(Chavhan Niwas aka Jail)
Sai: Usha maushi, dekhiye aap iss par sign kar dijiye warna mai ghar ke kisi bhi aur sadasya se sign krwa lungi
Usha: kyu kisi se bhi? Damad ji se hi karwa na.. Janti haina kya hoga agar unko pata chalega toh?
Sai: ha wahi hoga jo har din har waqt hota hai, tamasha.. Apko pata hai Gadhchiroli ki natak mandali bhi itne natak nahi karti hai jitna iss ghar ke log karte hai no wonder Mohit dada ko actor banna hai, khoon me hai dramatic reaction dena
Usha: Sai, baadaa, samjh thoda baat bigad mat, ye tera mayka nahi sasural hai yaha teri zid nahi chalegi, samjhla tujha?
Sai: ha jaise mayke me meri zid chalti thi, aaba ke jane ke baad kisne kya kia aur kya nahi wo main bhuli nahi hu abhi tak aur na kabhi bhulne wali hu, apko sign nahi karna toh thik hai mai janti hu kaun karega sign iss par..
(Next day, Virat's room)
Sai: Virat sir ye lijiye
Virat: ye kya?
Sai: meri scholarship ke paise aa gye hai toh ye lijiye apke sab paise sood ke sath, maine check bana dia hai
Virat: toh iski itti jaldi kya thi? Aram se doctor banne ke bad de deti jyada sood ke sath
Sai: actually Virat sir maine ek faisla lia hai
Virat: kaisa faisla?
Sai: meri scholarship me hostel fee bhi included hai toh issi liye maine hostel ka form fill kr dia hai aur kal mai shift bhi ho jaungi aur Usha maushi bhi sham ko Gadhchiroli jaa rahi hai
Virat: Sai itna sab tay kar lia tumne aur mujhe batana tak zaroori nahi samjha puchna toh badi door ki baat hai, aur tumhe jaroorat kya hai hostel me jane ki? Aur Guardian ki jagah pr kisne sign kia? Usha maushi?
Sai: nahi, maine baba se sign krwaya aur unhone badi khushi se sign kia aur ye khud me hi ek wajah hai ki mujhe yaha nahi hona chahiye, iss ghar me kisi ko mere hone ya na hone se koi farak nahi padta, actually nahi na hone se padta hai, sab khush rahenge, ghar me shanti hogi
Virat: Sai ye kya baat hui ghar me tumhe thoda sa sunna
Sai: thoda sa virat sir? Har din har baat par mujhe ye bataya jata hai ki main chote ghar ki anath ladki hu jisko uske aaba ne kabhi kuch acha nahi sikhaya, sabko bas ek mauka chahiye hota hai mujhe tane marne ka, ye yaad dilane ka ki main apki life me jabardasti ayi hui hu, bojh hu aap par aur apke iss khandan par,matlabi,khudgarz aur ehsaan faramosh hu, aur na jane kya kya... Virat Sir bachpan se maine doctor banne ka sapna dekha tha, kisi bade ghar ki bahu number 1 banne ka nahi, maine doctor ki taiyari ki naki ghar sambhalne ki, aur apko nahi pata ki iss samay mujhe apni padhai par concentrate karne me kitni dikkat ho rahi hai, main har din ek tamasha dekhu aur sath hi apni studies pr focus karu ye nahi ho sakta mujhse
Virat (in disappointed tone) : Sai
Sai: nahi Virat sir, apko pata hai mera last week test hua tha aur mai Sai Joshi life me pehli baar fail ho gyi, kyu? Kyuki mai padh hi nahi payi, sab questions janti thi mai har din unko prepare karne ki koshish krti thi but nahi kar pati thi kyuki achi bahu bhi banna haina warna taane suno but taane toh sunne hi hai chahe kuch bhi karlo... Mai aur nahi jhel sakti Virat sir
Virat: Sai mai ghar par baat karunga but please tum aise jao mat
Sai: kya farak padta hai Sir, mai aaj jau ya 5 saal baad jau, jana toh hai hi na toh acha yahi hoga ki main aaj hi chali jau, aur mere jaane se sirf Aai aur Devi tai ko bura lagega toh mai unse milne ati rahungi aur jab bhi wife ki tarah logo se milna hoga toh aap mujhe bata dijiyega mai aa jaungi agar busy nahi hongi toh
Virat: gharwalo ko kya bologi?
Sai: baba se sign karate time maine ye sab unko aur waha majood apki kaku, Omi kaka, Sonali kaku aur apki best friend Pakhi ko bhi bataya jo apko kaha aur trust me sign karte waqt itni khushi thi jitna apki mtlb hamari shadi ke time par gussa tha.. Ab aap bhi apni mature dost ke sath khub sara time spend kar payenge
Virat: ab ye baat bich me kaise ayi?
Sai: ye baat kabhi beech se hati kaha thi? Deal wali hi sahi but shadi hui thi koi expectations nahi the lekin sab ke sawalo ki zimmedari bhi sirf meri nahi thi.. Aap dono ko na toh mai kabhi samjh payi aur na samjhna chahti hu itna time nahi mere pass, aap ache insan hai lekin zimmedar insan nahi hai
(She starts leaving)
Virat: Sai, agar aaj Kamal sir zinda hote
Sai: agar aaj aba zinda hote toh ye sab kabhi nahi hota lekin agar wo zinda hote toh iss ghar ka ladla beta zinda na hota
(Virat was shocked to hear this bitter truth)
Sai: ye baat apne gharwalo ko yaad dila dijiyega, unki yaad dash badi kamjor hai bhul gye honge ye sach...
(The End)
-----------------------------------
I really hope ki Sai hostle ke liye apply kare, rehna na rehna wo alag baat hai lekin apply jaroor kare taki Tublight Chavhan ko pata chale ki wo apni zimmedari sahi se nahi nibha raha hai, chize kharidne se uski zimmedari puri nahi hoti aur apne ache dil wale pariwar ko zara aaina dikhaye
P.S. Read, Enjoy, Like and Comment :)
comment:
p_commentcount