunga…chahe kuch bhi ho jaye…Mujhe koi rok nahi sakta….

Azlan ko bahut gussa aata hai aur vo uska collar pakad leta hai…Apni Zubaan se naam bhi mat lena iska…Tum isko kya iske saaye ko bhi nahi chhu sakte..Shaadi toh bahut durr ki baat hai….Aaj ke baad hamare aas paas bhi nazar aaye toh jaan le lunga tumhari…He pushes him away and asks his guards to throw him out….

Azka bed pe hairaan preshan bethi hoti hai….Azlan uske liye panni leke aata hai....

Azlan: Azka…Kaun hai vo…aur iss tarah ki batein kyun kar raha tha?

Azka: Vo…Vo Abid hain… Kanwal Bhabhi ke cousin…Mujhse shaadi karna chahte the…kafi salon se mere pichhe padhe the…Ek baar toh unhone dhoke karke mujhse shaadi karne ki koshish bhi ki thi…par allah ke karam se main bach gayi…Par unhone mera pichha nahi chhoda…Mana karne ke bavjood bhi baar baar rishta leke aa jate the…mujhe bahut preshan karte the…Fir Kanwal Bhabhi ne police complain karke unhe jail bhijwa diya…Par ab vo bahar aa gayein hain toh fir se mere pichhe padh gye hain…Vo mujhse abhi bhi nikaah karna chahte hain …..

Azlan: Par vo tumse nikaah kaise kar sakta hai…Tum toh already mere nikaah mei ho…

Azka: Unhe is baat se koi farq nahi padhta…vo bas mujhe pana chahte hain….obsessed hain…itne saal ho gaye par unhe abhi bhi samajh nahi aayi…Isiliye mujhe zabardasti apne sath le jana chah rhe the….taki nikaah kar sakein…

Azlan ko ye sab sunke bahut gussa aata hai….Azka ne kitni preshani mei life gujari hai…Abid Azka ko harass karta aaya hai….Unke ghar me koi male member bhi nahi jo usko protect kar sakta…Par ab aisa kuch nahi hoga…Vo hai ab Azka ke liye…Abid ki himmat kaise ho gayi ki vo isse shaadi karne ki baat bhi kare…Vo uski biwi hai…Jaan le lega vo Abid ki…usne agar Azka ko nazar uthake dekha bhi toh…

Azlan: Tum chinta mat karo…Aisa kuch nahi hoga….main sab dekh lunga…

Azka: Aapka bahut shukriya…aapne meri help ki aaj….par Aap iss sab se durr rahein…ye mera masla hai…main dekh lungi…Kanwal Bhabhi ko bta dungi…vo inki ammi se baat kar lengi…sab thik ho jaega…

Azlan: Tum kaisi baat kar rahi ho Azka…Tum Biwi ho meri…tumhari protection meri zimmedari hai....Aise kaise main iss sabse durr rahoon…

Azka: Azlan Sahab…ye meri problem hai aapki nahi hai…Aapko mere liye kuch bhi aur karne ki jarurat nahi hai…aur vaise bhi aap kab tak meri help karenge…Mujhe kuch waqt mei yahan se jana hai…tab bhi toh mujhe khud hi dekhna hoga na…aap rehne dijiye please…main khud manage kar lungi…Ye kehke vo chali jati hai wahan se….

Azlan ko bura lagta hai ye sab sunke…Vo janta hai Azka bas usse duri banake rakhna chahti hai..Uski koi madad nahi chahti…Par vo Uski responsibility hai…It is his duty to protect her as her husband…lekin Azka aisa nahi samajhti …Use apna shohar bhi nahi manti…apna koi haq nahi samajhti….Par vo toh maanta hai na…usse mohabbat bhi karta hai….aur vo apna farz jarur nibhayega…Azka chahe kuch bhi kahe…

Azka kitchen mei hoti hai aur sari baton kebare mei soch rahi hoti hai… Ab vo Kya samjhaye Azlan Sahab ko…Abid toh criminal hai…kuch bhi kar sakta hai…Usne toh unko maarne ki dhamki bhi di hai… vo aisa nahi hone de sakti…Behtar yahi hai ki Ye durr rahein iss maamle se…Aur vaise bhi vo unki zimmedari nahi hai…kuch waqt mei talaak ho jaega…tab bhi toh Abid hoga aur use khud hi handle karna hoga…Vo iss sab se bhaag nahi sakti…Use kal hi Kanwal Bhabhi se baat karni hogi taki iss problem ka koi hal nikle…

In the night…both of them were lying on their side …..lost in their thoughts…tabhi unhe shor sunayi deta hai….Dono window ke paas jaate hai toh dekhte hain ki Abid ne ek Guard ko injure kar diya hai…He is in the garden …..he has pistol in his hand and guards are also trying to fight him…Azka darr jati hai…Azlan bahar jaane lagta hai…but Azka helds his arm…

Azka: Aap kahan jaa rahein hain?

Azlan: Bahar…tum yahi rehna…kuch bhi ho bahar mat aana….okay…

Azka: nahi please…aap bahar mat jayein…please nahi…

Azlan: Azka kuch nahi hota…main dekh lunga…tum preshan mat ho…

Azka: Nahi…main nahi jaane dungi…Vo aapko kuch kar dega..usne mujhe kaha bhi tha…Please mat jaiye…

Azlan hairaan hota hai ye sunke …..Kya isiliye vo chahti thi ki vo iss sab se durr rahe…Usko uski itni parwaah hai….

Azlan: Kuch nahi hoga…main bol raha hu na…

Azka: nahi….please…aap yahin rahiye…mat jaiye…Uske sar pe toh khoon sawaar hai…Vo sach me kuch kar dega…Usko koi farq nahi padhta iss sab se….Us par bas mujhe paane ka junoon hai….

Azlan Azka ki haalat dekhta hai…Vo bahut ghabrayi hui hoti hai….

Azlan: Acha ok…main yahin hu…kahin nahi ja raha…..bas police ko phone kar raha hu…you just relax…

Azlan police ko phone karta hai….and within minutes police reaches there…and arrests Abid…

Then Azlan goes outside...settles the matter and the injured guard is sent to hospital for treatment…

Azlan enters the room again aur Azka asks him about Abid…

Azlan: He is arrested ….so don’t worry…he won’t bother you again… okay…

Azka nods and thanks him…

Azka: Aapka Bahut Shukriya…Aapne mere liye itna kuch kiya…Aur mujhe maaf kar dijiye…meri wajah se aapko itni problem hui…Shukar hai Aunty ko kuch pta nahi chala….vo toh bahut preshan ho jati…

Azlan: Isme kaunsi badi baat hai…I am your husband toh ye toh mera farz tha na tumhe protect karna…Aur tum sorry kyun bol rahi ho…ismei tumhara koi fault nahi hai…Jiski galti hai..usko saza mil jaegi…

Azka use dekhti rehti hai par kuch nahi bolti…

Azlan: Tum preshan ho gayi thi mujhe leke…Tumhe meri itni parwah hai mujhe pta nahi tha….

Azka looks in his eyes and then they get lost in eyelock..but then Azka comes back to the reality and says...

Azka: Azlan Sahab….Jaan kisi ki bhi ho…bahut kimti hoti hai…aur meri wajah se kisi ko jaan ka khatra ho main aisa kabhi nahi chahungi….

Azlan just smiles at her…nods... and asks her to sleep…

Azlan was thinking about whatever happened …Azka kabhi nahi kahegi ki she cares for him but he knows ki usko hai parwah…Agar aisa na hota toh vo use bahar jaane se nahi rokti…Vo jitna preshan ho gayi thi usko leke…he can’t ignore this fact…Vo jaanta hai Use hi saare faasle tey karne hain…Unke bich ki duriyo ko mitana hai…Vo uski taraf dekhta hai...She was just an arm length away...Uska dil chahta ki use khich ke apne seene se lagale aur kahe ki vo safe hai uske paas...Par Abhi vo waqt nahi aya…

Azka was thanking the god ki Azlan Sahab ko kuch nahi hua aur Abid arrest ho gaya…unhone uski bahut badi madad ki hai...Agar vo na hote toh Abid toh usse nikaah kar leta…tab kya hota...Par uski Wajah se aaj unki jaan khatre me padh gayi thi…Vo toh mar hi jaati agar unko kuch ho jata toh…Allah ka shukar hai sab thik ho gaya….Ab jab vo yahan se chali jayegi toh atleast Abid ki taraf se koi problem nahi hogi aur vo sukoon se reh sakegi…Akhir kuch toh asaani hogi uski Zindagi mei…

Awesomesmiley27. So Azka was jealoussmiley36. Both have feelings for each other but it seems Azka hasn't realized it yetsmiley36. Abid ki entry hogayi aur humein protective husband and worried wife bhi dekhney ko milasmiley41. Waiting for next update.

kamleshmehra thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Originally posted by: mala06

Awesomesmiley27. So Azka was jealoussmiley36. Both have feelings for each other but it seems Azka hasn't realized it yetsmiley36. Abid ki entry hogayi aur humein protective husband and worried wife bhi dekhney ko milasmiley41. Waiting for next update.

Yes she was absolutely jealous but maintaining her cold demeanor initially but kar nahi payi... ultimately Ladai karli😆 Azlan ka establish ho gaya that he loves her but Azka ka thoda hai abhi...she is stopping herself...

Abid ka track jo spoiler tha na usi se inspired hai as show mei toh aya hi nahi...bas conversations thoda maine likhdi...They are husband and wife ....so they do care but Azka maanti nahi hai😆

Next update will be soon😊

swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Wow wonderful update..

Azlaan unable to express himself.. Confused Azka was really good..

Abid was kind of a Cupid between them..

Enjoyed every bit of the update..

Thank you

Cheers

Related Topics

Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

1 years ago

Faraar (GREEN) - Hamza Ali Abbasi, Sohai Ali Abro, Ahmed Ali Akbar

Hamza Ali Abbasi and Sajal Ali To Pair Up For A New Drama Titled Farar after 5 years 👇🏻👇🏻...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

8 months ago

Dastak (ARY) - Ali Raza, Feroz Qadri, Sohai Ali Abro

Ali Raza and Sohai Ali Abro to do a New Drama titled Dastak Directed by Marina Khan and Produced by Humayun Saeed Through Six Sigma...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: anikamathur

6 months ago

Sunn Mere Dil (GEO) #13 - Wahaj Ali, Maya Ali, Hira Mani Sunn Mere Dil (GEO) #13 - Wahaj Ali, Maya Ali, Hira Mani

This is The Part 13 Thread For Geo's Hit Drama Sunn Mere Dil...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: awida

2 years ago

The Pink Shirt (Zee5) - Wahaj Ali, Sajal Ali

#JustIn after giving us superhit shows like #DarrSiJatiHaiSila and #RaqeebSe The writer-director duo #BeeGul and #KashifNisar paired up for...

Expand ▼
Pakistani Serials Thumbnail

Posted by: SherDilNetaji

7 months ago

Yumna-Wahaj {YUMHAJ/MEERASIM} AT#3

WELCOME TO THE YUMHAJ / MEERASIM AT #3 HELLO EVERYONE 🤗 FOR SHOW WE HAVE THE DT, SO PLEASE REFRAIN FROM DISCUSSING ANY SEQUENCE OF THE SHOW...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".