1965
Sampada aur Malhar ko ek saath dance karte dekhkar Kalyani jaise raise exhibition me apne aansuon ko rokti h magar ghar aakar uske sabr ka baandh toot hi jata h aur rote-rote vo so jati h.
Use sota dekhkar, Malhar uske baalon me haath ferta hai aur man me sochta hai: "Bas kucch din aur Kalyani. Ek baar ye film release ho gayi aur logon ko mera kaam pasand aa gaya, to fir hamari saari pareshaniyan khatm ho jayengi."
Jab Malhar subah uthta hai, to dekhta hai ki Kalyani aas-paas kahin nahi hai. Malhar daurkar ghar ke baahar jata h tabhi use kuch log munh chhipakar hanste huye milte hain.
"Dekho dekho, kaise daura jaa raha h."
"Haan haan jiski patni use chorkar ek doosre ameer ladke ke saath bhaag gayi ho, uski haalat to aisi hi hogi."
"Vo bechari bhi kya karti? Ek paisa to isse kamaya nahi jata. Bas ghar me baithe baithe apni patni ki kamai khaata hai. Aur jiske saath iski biwi bhaagi h, vo itna ameer aur handsome hai ki vo kya main bhi uske saath bhaag jati."
Malhar ko lag raha tha jaise saara bambai sheher use nigalne par aamada ho. Usne deewar ke sahare se kadam aage badhana chaha, magar ladkhadakar vo vahin gir gaya. Logon ke taano ki ab use koi parwah nahi thi. Ye doosri baar tha jab uska bharosa toota tha aur Kalyani...itni mohabbat to use pata bhi nahi tha ki ek dil me samaa sakti h jitni mohabbat usne Kalyani se ki thi. Ab sirf ek hi jagah thi jahaan vo jaa sakta tha.
Udhar Kalyani Atharv ki motor me baithe huye ye sochti hui jaa rahi thi- "Aaj Malhar Ji ka birthday h. Paanch saal ho gaye hamari shaadi ko lekin aajtak maine unhe nahin bataya main unhe kitna pyaar karti hu. Aaj unka janmdin h. Atharv jin videshi login ke baare me bata raha h unhe apni paintings bechkar Malharji ko surprise party doongi, vo bhi Juhu beach me."
Kuch ghante baad
Juhu beach me
Achanak itni zoron ki baarish hone lagi ki laga mano saari bambai hi doob jayegi. Sampada ne chupchap paparazzi ko tip de di thi ki aaj unhe Juhu beach par badi lead milne vali h.
Tabhi, achanak se Malhar ne Sampada ko gale laga liya aur ghutnon par baithkar kaha- "Sampada, main tumse bahut pyaar karta hoon, kya tum mujhse shaadi karogi?"
Cameras ki aawazon ne samundar ki leheron ke shor ko jaise nigal liya. Tabhi do laal gubbare Malhar ke kadmon par aa gire. Malhar ki nazrein Kalyani se jaa takrai. Vo bechari Aasmaani saari pehne table par rakhe cake ke saath 'Happy Birthday- I love you Malharji likhi hui takhti lekar khadi hui thi.
Samundar...Samundar ki ye khasiyat hai ki badi se badi bewafai bhi iske aage bahut chhoti nazar aati hai. Raat ke ek baj rahe the aur Malhar ko letter postbox me daale ek ghanta ho gaya tha. Jin dukhi aatmaon ko apne hisse ki zameen nahin milti, unhe samundar ki lahrain hi Lori gaakar chain ki neend sula sakti hain. Malhar dheere dheere samundar ki or badh raha tha...aur chaand dheere dheere dhal raha tha.
Subah Kalyani ki aankhein daakiye ki dastak se khuli. Chhitthi me koi naam nahin tha magar vo likhavat Kalyani acche se pehchanti thi.
Kalyani,
1960 ki us subah pehli baar tumhe coffee house me jab dekha tha tabhi mujhe ehsaas ho gaya tha ki main is janam to kya agle kisi janam mein tumhare alawa kisi aur ko dil me jagah nahi de paunga. Lekin kabhi main tumhe ye keh hi nahi paya...pehle professor aur student ke beech ka lihaaj, fir Atharv ke saath tumhari nazdeekiyan, aur fir hamari shaadi bhi jin haalat hui, tumse kehne ki himmat hi nahin hui. Main tumhe sabse accha artist bante huye dekhna chahta tha magar meri koi naukri naa hone ki vajah se tumhe beman se har choti choti exhibition me participate karna hota tha aur tumhe apna masterpiece banane ke liye vaqt hi nahi milta tha. Isliye maine socha ki filmon me geetkar ki hi naukri talaashta hoon, magar kismat ka khel dekho meri naukri ka faisla film ki heroine Sampada ke haath me tha aur usne shart rakhi naukri paane ke liye mujhe uska jhootha premi ka naatak karna hoga. Fir jab aaj ki subah sabne kaha ki tum Atharv ke saath...to mujhe kucch nahi soojha aur...
Khair, ab tumhari zindagi se Malhar naam ka kaanta hamesha ke liye door jaa raha. Mere liye ab tumhe apne sapno se aur samjhauta nahin karna parega aur mujhe poora bharosa hai tum duniya ki sabse badi artist banogi. Ab to bas Bhagwan se yahi maangta hu kiKaash agle kisi janam me ham mile to main kam se kam tumhare pyaar ke layak hu.
Tumhari maafi ke intezaar me,
Malhar
Kalyani ne agle bees saal Samundar ke kinaare Malhar ki body ke milne ka intezaar kiya magar...Paris se lekar New York ki har naami art gallery me jiski paintings saji thi, us Kalyani ki zindagi kitni berang thi ye koi nahi jaanta tha.
2020
Ek ladki pink kurti pehne huye ek file ke saath jaa rahi hoti h tabhi kisi se takra jaati h aur uski file ke documents par coffee fail jati h.
Ladki: Dikhai nahin deta tumko? Mera CV kharab kar diya? Sunglasses pehenne se itni badi ladki ko nahin dekh paye tum.
Ladka: Ye area interview candidates ke liye prohibited h to pehli baat to ye aapke morning walk ki jagah nahi h.
Ladki: Ae mister? Tumhare baap dada ki company h ye? Kalyani Deshmukh naam h mera...mujhse panga liya to
Ladka Kalyani ki ungli neeche karte huye: Mere baap ki to nahin, magar is company ki ek ek eent maine apne khoon pasine se rakhi h. Hi, I'm Malhar Rane, CEO of Rane Group of companies...
https://youtu.be/gFK09JUyve4
Kaisi lagi aapko ye kahaani? Please tell me your feedback.
Edited by Autumn09 - 4 years ago