myviewprem thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago
#1
Anarkali to Salim - Log kahte hain ki woh insaan bahut kushkismat hain jnhe mohobaat milti hain magar hum kehte hain ki mohobaat kushkismatt hain jisse aap mile

Salim: Mohobaat aur ibadaat dono yakeen ke bagair adhoore hote hain
Aur aap humari mohobaat bhi hain aur ibadaat bhi

Akbar: Hume tumpe naaz hain Salim

Tum dushmano ko talwar se harana jante ho aur gadaaron ko tarkeeb se

Edited by myviewprem - 6 years ago

Created

Last reply

Replies

2

Views

11.2k

Users

2

Likes

11

Frequent Posters

myviewprem thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago
#2
Dialogues of week


Jo talvar jaan lene ke liye uththi hai duniya use darthi hai lekin joh talvar jaan bachane ke liye uthi hai duniya uski izaat karthi hai

Aaj apke talwar ne joh izzat kamyi hai hume uspe naaz hai salim

Himmat toh janwar ke dil main bhi hota hai lekin insaan woh hote jiske dil main himat bhi hoti hain aur humdardi bhi

awaam ke liye jaan dene ki tehzeb aapne sikahyi hai tehzeeb apki di hui aur shamsheer raja man singh ki humara toh kuch bhi nahi hai zil e illahi

Mulk ki mitti is gaddar ka khoon mang rahi hai huzoor

Iski jaan lekar aapko kya milega

Sar kalam hone se gaddar khatam hote hain gadarriii nahi

Jaan lene is desh ka tehzeeb ke kilaf hai

Saza aur kanoon ke bina mulk ek tamasha bantha hai

Leki bhaagi ko khatam karne ke zyada zaroori hai ki hum us waja ko khatam kare jo ek insaan ko majboor karthi hai insaan ko bhaagi bane ke liye

Jab ek chotta sa gunna ki badi saza milthi hai toh dil main nafrat peda hota hai

Aur vo hi nafrat baad me bhagawat banti hai

Yeh dard bhi humare kaam aayaega aur yeh zakhm bhi

Yeh nahi insaaf hai nahi inasniyat hai kyunki sazaa ke naam se yeh nainsaafi huamre saath ho chuki hai

Pheli baar ek chand ko diya jalathe dekh rahe hain

Yahan sirf hum teeno hain aap hum aur yeh tanhai

Kuch cheeze aisi hoti hain jine baar baar dekhne ka dil kartha hai jaise chand aur uska ask aap aur apka rask

Kyunki humari mohobaat main tehzeeb bhi shamil hai toh ijazaat hai

Humne kahi gunha kiya honge humne kahi gunha kiye honge magar gaddar kabhi nahi ho sakthe

log kethe hain ki woh insaan bahut kush kismat hoti hai jinhe mohobaat milti hain magar hum kehthe hain ki mohobaat bahut kush kismat hain jise aap mile

Chand ko toh kahi baar dekha par chand ko chirag roshan karthe hue pehle baar dekha
Ujala hai shama ka yah usn ko guroor aaya hai koi toh baat hai aaj chhre pe noor aaya hai

Hum jab suraj se nazar milathe hain toh suraj apni nazar jhuka detha hain aap toh phir bhi chand hai

Humne kahi jungo main fateh aasil kiya hai magar aapse mili har hume kisi bhi jung se azeez hai

Aur usi haar ki kasam hum aapke aur humare beech kisi teere ko aane nahi denge

Duniya ko apni mohobaat ke ishaare denge duniya se yeh zaroor kahenge ki salim ishq main hain magar duniya humari duniya humare dastaan e mohobaat zaroor jaan jayegi magar jab tak aap nahi jayenge duniya nahi jaan payegi ki us dastan main anarkali bhi hai



Dailogues of week

Shezade apne man ka

Humara ek usool hai uthna hi marna jithna baad main kha sako

Kaun ho tum Salim: Main hindustan ka shezada Jalaluddin muhammad akbar ka beta Sheazda salim

Agar jaan pyari hai toh hatyar niche rakho aur apne ghutno pai phoren aajao

Duniya main bahadur bahut hote hain surma sirf ek hota hai

Chirag bhujane wale kahi hote hain magar chirag ke liye andhiyon se lad jane wala sirf ek hi hota hai

Aag lagane wale kahin hote hain magar khud aag ban jane wala kewal ek hi hai

Tinke toofan ka rasta nahi roksakthe, jab talwar unke hath main aati hai toh lohe ka tukda bhi bijli ban jathi hai

Sher khud chalkar gidad ki jhund main aa raha ahai

Anar ki baat jab aati hai toh hum kisi bhi unche se unche paahad ko apne raste se hata sakthe hain

Hukum aur farz ki baat jab aaye toh farz hukum par bari padtha hai




Dialogues of week

Is kanjar se toh sirf humara jism katega agar aapki sagai ho jathi toh humarai rooh kat jathi

Agar aap kisi ke khawabon mein bhi aayen toh hum duniya ko aag laga denge

Hum apni jaan de sakte hain imaan de sakthe par anar nahi de sakthe

Suna tha mohobaat main log deewane ban jathe hain aap sayane ban gaye hain

Kisi ne hume sikhaya hai dil jitiye hukumat apne aap ho jayegi

Woh humse dur reh kar zamane ka dastur nibhate hain hum unke paas jakar mohobaat ka

Aapko kaisi ladki pasand hai salim. Jiske chehre par sadgi ho Jiski ankhon mani aya ho aur ankhon main chamak ho bilkul aapki parchayi ho haisi ladki chahiye


Dialogues

Jagan: Is bes main bilkul humari gharwali lag rahi hain aap
Roppa: aur aap bilkul behroopiya lag rahe hain

Salim: Dil kartha hain sari zindagi is ek lamhe main ghuzar jaye
Anar: Kyun aisa kya hey is lamhe main
Salim: Is lamhe main waqt ka sabse kimti moti hai kyunki is waqt main aap humari begum hain
Anar: Kyunki apne logon se jhut bhola hai
Salim: Agar aap kahe toh is jhut ko sach main tabdil kar dete hain
Anar: Hum ek khaneez hain itne unche khwab nahi dek sakthe. Kaun jaane tarikh is lahe ko yaad rakhe na rakhe par hum ise humesha yaad rakhenge ek lamhe ke liye hi sahi hum apki begum the aur is ek lamhe par humari sadiyaan kurbaan hain
Jagan: Mara ek hi usool hai, kisiko marna uthna hi jo maar baad me ka sakao
Salim: Agara aapki jaan khatre main aayi anar, toh hum aag ka dariya par kar jayenge

Khanam: Sahib i alam ek banjare se panje ke muqable main haar gaye, toh kal bees gundon ko kaise mardiya
Guy: Banjaran bahut dekhe hain maine, par teri jaise tagdi kabhi nahi dekhi
Khanam: Khanam ki khubsoorti usiki dushman ban jayegi, Khanam pas gayi gundoon main
Khanam: Sahib e alam khaana paka rahein hain anarjkali ke liye, talwar chod kar kachra pakad liya
Khanam: Ghar main ma behen nahi hai kya
Guy: Ma Behen hain bindani nahi hain
Khanam: Kal toh pachis gundon ko khuda ke ghar pauncha diya tha sahib e alam ne aaj kya hogaya
Edited by myviewprem - 6 years ago
Bollywoodlaver thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 6 years ago
#3
Salim: Mohobaat aur ibadaat dono yakeen ke bagair adhoore hote hain
Aur aap humari mohobaat bhi hain aur ibadaat bhi

- I liked this dialogue!

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".