Originally posted by: kavya1994
Faizi To Koel
Kyu Haalaaton Ki Beediyoon Mein, Khud Ko Yun Tu Jakde?
Mujhko Khud Se Door Kar, Kyu Tu Pal-Pal Tadpe?
Tu Kadam Badhakar Toh Dekh, Darr Khud Hi Door Ho Jayega,
Ishq Nahi Koi Dal-dal, Iska Saccha Rang Tujhpe Bhi Chadh Jayega.
Zaroori Nahi, Jo Ek Baar Hain Hua, Woh Haadsa Phir Se Dohraye,
Yunn Doorr Reh Mujhse, Apne Sang Mujko Bhi, Tu Dard De Jaaye.
Tu Hi Toh, Woh Radha, Jo Dil Mein Hi Nahi, Naino Mein Bhi Mere Samaye,
Tu Hi Hain Woh Meera, Jiske Madhur Vaak Sune Bina Mujhe Raat Ko Nidra Na Aaye.
Har Dua Mein Mere, Tu Hi Hain Bastii,
Tujh Bin Meri, Kya Koi Hastii?
Jab Jaano, Ki Mere Bin, Tere Liye Sab Kuch Tham Jaaye,
Phir Yeh Zidd Kaisi, Jab Tu Khush Hi Reh Na Paaye?
Taaron Ke Shehar Mein Hum Apna Aashiyana Zaroor Basayenge,
Par Usse Pehle, Meri Baat Yaad Rakhna, Issi Janam Mein Hum Ek Ho Jayenge.
Pyaar Ke Raango Se Bhari Chunari, Tujhko Main Udhaunga,
Sar Par Sehra Saja, Doli Lekar Main, Tere Hi Dware Aaunga.
Dava Hai Mera, Mujhse Door, Tu Kahi Na Jaayegi,
Sangini Bann, Yeh Zindagi Mere Saath Bitayegi.
Hamara Pyaar Apni Manzil Ko Pa Jaayega,
Yeh Faizi Sirf Aur Sirf Tera Hi Kehlayega.
Khushiyoon Bhari Yaadein, Hum Saath Milkar Banayenge,
Har Tyohaar Ab Mere Teri Muskurahat Se Hi Jagmagayenge