Aj Jasmin task mai itna bhadki kyun? Rahul ne kuch cheating kiya ho waisa laga nai😕 Verbally intimidate to task mai sab ekdusre ko karte hai and yeh previous seasons mai to isse bhi zyada tha.
Iss task mai gender kaha se bich mai aya?!! Abhi bag ache se to khicha tha , do thappad thodi na laga kar liya tha? And maine dekha finally jab rahul ne bag khicha tab Jasmin and rubi kisi ko chot bhi nai lagi thi.
Aj Jasmin ka kuch samaj nai aya faltu ka bawal kyun kiya😕