Originally posted by: Not_James_bond
Rukho iska jawab hum bata te hain par samaj main nahi aaya toh hamara fault nahi hain😂😂😂😂. Tumhara aklan shakti thoda kaam hain😂😂😂
Pehla sawal ki camera kaahe nahi hain uss room ka bahar woh iss liye kyuki hall main camera pai itna paisa waste kiya ki woh kangal ho gaaya abhi jo tumko paisa dikhta hain woh uska nahi hain woh karz main duba hain ghar bhade pai liya hain bigboss sa 😂 waisa bhi waaha sab love jhapata chal raaha hain khel.koi nahi raaha toh ghar ka adha hissa iss kangal abhay ko diya .😂😂 Iss adhe hissa main yeh sasta khajoor ka packet abhay nautanki chala raaha hain apna.😂😂
Ab yeh maat bolna ki bigboss house Lonavla main hain aur abhay Babu ka bangla mumbai main toh aisa hai babua ki sab ek hi highway pai sidha ghatkopar ka pichla waali gali sa hoke nikloge toh nukkad pai Lonavla aata hain.😂😂😂😂
Ab tumhara dusara sawal ki kaisa paata chala woh password.
woh aisa ki tel masta pasa uss towel pai sumanji na jissa abhay na haat pocha table pai aur uss store room tak jaate jaate muh bhi poch liya jiska baad woh sarson ka tel sa abhay ko chakar aane Laaga aur woh tel sa thoda kaam zyaada pressure main button dab gaaya .😂
Jispa zyaada pressure woh first number phir ussa thoda kaam pressure woh second aaisa karte karte pura password mil gaaya .😂
Ab aur saawal nahi pucho thoda khudh bhi anumaan laagau.😂😂😂
Toh aisa mamla hain iss main koi loop hole maat nikalna hum bohot ta zyaada marenga.😂😂😂
Haan iss main bahut (non)sense hai..😂
Waise toh agar hamare haath main thodi chip chip hoti hai toh hum haath dhote hai but shayad woh bhi Abhay nahi karta kyunki woh super rich hai..
Aur bechare ke kaan bhi kharab hai kyunki usse drone ki awaaz bhi sunaai nahi di..😂