HELLO FRIENDS.
HERE IS THE NEXT PART.
*************************************************

************************************************
CHAPTER 19
[NEXT DAY]
[EARLY MORNING]
Abhi sirf morning ke 5 baj rahe the. Fresh hone ke baad Sakshi apna phone leti hai, thand ki wajah se shawl odhti hai and bahar jaati hai. camp pe bahar koi nahi dikh raha tha. Vo river ki aur chali jaati hai. river tak pohchke vo waha rakhi stone bench pe bethti hai. uske hath me vo photo bhi hai. kuch waqut vo photo dekhti hai. tears roll down on her cheeks. She wiped her tears and dial number. Samne se phone pick hota hai. sakshi kuch nahi bolti.
LADY: hello sakshi
SAKSHI: apko kaise pata chala me hi hoon
LADY: aaj ke din itni subah subah tere allawa mujhe aur kon yaad kar sakta hai...pure saal aaj ke din ka intezaar karti hoon...pure saal mein ek din teri awaj sunti hoon... (Become emotional) yaad nahi aati tujhe meri?
SAKSHI: noor aapa (AAPA means sister) apki to bohat yaad aati hai
AAPA: iss liye phone bhi nahi karti
SAKSHI: himmat nahi hoti hai, dar lagta hai ki apki awaj sunker apke pass aane se khud ko rok nahi paungi
AAPA: to aaja naa ek baar
SAKSHI: Nahi Aapa...ab wapas nahi aa sakti..chod aayi hoon sab..
AAPA: accha yeh chod..yeh bata kaisi hai tu?
SAKSHI: me theek hoon, aap kasi hai?
AAPA: me thik hoon, bas yaha hospital me pura din idhar udhar ghumti rehti hoon
SAKSHI: aur Ashraf jiju?
AAPA: me patient ke liye idhar udhar bhagti hoon aur vo mere piche bhagte hai.
Sakshi laughs.
SAKSHI: kya Aapa... kabhi to chod diya karo unko...kyun unko pareshan karte ho?
Aapa smile karte hai.
SAKSHI: Aapa kya hua? boliye naa...
AAPA: teri hasi sunke aaj bohat sukoon mila hai...kaise tu pehle aise hi pura din hasti kehlti rehti thi...waqut kitna jaldi badal jaata hai...tu choti si thi aur me tere sath khela karti thi aur aaj kitni badi ho gayi...aur kamnasibi to dekh gale se bhi nahi laga sakti
Sakshi give faint smile.
SAKSHI: hospital kaisa chal raha hai?
AAPA: accha chal raha hai, doctor sahab the tab ki to baat hi aur thi, ab to koshish karti hoon ki unki kami kuch had tak kam kar paaun
SAKSHI: aap sab kuch bohat acche se handle karte ho
AAPA: tujhe mail kiya tha, tune koi jawab nahi diya...
SAKSHI: Aapa vo mail mere kaam ka nahi tha...mujhe vo dekhne ki koi jarurat nahi hai...aur aapko ek baar phir keh rahi hoon mat bhejiye mujhe vo sab
AAPA: kaise naa bheju? Tera haq hai...
SAKSHI: vo mera haq hai bhi to uska pura haq maine bohat pehle aapko de diya hai
AAPA: zemmedariyon se bhagne se vo badal nahi jaati
SAKSHI: naa to me bhaag rahi hoon aur naa hi kuch galat kar rahi hoon...
Aapa took deep sigh.
AAPA: ghar pe sab kaise hai? kaha hai anishji aur bhavnaji aur Abhas aur Diya kaise hai?
SAKSHI: sab theek hai, vo actually me college trip pe ooty Aayi hui hoon iss liye apki baat nahi karva paungi
AAPA: aree waah tu ooty main hai, chal theek hai ghum acche se...
After thinking something....
AAPA: aaj ke din tu akeli waha hai... sambhal legi na khud ko?
SAKSHI: nahi pata Aapa.. aaj ke din juthi hasi banaye rakhna bhi musquil hone wala hai...
Aapa ko koi awaj deta hai.
AAPA: ek case hai..patient ko hosh aa gaya hai...jaana hoga
SAKSHI: koi baat nahi Aapa... apna khayal rakhna..aur jiju ka bhi...aur unko meri yaad dena
AAPA: tu bhi khud ka dhyan rakhna..
They disconnect call. Sakshi take deep breath. Vo Apne bade papa ko call karti hai.
SAKSHI: good morning bade papa
BADE PAPA: good morning beta..kaisi ho?
SAKSHI: theek hoon..aap sab?
BADE PAPA: ham sab bhi theek hai.
SAKSHI: kab jaa rahe hai aap sab?
BADE PAPA: 11 baje ka time diya hai
SAKSHI: kaash me waha hoti
BADE PAPA: tu yaha nahi hai lakin janta hoon tera man yahi pe hai...aur phir dil se nikli dua kabhi khali nahi jaati hai....
SAKSHI (sobbing): aapki bohat yaad aa rahi hai aur mumma papa ki bhi
BADE PAPA: aree pagal ro kyun rahi hai, aise nahi rote..tu to meri strong bacchi hai naa? Aur bhul gayi Anand kya gaana gaata tha “rona kabhi nahi rona chahe....” (this song is from movie“APNA DESH”)
SAKSHI (with sobs and smile): “chahe tut jaaye koi khilona”.....haan yaad hai
BADE PAPA: to chal ab aansu poch de aur apne dosto ke saath enjoy kar...
SAKSHI: Ghar me sab ko meri yaad dena..
BADE PAPA: theek hai...tu bhi apna dhyan rakhna. bye beta
SAKSHI: bye.
Vo call disconnect karti hai and wapas photo dekhne lagti hai. long time tak sakshi wahi bethi rehti hai.
[AT CAMP]
[AT 7 AM]
Sab uth gaye hai and jaha sab breakfast karne wale hai waha bethe hue hai.
AISHA: aaj to kuch jyada hi thand hai
RIYA: haan yaar
SHREE: aaj ka kya plan hai?
SAMEER: aaj sham ko wapas hotel jaana hai naa..kal party hai so bas aaj yahi ruk kar party ke final preparations dekhenge
SHREYA: hmm so aaj camp pe hi din bitne wala hai
ARJUN: yup... accha hai sab sath rahenge aur masti karenge
Liza kab se idhar udhar dekh rahi hai and thodi pareshan hai.
CHOTU: Liza kya baat hai? kab se pareshan ho
LIZA: arre yaar vo actually sakshi.... (cutting her short)
ARJUN (tensed): sakshi? Kya hua sakshi ko?
KARAN: haan sakshi kahi dikh nahi rahi..tent me hai kya?
LIZA: nahi yaar me jab uthi to vo tent me nahi thi..kab se dudh rahi hoon kahi dikh nahi rahi hai...sakshi to jaldi uthti hi nahi hai aur aaj jab me 6 baje uthi to vo nahi thi
SAMEER: aur tum hame ab bata rahi ho?
LIZA: mujhe laga camp pe kahi hogi..but vo yaha bhi nahi dikh rahi..
ARJUN: aise kaha jaa sakti hai vo?
KARAN: hame usko dundhna chahiye
SHREE: right chalo
Vo sab khade hone hi wale the ki sakshi waha aati hai. sakshi unko dekhti hai and immediately compose herself and smile karti hai.
SAKSHI: good morning everyone
AISHA: sakshi kaha chali gayi thi?
LIZA: haan bata ke bhi nahi gayi?
SAKSHI: vo actually....river ke pass gayi thi... mausam accha hai naa to socha taazi hawa main bethti hoon
KARAN: bata kar chali jaati...yaha sab kitna dar gaye the...
SAKSHI: I am sorry... sab so rahe the to kisi ko disturb nahi kiya
LIZA: aaj teri morning itni jaldi kaise ho gayi?
SAKSHI: v..v..vo neend nahi aa rahi thi iss liye...
SHREYA: accha forget it, chalo sab breakfast karne wale hai
SAKSHI: nahi... me aaj breakfast nahi karungi
Everyone see her with confusion.
LIZA: kyun?
SAKSHI: vo aaj mera vrat hai
SHREE: vrat? Ohh haan aaj to Monday hai... (in teasing tone) ohh to tumne aaj shivji ka vrat rakha hai...aree bolo to kaisa pati chaiye ham dundh ke layenge kyun friends?
Everyone laughs.
SAKSHI (with faint smile): accha aap sab nasta kar lo me tent me jaa rahi hoon
AISHA: nasta nahi kar rahi lakin sab ke sath Betho to sahi...
SAKSHI: aap sab nasta kar lo...me tent main hi to hoon... actually kab se bahar bethi hui thi to ab dil kar raha hai thodi der leat jaaun...
Aisa kehker vo waha se chali jaati hai.
CHOTU: isse kya ho gaya hai?
RIYA: bola to sahi sona chahti hai... ab hum nasta kar sakte hai?
Sab bethte hai and breakfast start karte hai and baate karne lagte hai.
ARJUN (mind): Sakshi kuch weird behave kar rahi thi...I don’t think ki vo theek hai...kuch alag sound kar rahi thi... (second thought comes in his mind) maybe me kuch jyada hi soch raha hoon... agar aisa hota to atleast aisha yaa liza se to vo share karti...
All finished their breakfast and after that everyone divided work in groups and start preparations for party. Shreya and karan jaha party hone wali hai waha jaate hai. Aisha and sameer party ke liye script ready kar rahe hai. Riya and Arjun party ke liye games plan kar rahe hai and shree and chotu games ke baad jo gifts dene hai vo lene jaate hai. Liza party ke liye songs and all arrange kar rahi hai but sakshi is missing. Vo abhi bhi tent main hi hai. liza song ke liye confused ho jaati hai so vo sakshi ke pass jaane ka sochti hai.
[IN TENT]
Liza tent me aati hai.
LIZA: sakshi...
But vo dekhti hai ki sakshi so rahi hai. sakshi liza ki awaz sunke aankh kholti hai.
LIZA: sakshi...sakshi so gayi kya?
Sakshi thinks something.she close her eyes to Pretend that she is sleeping. Liza pass aati hai and sakshi ko sote dekh chali jaati hai. uske jaane ke baad sakshi eye open karti hai and tear escape from her eyes.
SAKSHI: sorry lizu...aaj me akele hi theek hoon
She wiped her tears and getup. Vo bag se tape recorder nikalti hai and usko leke bahar aati hai. she look here and there. vo uske friends main se kisi ko bhi waha nahi dekhti and take a sigh of relief. Vo waha se nikal ke one side jaati hai. kuch waqut chalne ke baad vo ek jagah ke pass pochti hai. waha railing karke aage rasta bandh kiya gaya hai because aage gehri khai hai. vo waha railing ke pass khadi rehti hai and start thinking.
[FLASHBACK]
Srinagar, Kashmir.Beautiful place. Ussi sheher main Ek bada ghar hai. Iron Gate hai jiske pass wali wall pe name plate laga hua hai. “Dr. ANAND KAUL”. Garden hai jiss main kuch bohat hi expensive wood benches and chairs hai. uske bich ek bada table rakha hua hai. Garden main hi ek side 2 car khadi hai. Garden main bohat sare beautiful flower plants bhi hai jisse garden ka view aur accha aa raha hai. Poore ghar ke ass-pass wall bana ke boundary banayi hui hai.

Ghar ke main doorse ek choti girl apne pink teddy bear ke sath dodte hue bahar aati hai and uske piche ek man dodte hue bahar aate hai. she is around 5 year old.
SAKSHI: papa mujhe pakad ke dikahuo...
PAPA: accha to mujhe challenge diya jaa raha hai? ruko abhi pakad lunga...
Sakshi and uske papa pure garden mein dod lagate hai, finally papa apne knees pe beth jaate hai.
PAPA: aacha baba me haar gaya... bas ab nahi doda jaata.
Sakshi unke pass akar hasne lagti hai.
SAKSHI: kya papa phir haar gaye?
Papa make puppy face. Mummy bhi waha aate hai.
MUMMY: khatam ho gayi aap dono ki morning race?
SAKSHI: mumma dekho, papa phir haar gaye
Mummy papa ko dekhte hai and smile karte hai.
MUMMY: haan kyun ki apke papa ki ab umar ho gayi hai
PAPA: geeta....
Aapa bhi waha aate hai.
AAPA: doctor sahab apne to meri naak kata di...kal maine kaha tha ki aap jitne wale hai lakin aap haar gaye... ab punishment ke liye ready ho jaiiye
Papa scooped sakshi in his arm.
PAPA: aacha boliye aaj princess ki kya punishment hai...
SAKSHI: aaj aapko mujhe ice cream khilani padegi
MUMMY: no bilkul nahi... kal raat ko snowfall hua tha...itni thand hai aur aaj ice cream... sochna bhi mat
Sakshi make face.
PAPA: haan tumhari mummy sahi keh rahi hai...Aaj jab Aapa ke sath tum ghumne nikalogi to hum ice cream bilkul nahi khayenge ok.
Sakshi unko dekhti hai. papa winks and sakshi khush ho jaati hai. Aapa bhi papa ka ishara samj jaati hai.
[AFTER 3 HOURS]
Sakshi, Aapa and papa ice cream shop ke bahar hai.
SAKSHI: papa butterscotch
Papa usko butterscotch leke dete hai. aapa and papa bhi sakshi ke sath ice cream lete hai and waha ek table pe bethke khane lagte hai.
PAPA: pasand aaya meri princess ko?
SAKSHI: yes papa
AAPA: doctor sahab agar bhabhi ko pata chala naa to aap to gaye samjiye
PAPA: kyun bhai? Tumhe lagta hai me unse darta hoon?
Aapa smile karte hai but papa ke piche mummy ko khada hua dekhke her smile get vanished. Mummy ishare se kuch bhi bolne se mana karte hai.
PAPA: aur phir unhe batayega kon?
SAKSHI: papa...yeh Aapa hi bol dete hai
PAPA: noor tumhe abhi se bol raha hoon usko mat batana...darta to nahi usse lakin tum to janti ho na usse...unka gussa thodi der me satve asaman pe pohch jaata hai
Aapa kuch na bolne ka ishara karti hai.
PAPA: kya hua? Aise sar kya hila rahi ho
AAPA: vo apke piche...
PAPA: piche kya? Koi bhoot dekh liya kya?
Saying this vo piche dekhte hai and mummy ko dekhke unke hath se spoon gir jaata hai and vo khade ho jaate hai.
PAPA: G..g..geeta tum yaha
Mummy looks him with angry face.
PAPA: tumne kuch nahi suna...hai na?
Mummy raised her eyebrows.
PAPA (murmuring): accha to sun liya... (to mummy) me to majak kar raha tha
MUMMY: noor keh de inse...mujhe inse koi baat nahi karni hai
Papa hold mummy’s hand and make her sit.
PAPA: kya aap bhi har baar gussa ho jaati hai...kabhi apne pati se pyaar bhi jataya kijiye....
Mummy glared at him.
PAPA: pati ki naa sahi doctor ki baat maan lijiye..gussa karna sehat ke liye bilkul accha nahi hota
MUMMY (with smile): samj gayi
PAPA: good...very good...aap humari sab se smart patient hai.
MUMMY: ji mujhe apse ek aur advice chahiye thi
PAPA: boliye
MUMMY: mere jo pati hai na...
PAPA: haan kya hua unhe?
MUMMY: vo umar badhne ke sath pagal hote jaa rahe hai...dimagi bimari ki medicines hai aapke pass?
Aapa and sakshi laughs.Papa do no ko look dete hai.
MUMMY: princess maine mana kiya tha naa ice cream ke liye phir bhi aap aayi...apko thand me bohat jaldi zukam ho jaata hai naa
PAPA: kabhi kabhi chalta hai
MUMMY: aap chup rahiye..aap meri beti ko bigad rahe ho..
PAPA: aap bhul rahi hai yeh meri bhi beti hai
AAPA: jaane dijiye na bhabhi...
MUMMY: haan aap ki hi kami thi...yeh jo aap tino ki ishare baazi chalti hai na mujhe sab pata hai
Papa ice cream lete hai and phir mummy ko offer karte hai.
PAPA: yeh lijiye aap yeh khaiiye...jab gussa aa raha ho to thandi thandi ice cream kha lena chahiye kyunki..
SAKSHI: usse gussa pighal jaata hai
PAPA: correct
Papa mummy ko ice cream khilate hai.
PAPA: gussa pighal gaya naa? Hai na?
MUMMY: nahi
Papa makes a face.
MUMMY: puri ice cream khilani padegi
Everyone smiles. Sakshi papa ke sath hifi karti hai and full family ice cream enjoy karte hai.
[FLASHBACK OVER]
Sakshi ke face pe smile hai.
[AT CAMP AREA]
Yaha sab work main busy the. Aisha and sameer Arjun and riya ke pass aate hai.
AISHA: bhai script ready hai...aap bhi dekh lo
Vo paper Arjun ko deti hai.
ARJUN: good...humare games bhi ready hai.
SAMEER: liza kaha hai?
Liza waha aati hai.
LIZA: song ready hai.
RIYA: hum jo perform karne wale hai vo?
LIZA: vo maine alag kar diya hai...specky ab usko acche se edit kar dega
SAMEER: good, yeh sab to ho gaya
AISHA: i think hume apni performance ka ek baar rehearsal karna chaiye
LIZA: haan mujhe bhi yahi lagta hai
ARJUN: agar tumko yahi lagta hai to theek hai
SAMEER: baki sab?
RIYA: abhi hum free hai to hum karte hai...unke aane ke baad unke sath wapas kar lenge
SAMEER: theek hai
AISHA: Hey where is chiki?
LIZA: vo tent main so rahi hai.
ARJUN: iss waqut?
LIZA: haan may be jaldi uth gayi thi iss liye
AISHA: me usse uthake leke aati hoon
Everyone nods. Aisha tent main jaake dekhti hai but sakshi waha nahi hai. vo bahar aakar baki area dekhti hai but sakshi kahi nahi thi. Vo jaldi se Arjun and baki sab ke pass aati hai.
SAMEER: kya hua?
AISHA: vo sakshi...sakshi kahi nahi hai
ARJUN: what?
LIZA: vo tent main hi so rahi thi
AISHA: haan lakin vo ab waha nahi hai, maine ass pass sab jagah dekha lakin vo nahi hai kahi pe bhi
RIYA: subah bhi aise hi chali gayi thi...ab wapas bhi gayab ho gayi..had hai yaar... usko kya lagta hai humare pass usko dhundhne ke allawa koi kaam nahi hai...
LIZA: hume river ke pass dekhna chahiye
Vo sab river ke pass aate hai but waha bhi sakshi nahi thi. Sab wapas camp aate hai and alag alag hoke sabse puchte hai. Arjun ko ek girl rasta batati hai and kehti hai ki usne sakshi ko uss side jaate dekha hai. Arjun kuch bhi bataye bina uss side chale jaate hai.
[SAKSHI]
vo tape recorder dekhti hai and usko play karti hai.
[FLASHBACK]
Sakshi apne papa ke sath chhat pe hai. she is siting in papa’s lap. Thandi hawa chal rahi hai and chaaro aur shanti hai because curfew laga hua hai. sakshi ke hath main tape recorder hai jo on hai.
SAKSHI: papa aaj sab shop wapas kyun bandh ho gayi?
PAPA: kyuki...
SAKSHI: phir se bure man aa gaye?
PAPA: princess insan bura nahi hota...vo jo work karta hai vo bura hota hai...chahe jo bhi ho jaaye kabhi insaaniyat nahi chodna
SAKSHI: ji papa main samj gayi...par papa mujhe yeh shanti acchi nahi lagti...
PAPA: kyun? Mujhe to yeh shanti bohat acchi lagti hai
SAKSHI: nahi shor bohat accha hota hai... sab haste hai...sath milke games khelte hai...enjoy karte hai to maja aata hai...apko shanti kyun pasand hai?
PAPA: kyun ki mujhe lagta hai ki koi bhi khubsoorat cheez tabhi tak khubsuroot lagti hai jab tak vo shant hoti hai.
Papa ek baar piche dekhte hai phir slowly bolate hai.
PAPA: ab tumhari mumma ko hi dekh lo
Sakshi hasti hai.
PAPA: chalo ab room main chalte hai...princess ko sona bhi hai na?
SAKSHI: haan par apko story sunani padegi
PAPA: theek hai...
[FLASHBACK OVER]
Recorder stop ho jaata hai.
SAKSHI: i am missing you mumma papa...
tabhi waha arjun aate hai.
ARJUN: sakshi...
Sakshi Arjun ki awaz sunke shocked ho jaati hai. vo jaldi se apne aansu saaf karti hai piche dekhti hai.
SAKSHI: aap yaha?
ARJUN: yeh question mujhe tumse puchna chahiye...tum yaha kya kar rahi ho?
SAKSHI: kuch nahi...accha nahi lag raha tha so yun hi ghumne nikli thi phir yeh jagah mili to yaha ruk gayi.
ARJUN: koi baat hai kya? Kuch pareshan lag rahi ho..
SAKSHI: pareshan..nahi..nahi to...me theek hoon.
ARJUN: sure?
SAKSHI (with smile): Sure.
ARJUN: accha to chalo, sab dance ki rehearsal karne wale hai
SAKSHI: aap kariye...mera man nahi hai
ARJUN: oh come on sakshi...kya man nahi hai...subah se kya ho gaya hai tumhe...chalo ab
SAKSHI: please...mujhe sach main man nai hai...kuch waqut yahi rehna chahti hoon
Sakshi turn opposite to Arjun. He noticed that sakshi ke hath main kuch dekhte hai.
ARJUN: yeh hath main kya hai?
Sakshi unko dekhti hai. sakshi dekhti hai ki Arjun ki najar uske hath pe hai. vo tape recorder chhupati hai.
SAKSHI: kuch bhi nahi hai
ARJUN: maine dekha...
SAKSHI: kaha na kuch nahi hai
Vo aage aate hai but sakshi piche chali jaati hai. iss aur baki sab bhi waha pohchte hai.
ARJUN: kya baat hai? aisa kya hai jo itna chhupa rahi ho
SAKSHI: kaha na apse...kuch nahi hai
ARJUN: aisa hai to dikha kyun nahi rahi?
Vo sakshi ke hath se recorder lene ki try karte hai and sakshi continuously chhupane ki try kar rahi hai. kuch waqut baad Arjun ke hath main recorder aa jaata hai.
ARJUN: recorder...kya sakshi yeh bhi kuch chupane wali cheez hai?
SAKSHI: mujhe vo wapas dijiye...
Vo recorder lene jaati hai and ussi bich khicha-taani me vo recorder niche khayi main gir jaata hai. sakshi is stunned. Vo khayi ki aur dekhti hai...words got stucked in her throat. Arjun see her.
ARJUN: i am really very sorry...
But sakshi kuch nahi bolti. Arjun turn her to his side. sakshi ro rahi hai.
ARJUN: sakshi why are you crying? Tumhe recorder pasand hai? ok hum naya le lenge..same aisa hi...i promise
Sakshi push him.
SAKSHI: no...nahi chahiye...kuch nahi chahiye, aap please mujhe akela chod djijiye
ARJUN: but
SAKSHI: please...leave me alone
Vo wapas railing ke pass jaati hai. Arjun sochte hai ki yeh sahi waqut nahi hai baat karne ka so turn leaker jaane lagte hai. vo piche baki sab ko dekhte hai. this side sakshi....
SAKSHI: mujhe dhundhna hoga...vo nahi kho sakta...har haal main mujhe vo chahiye
Vo railing ko cross karne ki koshish karti hai. aisha, liza ,riya and sameer yeh dekhte hai.
SAMEER (loudly): sakshi....what are you doing
Arjun bhi sakshi ko dekhte hai and uske pass jakar sakshi ka hath pakad lete hai.
ARJUN: sakshi...kya kar rahi ho...
SAKSHI: chodo mujhe...mujhe usse dhundhna hai
ARJUN: sakshi...
SAKSHI: chodo mujhe....
Vo chutne ki try karti hai and ussibich vo girne wali hoti hai. sab dar jaate hai but Arjun pulled her and save her. others take sigh of relief.
ARJUN (angrily): what the hell sakshi...gir jaati abhi
baki sab bhi unn dono ke pass aate hai. sakshi khayi ko dekh rahi hai aur wapas uss side jaane ki koshish karti but Arjun hold her tightly.
ARJUN: sakshi ho kya gaya hai..hosh me aauo..are you mad?
SAKSHI (shouting with pain and anger): yes i am mad. how dare you? kyun kiya aise? Mene kaha tha naa ki kuch nahi hai phir bhi apne zidd ki...kyun? ab me kya karungi?
ARJUN: sakshi dusra recorder le lenge... maine kaha na...i promise aisa hi lenge
SAKSHI: apke pass honge bohat saare paise lakin sab cheez paiso se nahi laayi jaa sakti...
ARJUN: to kya chahti ho tum? Uss ek stupid tape recorder ke liye khayi me kud jaauogi?
SAKSHI (shout): koi mamuli recorder nahi tha vo...bohat khass tha..bohat ghera rishta tha uske sath...
ARJUN: look i can understand but...
SAKSHI: nahi samj sakte aap... aap ko ehsaas bhi nahi hai ki aaj maine kya khoya hai...aaj ek baar phir sab kuch kho diya maine....sab kuch...12 saal pehle aaj ke hi din maine mumma papa ko humesha ke liye kho diya tha
Everyone look her with shocked.
SAKSHI: aur aaj unhe wapas kho diya...
She looked at Arjun.
SAKSHI: vo recorder mere mumma papa ki aakhri nishani thi....uss recorder main bohat sari yaadein recorded thi...yaha khadi hoke vo sun rahi thi...ek baar phir uss bachpan ke dino ko jee rahi thi jab mumma papa sath the...pray kar rahi thi unke liye...lakin sab khatam ho gaya...sab kuch...
Vo wahi beth jaati hai and rone lagti hai. Arjun ko kuch samj nahi aa raha tha. Vo sakshi ko aise dekhke khud heran the. Arjun feel like someone stabbed his heart. Sakshi is crying uncontrollably. Sameer, aisha, liza and riya looked at each other.
SAKSHI (scream with pain): kyun...kyun chale gaye aap mumma papa...kyun
hearing sakshi’s painful scream, everyone shakes from their core. Arjun sakshi ko without any expression dekhte hai. vo waha sakshi ke pass bethte hai. Her condition is vulnerable. Sakshi hold him by his collar.
SAKSHI: aap naya recorder to le aayenge lakin unki yaad kaise wapas layenge....vo yaadein meri Zindagi hai. (shook him) ab kaise jiungi me? Mar jaungi me
ARJUN: sakshi aise nahi bolte....
Arjun hug her tightly. Sakshi also hug him and cry loudly. Sakshi ki aisi condition sab ke liye unbelievable thi. Sab ne usko humesha haste, masti majak karte hue dekha tha. Sakshi ki yeh halat sab ko dard de rahi thi. Kuch waqut tak Arjun aise hi bethte hai. phir unko mehsoos hota hai ki sakshi kuch movement nahi kar rahi hai.
ARJUN: sakshi...
But sakshi koi javab nahi deti. He partially parted from her and see her. her eye is closed.
ARJUN: sakshi...
He shook her and pat her cheeks but vo nahi uthti.
AISHA: lagta hai faint ho gayi hai.
SAMEER: hume jaldi se camp jaana chahiye
Arjun scooped her and sab camp aate hai. iss aur shree, chotu, karan and shreya bhi aa gaye the and sab ko dhundh rahe the. Vo dekhte hai ki sab aa rahe hai and sab pareshan hai. phir vo log Arjun ko dekhte hai. chaaro unke pass jaate hai.
KARAN: shera kya hua sakshi ko?
ARJUN: baad main baat karenge
Sab sakshi ke tent me aate hai and usse sulate hai. sameer professor se baat karke doctor ko bulane ke liye kehte hai. sab sakshi ko uthane ki try karte hai but vo nahi uthti. Riya and Aisha baki team ko batate hai ki kya hua. Arjun sakshi ke pass bethe hai. after some minutes doctor waha aate hai and sakshi ko check karte hai.
DOCTOR: nothing serious..jyada stress lene ki wajah se faint hui hai...maine injection diya hai..jaldi hi hosh aa jayega usse
ARJUN: doctor sach main sakshi theek hai na?
DOCTOR: haan vo ekdam theek hai..aap tension mat lijiye. (look at everyone) yeh medicines hai..aaj dinner ke baad de dijiyega
ARJUN: aap yeh mujhe de dijiye..main usse de dunga
Doctor medicine dete hai and waha se chale jaate hai. sab kuch waqut waha bethte hai but phir preparations bhi dekhna tha so wapas kaam pe lag jaate hai. Arjun kahi bhi jaane se mana kar dete hai. vo sakshi ke pass hi bethte hai. sameer bhi unke saath hai.
[AFTER 40 MINUTES]
Arjun sakshi ke pass uska hath apne hath me leke bethe hue hai and sakshi ko dekh rahe hai. Sakshi ke cheeks pe abhi bhi aansu ke nishan hai. Sakshi ka rona abhi bhi unko dikh raha hai and sakshi ki scream abhi bhi unke kaano me gunj rahi thi. This incident has made huge impact on Arjun's heart. He is completely shaken by sakshi's vulnerable condition. He is thinking about whatever sakshi said today.
[THOUGHTS]
Vo sochte hai ki kaise Sakshi ne khayi me kudne ki koshish ki thi.
SAKSHI: nahi samj sakte aap... aap ko ehsaas bhi nahi hai ki aaj maine kya khoya hai...aaj ek baar phir sab kuch kho diya maine....sab kuch...12 saal pehle aaj ke hi din maine mumma papa ko humesha ke liye kho diya tha... uss recorder main bohat sari yaadein recorded thi...yaha khadi hoke vo sun rahi thi...ek baar phir uss bachpan ke dino ko jee rahi thi jab mumma papa sath the....ab kaise jiungi me? Mar jaungi me
[THOUGHTS OVER]
He comes out from thoughts with jerk. He holds sakshi’s hand tighter and with one hand he caressing her forehead.
ARJUN: tumhari Zindagi tumse koi nahi chhin sakta...me aisa nahi hone dunga...
He thinks something and tent se bahar aate hai. vo apne tent main jaate hai jaaha sameer the.
SAMEER: sakshi ko hosh aa gaya?
ARJUN: nahi
SAMEER: to tum yaha? Waha koi hai yaa nahi?
ARJUN: me jaa raha hoon sam...tum sab sakshi ke pass rehna...usko support ki jarurat hai.
Sameer confusion ke sath unko dekhte hai and unke pass jaate hai.
SAMEER: jaa rahe ho? Kaha?
ARJUN: sakshi ki Zindagi wapas laane, main jaldi aa jaunga
Sameer kuch bhi bole yaa samj paaye uske pehle Vo waha se chale jaate hai. Sameer unke piche awaz lagate hue bahar aate hai but Arjun is too fast. Vo camp area se chale jaate hai.
===================================================================================
"NOOR AAPA AND HER HUSBAND ASHRAF"
*************************************************************************
THAT’S IT FOR NOW.
HOPE YOU LIKE IT.
I WILL UPDATE NEXT PART SOON.
BYE FRIENDS. KEEP SMILING.
Edited by Butterfly09 - 6 years ago
38