Night before the verdict at Anirudh's home
So tomorrow is the hearing day of both Anirudh-Brijwasi’s first case. Ani is upset since the first day of the case after seeing Bonwasi together, he is sitting in his study looking on the wall in unmindful state, suddenly Mini comes there with a cup of coffee n says “Ani baby yeh coffee pe lena aur ha jara sa bhi baki rehna nehi chahiye” 😆
Ani thinking in his mind “Uff phir se nehi! roz roz subah sham iske hath ki yeh bakwas si coffee taste karni parti ha, yeh kafi nehi ki ab raat ko bhi le ayi hai!? 😆 Kaha who meri pyari Bondita ki haat ki tasty coffee main peeta tha ab aur kaha yeh mini ki sara hua coffee peeni parti hai upar se jhuti tareef bhi karni parti hai accha hai bolkar! 😆 Mujhe yaad hai kaise maine Bondita ko pure dus din ghumaya uski coffee taste karne ke liye, who bechari roz mere liye coffee banakar le ati thi subah aur main use bina peeye hi is Mini ke pass daura chala jata tha, aj kitna dukh hota hai yeh soch kar!” 😳
Ani – “Yeh raat mein coffee kyun layi ho tum?”
Mini – “Who sham ko coffee de nehi payi toh ab layi hun, who main club gayi thina”
Ani saying in mind “Wah kya logic hai is bewakoof ki! sham ko coffee de nehi payi toh raat ko thik dinner se pehle yeh mujhe sham ki coffee peela rahi hai! Matlam is idiot ko yaad bhi hai ki abhi raat dus baj gaye hai ya nehi? Kahi nasha karke toh nehi ayi hai na!? Kaka ko pata laga toh sirf ghar sarpe nehi utha lenge sath sath mujhe tana mar mar ke zameen pe gar denge.”🤣
Mini continues “Ani baby kal main subah se lekar sham tak nehi rahungi ghar mein? Kal british club mein tash party hai toh main raat kohi aungi.”🤡
Ani – “Kal ek khas din hai tumhe yaad hai na?”
Mini – “Kaisa khas din?”
Ani – “Kal meri case ka verdict ane wala hai.”
Mini – “Ha toh isme aisi kya khas baat hai? case ka verdict anewala hai par ab toh hamesa hi kisina kisi case ka verdict ayega, tumne law practice karna shuru jo kardiya, toh isme khas kya hai?”
Ani saying in mind “Main bhi kis bewakoof se kya expect kar raha hun! use ye tak nehi yaad hai ki yeh mere pehle case ki verdict hai. Saajna sawarna aur club, market dusro ke ghar gossip karne janeke alawa ise toh kisi aur baat ki khabar hi nehi hoti aur yaad bhi nehi hota.” 😆
Mini – “Accha main kamre mein chalti hun tum coffee pe lena.”
Ani saying in mind “Aj main yeh coffee bahar fekne wala hun, roz yeh samne baitkar yeh check karti hai maine coffee peeya hai ya nehi toh mein fek nehi pata par aj mauka mila hai” 🤣
Next day at Brijwasi’s home
Bondita was praying in front of their mandir n Brij comes there n says to her “Bondita main chalta hun”
Bon – “Accha thik hai pati babu main abhi dugga ma se aphi ke liye dua kar rahi thi ki ray apke hak mehi jaye, aphi yeh case jite, aur yeh prashad le lijiye.”
Brij – “Thank you Bondita, tumhari dua mere saath hai aur sabse badi baat tum mere saath ho toh ray mere paksmein hi ayega.”
Bon – “Aj apke liye do do surprise hai meri taraf se."
Brij – “Accha thik hai main tumhare surprise ka besabri se intezaar karunga, aur ha hw who bilkul bhul na nehi thik hai?”
Bon – “Nehi bhulungi”
Brij – “Thik hai phir chalta hun bye”
Bon – “Bye pati babu”
At court
In the court as usual the verdict went into Brij’s favor n Ani lost the case.😆 Brij was inside talking to his client while Ani comes outside n discovers bon sitting in a chair with a box in her hand.
Ani – “Are Bondita tum yaha?”
Bon – “Ha aj pati babu ke pehle case ka faisla anewala hai toh mujhe toh ana hi tha”
Ani gets upset n sad again hearing the word pati babu for Brij n thinking “Bondita ko yaad hai yeh baat aur itni chinta hai ki court tak chali ayi, uska yeh pati babu abhi bhi mein hi hota par… sigh” 😆
Ani – “Yeh tumhare haat mein kya hai Bondita?”
Bon – “Yeh? Yeh maine rosogulla banaya hai apni pati babu ke liye apne haton se.”❤️
A person comes to talk to Ani so he went on a side, few seconds later he was about to come near Bon again but Brij came so he kept standing there n is hearing their convo, Brij didn’t notice Ani was standing right behind him. Brij is surprised to see bon!
Brij – “Are Bondita tum yaha?”
Bon – “Ha pati babu maine kaha tha na apko surprise dungi, pehle yeh bataiye ki case apne jeeta na?”
Brij – smiling n saying “ Ha Bondita maine kaha tha na tum aur tumhari dua mere saath hai toh case toh main jitunga hi. Yeh kya hai box mein?”
Bon – “Yeh apke liye rosoulla hai, maine apne haton se banaya hai!”
Brij – WOW! Bondita thanks a lot, par tumne parai bunk karke toh yeh sab nehi kiya na? Mujhe pata hai kaise tumne Anirudh babu ke ghar mein unke bhai Batuk se hw karwati thi, kahi tumne yeh Amit se toh nehi karwaya? (his younger brother’s name is Amit) Amit toh hai hi apne boudi ka bhakt tumhe bas bolne ke deri hai aur who saradin baith kar tumhara hw karta rahega ❤️ Batuk ki tarha usse koi kam nikalwane ke liye tumhe kisi karz ki duhai bhi nehi deni paregi aur to aur upar se mujhe pata bhi nehi chalne dega. Par mujhe Anirudh babu ke jaisa bewakoof maat samajh na 🤣 main sabse pehle ghar jakar check karungi tumhari handwriting hai ya Amit ki? Mujhe dono ki handwriting acche se pata hai aur agar who Amit ki nikli toh 2 din tumse koi bhi baat nehi karunga yehi tumhari saza hogi.” 😆
Bon – “Offo pati babu kitna shak karte hai ap! Ha wahi ghar jake check kar lijiye ga kisne likha hai hw, Anirudh babu ko toh pari didi ke alawa kisi aur chees par dhayan hi nehi tha, kisika handwriting pata hona toh bahut door ki baat hai.”😆
Brij – “Ha main janti hun par mera sara dhayan toh chaubis ghante sirf aur sirf tum par hai toh tum bach nehi sakti mujhse aur meri saza se.”
Bon –“ Apko toh meri har chees par dhyan hai, kaise ap ghurte rehte hai mere notebook pe jab mein likhti hun toh! Sare comma, colon, space thik se de rahi hun ya nehi yeh bhi ap miss nehi karte toh handwriting kaise nehi pehchanege. 😆 Is liye keh rahi hun pehle check kar lijiye bad mein saza ki baat kariyega. Main toh do ghante apse baat kiye bina reh nehi pati hun aur do din baat na karna toh bahut bari saza hai! Aise saza mujhe mile aisi koi harkat mein karungi hi nehi kabhi.”❤️
Anirudh as usual sad, upset n hurt hearing their convo says in mind “ha Brijwasi aur Bondita tum dono bilkul thik keh rahe ho mujhe toh Mini ke alawa aur kisi bhi cheez pe dhayn hi nehi tha! Kaise main pakad hi nehi payi ki Batuk tumhara hw karta tha kyunki mujhe toh pata hi nehi uski handwriting kaisi hai! Na mujhe ghar ke koi bhi sadasya ka aur nahi ghar se juri hui kisi aur baat pe dhayn tha aur Bondita pe dhyan dena toh bahut door ki baat thi! Kaise main roz bhaga bhaga jata tha us dhongi Mini ko dance sikhane ke liye! Kitna bewakoof banaya usne mujhe pyar ka wasta dekar! aj usi ki saza bhugat raha hun.”
Suddenly Brij look behind and sees Ani, Bon too looked at him, & Bonwasi was embarrassed since they said a lot about him.😆
Brij –“ Are Anirudh babu ap yaha khare the maine notice nehi ki, sorry woh jo kuch bhi bol rahe the hum….apko bura toh nehi lagana hamare baton ka?”
Ani – “Koi baat nehi mujhe bura nehi laga, waisa bhi kuch galat nehi bola ap dono ne, aur maine jo galti ki usi se toh sikh li apne.”
Brij –“ Ha who toh hai, aur I hope ap bhi apke kiye hua galtiyose bahut kuch sikh chuke hai abtak.” (obviously he is taunting him for choosing Mini over Bon)😎
Ani saying in mind ”Ha Bondita ko chorna aur Mini ko pakarna yeh meri zindegi ki sabse badi do galti mujhe bahut kuch sikha rahi hai mere har kadam par”😳
Bon – Interrupts n says “pati babu main kabse rosogulla liye khari hun aur ap hai ki idhar udhar ki batein kiye ja rahe hai.”
Brij –“ Oh sorry bondita lao do rosogulla mere haat mein”
Bon – “Nehi apke haat mein nehi dungi jara niche jhukiye”
Brij –“ Kyun?”
Bon – “Main apne haton se apke muh mein dalungi”
Brij – “Are bapre maine kabhi ek pura ka pura rosogulla muh mein nehi dala! mere haat mein dedo”
Bon – “Nehi main khud khilaungi aur pura ek rosogulla hi ekhi bari mein apko khana hoga, nehi to main muh phula rahi hun bas”❤️
Brij- “Accha thik hai ab khud rosogulle ki tarha muh mat phulao, waise bhi main apni pyari patniji ki baat thodi taal sakti hun” ❤️
She put one whole rosogulla inside his mouth, he struggled chewing it but managed to finished it. Ani is seeing all these n his heart is burning with jealousy.😈
Bon – “Kaisa hai pati babu? Dukan ki tarha swadisht ya bura?”
Brij – “Dukan se bhi karoro guna accha, itni acchi rosogulla maine zindegi mein nehi khayi sach mein!”❤️
Ani - interrupt n says “Bondita mujhe nehi dogi ek rosogulla?”
Bon – “Nehi yeh sab mere pati babu ke liye layi hun, ek bhi dunga toh unhe bura lagega aur kum ho jayega” 🤣
Just imagine Ani’s sari hui shakal! 🤣
Brij – laughing n saying “Are nehi Bondita ek dogi toh mujhe bilkul bhi bura nehi lagega aur main itni sari rosogulla ek sath thodi kha sakta hun?”😆
Bon – “Nehi khani padegi ghar jate jate yeh sab khatam karna hoga apko”
Brij – “Accha thik hai khatam kar lunga agar tum sath dogi toh, par ab ek rosogulla tum Anirudh babu ko dedo”
Bon – “Rosogulla khane mein sath dene se mana karsakti hun kya main kabhi, aur ap kehte hain toh de deti hun Anirudh babu ko ek rosogulla”😆
Bon giving one rosogulla & Ani taking it with a big smile on his face n saying in mind “Tumhare hat ka rosogulla taste karne milgaya ab main case harneka gum bhul sakta hun”🤣
Ani – saying to Brij “Waise mujhe yeh sun kar accha laga ki ap Bondita ko koi bhi ghar ka kaam nehi karne dete sirf uski padai pe dhyan dete hai, warna mere ghar mein toh hamesha kaka uske piche pare rehte the ghar ka kaam sikhane ke liye”
Brij – “Are nehi yeh baat nehi hai ki padai ki wajah se main use ghar ka kaam nehi karne deta, aur apke kaka ne jo bhi kiya bilkul sehi kia. Apke ghar mein ek kakaji hi toh the jinhone bondita ko dil se apnaya tha bahu ke rup mein apki patni ke rup mein, isiliye who Bondita ko ek kushal grihini banana chahte the, ghar ki malkin banana chahte the jo ki bilkul sehi tha, kyunki apke ghar ko ek bahu ki aur use us ghar ki zimmedari lene ki bahut zaroorat thi ghar ke sare sadasya ko sambhalne ke liye, apki ma bahut pehlehi ap logo ko chor ke chali gayi thi toh woh Bondita ko apki maki jo jagah thi us ghar mein wohi dilana chahte the toh isme kuch galat hohi nehi sakta. Mere ghar mein meri ma abhi hai yeh sab karne ke liye, hum sabko sambhal ne ke liye isliye main Bondita ko kuch nehi karne deta hun taki use zyada samay mile padai karne ke liye.❤️ Waise i hope apki nayi patni Saudamini apke ghar Bondita se bhi zyada acche se sambhal rahi hai? Akhir woh Bondita se badi hai toh woh bachpan se ghar ka kaam sikhti ayi hogi.”🤓
Ani saying in mind “Mini karegi ghar ka kaam? Woh toh khudko kisi rajje ka maharani samajhti hai! Shaadi ke bad sirf do din khana banaya sorry woh bhi khud apni haton se nehi banaya usne bola kya kya kitna dalna hai aur Koyeli ne pakaya, aur woh ganda sara hua khana khake hum sabki jo halat hui uske bad kaka ne kaha ki main tumhe sikhaunga khana banana 🤣, toh tisre din jake apne baba ko le ayi yeh bulwane ke liye ki uski beti se koi khana-wana na banaye koi bhi, aur phir uska sabke liye khana bananeka safar toh wohi khatam hogaya! 😆 Ghar toh zayatar rehti hi nehi ghar ko kya sambhalegi? Use mere ghar ke kisi bhi sadasya ka koi bhi khabar nehi rehti hai kabhi bhi aur parwa bhi nehi hai unki.” 😳
Brij – Seeing Ani unmindful calls “Anirudh babu? Kya hua kis soch mein pad gaye?”
Ani – “Kuch nehi”
Bon – “Pati babu chailye na ab ghar chalte hai bahut der hogayi hai, aur ghar jakar ek aur surprise bhi toh dena hai apko mujhe”
Brij – “Accha thik hai chalte hai mujhe bhi tumhare surprise ka wait nehi ho raha hai. Accha Anirudh babu toh hum chalte hai yeh case ap nehi jite par koi baat nehi agle case ke liye bahut si shubkamnaye.”
Bon – “Anirudh babu agla case lene se pehle apke virudh kaun ladega yeh zaroor check kar lijiyega, kyunki agar mere pati babu honge toh woh case bhi ap har jayenge, mere pati babu ek acche wakil hai sirf isliye nehi kyunki unke saath main, meri dugga ma aur meri dua hai hamesha toh woh toh koi case harenge hi nehi.”😆
Bonwasi left & Ani was looking at them sadly n remembering bons words “Ha Bondita tumhare saath saath toh meri se zindegi sab accha kuch chala gaya hai! Kyunki tum apne saath apna dua, apna dugga ma, apna wish sab kuch lekar chali gayi aur woh sab ab Brijwasi ke liye hai sirf !“
Old Posts -
1. The Making of Bondita+Brijwasi = Bonwasi - https://www.indiaforums.com/forum/barrister-babu/5177932/os-the-making-of-bondita-brijwasi-bonwasi
2. Bonwasi & Anirudh (Courtroom Scene Part-1) - https://www.indiaforums.com/forum/barrister-babu/5178107/os-bonwasi-and-anirudh-courtroom-scene-part-1