Collar pakadke, puppy face banake,
“Toh aap mujhe samjhaiye naa! Magar pyaar se. Meri family sirf meri maasi hai isliye mujhe kabhi ek joint family mein rehne ka mauka hi nahin mila toh main yeh sab kaise seekthi?”
Then, after he backs down & softens, bagal mein bithake,
“Aapko toh pata haina mujhe zindagi mein bahut struggle karna pada hai. Ek akeli ladki, jiske peeche kisi family ka support na ho, log use girathe dabate rehte hain. Aur main isiliye survive kar payi hoon kyun ki maine anyay ka datkar saamna kiya, humesha. Waise toh Sarla aunty bahut kuch kehti hai, mujhe pata nahin kya kya bulati hain, magar kya aapne mujhe kabhi unhe ulta jawab dete hue dekha hai? Main toh unse maafi bhi maangne gayi thi, us time jab meri koi galti nahin thi. Uss waqt bhi main sahi thi magar maine wohi kiya jo situation aur rishton ke liye sahi tha. Magar iss baar baat bahut badi hai aur bahut galat hai. Yeh mere, Sonu ke aur har uss ladki ke atma-samman ki baat hai. Aur agar aaj main nahin bol padti toh main ek bahit bade anyay ko hone deti aur khud apni nazar mein gir jaati.”
“Phir bhi, agar aapko lagta hai ke maine sahi nahin kiya, toh main dubara Sarla aunty se maafi mangne ke liye taiyyar hoon. Dil se nahin magar aapke family ke liye, jo ab meri bhi family hai.”
Edited by Bana - 4 years ago