Originally posted by: Neon9
Sabse ajeeb baat WKD3 ki reach bhi kitni high hai Sab tv standards mein leken phir bhi aaj tak usko 1.5 nahi mili. Itna dekhte hai log toh TSV itni kam kyun mujhe samaj nahi aati bilkul.
I will explain(in Dushyant style🤣).
TMKOC- Iski reach aur time dono high hai of course out of habit ke vajah se aur ise har age group dekhte hai.
WKD3- Iski reach bahot hai par time kam kyunki iski mostly men ya selected audience dekhte hai.
ZDMN- Iski reach kam aur ise time isliye kam hogi kyunki iske viewers sirf apne couple ya neutral scenes dekhte honge.
Fir aate hai SL aur TYHM- Inki reach kam hai par shockingly inka time jyaada hai kyunki inn dono shows ke viewers mostly daily soap fans ke honge ya fir asli Sab TV viewers ki behen, biwi, maa ya koi female relative. Normally Sab TV ke male viewers ya fir humaari tarah selected audience advertisement ke time channel badalte. Sirf advertisement hi nahi par show ke beech me bhi kabhi kabhi channel badalkar dekhte hai ki cricket me kya ho raha hai ya news me kya dikha rahe hai. Isliye acchhe shows ko reach jyaada hokar bhi kam time aata hai. Par jo daily soap viewers hote hai vo mostly shows se itna chipke hote hai ki channel bhi nahi badalte hai. SL is getting 0.6 only due to time as it's reach too is low. TYHM reach is lowest and if not for time it would get 0.2 instead of 0.4.