hii friends... i m new here..
hey dosto muje vese to RS production ke shows me kuch khash interest nahi tha kabhi bhi...but ye show ke promos dekhe and socha ke chalo try karte hai vese jo leads hai unka sab ka mene kaam dekha hai shivay KUHU ke...shayad ye uska first show hai i m not sure...
chalo baat karte hai show ki story and character ki to sabse pahele jab entry scene hua tha i must say me Kunal ke character se bahot hi impress hui thi Abeer ke character se bhi jayada..and frankly muje kunal ka character jayada pasand tha jab tak uska aur mishti ke rishte ki band nahi baji tab tak...i feel Kunal, Abeer and Mishti ye tino muje pasand hai but kuhu big no...usme actress ki koi galti nahi hai vo to acche se hi play kar rahi hai but kuhu ka character hi itna boring hai pata nahi....muje sab character pasand aaye the and muje Kunal ki chemistry Mishti ke sath jayada pasand aayi thi...Abeer ka character actually jayada chulbula and fun loving dikhaya gaya tha so muje pasand aaya tha but frankly muje uski aur mishti ki chemistry kuh jayada pasand nahi aayi hai..Kunal ke character ko silent and family oriented and buisness person dikhaya hai me uske dusre aspect bhi dekhna chahugi jese vo abhi deep down kya soch ta hai abhi tak hame uske bareme itna hi pata chaa ke vo apni family and buisness se bahot pyaar karta hai uske baad aur koi layered nahi open huye..so ifeel mishti nad abeer ke shivay aur kisi ka charcter ache se writer ne lika hi nahi hai...vese to poster and promo dekhke pata hi tha ke mishti and abeer ki hi pair hogi..but muje laga tha ki writer ke pass 4 character hai aur vo unko explore karna chahege oranically 4 ke bich me dosti hogi and future me pata chalega kiski pair kiske sath banegi but jiss tarah se mishti and abeer ko hi promote kar rahe hai so explore ka scope nahi hai....RS production ki pahele se hi aadat hai ki vo main lead par hi focus karege side character pe jayada focus hi nahi karege...IPKKND me jese sab character ko depth bhi di thi aur individual unpe focus bhi kara tha tab vo utni beautiful story bani thi...par yaha pe ab tak mishti aur kunal ka rishta ki courtship chal rahi thi but kabhi bhi writer ne unke bichme meanigful scene hi nahi dikhaya...atleast courtship ke time ke duration me dost to ban jate vo to dikhate baki to do log acche ho par dono ke bichme romantically bond bane vo jarurii nahi hai....muje laga ke courtship ke time pe kunal ke character ko butcher kiya gaya taki vo Abeer ko outshine na kar paye..starting se abeer ka character over the time acche se buid up kiya vese hi mishti ke charcter ko bhi but kunal ke charcter ko jese starting me dikhaya tha uske baad usko kuch explore hi nahi kiya gaya....i don't know ke Ritwik ne ye show kyu kiya hoga jab uske first show me vo lead tha and uske show ko response bhi acch mila tha and itna young hone ke baad bhi accha acting karta hai...
i feel iss show me kuch organically hota hi nahi hai pahele kunal and mishti ke rishte ko abeer ne sirf apni mom ko harane ke liye push kiya phir vo rishta writer ne lead ke liye bahaot buri taraf picturize kiya...atleast kunal and mishti ki friendship to hoti but nahi writer ne itne bakwas tarkike se track execute kiya ke iss se accha tha track introduce hi na karte ...i don't know agar kunal and mishti ke rishte me meenu ben na hoti to unke chances the i know kuch jagah pe kunal galat tha but kunal and mishti ke bichme kabhi bhi deep conversation hi nhai hua....i m sorry but jab kunal and mishti ka rishte ka coutship chal raha tha and abeer ka mishti ke liye dream dekhna kuch jama nahi...
Abeer ko itni jaldi mishti se kese pyaar ho aya jese kuhu to kunal ke pyaar me gir hi gayi...abhi do log hi hai jo neautral hai ek mishti and dusra kunal...one more thing i hope kuhu ke charcter ko thoda sense de...thodi to maturity ho uske charactre me koi bhi ladka aesi ladki ke sath shadi na karna chahega...
meenu ben ka to pata hi nahi chal raha hai vo kya chahti hai apne beto ko kunwara hi zindai bahr rakhegi yaa ek bete ko dukhi karke dusre bete ko khush karegi... i hope isme phir se bhai bahi ke bich rivalry na dikhaye jo Kunal and abeer ka bromance hai usme koi gadbad naa kare....
nahi to devrani vs jethani aur nahi bhai vs bahi ho agar aesa hoga to ye bhi typical show ho jayega kuch to alag ho....i feel something is missing... im sorry agar kisi fans ko bura laga ho to but ye mera opinion hai...
i feel ke 4 charcter jo ek dusre se itne alag hai and writer ke pass bahot achi beautiful story create karne ke chances hai but i think ye pura family drama ho raha hai...i feel 4 dosto ki dosti dikhate and slowly uske baad unke bich romantic angle dalte to maza aata.