Ariya+ Arni FF::Ek Radha Ek Meera.. (Season 5) (Completed)

Created

Last reply

Replies

747

Views

30401

Users

48

Likes

1154

Frequent Posters

ariyabestfan thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago

Image


Part 1:-



In hospital:-


Riya's room:-


Riya n arjun dono ke parents riya ke liye kafi pareshan he..


Woh log riya ko sawal kar rahe he ke woh kaise he..ye sab kaise hua..usse kaisa feel ho raha he dard toh nahi ho raha n all..


Inn sabke bich parents ka iss baat par dhyan nahi he ke arjun room me nahi aaya..


Riya unki bato ka jawab toh de rahi he par usaki aakhe Arjun ko dund rahi he..


Kuch hi der me nurse room me aati he..


Nurse:-plz aap sab log ab bahar jayiye..unhe rest karne dijiye..muze inhe medicine ka dose bhi dena he..


Sab log riya se baat karke bahar nikalte he room se..


Ye dekh ke arjun aage badta he room me jane ke liye..


But Sam usse rok leta he..


Arjun:-sam plz..I need to talk to her..


Ab parents riya se milke usse safe dekh ke kafi had tak relax ho chuke he..toh samjun ki taraf unka dhyan jata he 


Sam:-meine kaha na tum lado se nahi mil sakhte..


Arjun:-muze usse baat karni he..bate clear karni he..give me side..


Sam:-no..


Damsingh:-Ye kya he sameer..?tum jamai sa ko lado se milne ke liye rok kyo rahe ho..?


Choree look each other..they knows ke ye unka personal matter he aur unhe yaha ab rukna nahi chahiye..


Shree:-sir..woh..mein aur chotu nikale..?


Chotu:-ha sir..ham..case ki baki ki procedure kar lete he..


Sam:-umm..ha..ha. Aur kuch ho toh muze call kar lena..


Shree:-ji sir..


Both chotu n shree left..


Sam then turn to Arjun..


Sam(angrily):-kyo..kyo milna he lado se..?firse hurt karna he usako..?firse dil dukhana he usaka..??


Ye sunke parents worried ho jate he ye soch ke ke ab kya ho gaya Ariya ke bich..?ab kya kar diya Arjun ne..?


Masa(tensed hote hue):-sameer..baat kya he..?


Suryakant:-sameer jo bhi baat he saf saf kaho..


Sameer:-baat ye he ke meine iss inssan par firse trust dikha ke bahot badi galati kar di he .itna sab hone ke baad bhi meine iss par vishwas rakha..ye socha ke ye iss bar meri lado ko hurt nahi karega ..ye iss bar usse dukh nahi pahochayega..usse khush rakhega .aur yahi galati ho gayi muzse .


Ye sunke parents aur jyada tension me aa gaye he. 


Arjun:-sam stop it..meine gusse me usse bol diya tha..jo bhi misunderstanding hui thi ..muze usse clear karni he..


Sam:-misunderstanding..??tu lado ko aise misunderstand kar hi kaise kar sakta He ke woh roshni ki diary padegi..??


Parents ye baat sunke chauk jate he..unhe andaja ho jata he ke ye kya hua hoga..


Arjun:-meine bas gusse me bol diya..aur kuch hi Palo me muze ehssas hua ke mein galat tha. Mein riya se baat karne ki koshish me hi tha ke ye case n ye sab ho gaya..


Sam:-oh really..?ab ye bhi bata de ke tune usse gusse me aisa kya kaha ke woh strecher par hone ke bavjud tuzse mafi mange ja rahi thi..?


Arjun:-meine usse ye bol diya ke usse diary padni nahi chahiye thi aur meine usse aisa expect nahi kiya tha..aur baad me mein usse baat karna chah raha tha .lekin clear hi nahi kar paya baat..


Sam:-tum ye soch bhi kaise sakhte ho ke lado aisa karegi..?


Arjun:-mein normal situation me kabhi aise nahi sochta Sam..mein janta hu riya kaise he..bas uss waqt roshni ke parents ke sath  mere aur riya ke bare me thodi der pehle jo thodi der pehle baat hui thi usse me zara pareshan tha aur tabhi meine riya ke hath mein diary dekhi..


Sam(shout):-aur bina soche samze tune usako hurt kar diya apni bato se..ilzam lagaya uss par..??


Arjun kuch kehne wala he..tabhi sam bolta he. 


Sam:-aur roshni ke parents ne aise kya baat keh di thi jisse tu pareshan tha..?


Arjun:-sam leave it...muze pehle riya se milna he..


Par Sam arjun ka hath pakadke usse rok leta he..


Arjun(now getting angry):-chod muze .tu janta he ke mein chahu toh mein kisi bhi tarike se room me ja sakhta hu..sirf tu samne he issliye shanti se kaam le raha hu..


Sam:-kya kaha unhone.?firse meri lado ke bare me bakwas ki hogi na..


Arjun kuch bole isse pehle masa bolati he..


Masa:-mare ko ye samaz na aave unhe mhari lado se takleef kya he..?


Sam:-unhe lado se hi takleef he masa..


Arjun:-ek minute Sam..I know kuch mamle me woh galat he..par unhone apni beti khoyi he they are just..


Damsingh (couldn't hold himself now):-ha unhone apni beti khoyi he..par unke beti ke wajah se hamne bhi lado ko lagbhag kho hi diya tha. 


Masa:-unhone ek mauka nahi choda hamari lado ko sunane ka..aur..


Arjun:-ek minute..ye kya keh rahi he aap masa..?


Sam:-Ye tum muzse pucho acp Arjun suryakant rawte..har bar unhone lado ko hurt kiya he..usse rulaya he..


Arjun:-ek minute Sam..I know jab roshni uss bomb wali hadse se bach kar wapas aayi thi toh unhone riya ko kuch kaha tha..aur tuze yaad nahi hoga toh yaad dila du ke unke taraf se meine aur roshni ne tuzse aur riya se bhi maafi mangi thi..


Sam:-woh toh sirf uss waqt ke liye acp Arjun..usake pehle bhi bahot kuch ho chuka he jo tumhe pata nahi..


Arjun:-kya matlab..?


Sam:-woh toh ab wahi batayege..ab tak mein chup tha ..ab tak meine kuch nahi kaha unse ya kisise bhi..lekin ab chup nahi rahuga..


He call roshni's parents n ask them to come mumbai immigiately..


Idhar roshni ke parents bas kuch hi hours pehle Mumbai se nagpur pahoche he..aur sam ki baat sunke woh pareshan he ke na jane kya ho gaya ke unhe wapas mumbai bulaya he..


They decide to leave for mumbai immigiately..


Here in hospital..


Masa:-hame andaza tha ke kuch na kuch toh hoga..issliye ham lado ke shadi firse inse karne ke khilaf the..


Arjun:-masa aap meri baat .


Masa(cutting him in mid):-aapne pehle bhi hamare lado ka dil toda..kitni tut gayi thi woh..hamara parivar kis halat se guzare he aap samaz bhi nahi sakhte..logo ke rishtedaron ke tane sune he hamne aur hamari bitiya ne..hamare kayi apne hi rishtedaron se hamne rishta tod diya uss wajah se..itna sab hone ke baad bhi ham iss rishte ke liye firse tayar hue..sirf lado ko khushi ke liye..lekin ab hame apne faisale par sharam aa rahi he..


Aayesha:-muze bhi khud par gussa aa raha he masa..ke meine kyo Arjun sir par itna bharosa kiya .?kyo unki side leke aapse aur sameer se baat ki..(turning to Arjun):-arjun sir Meine aapse ye expect nahi kiya tha..sach me expect nahi kiya tha..


Arjun:-aayesha..


Tabhi nurse riya ke room se bahar aati he. 


Nurse:-meine patient ko medicine se di he..she is taking rest..aur raat ko ham sabko yaha par rukne ki permission nahi de sakhte..sirf 2 log hi yaha ruk sakhte he..


Sam:-ji..thank you..


Nurse slightly nods n left..


Sam:-mein aur masa rukte he yaha par..aayesha tum babasa ko leke ghar jao..


Arjun:-mein ruk raha hu yaha par. 


Sam turn to Arjun again in mood to fight with him..


Arjun(in soft tone):-plz..


Sam sigh..


Sam:-aap.sab log jayiye ghar..


Aayesha charo parents ko lekar ghar chali jati he..


Arjun:-sam..let me explain everything to you.. actually..


Sam(cutting him in mid):-acp Arjun suryakant rawte ..tumhare bato me meri lado fas sakhti he..mein nahi..


Saying he walked little away from.arjun..


Arjun stares Sam with wet eyes..he was his juno..then he becomes Arjun..then rawte..n now he has become ACP Arjun suryakant rawte for him..


Tu jo rootha toh kaun hansega


Tu jo chhoota toh kaun rahega


Tu chup hai toh yeh darr lagta hai


Apna mujhko ko ab kaun kahega

Tu hi wajah…


Tere bina bewajah bekar hoon main


Tera yaar hoon main


Tera yaar hoon main


Arjun bas waise hi khada reh jata he..


Aaj aise lag raha he ji bhi bachi kuchi dosti thi dono ke bich woh bhi tut gayi he..


Sam har ke bench par baith jata he .


Kyo aisa hota he hamesha ke usse apni lado aur dost ke bich me se ek ko chunana padta he. 


Aaja ladein phir khilono ke liye


Tu jeete main haar jaaun


Aaja karein phir wohi shararatein


Tu bhaage main maar khaaun


Meethi si woh gaali teri


Sun’ne ko taiyaar hoon main


Tera yaar hoon main


Tera yaar hoon main


Tera yaar hoon…


Sam hide his tears turning his face to other side .


Arjun also get teary thinking kyo..kyo usaka dost usse itna dur hote ja raha he..


jaate nahi kahin rishte puraane


Kisi naye ke aa jaane se


Jaata hoon main toh mujhe tu jaane de


Kyun pareshan hai mere jaane se…


Toota hai toh juda hai kyun


Meri taraf tu muda hai kyun


Haq nahi tu yeh kahe ki yaar ab hum na rahe


Ek teri yaari ka hi


Saaton janam haqdaar hoon main


Tera yaar hoon main…


Tera yaar hoon main…


Tera yaar hoon main…


Tera yaar hoon main…


Dono bhi firse ek dusare se baat nahi karte..


Thodi der baad Sam ko baithe baithe nind lag jati he .


Arjun ko ye jab confirm ho jata he ke sam so gaya he..woh riya ke room me jata..


Riya so rahi he.. because of medicines ,she is in deep sleep..


Arjun sigh..fir usake bed ke pass ek chair par woh baith jata he..


Aur jo bhi hua usake bare me sochne lagta he..


Thodi der baad usse bhi nind lag jati he..


Next morning:-


Sam ki nind tutati he..


Woh dekhta he ke subah ho gayi he..


Woh idhar udhar dekhta he..Arjun kahi nazar nahi aata..


Sam:-Ye kaha chala gaya..?ghar toh nahi gaya..?


He walked towards riya's room.. n saw Arjun sitting on chair near riya's bed n has fallen in sleep..


He sigh n again walked out of room..


After few minutes..Arjun ka phone ring hota he jisse Arjun ki nind tut jati he..he realised ke riya abhi bhi nind me he..


Woh immigiately phone leke room ke bahar aata he taki riya ko disturb na ho..


Arjun(receive the call):-hello..?


It's from roshni's father...


Roshni's father:-hello Arjun..ham mumbai airport par he..bas taxi karke tumhare ghar aa rahe he..lekin beta hua kya he..?kal sameer ne kuch thik se nahi bataya..??


Arjun:-aap log ghar aayiye..fir baat karte he..


Roshni's father:-ok..


Arjun cut call..


Arjun(to Sam):-woh log ghar pahoch rahe he..


Sam:-mein aayesha ko phone karta hu..woh yaha aayegi fir ham log nikalte he..


Arjun kuch nahi kehta..Sam phone karne hi wala he ke shree,chotu aur Liza waha aate he..


Shree:-hello sir..ham riya mam se milne aaye the..


Liza:-sir..riya kaise he ab..?


Sam:-she is alright..woh ab tak uthi nahi he..waise accha hua tum log aa gaye..muze aur Arjun ko ghar par kuch kaam he..tab tak kya tum log yaha rukoge..?


Liza:-sure sir..


Sam Jun left..


N shree,chotu Liza riya ke uthne ka intezar karne lagte he..


Here at arjun's home:-


Roshni ke parents Arjun ke ghar pahoch gaye he..


Arjun ke parents unhe batate he ke ek case me riya ko goli lag gayi he..


Tabhi aayesha aur riya ke parents waha aate he..


Roshni's ma:-riya kaise he ab..?


Ye sunke masa ko kafi gussa aata he,woh kuch kehne walo he tabhi samjun ghar me aate he..


Roshni's father:-arjun beta..?riya kaise he..?kya kaha doctor ne..?


Arjun:-woh thik he..aur..


Sam(cutting him in mid, angrily):-lekin aap itni fikar se kyo puch rahe he..?


Roshni's father:-kya matlab sameer..?


Sameer:-aapko kya farak padta he ..?aap toh ek mauka nahi chodte usake bare me ghatiya bate bolne ka..?


Roshni's ma:-Ye tum kya bol rahe ho..?


Sameer:-mein kya bol raha hu..?accha aapko yaad dila deta hu..jab uss bomb blast me roshni mar gayi he aisa ham sab soch rahe the..Arjun puri tarah tut gaya tha..tab woh aap hi thi na jo riya ko suna rahi thi...ke roshni ko mare 15 din nahi hue aur riya Arjun ke sath firse ghar basane ki planning kar rahi he..aapne hi kaha tha na ke riya roshni ki maut ka fayda utha rahi he..aur firse Arjun ke dil aur ghar me jagah banana chahti he..?aur aapne ye bhi kaha tha ke arjun roshni ke katilo ko dundane ke bajay ghar me baithke apne pehle biwi ke hath se khana kha raha he aur usaka hath pakadke so raha he..


Arjun shocked ho jata he ye baate sun kar..


Usse yakin nahi ho raha ke roshni ke parents ne itna kuch keh diya tha riya ko..woh bhi tab jab usaki koi galati bhi nahi thi..


Roshni ke parents kuch kehne wale he tabhi suryakant bolta he..


Suryakant:-aur meine tabhi aapko warn kiya tha ke aap aise kuch bhi na bole riya ke bare me..aur hamne agar roshni ko apni bahu sweekar kiya he toh riya ke hi kehne par..


Arjun(shocked):-Ye sab aapke samne hua tha..?


Suryakant slightly nods..


Sam:-usake baad kya hua tum toh jante ho..aunty ne (Arjun ki aai) tumhare aur riya ke shadi ki baat chalayi..lekin tum dono ne bhi tab inkar kar diya tha..aur fir roshni wapas aa gayi..usake baad aap log riya se milne aaye the..aur aapne riya ko ye kaha tha ke roshni ab wapas aa chuki he aur riya ke wajah se usake life me koi problem nahi honi chahiye..aur usake liye tumne aur roshni ne muze aur riya ko sorry bola tha..


Arjun:-ha..lekin tab muze laga tha ke unhone jo bhi kaha woh sab roshni ke liye woh worried he issliye kaha..lekin muze nahi pata tha ke usse pehle woh riya ko itna kuch keh chuke he..


Sam:-kehna..?unki toh accuse se bhari aakhe hi kafi he meri lado ko rulane ke liye..jab sikandar ne roshni ka murder kar diya..tum tut gaye the.. suryakant uncle ki hakat kharab thi tab jis tarah riya tumhare parivaar ka aur tumhara khayal rakh rahi thi woh dekh  unki nazare riya ko aise kos rahi thi..issliye usane delhi wapas jane ka faisala kar liya tha..


Arjun ko ab roshni ke parents par hi nahi khud par bhi gussa aa raha he..woh apne gam ke kitna dub gaya tha uss waqt ke usake aas pass kya ho raha tha isaki usse bhanak bhi nahi thi..


Sam:-aur iss bar inhone na jane tumhare dil me kya bate bhar di..jisake wajah se tum meri lado ko hurt karke baithe .


Arjun move his hand through hairs frustratedly..


Arjun(to roshni's parents):-mammi papa.. kal aapne muzse kaha ke mein roshni ko bhul na jau..usaki jagah kisi aur ko na du..tab Meine socha tha aap jo bhi keh rahe he woh roshni ke liye aapka pyar he..par mein ye nahi janta tha ke aap riya ko itna nafarat karte he..


Arjun ke parents ,riya ke parents,Samsha ye sunke hairan ho jate he ke unhone Arjun se aise kaha..


Arjun:-mein firse aapse ye kahuga ke aap riya ko galat samaz rahe he..mere dil ke roshni aur riya dono ke liye khas jagah he..dono ko apni ek special jagah he..n i was not expecting this from you..meri aapse request he ke aaj ke baad aap aisa kuch na kahe ya kare jisse riya hurt ho..mere hote hue woh aur hurt ho ye mein dekh nahi sakta..


Roshni ke parents ek dusare ki taraf dekhte he..


Roshni's father:-ham riya ko pasand nahi karte lekin usaka matlab ye nahi ke ham usse nafarat karte he n hamne riya ka aur tumhara kabhi bura nahi chaha..apna khayal rakhna..


Kehke roshni ke parents waha se chale jate he.


Arjun walked to masa n babasa..


Arjun:-I m.sorry masa...I m sorry babasa..past me jo bhi hua aur aapko jaise takleef sehni padi..logo ke tane sehne pade..riya ko itni takleef se guzarna pada usake liye mein sach me bahot sharminda hu..


Masa kuch nahi kehti .


Babasa(khud ke emotions par kabu karte hue):-beta jo ho chuka usse ham badal nahi sakhte..ab ham sirf itna hi kar sakhte he ke aaj aur aane wale kal ke bare me soche..pati patni ka rishta bahot hi nazuk dor se bandha hota he..iss dor ko mazbut kaise karna he ye dono ke hatho me hota he..aap riya se baat kar lo..sari baat clear karo yahi sahi he..


Arjun:-thank you babasa .thank you masa..


Arjun then turn to Sam..


Arjun:-sam.i m sorry yaar..


Sam kuch jawab nahi deta aur waha se chale jata he..aayesha bhi usake piche chali jati he .


Masa babasa Arjun ke parents se baat karke chale jate he..


Arjun apne room me chala jata he..


After some time..


Sam's flat:-


Sam:-aayesha..mein tumhe lado ke pass drop kar deta he..fir mein office chala jauga..


Aayesha:-thik he..


Masa:-pehle dono thik se breakfast kar lo..kal se kuch khaya nahi he..


Samsha masa babasa ke sath breakfast karte he..


Aayesha riya ke liye tiffin pack kar leti he..


N samsha left fir hospital..


Masa:-jo bhi hua accha nahi hua..


Babasa:-manta he ham..par ab aise waqt me kar bhi kya sakhte he. Beti ka ghar firse na tute issliye hame hi samazdari se kaam lena hoga..


Masa sigh..


Here sam is driving n aayesha is silently sitting .


Aayesha(finally breaking the silence):-mein janti hu lado ka dil dukha he bahot..par jo hua accha hi hua..aapne accha kiya ke roshni ke parents ko yaha bula liya..aur Arjun sir ke samne sari baat clear kar di..ab agar aage woh log Arjun sir aur lado ke bich aane ki koshish karege toh Arjun sir unke bato me nahi aayege. 


Sameer kuch nahi kehta. 


Aayesha:-kuch toh kahiye na sameer..?


Sameer:-kya kahu aayesha..?mein thak gaya hu usse samazte ..usako maaf karte karte..thak gaya hu mein khud se aur usse ladte ladte..thak gaya hu har bar usake aur lado ke bich me kisi ek ko chunte chunte..


Aayesha:-sameer..muze lagta he babasa ne jo kaha sahi kaha..ham sabhi ye baat jante the ke dono ke liye firse iss rishte me bandhna mushkil honewala he..ye sahi hoga ke dono baat karke matter solve kar le..ye sab jo hua muze bhi accha nahi laga Arjun sir ka riya ko gussa karna..par ye bhi sach he ke dono ab pati patni he..aur ye rishta lado ke liye kya Mayne rakhta he aap toh jante hi he..


Sam sigh..


Here at arjun's flat:-


Arjun apne room me sar pakadke baitha hua he..


His aai walked in room..


Aai:-tu thik he na beta .?


Arjun just nods..


She walked n sit besides him..


Arjun:-aapke samne kuch aisa hua tha toh aapne bataya kyo nahi muze ..?


Aai:-uss waqt situation hi waise thi Arjun..ham sab samaz rahe the ke uss bomb blast me roshni nahi rahi..tum toh iss halat me nahi the ke kuch soch samaz sakho..aur fir hamne ye socha ke unhone apni beti ko khoya he..uss dukh me unhone ye sab kaha riya ko..hame laga sab wahi khatam ho jayega..lekin aisa nahi hua..unko riya pasand nahi ye baat ham samaz gaye the..issliye ab jab tumhari aur riya ki shadi hui toh shadi ke waqt aur roshni ke death anniversary ke waqt meine har mumkin koshish ki ke unko riya se dur rakh sakhu..woh kamyab bhi raha ..woh riya ko kuch nahi keh sakhe..lekin unhone tumse baat ki..


Arjun:-aai mein sach kehta hu..mein na riya ko aise dukhi karna chahta tha na roshni ke parents ko..


Aai:-mein samazti hu beta..issliye keh rahi hu ke riya se baat karo..damsingh bhaisaab ne tgik hi kaha..pati patni ka rishta nazuk hota he..tumhare aur riya ke mamle me ye aur bhi jyada nazuk he..kyo ki past ke bahot kuch ho chuka he..sahi yahi he ke aaj aur aanewale kal ke bare me socho..


Arjun slightly nods..his aai left leaving him lost in thoughts..


Here in hospital:-


Riya wake up n she found the most unexpected persons infront of her..


Riya:-shreekant ji.. chandrakant ji..Liza aap teeno..yaha .?



[MEMBERSONL]

Edited by ariyabestfan - 3 years ago


DO NOT COPY THIS POST AS THIS IS EXCLUSIVE TO INDIA FORUMS


ruhi1985sheetal thumbnail
Visit Streak 500 0 Thumbnail Visit Streak 365 0 Thumbnail + 7
Posted: 3 years ago

Congratulations for new season we'll wait for updates

plmzaq thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago

Congratulations for new thread

Waiting for updates

RainOfDew thumbnail
Posted: 3 years ago

Congrats for new season🥳

Ab aap next week updt doge to at least baki 3 ke updt fast dedo

PoojaRani120 thumbnail
Posted: 3 years ago

Next week to aaj hai na matlab aaj update milne wala tha

balan04 thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Waiting for the update 

Continue soon

Hope to see ariyas love in this 

CheerlessIM thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Congrats for new thread 💐💐💐


Ariya ke dher sare acche acche scene jaldi update krna


😅😅😅

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 3 years ago

Congratulations🎉🥳👏 for the new thread 🤗🤗 Do update soon☺

shah10 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Congratulations 

Waiting for the update