As saba says, purvi will not forgive vir so easily. So, i write this os after panchayat judgement where purvi found innocent.
You guys comments are always Incouraging.
Panchayat me purvi innocent declare hoti hai. Per purvi vir se bahut naaraz hai. Is baar baat uske self respect ki hai. Aakhir kab tak wo her galati k liye doshi mani jaigi.
Wo haweli chodkar apne maayke chali jati hai. Vir use rokne ki bahut koshish karta hai. Per wo nhi manti.
Purvi ne apne maa baba ko nhi bataya ki wo mukhi ji se naraz ho kar aai hai.
Haweli me vir purvi ko bahut yaad karta hai aur apni galati maanta hai.
Vir: Ek baar phir maine bawri ka bharosa tod diya, galati meri hai to thik bhi mai hi karoonga.
Wo apni bawri ko wapas apni life me lane k liye apne sasuraal k liye nikal jata hai. Mukhi ji ko apne ghar me dekh purvi shock ho jati hai. Purvi k maa baba mukhi ki bahut khatirdari karte hai. Mukhi sabke samne purvi se maafi mangne wala hota hai tabhi purvi unhe rok deti hai. Aur akele me le jakar kahti hai,
Maa baba ko hamare rishte k bare me nhi pata. Isliye accha yahi hoga ki aap bhi unhe kuch na bataye aur yahan se chup chaap chale jaiye.
Vir: Aise kaise chala jau. Abhi to aaya hu. Aur waise bhi manne bhi saukh hai ki mai bhi apne sasural me rahoon.
Aur muskurara hua wahan se chala jata hai.
Mukhi sabke saamne purvi se pyar bhari baatein karta kyunki use pata hai, apne ma baba k samne bawri kuch na kahegi. Is situation per purvi jitna naraz hoti thi, mukhi utna hi enjoy karta tha.
Room me bhi mukhi purvi k najdeek aane ki koshish karta to purvi wahan se chali jati aur mukhi ko raat akele guzarni padti.
Ek din purvi shakshi mill me gai, aur sochne lagi "yahin per hum mukhi ji se pahli baar mile the".
Tabhi vir wahan aa jata hai. Purvi vir ko dekhte hi wahan se jane lagti hai. Vir ushe rokta hai.
" Maaf kar de manne, galati ho gai mere ta"
Purvi: aur kitni galatiyaan karenge aap? Is baar nhi mukhi ji, hum nhi manenge. Is baar Baat hamare charitra ki hai.
Mukhi: per mere samne her baar teri galat tasveer lai gai, mai ke karta. Aur tune hi kaha tha ki tu pyar karegi to apni umar k ladke se to manne laga.....
Dekh! Pyar to tu mere ta karti hai...
Purvi: ye aapse kisne kaha, humne to nhi.
Mukhi: accha! To tu mere se pyar na karti.
Purvi: ( gusse me) nhi
Mukhi: thik hai to saabit kar
Purvi: matlab
Mukhi: matlab yo ke agar tu mere se pyar na karti to mere najdeek aane per tujhe kuch na hoga. Teri saansein tez na hongi, teri dhadkan tez na hogi. Tu sarmaigi na. Tujhe...
Purvi: hamen aisa kuch nhi karna.
Mukhi: manne pata tha tu na kar pawegi kyunki tujhe dar hai ki aisa karne se mujhe pata chal jaiga ki tu mujhse pyar karne lagi hai.
Purvi: hamen koi dar nhi. Thik hai, hum ready hai.
Mukhi: dekhle, haar jawegi tu. Phir tujhe mere saath haweli chalna hoga.
Purvi: aisa kuch nhi hoga kyunki hum aapse pyar nhi karte.
Vir apna pahla kadam purvi ki taraf badhata hai aur apne ungaliyon se purvi k udte baalon ko thik karta hai. Phir thoda aur nazdeek jata hai aur apne hothon se uske kaan ko chuta hai. Jis se purvi ki dhadkan tez hone lagti hai per purvi ne kisi tarah unper kaabu paya.
After every sensational touch vir reads purvi's expressions. Jahan purvi apni feelings ko naarazgi me badal deti, wahi purvi ko is haalat me dekh mukhi bahut khus ho raha tha.
Phir mukhi ne bade pyar se purvi ka maatha, aankh, naak, gaal sabko chua. Gentally with his lips( just touch).
Purvi ab bhi shaant khadi thi.
Vir purvi ke hoothon ko chune k liye aage badhta hai. Purvi apni aankhen band kar leti hai. Mukhi ye dekh smile karta hai aur wahan se gaayab ho jata hai. Purvi jab apni aankhen kholti hai to mukhi ko na paakar udas ho jati hai. Wo idhar udhar dekhti hai per mukhi wahan nhi hai.
Purvi: ek baar phir aapne hamen bebus akela chod diya mukhi ji. Ek baar to hamari marzi ke bina hamare paas aate.
Purvi piche mudti hai. Vir wahan khada muskura raha hai. Usne purvi ki sari baatein sun li thi.
Anjaan bane jaise kuch hua na ho aur kuch kaha na ho purvi nazren jhukaye wahan se jane lagti hai.
Vir purvi ko baanhon se pakadkar ek deewar ki taraf le jata hai. Purvi mukhi ki pakad se nikalne ki puri koshish karti hai. Per is baar nhi. Mukhi ne purvi ko jor se pakad rakha tha.
Vir purvi ki taraf badhta hai aur purvi ke hothon ko apne hothon se chuta hai. Mukhi ka chuna aisa tha jaise
Koi titli ek phool k uper aakar baithi ho.
Dono ne aankhen band kar rakhi hai. Purvi k aankhon se aansu gir rahe hai. Kuch der k baad dono ek dusre se alag hote hai. Purvi k aankhon me dard hai, ek taraf ye pahla ehsaas jo her ladki k liye bahut yaadgaar aur special hota hai aur dusri taraf uski self respect. Mukhi purvi k aansoo pochta hai aur ek baar phir maafi mangta hai.
Vir purvi ke bahut kareeb hai usne apne sir ko purvi k sir se laga rakha hai. Purvi rote rahti hai aur vir ushe chup karata rahta hai
" Maanta hu galati meri hai, per mujhe maaf kar de aur mere saath ghar chal. Hamara saath mol se juda tha per ab ye saath pyar ka hai. "
Purvi: itni aasani se nhi mukhi ji. Is baar aapko hamara dil jeetne k liye kych bada karna hoga.
Vir: ke chahti hai, bol manne. Ek baar bol ke to dekh. Tere liye mahangi se mahangi chij abhi lakar tere saamne rakh doonga.
Purvi: aap khud sochiye ki aap hamara dil kaise jeet sakte hai.
Ye kahkar purvi wahan se chali jati hai. Vir kuch din wahin rahta hai per samajh nhi pata ki purvi ko kya chahiye.
Ek din purvi ka baba nashe me dhut ghar aata hai aur purvi ki maa ko khari khoti sunata hai. Vir ye sab dekh bahut naaraz hota hai.
Priyashi:
Baba jab naukri karte the, tab aise nhi the. Tab hamara bhi ek hansta hua pariwaar tha.
Phir aapne yahan shakshi mill lagai aur kitne kaarigar berojgaar ho gaye. Kaarigar ka kaam machine karne lagi. Tab se baba ki yahi haalat hai.
Mukhi samajh gaya use kya karna hai. Wo purvi k paas aata hai aur kahta hai
" Mai haweli ja raha hu"
Ye sunkar purvi pareshan ho jati hai. Phir mukhi kahta hai
"per tu mera intezaar karna, aur purvi k gaalon ko sahlata hai, mai sab thik kar doonga, aur is baar jab aaunga to tujhe saath lekar hi jaunga. Yo wada hai mera. Tu apni marzi se mere saath chalegi.
Virendra haweli pahunchta hai. Aur shakshi mill ko phir se suru karne ka kaam karwata hai. Saath hi apne employees ko ye kahta hai ki gaon k logon ko mill me machine chalane ki training di jaye. Sab logon ko unki kaabiliyat k hisaab se naukri mile.
Itna hi nhi vir gaon k development k liye school, college, hospital bhi kholta hai. Gaon ki aurton k liye aangan badi ka kaam, pine ka pani, 24 hrs electricity, internet, kisanon k liye acchi quality ke beej, pakka makaan sabki arrangement karta hai.
Gaon me itne saare badlaav hota dekhkar purvi soch me pad jati hai ki ye sab kaun karwa raha hai. Phir mukhi aata hai. Vir purvi se nhi kahta ki ye sab usne sirf aur sirf apni baawri k liye kiya kiya hai. Per purvi samjh jati hai ki ye mukhi ji ka hi kaam hai. Purvi bahut khus hoti hai
Aur man me kahti hai
" Aakhirkaar aapne hamara dil jeet hi liya"
Is tarakki se gaon ke kai thekedaar mukhi k dushman ban baithi the.
Ek din vir ko akela paakar kuch gundon ne vir ko bahut maara jis se vir behosh ho gaya. Mukhi ko ghar me naa dekhkar purvi pareshan hoti hai, usko mukhi ki chinta hoti hai.
" Na jane kahan rah gaye, raat ho gai, mukhi ji ko to yahan k sab raaste bhi nhi para. "
Tabhi use pata chalta hai ki behosh mukhi ji ko kisi ne jungle me dekha hai. Purvi daurti hui wahan pahunchti hai. Vir ko hospital me admit kiya jata hai. Purvi bhagwaan k aage aakar bahut roti hai aur kahti hai
"Aisa tabhi hona tha jab hamare beech sab thik ho raha tha"
Tabhi doctor kahta hai, raat bhar ka khatra hai, prartha kijiye ki ye raat jaldi kat jaye. Aur subah mukhiya ji ko hosh aa jaye. Agar nhi to unki condition serious hai. Puri raat purvi behosh mukhi ji ka haath pakadkar baithi rahi, roti rahi.
"Uth jaiye mukhi ji, dekhiye hum aapke paas hai. Ab hum aapse kabhi naaraj nhi honge."
Next morning vir ko hosh aata hai.
Doctor: mukhi ji ab khatre se baahar hai, per abhi unhe kuch din aur hospital me rahna hoga.
Purvi vir ki bahut seva karti hai. Vir k liye purvi ka saath kisi dawa se kam nhi tha. Dono ek dusre ke saath ko pura enjoy kar rahe hai jis se wo pal unki yaad me hamesha k liye bas jaye. Vir hospital se discharge hokar ghar aata hai.
Jab vir puri tarah thik ho jata hai to purvi kahti hai
"Ab haweli jana chahiye, wahan sab intezaar kar rahe honge"
Vir ko apni baat yaad aai, Flashback
" Tu apni marzi se mere saath chalegi"
Wo sochta hai,
shayad abhi purvi ki marzi na hai, bawri ne mujhe maaf na kiya"
Vir: thik hai, mai kal subah hi rewari k liye nikal jaunga.
Purvi: matlab? aap hamen saath nhi le chalenge?
Ye sun mukhi ki khishiyon ka thikana nhi raha. Wo jhat se purvi ko apne gale laga leta hai.
Mukhi: matlab, tune mujhe maaf kar diya?
This emotional hug bring them more closer
Purvi: maaf to humne aapko kab ka kar diya tha mukhi ji. Per humne jo aapko pareshan kiya uske liye hum aapse maafi mangte hai. Aur is gaon k liye aapne jo kiya uske liye thankyou.
Mukhi: Are bawri! Aaj tere kaaran hi mere haathon itne sare punya kaam hue hai. Ek patni ka dharm tune nivhaya. Aaj mai garv se kah sakta hu ki mai tera pati hu, tu meri bawri hai, tu sirf meri hai.
Background music
🎶KARYESHU DASI, KARNESHU MANTRI, BHOJESHU MATA, SHAYANESHU RAMBHA, ROOPESHU LAKSHMI, KSHAMAYESHU DHARITRI, SHAT DHARMAYUKTA, KULADHARMA PATNI. 🎶
Agli subah Maa baba ka aashirvaad lekar dono ghar k liye nikalte hai, per beech raaste jungle me unki car kharab ho jati hai. Shaam ho chuki thi aur aage ka raasta bhi nhi samajh aa raha tha. Mausam me bhi achanak se badlaav hua jaise toofan aane wala ho.
Vir: aas pass dekhta hu, shayad raat gujarne k liye koi ghar mil jaye.
Kuch der dundhne k baad ek khali pada chota sa ghar milta hai.
Purvi: yahi ruk jate hai
Mukhi lakri collect karta hai jis se aag jalai ja sake. Toofan aur baarish k kaaran thand bahut badh gai thi. Purvi kaanp rahi thi. Mukhi aag jalata hai.
Aag ki pili roshni me purvi behad khubsurat lag rahi thi. Mukhi use ek tak nigare ja raha tha. Purvi mukhi ko dekhti aur phir shram se apni aankhen nichi kar leti. Purvi ko abhi bhi thand lag rahi thi. Mukhi purvi k paas aata hai aur apne dono garm haathon se purvi k haathon ko pakad leta hai. Dono ek dusre me kho jate hai. Phir
Jungal me mangal
Sab apne apne tarike se soch lo...
Kya hua hoga.
Please maarna mat, iske aage hum nhi likh sakte.
Agar kuch galati ki ho to suggest me.
Like aur Comment plzz