Originally posted by: kavya1994
Faizi To Koel
Mujh Jaise Romeo, Chirag Leke Dhudhne Se Bhi Kahi Na Mile,
Meri Harkaatein Hai Aisi, Ki Teri Dil Ki Bagiya Mein Bhi Phool Khile.
Chahe Tu Kya, Jaanu Main Sab,
Har Pal Zindagi Se Ladaai, Khatm Hogi Teri Kab?
Tera Saath Jisse Mil Jaye, Kismat Uski Khul Jaye,
Tu Hain Dil Ki Radha, Baki Gali Ki Kudiya Toh Gopiyaan Kehlaye.
Saath Ho Ja Mere, Toh Har Gum Haseen Ho Jayega,
Darr Ho Kitna Hi Bada, Jeet Ka Pataka Hamara Hi Fehrayega.
Phir Kehta Hu Koel, Waqt Rehte Samajh Ja,
Warna Mujhe Accha Ladka, Tujhko Na Mil Payega.
From koel to faizi
Aisa nahi ki main tumhare pyaar ko samaj na Pau , par apne haalaton ka zanjeero main kaid main tumhe chahkar bhi apna na Pau.
Jab Jab badhana chahu tumhare aur kadam tab tab Darr lagta ki phir iss pyaar ka daal daal main phaas na jau.
Pehla bhi dil lagane ki saaza maine hain paayi issi liya ab tumse dur rehkar tumhe salamat rakhne ki kasam hain maine khai.
Radha jitni kaha meri kismat main toh tera pyaar main ab ghumu Meera ki tarha banke jogan.
Khuda ka dar pai mera haar lafz bas yaahi chahe ki tumhari haar dua ko woh kabul farmaiye.
Mera liya waqt toh ussi pal tham gaaya jab mera dil na yeh jaana ki maine har pal tumhe uss rab sa bhi zyaada chaha.
Shayad iss zindagi mein hum kabhie mil na paiye par lakeero main ho likha toh marne ka baad hum taaro ka paar uss shehar mein apna ashyiana baasaye
Pachtava mujhe iss baat ka nahi ki main tumhare pyaar ko apna na pau par issi baat ka ki main tumhein yaa kabhie baata na pau ki tumne iss tuthe parinda ko paar hain diya aur mera daman ko uss indradhanush ka rongo ka sitaaro sa hain bhaar diye.
Shayad mera dur jaane ka fasle ko tum kabhie samaj na paoge par hain yakeen ki waqt ka saath iss dard ko tum bhul jaoge .
Bas jaane sa pehla tumse main itna hi chahu ki mera pyaar ko kabhie tum jhoota na keh lau ,
Chahe hum ho kitna bhi durr mera haar zaare main rahoge sirf tum hi tum, chalti hu issa pehla ki mera kadam mud jaaye kyuki ab bas tumhari yaadein hi hain jaaha main khushi sa reh pau.