Originally posted by: TC_FA
Arey jindal sahab aur Guddan ,kisko bewkoof Bana rahe ho. Hum log kya andhe hain kya jinhe Dosti aur pyaar mein farak nahi dikhta !!🤪
Let's figure it out.
1. The way gudia is asking Jindal sahab about their future. Is this Dosti??

Dosti mein ek dusre ki pasand napasand puchna aur janna bada aam(normal) hain,
Par zindagii ke safar mein humsafar ban ek ho jana, is sawaal se toh khud 'Dosti Ka Rishta' bhi anjaan hain.
2. The way Jindal sahab is holding his gudia and is lost in her. Is this Dosti?? 😳

Khusiyan manane ke bahane(excuse) doston sang nach-gana kafi aam hain,😊
Par dost ko bahon mein bhar, apni nazron se uske mann ko gudgudana, yeh Dosti se kai uccha paidaan(level) hain.
3. Jindal sahab wanted to touch her gudia's hands again and again😉. Is this Dosti?? 🤔

Doston ko musibat mein dekh, haath badha usse sambhal lena ek sacche dost ki pehchaan hain,👍🏼
Par yu baat-baat mein dost ko chukar aapke Dil ko sukoon mil jana, yeh 'Dosti' nahi balki 'Pyaar' ka aapke Dil ko paigaam hain.😉
4. The hand movements of gudia because of her Jindal sahab. Is this Dosti?? 😔

Kisi dost ko yaad kar, ungliyon se khel, yu mand-mand muskurana, yeh kaisa dosti ka ehsaas hain?🤔
Dost hi hain, ya hain koi khaas jiske liye umde hain aapke dil mein yu Pyaar bhare jazbaat?😉
5. The content smile they both had while hugging each other☺️. Is this Dosti?? 🤪

Dosti mein gale laga khusi ka izhaar karna achhi baat hain,😊
Par bahon mein, ek-duje ke ehsaas mein kho jana, yeh Dosti nahi, mohabbat wale jazbaato hain.❤️