Kar raha tha gham e jahan ka hisab
Aaj tum yaad be hisab aaye
Sid, itni kam umar likhwa k kyun aaye thay yaar. Yaad aati hai behisaab aati hai. Najanay ab kabhi mulakat ho b ya na ho. Roz soti hun is umeed se k subah tumhara tweet dikhega aur mein sochungi raat kitna bhayanak khawab dekha…. Khawab hi tou hai aur bhayanak b but najanay khatam kyun nhn hota. Bas yeh khawab kabhi sach na ho. Bas tum aisay hi apnay ghar ki kisi konay mein aik private life guzaro aur jab dil chahay tou twitter pe aa k kuch hulchul macha do takay mein tum pe ghusa ho jaya karoon. Bas itni si hi dua hai meri. Shayad kabhi poori ho jaye tou mein is bhayanak khawab ko bhool jaoon. Bas kaash upar wala sun le. Meri kisi thooti phooti naiki k badlay yeh dua sun le kyunki bohat kam qeemti cheezain bachi hain mere paas aur unko kho dena ka dar jata hi nhn……
Kitni dher baatein karni theen tum se but socha Umar pari hai lambi kar lenge but kaisay dhokay mein ji rahen hain hum sab. Planning barson ki kar rakhi hai and khabar pal bhar ki nhn.
Roz mazboot banti hoon and sabko batati hoon k mazboot kaisay ban’na hai but asal mein din mein kitni baar toot jati hoon khud ko b pata nhn. Aankhon ki nami kis kis tarah chupati hoon and nhn chupti tou kya kya bahanay banati hoon khud b nhn janti. Bohat kuch likhna tha, bohat kuch kehna hai par aisay alfaaz hi nhn jo dard bayan kar saken.
Sab dukhi hain yahan aur dukh tou hota hai, tum ko b hota hoga…. Apnon ko chor k jana mushkil hota hi hai chahay phir kuch der k liye ho ya hamesha k liye. Isi liye is jagah se nhn jati mein… ja hi nhn sakti coz yahan b sab mere apne hain jo mera dard bina kuch bolay samajhtay hain. Sach boloon tou tumharay janay pe mere dard ko kisi ne judge nhn kia… najanay kyun anjanay b mujh se ziada dukhi thay tumharay janay pe… jisko bataya wo mujh se ziada dukhi hua…
Najanay aaj phir konsa zakhm khul gaya jo dikh tou nhn raha but dukh bohat raha hai. Aaj phir ghar walay poochenge aankhon mein dard ki wajah aur aaj phir kuch bahana banana hoga…..
Wo pesh e lafz tha jis ne rula diya hai tujhe
Sambhal khud ko, abhi dastaan baki hai!!!