Hello people, a rather interesting weekend, with a dull Saturday and a fiery Sunday. Why do they do this? Isse kehte hai pyaar ka fayda uthana. Veeranshu Singhania ke pyaar ne hamari band baja di re. Lekin suspense maintain kiya hai inn logo ne. Matlab har hafta sala daro ki agle hafte kya hoga. Like really🤔 Anyway, moving on with my take here it goes:
Highlights - Yayyy!!!👍🏼
Meera di - Ye Basanti ki dhanno to kamaal ka daud lagati hai re. Chup chaap rehti hai isliye sab kuch samjhti hai, Bani ka gussa bhi aur Veeranshu ka pyaar bhi. Bani ki madad woh har tareeke se karna chahti hai - chahe woh khud uski madad karna ho, yaa uske behtari ke liye Veeranshu Singhania ki madad karna ho. Aur kaun bolta hai ye chup rehti hai. Kya highlight pe highlight maara hai Meera di ne weekend pe re:
"Tujhe pata hai tune abhi kya kaha...Bani tu kehti hai ke woh tera sabse bada dushman hai, aur tu kehti hai ki main sabse jyaada safe uske saath rahungi"
"Har cheez zor zabardasti se pai nahi jaati. Infact, koi bhi cheez zor zabardasti se pai nahi ja sakti. Haan cheeni zarur ja sakti hai. Lekin uss cheena jhapti me aap jitna tezi se uss cheez ko pakdenge, usse utna hi dard denge, aur utna hi jaldi usse kho bhi denge"
Jisko samajhna hai hai woh samajh jaaye, jo na samjhe woh Bani hai🤣. And special mention to Meera di's thumkas. Special advice, agar agli baar aapko koi dance ke liye pooche na (Tapish or Daksh), haan zarur kahiyega. Bahute mazaa aaya aapka dance dekh ke.🤗
Veeranshu Singhania - Mujhko samajh nahi aata banda kis mitti ka bana hai bhaiyya. Jitna dheeraj (pun intended) ye dikhata hai na Bani ko lekar, kisi aur ke hatthe chadti to by God, dono me se koi ek to pagal khaane chala gaya hota🤪. Lekin jitne dhairya isme hai, utna hi apne upar vishwaas. Aur utna hi vishwaas woh Bani pe karta hai. Infact, woh samajhta hai ki Bani exactly kis tarah ki person hai, uske andar kya uthal puthal chalti hai, woh kya feel karti hai everything. I mean ye banda koi trikaaldarshi hai kya, Kaise Meera ko pucha, "Tum bhi mujhse utni hi nafrat karti ho kya jitna ke Bani",jiska jawaab hum logo ne suna. Ye banda Bani ko pyaar pe padwakar hi maanega, dekh lena. Bani does not have a choice. And uske one-liners by god, highlight pe highlight hai,
"Tu mard nahi, do muha hai double-faced"
"Hoga tu Adi Naag, lekin main bhi Cheel hu, phaad ke phek dunga, mere ek ishaare me cheelo ka jhund tujhko kaha kaha se nochega, tujhko pata bhi nahi chalega. Ab tu dafaa ho ja, ya dinner banja."🤣
Jai and Mayuri - Yaar kuch bhi bolo, ye adh nanga, Adi Nanga aur angry morni kaafi funny hai. Matlab aise faulty plans banate hai, lekin sab ke sab fail ho jaate hai. Lekin unki equation mast hai and dialogues bhi. Like ek dusre ki achche se bajaate hai by God, ufff! Kya cheez hai ye dono. Dono ek dum zadarbast faulty jodi hai. Some of the highlights:
"Woh loser hai to tum kaun si winner ho"😆
"Ponky thoda...tum bhi thoda"🤣
Highlights - Nayyy!👎🏼
Bani's neverending confusion - Yaar Maruti ka commercial yaad hai, "Papa ki karaa, petrol khatam hi nahi hunda"🤣Ye Bani ka kuch yahi cycle chal raha hai, "Veeranshu ki kara, confusion khatam hi nahi hunda". Matlab shuru se lekar ab tak, iss bandi ne sirf misunderstand kiya hai har situation ko aur confusion gift me diya hai khud ko. Madam ke bahut loche hai bhai, bahut loche. Aur sab ke liye she isn't responsible also. Agar saare situations vipreet ho to aisa hona jayaz hai. We can make impressions based on certain experiences, but that also is subject to change. I mean you are living with the person, you will know certain standard things about the person and come to know more. So why is she so dearly holding on to that one incident in a long-forgotten past that shouldn't be brought in the present? Uska dil kehta hai na ki Veeranshu utna bura nahi hai to maan le. Itna ladne ki kya zarurat hai. Maana ki dushman hai, lekin dushman ke bhi achhi aur buri baatein hoti hai. Isme kaaheka confusion. Pyaar hua hai ya nahi mat maano, usko waqt do. Lekin itna to accept karo, ki tumhare impression se kahi alag to hai woh. Ek hi baat pe kyun adi huyi ho, "Tum bure ho, galat ho." Waha se aage bado. Arre dushmani me bhi progression ho sakti hai na bhai. Kaun bol raha ki ek dum pyaar ke sur taal ched do. Lekin ye bandi to tas se mas nahi hoti. Highlight of this is:
"Agar aapko kisi bhi tareeke ka khatra lage na, aap seedhe Veeranshu ke paas chali jaana, usse bas bata dena, woh aapko bachayega aur aapki dhaal banke rahega"
Aur iske baad sirf ek hi emoji sujhti hai humko - BEHEN, CHAHTI KYA HO???
Cheatingbaazi - Haan cheatingbaazi ki hai inn logo ne. Yaar October ka bol kar, November me ghus gaye hai hum log, aur ye Jai ki pol khuli nahi. Bhai kisi ek ki to kholo. 3 mahine to iski aur morni aur taklu Shukku ki gamebaazi me hi nikal gayi. VAni ki shaadi to huyi, lekin ye train to ek hi patri pe chal rahi hai, track change to nahi ho raha hai yaar. Yaar, please hum log itne pyaar se har weekend dedicatedly pahunch jaate hai na, to please ab aap log bhi apna pyaar dikhao, kuch achche track dikhao, jahaan villains ki thodi band baje, Bani kuch naaginworthy kare, aur kitna tadpaoge humko, Ab main gaane lagungi haan, "Hum ko thug kar jo tum jaaoge, bada pachtaoge bada pachtaoge"🤣
Observations:
Okay, so I know there are many who are anticipating a heartbreak for Veeranshu, but mujhko to lagta nahi iss bande ka kuch bhi break ho sakta hai😆Iske dictionary me har cheez ke liye rule hai, lekin Bani ke mamle main woh issi dictionary ko phaad ke phek deta hai😆Kya bola usne Jai ko, "Mujhko Ichchadhaari Naag se nafrat hai". Bhai kidnapping se pehle uska kuch aur hi sur tha, "Mujhko Ichchadhaari Naag aur Naagin se nafrat hai." Jab Jai ne remind kiya Naagin ke baare me, woh bhi soch kar bola "Sabse hai". Aur kya bola Jai ko, "Mera aur Bani ka ek gehra aur purana connection hai" Ab ye har baar ki tarah aise hi bola ya Satyug ke basis pe bola, woh to Shivji jaane. Kyun jhooth bol raha hai Veeranshu. Tere dialogues hamesha kuch aur hi bolte hai tere baare me. Aur haan, Veeranshu ki sabse badi taaqat hi uska pyaar hai. I was wrong that he has to return everything that Bani has lost out on, thanks to his father, but he has been doing that for the longest time. He saved her from the plane crash and he doesn't even know. Nahi boss, kuch bhi keh do, main maan hi nahi sakti ki yeh banda naraaz ya khafaa ya cold ho jaaye. Iski maut aur iska punarjanam mohabbat ke naam hui hai. Ye aadmi kuch alag hi hai guru. Pyaar ki siyaahi se woh Bani naam ke kaagaz pe pyaar ki woh kahaani likhega, ki duniya soch ke bhi hairaan ho jaaye. This man is something else.
Ye Kaalganak ki "maa ki aankh". Jab se show me aaya hai tabse traash macha ke rakha hai. Kabhi behta hai, kabhi nahi behta hai, kabhi ruk jaata hai. Kiss tarah ka ghadi hai be, utha ke patak ke aao kahi kisi kuwe me jaakar. Upar se asli naqli ka bhi locha hai. Bahut achche. Lekin jahaan tak main janti hu, naqli bhale hi beh gaya ho, asli wala bhi chal raha tha jisko chupa diya "Aiyyaya karu me kya Shukku Shukku" ne. Uss takle ki to phursat se dhulai honi chahiye. And ye Poonam ki raat to chali gayi, Markaat ke hisaab se to Veeranshu ko yaad bhi aa jaana chahiye tha aur usko haraana bhi namumkin sa ho jana chahiye tha. Par ab tak mujhko kuch bhi samajh nahi aa raha. Confusion hi confusion hai abhi tak. Veeranshu ka agar koi game hai, toh woh bahut hi safai se khel raha hai bhai ki bhanak bhi na lage.
Ye Veeranshu trying to woo Bani is very weird to me. It's like he is trying to win her over to his side so that he can deal with Jai without interference. I mean, it feels like pehle woh Bani ko safeguard kar dena chahta hai, apni side pe la aana chahta hai, usko uski feelings ka ehsaas dilana chahta hai taaki woh Jai ki achche se khidmat kar sake. Why do his wooing tactics seem like he is making up to her for something? Why does it feel like he knows things about her and is showing things to her so that she trusts him enough to tell him her truth, to trust him enough to confess her inner feelings? His wooing smells of a love trap, but a positive one, not the bad one. Veeranshu's behavior is confusing the hell out of me. Sometimes he behaves like he knows nothing, and sometimes like he knows it all. His ways of wooing her, of taking care of her, of forcing her, everything seems like it is not coming from a place of insecurity, but from a place where he knows things. The way he questioned Jai, that what do you want from Bani, kyun usko laga ki usko Bani se kuch chahiye hi? Aisa to koi impression diya nahi Jai ne. Veeranshu Singhania, deewani to hu main tumhari, lekin woh fida wali nahi, baal nochke bhagne wali deewani hu, kyunki tumhari baatein mujhko ghoomar ghuma dengi, by God.
Dekho, mano ya na mano, Veeranshu Singhania ka koi game plan to hai, kyunki itna siyappa khada hone ke baad Bani phir bhi agar Veeranshu ke saath hai, to jyaada kuch gadbad nahi huyi hai, BTS ke mutaabik. Ye Jai popti sardaar ban ke aaya hai na Navratri me, uska achcha popat banne wala hai.
Well, that's enough from me for now. Please share your views and comments.😊