Ahaan goes to Ishqi's staff quarters after dadi agreed for the marriage.
ahaan - chalo bag pack karlo
ishqi - ab kya siyaapa kiya aapne
ahaan - tumhein ek baar mein baat samajh nahi aati. maasi kahan hai.
ishqi - woh chai banaane gayi hain
ahaan - (moving closer to ishqi and pulling her in by the waist) oh phir toh tumhein samjhaane ke bohot se tareeke hain
ishqi - (steps on his foot and ahaan yells and moves away in reflex) haan mere paas bhi bohot tareeke hai aap jaiso se nipatne ke
ahaan - nipatne ke? what language is this?
ishqi - matlab kaam tamaam karna (dusts her hands)
ahaan - whatever. chalo pack karte hain.
ishqi - mai kahi nahi jaa rahi. ab toh Singapore ka ticket bhi phaad diya hai aapne. kya avm mera free ka ticket chala gaya.
ahaan - ab pack nahi kiya toh free ka hotel room bhi chala jaayega. chalo.
ishqi - aap bhul rahe hain. shaadi abhi huyi nahi. mai nahi shift ho rahi aapke kamre mein. maasi kya sochengi.
ahaan - nice idea. but no. mere bagal wala room book kiya hai tumhaare liye. meri hone waali dulhan staff quaters mein thodi rahegi.
ishqi - thik hai aap chaliye mai manager ko bataake aati hoon. khush?
ahaan - yahan pura ka pura AVM khada hai and you want to talk to that manager?
ishqi - sab log aapki tarah nahi hote, paraayi ladki ko taadne mein interested.
ahaan - taadna? mai taad raha tha? oh god what am i saying! i wasnt staring. tum stare kar rahi thi.
ishqi - jo bhi ho, kaam acha kiya (winks and goes away to the manager)
ahaan - ishqi...(running behind her while maasi stops him to have tea)
ps - joote matt maarna mujhe🤣. pasand aaya toh i will write more OSs in the future warna phir aap log khush rehna🤣