Baba nahi maan rahe hai meri baat
Yeh hai hum dono ki aakhri mulaqat
Kismet ko hum nahi de sakte hai maath
Bas yaheen tak tha hum dono ka saath
Control me layiye apne jazbaat
Rohan be de diya hai aapka pattha kaat
Ab rohan khilayega mujhe maggi aur aloo chaat
Mallika ke saath please math maniye suhagraat
Baniye aatmnirbhar, bhagwaan ne diye hai aapko do do haath
For expert advice on this matter contact Dr Rangnath
Unhe roz bhaghathi hai anji apne se door marke laath
Main bhi karoongi zindagi ki nayi shuruat
Rohan layega mere ghar baraat
Bidayi ke baad baba ne kar diya hai mujhe paraya
Berozgar Rohan nahi bhar pa raha hai ghar ka kiraya
Ab bas aapka hi hai sahara
Kyun na milne lage hum dono dobara
Hrithik aur aishwarya ki tarah hum gayenge jashn-e-bahara
Aapne bhi tha kabhi mujhpe dil haara
Aap hi khareed ke dijiye mujhe saadi, lehenge aur sharara
Pakode tal ke doongi ek dum karara karara
Ek beta hoga humara jiska naam hum rakhenge Dulara
Woh hoga hum dono ki aankhon ka tara
Humari nayi grahasti ko dekhkar jalne lagega Rohan bechara
Usko bhi rehne dete hain hamare hi ghar
Pyaar Se rahenge ek hi chath ke neeche mere dono dilbar
Iss baat ki dadi bua ko na ho khabar
Garden me hi khod degi woh hum sab ki qabr
🤣