GUNAH-E-KABIRA:
Duniya ki sabsi badi galti kar di maine. Galti nahi, gunah kar diya. Goli maar di maine Monami ko. Apni hi cadet ko goli maar di maine. Kyun koi punish nahi kar raha hai mujhe? Kyun iss gunah ki saza nahi mil rahi hai mujhe? Kyun koi nafrat nahi kar raha hai mujhse? Mar sakti thi wo, kyun koi yeh baat samajh nahi raha hai?
Jaanta hoon intentionally nahi tha, jaanta hoon nahi chahta tha use goli maarna, par usse yeh sach toh nahi badal jaata ki maine use goli maari thi. Yeh sach toh nahi badal jaata ki meri wajah se wo mar sakti thi. Yeh sach toh nahi badal jaata ki agar mujhse yeh gunah nahi hota, toh wo aaj academy mein hoti.
Kitne sapne the uske. Logon ki madad karna chahti thi wo. Commando banna chahti thi wo. Meri galti ki wajah se wo darr gayi, wo waapas ghar chali gayi. Apne trainer ko hi trust nahi kar sakti, toh kise karegi? Meri responsibility thi use safe rakhna. Safe rakhna toh chodho, maine use aur uske sapne, dono ko khud ki goli maar di. Kyun kisi ko yeh dikh nahi raha hai? Kyun koi mere iss gunah ke liye mujhe sazaa nahi de raha hai?
Galat tha main ki wo sirf ek spoiled, privileged kid hai jise zindagi mein har cheez itni asaani se mili hai ki kisi ki jaan ki bhi kadar nahi use. Ek martyr ki beti hai wo. Apne sapnon ke liye ladkar aayi thi wo, aur ek pal mein maine sab kuch khatam kar diya.
Aaj academy mein nahi hai wo, toh galti meri hai. Aaj darr gayi hai wo, toh galti meri hai. Aaj apne sapnon ko chodhkar chali gayi hai, toh galti meri hai. Kyun kisi ko yeh nahi dikh raha hai? Kyun koi mujhe saza nahi de raha hai?
Zindagi ki shayad sabse badhi galti hai yeh meri. Gunah kiya hai maine, paap kiya hai maine. Kyun kisi ko yeh dikh nahi raha hai?