Haan nahin hoon mai mahaan, agar chodna pade apna swaabhimaan,
Tum dhoka doge toh kaise kar lungi sehen,
Jab jaanti hoon hoti tumhari jagah mai toh chod deta mujhe ye jahan,
Aadmi ki toh fitrat hai dhoka yahi sikhaya jaata hai,
Jo aurat kuchal de apna swabhiman use mahaan dikhaya jata hai,
Har rishte ka sach hota hai balidaan,
Par phir kyun uss sach mein hoti aurat hi hai kurbaan,
Khudke liye jeena chaha jab maine duniya ne dhikkara tha,
Aurat ho tum aur iss jahan mein aadmi hi tumhara sahara tha,
Jab jab duniya ne yeh kaha tha, eik aurat ne apni pehchan ko khoya tha,
Ummed hai mujhse sab ki tumhari har galti maaf karun mai,
Jahan nahi hai kasoor mera waha bhi maafi maangu mai,
Tumhara sach iss samaj ka sach ban gaya,
Aur mera dard yahan sabse bada jhooth ban gaya,
Kare chahe koi kitna bhi bada gunaah tum maaf kar dena,
Kyunki yahi woh baat hai joh hai eik aurat ki pehchaan,
Par iss baar nahin kar paungi tumhe maaf chahe diya hi ho tumne balidaan,
Haan haan nahin hoon mai mahan agar chodna pade mujhe apna swabhiman.
Wrote this on ghum forum for Sai 😅