Originally posted by: _Eternity_
yashfeen 🤗
amazing like always 👏
love it.❤️
thbx for pm dear..
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 9th Oct 2025
COURSE FOLLOWS 🤓9. 10
COURSE TOGETHER 10.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 9, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 10, 2025 Episode Discussion Thread
Congratulations Gen 4 team !!
Anupama - a role model
Deepika finally breaks her silence on exit from Vanga's Spirit and Kal
Appreciating Amaal Mallik
Shanaya Kapoor- Future of Bollywood
Is Ashnoor still here?
Suhana khan- beauty with talent
Ba***ds of Bollywood: Manufactured hype?
Tanya Mittal
Sara Ali Khan, the next maestro.
Has Karan Johar Joined India Forums
Suhana Khan is Truly One to Watch💫
Janhvi - the nepo kid who dances
Praising Janhvi for her great choice in movies
Ananya Pandey can ACT.
Originally posted by: _Eternity_
yashfeen 🤗
amazing like always 👏
love it.❤️
thbx for pm dear..
Originally posted by: xFawadKhanx
Amazing update!!
Love your ZaShaf storiesI even follow you on Wattpad!
Please check the note in the above post and let me know your views.
Recap- Zaroon has left for a tour of 3 months and the two are extremely upset with the situation and hardly spoke to one another for an entire week before his departure. Sidra is staying with Kashaf. Not even a day has passed and Kashaf and Zaroon have already started missing one another.
ZAROON 9TH APRIL
Kashaf ek bohot badi paheli hai. Use samjhna mere liye namumkin sa ho ja raha hai. Jab main sochta hoon ki yeh goothi sulajh gayi hai to woh kuch aisa Kar deti hai ki main sochne pe majboor hojata hoon ki kya cheez hai yeh ladki.
Kal pohnchkar maine use call kiya. Mujhe toh laga tha ki phone par bhi wo kuch kahegi nahi mujhse. Jab ek hafte bhar nahi kaha to phone par kya tawakku rakhu?
Par she loves surprising me. I think wo jaan kar karti hai.
"Assalam walekum."
Uske tone se hi main todha hairan tha.
"Walekum Assalam. "
Maine haste hue kaha.
"pohnch gaye tum? Main kab se tumhare phone ka intezar kar rahi thi."
"Haan tabse phone ke pas se hati hi nahi hai."
Sidra ne use kuch tease karte huye kaha.
"Uff..tum phir shuru mat hojana. Please jao yaha see."
"Haan haan jao kya yaad rakhogi."
Kashaf ko kuch back to normal ya kuch abnormal dekhte huye mujhe bohot acha laga. Normal to Kashaf nahi hai.Par uska abnormality pe ana hi normal hai.Abnormal aur shayad islye bhi kyun ki haan uske pyaar aur tawajju ki adat hai mujhe, par itne pyaar se baat to wo mujhse mere sapne me bhi nahi karti.
Haste huye maine kaha
"Acha bhai ab Sidra se ladna band karo aur main just abhi pohncha hoon. Flight kuch delayed thi. Main land karte hi tumhe call karna chah raha tha par mera to network hi nahi hai yaha, hotel ane tak mujhe intezar karna pada. Par todhi dair me roaming on kar loonga tab tum mujhe mere number pe call Kar sakti ho.Khair tum batao kaisa din tha tumhara?"
Maine apni files hatate huye pucha.
"Mera din to theek tha. Par maine tumhe bohot miss kia Zaroon. Baki ke din kaise guzrenge?"
Jab main iske pas hota hoon tab yeh aise karti hai jaise mere na hone pe ise zada chain hota hai. Kuch din pehle hi Sunday ke din Maine jab iske haath se book khicha to kehne lagi
"Zaroon yeh meri book kyu kheechi tumne?"
Usne book lene ki koshish kart huye kaha.
"Kya yaar ek to mushkil se ek din ki chutti milti hai. Aur ise tum mere saath bitaane ke jaga is book ke saath zaya kar rahi ho?"
"Tum jao na please tv wagera dekh lo. Koi office ka kaam pending hoga wo complete kar lo."
"Ji nahi yeh chutti in sab cheezon ke liye nahi ati."
"To pata nahi ati hi kyun? Shayad taki tum mujhe pareshan kar sako isliye."
Usne kitab chente huye kaha.
"Jab pareshan karne ke liye nahi honga na tab pata chalega."
"Us din ke intezaar me to baithi hoon."
"Bohot badi badi baatein kar rahi ho. Dekh lena I will prove you wrong."
"Dekhlenge."
"Acha ab yeh book choro."
Maine phir chente huye kaha.
"Zaroon no.. please give it back. Zaroon..."
"Zaroon..kaha kho gaye?"
Usne phone par chillate huye kaha.
"Uh huh..sorry wo.."
"Masroof ho kya?"
"Nahi woh main us din ko yaad kar raha tha jab tum badi badi baatein kar rahi thi kaise tum mere bina sakoon me rehti ho aur aj tumhara ek din nahi nikal raha hai. Isliye kehta hoon badi badi baatein nahi karni chahye."
Maine jaan bujh kar use tease karne ke liye kaha.
"Sahi kehte ho. Par kehne aur karne me farq hota hai.waise tumne kuch khaya? Tumhe to flight ka khana bilkul pasand nahi hai. Bas coffee hi pi hogi tumne. "
"Haan bhook to lagi hai."
"Tab tum kuch kha lo. Phir main tumhe tumhare number par call karungi."
"Haan bye."
"Bye."
Maine kuch haste huye phone rakha. Jab mujhe khud khane ka yaad nahi to ise kaise yaad rehti hai yeh cheezein. Yeh nahi hoti to mere pata nahi kya hota.
Phone rakhne ke baad maine jaldi se kuch order kiya aur jab tak khana room me aya maine phone ki settings theek kar li. Khana bhi jaldi hi agya aur maine jaldi se kha Kar change kar liya. Time dekhte huye maine kashaf ko phir se call lagaya.
"Assalam Walekum"
Isbar maine use greet kiya.
"Walekum Assalam. Itni jaldi kha liya? "
"Haan. Kyun ki meri biwi mujhe miss hi nahi kar rahi hai par apni feelings zahir bhi kar rahi hai. To main use kaise intezar karwa sakta tha."
"Acha itni fikar hai tumhe apni biwi ki."
"Ji aur nahi to kya? Jab use meri har ek cheez ki fikar hoti hai to mujhe kya uski fikar nahi hogi."
"Haan honi to chahiye. Par kahi yaha tumhari khudgarzi to nahi?"
Maine hairan hote huye pucha
"Kaisi khudgarzi?"
"Kahi tum bhi apni biwi ko miss to nahi kar rahe?"
"Haan khudgarzi to hai. Main to apni biwi ko tab bhi miss karta hoon jab wo mujhe chor kar mere liye coffee lane chali jati. Abhi to phir kuch 24 ghante hogaye hai."
"Acha ji. Itni mohabbat karte ho apni biwi see?"
"Ji jitni ap soch sakti hai use kayi zada."
"Phir to tumhari wife bohot lucky hai."
"Nahi use zada main lucky hoon. Meri biwi bhale hi keh ke cheezein zahir nahi karti par uski choti choti cheezein keh deti hai ki woh kitni mohabbat karti hai mujhse. Itni ki main sochne pe majboor hojata hoon ki main use uske hisse ki Khushi de pa rha hoon ya nahi. Woh mohabbat Lauta pa raha hoon ki nahi. Kehne see zada dikhane me takaat hoti hai. Kya jitna main kehta hoon utna prove kar pa raha hoon? Yeh sawal mujhe roz pareshan karta hai."
"Kya yeh pareshani uske yeh kehne see dur hojayegi ki woh apne husband ke saath bitaya har lamha apne dil ke kareeb rakhti hai. Uske bina uska har ek lamha zaya lagta hai. Aur jab wo coffee bhi banne jati hai to wo use miss karti hai. Jab wo usse khafa hokar sojata hai to woh use dekhkar uske cute se irritated chehre ko dekhti hai aur mutmayeen hojati hai ki uski mohabbat me kabhi badlaw nahi ayega. Woh humesha sochti hai ki kaise wo chahe kitni bhi unreasonable behave Kar rahi hoti hai, wo give in kar deta. Kya woh usse Jeet nahi sakta? Beshaq jeet sakta hai, har dafa jeet sakta hai. Par usse uske chehre ki woh hasi dekhni hoti hai kyu ki use dekhkar woh mutmayeen hota hai. Aur aisi countless cheezein jo woh bas uski hasi ke liye karta hai, uske mood swings sambhalta hai. Kaise use uske pyaar me use kabhi kami lag sakti hai?"
Usne dheemi awaz me kaha. Main janta tha woh ro rahi hai aur usne meri ankhein bhi geeli kar di thi. Apne ankho se nikle anson ko pochte huye maine kaha.
"Maine zaroor koi acha kaam kiya hoga Jo tum mujhe mili ho. I love you Kashaf. More than I can ever say. More than I can ever show."
"I love you too Zaroon. Tumhe main har lamha yaad karti hoon. Aise gin ke pal to maine kabhi nahi guzare."
"Maine bhi."
Maine khud ko sambhalte huye kaha.
"Ab rona band karo warna mera yaha rehna namumkin hojayega. Hum mature logo ke tarah yeh saare din haste huye guzarenge. Phone to hai na humare pas. Jab bhi Meri yaad ayegi tum mujhe call karna main in spite of the situation tumse baat karunga. Apna aur Sidra ka bhi khayal rakhna hai tumhe . "
"Haan..koshish karungi..ab tum sojao Kal tumhari meeting hai subah subah. "
"Haan..par tum mujhe text par updated rakhna.. good night"
"Ok. Good night."
Main phone rakhne hi wala that ki usne kaha
"Zaroon I love you."
"I love you too. Waise mere yaha ane ka ek faida to hua."
"Kaisa faida?"
"Meri biwi I love you kehne ke record banne pe lag gayi hai. Itne I love you to tumne Shaadi se kal tak nahi kahe the."
"Kya pata shayad ban hi jaye record. Par aaj ke liye bas itna hi. Good night"
"Good night"
Keh Kar maine phone rakh dia. Aur kal ki tayyari me lag gaya.
CONTINUED ON NEXT PAGE
KASHAF 15TH APRIL
Cheezein itni buri bhi nahi chal rahi hai. Haan main usse bohot miss karti hoon. Par jab raat me hum baat karte hai to din ki saari thakan dur hojati hai. Zaroon ke is trip ne kam az kam mujhe yeh ehsas to dila diya ki main uske bina incomplete hoon. Uski meri zindagi me bohot ahmiyat hai ye to main janti thi par kitni ahmiyat hai woh mujhe ab pata chala hai. Aur shayad use bhi. Har cheez me kuch na kuch achai chipi to hoti hai. Chahe mera I love you bolne ka record bana ho ya nahi. Par ek record to bana hai. Humne ek dusre se ladai nahi ki abhi tak. Yeh to duniya ka sabse bada karishma hai. Khair abhi kuch keh nahi sakti. Yeh Karishma kuch din ka mehman hi ho skata hai humare life me.
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348
290