Sai chuckles humourlessly and says Ye sawal toh mein bhi aapse puch sakti hu Virat Sir !!! She looks directly into his eyes and says Aap mujhe kabhi kyu nahi samajhte Virat Sir The broken and helpless look in Sai's eyes hurt Virat more if it's possible. Aap khte h ke mein sirf aapke actions ko notice karti hu unke piche ke emotions ko nhi samajhti.............toh aap bhi toh yhi karte h aap sirf mera gussa dekhte h mere shabdo ko dekhte h par mein ye sab kyu kehti hu , gussa kyu karti hu uske piche ke vajah nhi samajhte !!! Aur pata h aap aaisa kyu karte h !?!? Kyuki aapki nazaron mein me ek immature aur nasamajh ladki hu isleye aapko lagta h mein bina kisi vajah ke hungama karti hu !! Now Sai was breathing heavily and looking at Virat accusingly as if to ask why ?! Just why he never try to understand her !???
=========================================
Part - 2
Virat saw the look in Sai's eyes and felt his heart clench. He never liked seeing her hurt but today seeing her so broken and hurt because of him he felt like dying thousands of deaths.
Sai though desperately wants to stop , to not open the walls she made around her heart , to not show anyone her weakness can't stop ; it feels as if the dam broke today and it won't stop until she let out everything.
She says Jab aapne mujhe Aniket ki tareef karte suna aap kitna gussa hue kitna lade mujhse , kitna chillaye mujhpe , jab mujhe Ajinkya se baat karte suna tab bhi kitna lade..........kitne sawal kie mujhse ke kaisa dost h , khas dost hoga , best friend h , uska no. toh yaad hoga , uss Bhajinkya se shaadi karogi aur jab mene kha kya bakwas kar rhe h toh bole ke isme bakwas kya h bade close lagte ho tum dono sab kuch share karte ho ek dusre se wagerah wagerah...........par jab mein aapke aur Pakhi didi ke baare mein puchu toh voh Bakwas !! Kyu !?!? Mera aur Ajinkya ka koi past nhi , koi pyaar nhi phir bhi aapne ek baar baat karte sun lia , tareef sun li toh gussa ho gaya ulta sidha soch lia pata nhi kya kya aur ek baar bedroom mein dekh lia toh sidha mere character pe sawal uthaya aur usko bhi kitna mara...........par aap aur Pakhi didi jinka past h , jinko aapne commitment dia h , jo aapke liye aapna pyaar nhi chupati , jo uss din pool ke paas chilla chilla ke apne pyaar ka izhar kar rhi thi , jo mujhse kehti h ke mein aap dono ke beech aai hu aur aap chup rehte h , jisne hume alag karne ke liye baar baar humare beech misunderstanding create ki mere character tak pe sawal uthvane mein nhi jhijhki aur jinki baato mein aap baar baar aakar Mujhe galat samajhte h , Mujhe hurt karte h , jinpar aap har bar mujhse jyada vishwas karte h................aur jab mein aapse directly ya indirectly sawal puchti hu toh aap unhe bakwas kh dete h , khte h ki mujhe galatfehmi h , mere sawalo ka jawab dena aap jaruri nahi samajhte , mere sawal bakwas h.............Kyu !?!? Jab aapke sawal bakwas nhi toh mere sawal bakwas KYU !????!!!!? AAPKO SAWAL KARNE KA HAK H MUJHE SAWAL KARNE KA HAK NAHI !!!!! By now Sai is literally snarling at him angrily like a lioness.
Seeing this fierce side of Sai Virat is speechless , he can't get words out no matter how much he tries it's as if the his voice is stuck in his throat. Sai's words are like slaps of reality to his face , he can't deny or ignore the truth in her words. So he decided to stop trying to speak and actually listen to her , to listen and understand his mistakes that hurt her so much.
Sai moves closer to him , points her finger and him and says Mere aur Ajinkya ke beech sirf dosti thi isleye aapke baseless sawalo ka bhi mene jawab diya ki voh sirf mera friend h normal friend h..............par aap......agar aap Pakhi didi se pyaar nhi karte toh kabhi saaf saaf kyu nhi khte ki Sai ab mein Pakhi se pyaar nhi karta hmmm......saach bolne mein kaise hichkichat !!!!! Jab mujhe kisi aur se baat karte dekhte h ya uski tareef karte dekhte h toh gussa ho jate h bura feel karte h par jab aap aur Pakhi didi akele terrace pe baat karte j ya an cafe mein baat karte h aree voh toh humare bedroom tak me roj roj aa jati h aapsa baat karne kuch na kuch bahane banake par mujhe gussa nhi hona chahiye mujhe bura feel nhi karna chahiye.....Kyu !?!? AAPKI FEELINGS KI VALUE H PAR MERI FEELINGS KI KOI VALUE NHI !!! Sai took a deep breaths to calm down a little.
She moved back a little and says Aap mera kisi se baat karna bardasht nahi kar sakte , kisi ladke se dosti karna bardasht nahi kar sakte khte h ke mein shaadi shuda hu dhyan rakha karu , mein aapse apne dosto ki izzat karne ki umeed bhi nahi rakh sakti aur aap........kya ye baat aap par lagu nhi hoti !!! Aapki chaeti Pakhi shaadi ke phle din se humare personal matter mein interfere karti h , koi mauka nhi chodti mujhe beizzat karne ka ,der raat roj humare bedroom mein bina permission ghusti h jaise garden mein walk karne aai ho , humare bedroom mein aake humpar comments marti h mujhe taane marti h , humari private baaton ke numaish ghar valo ke aage karke phir mujhe neecha dikhati h , humare bedroom ke darwaje par khade hokar humari baatein sunti h , mujhe jyada aap par hak jamati h voh bhi mere samne , baar baar aapko aur gharwalo ko mere khilaaf bhadkati h , baar baar aap mujh par bharosa karne ke jagah uss aurat par bharosa karte h , mujhe hurt karte h , phir saachai samne aati h toh mujhse maafi mangte h , aur mujhse expect karte h ke mein aapko ek he galti ko repeat karne ke liye aapko maaf bhi karu , ek do din Pakhi didi se gussa rhte h phir dobara best friend best friend khelne lagte h , bhul jate h ke unhone kya kia aur mujhse bhi expect karte h ke mein bhul jau !!!!! AAP TOH THODA SA BHI BARDASHT NAHI KARTE AUR MUJHSE UMEED RAKHTE HAI KI MEIN YE SAB BARDASHT KARU AUR VOH BHI KHUSI KHUSI !!! Mere dosto ki koi galti nhi , unhone kabhi aapki insult nhi ki , kabhi mujhe aapke khilaaf nhi bhadkaya , mujhe sirf dost mana aur kuch nhi , mere aur aapke matters mein interfere karne ki koshish nhi ki phir bhi........PHIR BHI AAP UNKI IZZAT NHI KARTE AUR MUJHSE UMEED RAKHTE HAI KI MEIN USS AURAT KI IZZAT KARU JISNE MUJHE ITNA BEIZZAT KIA HO , HURT KIA HO , ITNI GHATIYA CHAAL CHALI HO MERE KHILAAF.........USKI IZZAT KARU........... Really...a..aap kaise mujhse ye expect kar sakte h !! She looks at Virat incredulously.
Virat can't think straight , he is feeling so many emotions , he's feeling guilty , hurt , sad , ashamed etc etc. He can't make himself to look at Sai.
Sai sees him looking down ashamed but it makes her more angry , she wants him to look at her , to look into her eyes and tell her that why does he behave like this , she wants answers from him.
Looking at him hurt she continues Aapne mujhse hamesha kaha ki aap meri izzat karte h , meri izzat ki bohot value h aapke liye.......par aapki harkate toh kuch aur he dikhati h !!! Jab bhi mujhe taane die jate h meri Beizzati ki jati h aap chup rehte h.........ha aapne mera sath dia h par apni sahuliyat ke hisab se , jab aapka mood accha ho ya humare beech ladai na ho aap mujhse khush ho toh aap mera saath dete h par voh bhi sirf 5% time baki samay toh aap chup chap murti bane khade rhte h , ajeeb expression dete h aur agar mujhse gussa ho toh khud dusro ke saath meri Beizzati karne lagte h phir aapke liye meri izzat ki koi value nhi.................par apki best friend ki izzat ki toh bohot value h aapke liye hmmm....unko toh koi kuch bhi kehde phir toh mein hu , Shivani bua ho , Mohit Bhaiya ho , Devi Tai ho aap sab ko chup kara dete h aree aap toh apni Aai tak ko kuch nhi khne dete.........uss aurat ki Beizzati pe aapko bada dard hota h Kyu !??? AAPKI CHAETI PAKHI KI IZZAT IZZAT AUR MERI IZZAT KI KOI VALUE NHI !!!!! She is openly weeping by now.
Shaadi ke phle din se aapne mujhse jyada uss aurat ko priority di h , aapne hamesha uski izzat , uski feelings , uske emotions ko first priority de h !!! Aap humesha mere pati banne ke bajaye uske best friend bane h !! Apne humesha Mujhe ek teesre insaan ke jaisa feel karvaya h.........aur phir mujhse khte h ki mein aapko galat samajhti hu !! Sai choked back a sob.
Sai went towards Virat and hold him by his collar looks into his eyes and says Mein aapko janbhujke galat nhi samajhti Virat Sir aap mujhe majboor karte h............she removed her hold from his collar and backs off.
Sai sniffed and wiped her tears. She took a shuddering deep breath to calm her emotions and says Agar meri baatein aapko hurt hua ho toh sorry par meine kuch galat nhi kaha isleye aapne shabdo ke liye mein maafi nhi mangungi !!! Aap galat hai toh hai !! Aur sach bolne ke liye mein maafi nhi mangungi !! Sai looked at him boldly as if daring him to scold her. But today Virat remain silent , he knows every single word Sai have said no matter how hurtful they were is true.
Virat just nodded at her , he gave her a wobbly half- smile and said Tumhe aaj maafi mangne ki koi jarurat nhi Sai...................Kamal Sir ne hamesha kaha h ki saach bolne ke liye kabhi bhi maafi nahi mangte !!! Sai looked at him for few seconds as if gauging his sincerity then nods back at him and says Dinner banane ka time ho gaya h mein neeche ja rahi hu !! turned around and left without looking back.
Virat looked at Sai's retreating figure and closed his eyes. It's time to introspect clearly.......he thought and sat on his bed and start seeing back his actions and how they would have affected them.
The End !!
PS : I was going to post it tomorrow but certain someone was a little too excited @Nja91 🤣🤣