Wafa humne ki aur "Bewafa" humein naam mila
Umr bhar kati raatein chand ki talaash mein
Aur mila to phir wohi khaali asmaan mila
Zindagi bhar bhatakte rahe jinko dhoondte huey
Kabr mein apni humein wohi chain-o-araam mila
Ashk gire jo pooch baithe kaun rehta hai ankhon mein
Dil cheer ke dekha to tera hi paigaam mila
Phir sadiyon ki judayi,wohi khamoshi wohi tanhayi
Rah-e-guzar thi teri jin pe hum chalte thay
Aaj humko ispe apna hi dil-e-nakaam mila
Khuda se maanga tha jisse duaon mein subh-o-shaam
Haathon ki lakiron mein uske na hone ka nishaan mila