Part 4
Next Day
Rajvansh House
“Bapuji , mujhe to ab tak vishwaas nahi ho raha ki apne Kunal ke saath saath ab Abir ke rishtey ki baat bhi chal rahi hai ”Nidhi said to Nanu.
Then turning towards Abir said – vaise Abir , tu bata na Mishti kaisi dikhti hai , tujhe kaisi lagi , tum dono ki Jodi ek saath kaisi lagegi ,tune to socha hi hoga na , bol na , he maadi re mujhe to abhi se utsukta horahi hai , abhi ketki ki shaadi aur uske baad teri aur Kunal ki vo bhi ek saath
Abir who was pretending to be busy in sangeet preparations,felt shy hearing all the questions , he felt happiness in his heart thinking about him and Mishti as couple , but of course he can’t say this to mami and he can’t get his hopes high too , not until he gets to know what Mishti thinks of this alliance, so he said to mami
A-mami , aap abhi se itna excited mat ho jaaiye , abhi dono ladkiyon ka jawaab aana baaki hai
“Bhai, jawaab to jab aana hoga tab aa jaayega , aap apni baat kijiye , aap kya sochte ho is rishtey ke baare mein , aapka jawaab kya hai” Kunal asked seriously as he does not want Bhai to get in a forced relationship
Abir looked at him , sighed and said –Nanko yehi question main tujhse bhi puch sakta hu , tera kya jawaab hoga
K-Bhai , mujhe koi problem nahi hai , maa ko kuhu pasand hai, to main Kuhu se shaadi karunga
Abir frowned at him – iska matlab tu sirf maa ki khushi keliye kuhu se shaadi karega , tere khud ke opinion ka kya
K-bhai I think Kuhu is nice girl so I don’t have any issue,but aap topic mat change karo aur batao ki aap kya sochte ho aapke aur mishti ke rishtey ke baare mein
A- mishti is rishtey ko consider kare ya na kare , main uska saath hamesha dunga
All smiled hearing his answer, as they now know that it’s a YES from Abir’s side
Maheshwari House
Kuhu and Mishti’s Room
Both the girls were getting ready for sangeet, not only Kuhu but Mishti was also taking extra effort to look good today.
Kuhu saw Mishti smiling while getting ready so said
K-bahut smile kar rahi hai tu
Mishti frowned hearing her, she said while putting ear rings
M-ab smile karne mein kya problem hai
K-problem ye hai , ki tu ek number ki selfish insaan hai ,hashtag attention seeker
Mishti turned towards her , clearly confused with her words
M-what selfish , ab maine aisa kya kar diya ki tu pareshaan ho gayi
K-kya kar diya , baat mere rishtey ki chal rahi thi , and beech mein tera rishta aa gaya
M(glaring at her)-ha aur maine uncle se kaha tha ki vo bade papa se mere aur abir ke rishtey ke baare mein baat kare , and vaise bhi tera aur Kunal ka rishta tut nahi gaya hai , so please
K-ha but ab tujhe bhi to utni hi importance mil rahi hai na jitni mujhe mil rahi hai , tune mera day cheen liya
M(annoyed to the core)-kuhu stop it now
K(making face)-ok fine , but ye bata tune jo decision liya hai vo sahi hai?
Mishti sighed , everyone is asking same question to her ,now she’s no more sure about her decision
M-mujhe nahi pata
K-dekh tujhe jo karna hai kar , but mere aur kunal ke rishtey par iska koi asar nahi padhna chahiye , got it
And Kuhu left from there huffing annoyingly .
Mishti sighed listening her , this is really not easy
M-I wish Abir ke paas phone hota , to atleast main usse is baare mein baat to kar leti , vo kyu nahi use karta phone (she wailed ), aaj main usse atleast request to pakka karungi , ek phone le lene ke liye
Suddenly she remembered nanu’s word from mandir
“tu bahut jald kisi ke haanth bhi aayega , har kaam karne se pehle uske baare mein bhi sochega , aur ha uske liye apne paas phone bhi rakhega ”.
Suddenly another thought enter her mind “kya Abir mere liye apne paas phone rakhega” , the thought made her smile blushingly . Then she chided herself
M-mishti ye sab baad mein sochna , bas ab itni hi hope hai k imera decision kisi ko bura na lage
Rajvansh House
Ketki’s Sangeet
Abir and Kunal were at door, welcoming the guest. Both were eagerly waiting for Meheshwaris.
Abir’s eyes were just waiting to get a glimpse of mishti ,his heart was beating at fast pace , whole day he was just wondering about her decision , what will she decide.
Seeing Vishambar uncle , he took a deep breath and smiled genuinely
A-radhey Krishna uncle
V-radhey Krishna beta
He greeted others too and touched their feet , eyes still searching for mishti
A(thinking)-Kuhu is here , where’s Mishti
Kunal also did the same , and took them to elders.
Abir was still at door , then he saw a figure clad in pink lehenga , looking simple yet beautiful , gorgeous yet decent . Abir got mesmerized seeing her
Kaate nahi kat te the lamhe intezaar ke
Nazre jhukaaye baithe the raste pe yaar ke
Dil ne kaha jo dekhe jalwe husn e yaar ke
Laaya hai kaun inhe falak se utaarke
(Shayari from Hum Aapke Hai Kaun)
Abir came out of his praising session hearing her calling him
M-Abir , tum yaha kyu khade ho , andar chalo
A-kuch nahi , bas tumhara wait kar raha tha
Mishti smiled , then both got in
A-Mishti , you’re fine right
M-Abir don’t worry , main bilkul thik hu , saare confusion clear ho gaye hai , now I know mujhe kya chahiye and isliye families ki aapas mein baat ho , usse pehle main tumse kuch baat karna chahti hu
Abir having a relieved look on his face said- yeah sure ,mujhe bhi tumse baat karni hai , but yaha nahi , yaha pe thik se baat nahi hopayegi , upar chale
Mishti nodded and they both went upstairs.
Both were standing beside each other , in corridor of Rajvansh house , staring at the moon . Both were enjoying the silence.
M-sab kuch kitna shaant hai na Abir
Abir looked at her , he smiled a serene smile and said while staring at her
A-bahar to sab shaant hai , but tumhare andar jo toofan chalraha hai uska kya
Mishti smiled hearing this , how could he always know
M-tumhe hamesha mere baare mein itna kaise pata chal jatahai
A(smiling mischievously)-kyuki main tumhari har fitrat se waakib hu Angry Chorni
Mishti gave him a shut up look
A-ok ok sorry no mazaak , ab batao , kya baat hai
Mishti took a deep breath, it’s still very awkward for her to talk with Abir about their alliance , but she also knows that the ice has to break , they have to talk openly about this thing
She lowered her eyes and started talking
M-Abir , mere liye ye alliance ek shock ki tarah aaya tha ,main ready nahi thi , main apni shaadi ke baare mein soch bhi nahi rahi thi ,but ye bhi sach hai ki kabhi na kabhi to sochna hi tha . Abir I have trust issues , mere papa mujhe bachpan mein chodke chale gaye and fir unhone kabhi peeche mudkar nahi dekha , intezaar karte karte thak gayi main , aans chod di unke aane ki , lekin wo laute , and mujhe unke lautne pe bilkul bhi khushi nahi hui , ulta guilty feel kar rahi thi main , ki meri wajah se , badi maa ko mere papa ke saamne majboor hona pad raha hai , mere liye aasan nahi hai Abir is baat pe trust karna ki mera life partner mujhe kabhi chodkar nahi jaayega , jis tarah mere papa chale gaye the
A-Mishti..
Mishti cuts in between
M-nahi Abir , pehle mujhe keh lene do , main tumhe apna dost maanti hu , aur tumpe itna trust karti hu ki tum mera trust kabhi nahi todoge (Abir smiled at this) , but shaadi puri life ka sawaal hai , and shaadi jaise lifetime bandhan mein bandhne se pehle , I want to know you , not as my friend ,but..but as my life partner (she looked up in his eyes)Abir kya tum mujhe vo chance doge
Abir got lost in her eyes , her eyes , that are staring his with lots of hope in them , she want to know the person whom she’s giving her lifelong company, lifelong friendship, and maybe hope so after sometime lifelong love .
A-mishti , tumhe mujhse ye baat puchne ki zarurat nahi hai ,ye tumhara haq hai , vaise hi jis tarah mujhe haq hai ki apni life partner ko jaan saku , main kaun hota hu tumhe chance dene waala , balki hum dono ko is rishtey ko ye chance dena hai , jiske liye hume ek dusre pe bharosa karna seekhna hoga , ek dusre ko jaan na hoga , ek dusre ke saath dena seekhna hoga , ek dusre ko samajhna hoga
Mishti was looking at him adoringly , had it been some other guy , surely the reaction would have been different , but she was hell sure that Abir will understand her , as always ONLY he will understand
M-Thank You So Much Abir
She said with so much gratitude that surprised Abir
A-mishti , tumhe thanks bolne ki zarurat nahi hai
M-zarurat hai Abir , tum nhi jaante , kitni himmat jutaa kar maine ye baat tumse kahi hai , it was really not easy for me , upar se is baat ka bhi dar tha ki kahi meri wajah se Kunal aur Kuhu ke rishtey mein koi problem na aaye , but tumne meri baat samajhkar mujhe har tension se free kar diya
Abir smiled – duniya bhar ki tension apne sar pe leke ghumti ho tum , chalo aaj ek promise karte hai , ki agar koi bhi baat hum dono mein se kisi ko bhi sataayegi to vo hum dono ek dusre se share karenge , ek dusre se kamse kam stress dene waale secrets nahi chupaayenge
M-hmm , ok I promise , but agar mujhe tumse apni koi feelings share karni ho and tab main tumhare saath nahi hou , to main kaise share karungi
A-main samajh raha hu tumhara ishaara ki taraf jaa raha hai
M-jab samajh rahe ho to please mei baat maan jaao , ek phone le lo na , agar kabhi tumse urgent baat karni ho to kya Kunal ko phone karke kahungi ki apne Abir bhai se baat karaao
Abir made a face – ok ok fine , le lunga phone
Mishti got amused and surprised , Abir agreed that too so easily
A-but tumhare alaawa aur kisi ko mera number nahi milna chahiye , it’s just for you
Mishti’s heart flipped hearing his JUST FOR YOU , he is really buying phone just for her , just for her , this thought made her so happy , she smiled brightly and nodded her head .
Abir smiled at her , her face resembled a cute kid , he knows that Mishti loved the fact that he is buying phone just for her , it made her feel special and her happiness made him feel special . He will always try to keep that smile enact on her face
Then he said-chale ab , neeche sab raah dekh rahe honge
Mishti nodded
They started walking
M-vaise Abir , tum sach mein phone isliye nahi use karte taaki koi tumse contact na kar paaye
A-nahi , bas big ben mujhse contact na kar paaye
M-big ben?
A-meri maa , main unhe pyaar se big ben bulata hu (he said with a wink)
Mishti frowned at this weird nick name
M-but tum kyu nahi chahte ki vo tumse contact kare
A-contact karne se koi problem nhi hai , ha track karne se zarur hai , isliye keh raha hu mer number kisi aur ke saath share mat karna
M-but wo tumhe track karti kyu hai
Abir smiled at her ability of asking nonstop question -Mishti, kuch sawaal baad ke liye bhi chod do , mere baare mein sab kuch ek hi din mein jaan na hai kya
Mishti smiled and nodded sheepishly , Abir smiled and said-chalo
In Hall sangeet ceremony was going on , everyone was enjoying , Kunal and Kuhu were talking , families were mingling . Abir and Mishti came downstairs and went directly towards family , Kunal and Kuhu also came.
Nanu finally asked – to kya socha hai baccho aapne
Kunal smilingly answered – nanu mere aur Kuhu , dono ki taraf se haa hai
All family members smiled happily , atleast one alliance is fixed , Meenu gritted her teeth , she has to do something big so this alliance itself gets called off
Nanu then turned towards Abir and mishti and asked – aur tum dono , tum dono ne kya faisla kiya
Abir smiled – Nanu , maine aur Mishti ne is baare mein baat ki , and hum dono is rishtey ko ek chance dena chahte hai (all smiled hearng this) , lekin itna bada faisla lene se pehle hum dono ek dusre ko thik se jaan lena chahte hai , isliye hum koi bhi commitment karne se pehle , freely , bina kisi pressure ke , ek dusre ke saath time bitaana chahte hai , ek dusre ko jaan ne ke liye , samajhne ke liye
Mishti and Maheshwaris were nervous about Rajvansh family’s reaction
Nanu smiled , Nidhi , Kaushal considered his words and they found him right , Kunal was confused and meenakshi was shocked to the core ,how can they decide on their own that what they want to do
Kunal – bhai , aapko mishti ke saath courtship karni hai
A-kuch aisa hi samajh le nanko , puri life ek dusre ke saath bitaani hai , to sure to hona padega na , Vishamabar uncle , Rajshri aunty I hope aapko koi problem nahi hai agar main mishti ke saath shaadi se pehle time spend karu , use thik se samajhne ke liye
Vishambar smiled – beta mishti ne hume ye sab pehle hi bata diya tha , hume koi aitraaz nahi hai , hume aap par aur mishti par pura bharosa hai
A-and I promise uncle main ye bharosa kabhi nahi todunga
Mishti smiled hearing this , Abir will never break her trust,she trust him with all her mind and heart.
Me-lekin
N-meenu , mujhe Abir ki baat sahi lagti hai , agar in dono ko time chahiye to dede na , tujhe apne bete pe bharosa hai na
She nodded reluctantly
N-bas fir , bharosa rakh , Abir kabhi tera bharosa nahi todega
Meenakshi sighed , she has to think fast , this is going out of hands.
On the other side the four person are very happy as their lives are going to take a new turn
Ketki – I am so happy , mujhe do do bhabhiyan milne waali hai , this calls for celebration
Kuhu and Mishti smiled . Mishti was feeling so shy ,thinking herself as Abir’s bride , Ketki’s bhabhi , these feelings are really new to her
Abir and Kunal also smiled hearing it , Abir smiled contently while looking at Mishti . They will work for it , together …
Ketki – aaj mere dono bhai mere hone waali bhabiyon ke saath dance karenge
Everyone smiled at her suggestion
N-ha bilkul , aur vaise bhi ab to Mishti aur kuhu hamari team mein hue
Hearing this , Mishti realized that from now on she has one more family of her , Abir also realized that now Mishti is becoming an important part of his life
The two couples danced happily on Tumhi Din chade , mishbir were happy that there is no more awkwardness between them , they will make it work , together , they know that.
Sangeet got over , families bid bye to each other , this time Abir and Mishti looked at each other , smiled and mouthed Good night to each other
Next Morning
Maheshwari House
All were at breakfast table , having their breakfast .
Mishti’s phone suddenly beeped , she frowned seeing text message from unknown number
She opened it
Pehla kadam uthakar
Is khubsurat safar ka aaghaaz karte hai
Aaj shaam taaro ki chaadar ke neeche
Ek dusre ko jaan ne ki shuruaat karte hai
A beautiful smile appeared on her face
To Be Continued
Precap
Mishbir first Date