Originally posted by: peacenfun
Mujhe lagta hai Karan karega Aneesh ko challenge 'aakhri baar keh raha hun apni ye harkatein Monami se dur rakho warna anjaam achha nahi hoga'
'tum jo karna hai kar lo fir bhi Monami & mujhko alag nahi kar paoge'
' tum aazma kar dekh lo par mera pyaar hamesha Monami ke liye uski dhaal ban kar khada rahega to protect & save her from people like you'
Kuchh toh on similar lines
Karan ki personality hi nahi aise chhup kar ladne ki, silently types
Aneesh- Waise sorry bolna chaho, toh main rokoonga nahi.
Karan- Tumhe lagta hai yahan sirf ek tum hi smart ho. Monami ko bhale na dikh raha ho, par mujhe sab dikh raha hai. Door reh usse.
Aneesh- Par wo toh nahi chahti. Matlab, dost hai hum. Use accha nahi lagega agar hum door ho gaye. You won't do anything that'll make Monami sad, would you?
Karan- Tumhe apne college ke kisse yaad karna bahut accha lagta hai, na? Ek kissa main bataata hoon. Ek baar, academy ke dinon mein kisi ne Faizi ko gaali di. Use wheelchair par jaana padha.
Aneesh- Dhamki de rahe ho mujhe?
Karan- Kya hua? Kissa accha nahi laga? Main toh bata raha tha. Main jaanta hoon tujhe pata hai ki main Monami se pyaar karta hoon. Ab soch, jab mere dost ko sirf gaali dene ke liye, maine kisi ki taange todh di, toh ab toh baat us insaan jis ke liye mera dil dhadhakta hai. Agar tumne Monami ko hurt kara, I'll make sure you regret it. Aur yeh warning nahi hai, dhamki hai, Aneesh Malhotra.