1. "Mein "SUJAL GREWAL" hoon, mein ladkiyon ke peeche nahin bhagta,
ladkiyaan mere peeche bhaagtee hein". (said to KASHISH)
2. "Mein "SUJAL GREWAL" hoon ,aur mujhse koi nahin ulajhtaa". (said to PIYUSH)
3. "Jis "SUJAL GREWAL" ka sar aaj tak kisi ke samne nahin jhuka,usne aaj kashish se hath jod kar apne pyar ki bheek mangee". (said to his MAMMA)
AND THE BEST PART WAS
- When sujal leaves his home after saniya's chapter n say the dialogues to all the family members,the scene was like...
SUJAL ENTERS, CG ASKS- "kya tumne saniya ko plant kiya tha"
SUJAL- "nahin"
CG- "mein sach sunna chahta hoon"
SUJAL-"aap sach sunna chahte hain ya,jo aapne suna hai use sach maan kar mere muh se sunna chahte hai"
CG- "sach kya hai sujal"
SUJAL-"jaane dijeeye,sach aap sun nahin paayenge,aur jhoot mein bol nahin sakoonga"
AND THEN CG TELL HIM TO LEAVE.........
SUJAL-"chala jaaunga,zaroor chala jaungaa, lekin apne sar pe jhoote ilzam ka bhoojh lekar nahin jaaunga. And then some more dialogues.....
SUJAL is about to leave........commenting on everyone ,which goes like.......
TO CG-"duniya ki nazar mein hum bhale he baap bete hon, lekin hum dono jaante hain ki hamare beech woh rishta kabhi nahi raha......Mujh par nahi, kam se kam apne khoon par toh bharosa kiya hota, dad......Pita ka pyar kya hota hai yeh to maine kabhi mehsoos he nahin kiya......Ek baar ko jab piyush ke maamle mein aapne mera saath diya tha, to mujhe laga tha ,aap mujhse bhee pyar karte hain , lekin aaj woh bhram bhi toot gaya......Waise bhe mere hisse ka pyar toh hamesha se dusroon ki jholi mein jata raha hai...."
TO MAMMA-"mamma ,aap se aapka beta bhale hi koi cheen le lekin mujhse meri maa koi nahin cheen sakta, nahi koi pati nahi koi pita"
TO LALIT AND VASU-"uncle, maine kabhie nahin socha tha ki ek din mein ye baat aapse kahoonga,lekin aaj kehta hoon- Rishte baatoon se nahin jazbaaton se bante hain, aur is ghar mein pyar aur jazbaat ke naam par sirf dikhaava hai"
AND THEN VASU SAYS"sujal, yeh tum kya keh rahe ho"
SUJAL-"(smiles moves back n say) "Ek Aur Dikhaava"
TO PIYUSH-"tum, woh kahte hain na piyush, jis insaan ke paas khone ke liya kuch nahin hota uske saare darr khatam ho jaate hain, Mere bhi saare darr khatam ho gaye hain ,sivaye ek ke, ki ab tumhe mujh se kaun bachaayega.......(piyush shouts-"SUJAL").....Chillaao mat piyush,yeh naam aaj ke baad kabhi apni zubaan par mat lana kyunki sujal aaj ke baad tumhaare liye barbaadi ka naam hoga........Aaj tumhaari wajah se main apna sab kuch chod kar ,badnaam hokar ,is ghar se jaa raha hoon, isliye jao jakar jashan mana lo kyunki yeh bahoot chand ghadeeyaan hain tumhaare paas...........Aaj tak mein apne achhe waqt ka intezar karta raha lekin woh kabhie nahin aaya, tumhari wajah se, lekin ab tum apne bure waqt ka intezar karna, jo zaroor aayega, meri wajah se"
TO KASHISH-"Aur tum, Tumne jo kuch bhi mere saath kiya hai kashish, use mein hamesha yaad rakhoonga- pehle apnapan phir akelapan, pehle pyar aur aaj nafrat......Tum kehti ho na kashish, koi bhi rishta adhoora hi sahi lekin woh kamyaab hota hai, agar uske liye aapke dil mein khushi ho aur aankhoon mein nami, Dekho mujhe ,Aaj na toh meri aankhoon mein nami hai aur na hi mere dil mein koi khushi .....Dard itna bhad gaya hai ki aansoon sukh chuke hain, Aur khushi woh to shayad ab agle janam mein hi naseeb hogi, Baki hai to sirf hasee jo aaj mujhe apneaap par aati hai, aaj afsos hota hai mujhe, ki maine kyon tumse pyar kiya, kyun tum meri zindagi mein aayeen, lekin mere saath saath ab tum bhi pachtaaogi kashish, ....Jitna mein roya hoon tumhare liye , tum bhi rougee ab piyush ke liye......Aaj tak jin gunaahoon ki sazaa mujhe mili hai ab mein woh gunaah karoonga......Aaj ke baad har ilzam mere liye inaam hoga..............Aaj jab mein suraj ko ugte hua dekh raha tha, toh mujhe sujal marta hua nazar aa raha tha, aaj ka suraj sujal ko dafan kar ke nikla hai , jis sujal ko tum jaanteen theen woh mar chuka hai, aur aaj jo tumhaare saamne khada hai woh ek naya sujal hai, jo ab tumse bilkul pyar nahin karta..................... AUR YEH SUJAL US SUJAL KI MAUT KA BADLA ZAROOR LEGA"
70