I know shocking right? A oneshot on Keesh? đ
Honestly it's sad that this amazing couple has only a few fanfictions to their name but hopefully that will change soon.
So we all are wondering about what would happen when Keerti will get to know the truth behindher marriage. Left to writers either this track will be over within a minute or Keerti will never get to know only. So here is my take on what would happen if Keerti gets to know the truth.
Don't forget to like and comment đ
*******************************
Kirti sat down defeated on the bed. She felt tired, her heart felt numb. Why does this always happen with her? why is she always meant to sacrifice? why is she always tied into relationships that don't want her?
First Aditya then Naksh. Maybe marital bliss is just not for her. She looked at the three culprits standing in front of her looking down. Why did they have to hide it from her and then why did she have to hear the truth. This last one week was like paradise. Everything perfect and ideal and now this.
She should have know it won't last. It never does!
'Naksh aapne kyo kiya aise?' She asked something twisting painfully in her chest.
'Mujhse shaadi kyo ki jab mujhse pyaar he nahi tha toh?' She asked her eyes tearing up
'Actually I know ki aapne ye kyo kiya. Naira ke liye haina? Par ek baar toh soch liya hota ki hum dono ka kya hoga? Sacrifice karna galat nahi hai Naksh par bina wajah he sacrifice karna, suffer karna galat hai. Aap he mujhse kehte the na ki wo karo jisse aapko khushi mile fir ab kya hua?'
'Arey dadi toh kabhi na kabhi maan he jaati. Gussa thanda hojata unka. Nahi toh mai unhe mana leti. Magar ab kya karu mai? Aapne socha hai ki ab jab hum dono divorce lenge toh kaisa lagega sabko?'
At the mention of divorce Naksh looked up alarmed.
'Di..divorce? Ya kya keh rahi hai aap Keertiji?' He asked worried
'Divorce toh lena padega na Naksh. Mai ek samjhaute ke rishte meh rehke dekh chuki hu. Dam ghoot jaata hai. Ab aapke sath same cheez kaise hone de sakti hu mai?' She asked sad
'Nahi Keertiji mai koi samjhauta nahi kar raha. Mai aapko pasand karta hu. Aap bhaut achi lagti hai mujhe. Aapka sath bhaut acha lagta hai. Pls Keertiji aise mat kijiye.' He pleaded holding both her hands in his. Keerti cried looking at his pleading form.
She felt helpless. This is what she has always wanted. To fall in love with a man who loved her equally if not more but the wound of betrayal was still fresh.
'Mai bolti nahi hu par iska matlab ye toh nahi na ki mujhe dard nahi hota? Jaante hai Naksh ki ek shaadi ke tutne ke itne chote Waqt meh maine dusri shaadi kyo ki?'
'Kyoki Kartik aur Naira ki shaadi ke waqt har ek pal maine aapke aur Aditya ke beech ka farq dekha. Wo mujhe jitna dard dete the aap utni he mujhe khushi dete the. Islie shayad maine man he man maanliya tha ki aap mujhe kabhi dard nahi denge. Kabhi mujhe chot nahi pahuchayenge.'
'Par dekhiye na kitni galat thi mai. Aapne bhi wahee kia. Arey nahi karni thi shaadi toh mana krdete. Mujhse aake ek baar bola toh hota Naksh I promise mai sab theek krdeti. Par ab nahi hoga. Kuch theek nahi hoga. Ye shadi jo ek jhoot ke upar tiki hai usse nahi nibha sakti mai.' She said shrugging his hands off.
'Charity jaisa feel hota hai mujhe. Bichari ka ghar tut gaya toh shaadi karado. Bichari se koi pyaar nahi karta toh bheek meh pyaar dedo. Bichari ka sach kadwa hai toh jhoot he bata do. Thak gayi hu mai bichari bante bante ab nahi banna chahti.' She said sobbing.
'Aapko lagta hai ki mai aap par daya kar raha hu aapse pyaar karke?' He asked anger rising in him slowly. Seeing her in tears did something to him. It always did even when he did not love her.
'Haa lagta hai. Aur lage bhi kyo na aapne toh Naira ke liye shaadi ki thi mujhse. Toh achanak se pyaar kahan se aagaya beech meh?' She asked angrily
'Maine kaha tha na tumse ki mujhe sach batane do. Ab dekho meri behen kaise ro rahi hai.' Kartik's voice interrupted them in between as he addressed Naira making Keerti remember that they were not alone.
'Bas karo Kartik duniya ki har cheez Naira ke baare meh nahi hai. Har baar har galti Naira ki nahi hoti. Tum bhi dadi jaisa he behave krre ho. Issi wajah se Naksh ko mujhse shaadi karni padi. Agar dadi Naira ko itna pressurise nahi karti toh aisa kuch nahi hota.' She scolded him
'Ye mere aur Naksh ke beech ka matter hai. Har issue ko apne relationship ka pedestal banana band krro. And please iss waqt jao yahan se hum dono ko akela chorh do.' She said and Kartik and Naira both left surprised at Keerti's outburst but somehow that helped lessen Kartik's anger. She was right after all. They didn't have to fight over something that was not their problem.
As soon as they left Naksh went and locked the door then came and stood in front of Keerti with determination filled eyes.
'Mai janta hu iss rishte ki shuruwat theek nahi thi. Mai ye bhi janta hu ki maine galat kia. Par inn sab se bada sach ye hai ki mai aapse pyaar karta hu.' Keerti gasped. He never said I love you to her. She didn't know if she should be happy or said.
'Keertiji kisi ke looks se ya nature se impress hokar toh har koi pyaar karta hai. Kisi par pyaar aane par toh har koi pyaar karta hai.'
'Par maine aapse unn sab ki wajah se pyaar nahi kiya. Maine aapse islie pyaar kia kyoki aapki aankhon meh ek bhi aasun dekhna mujhe gawara nahi tha. Meri wajah se aapko shaadi ke baad zara si bhi chot pahuche ye bhi gawara nahi tha.'
'Toh kya mera aapke liye itni care karna ki aapko chot pahuchane ke dar ne mujhe aapko pyaar karna sikha diya, ye koi maayne nahi rakhta. Guilt ya pity ki wajah se nahi. Sirf aur sirf aapki aakhon meh aasun dekhne ke dar ki wajah se mai pyaar karta hu mai aapse. Aur aap kitna bhi kehlen ki maine iss shaadi ke lie ha karke galat kia par sach ye hai ki agar mai iss shaadi ke lie haa nahi karta toh shayad itna aur iss tarah kabhi pyaar nahi kar pata aur wo meri zindagi ki sabse badi galti hoti.' He said tears welling up in his eyes as well.
Keerti felt spellbound. How could he have fallen so much in love with her in so little a time. It was in his eyes. How could she have not noticed that by some miracle he loved her more than she did. Tears fell from her eyes. Both of pain and relief. Pain given by him and relief given by him.
Naksh came close to her and cupping her cheeks brought her lips closer. He looked into her eyes for permission and she joined her lips to his in reply.
He lightly nibbled on her lips but somehow his hunger for her grew just like his love had and he almost ravaged her mouth leaving her both breathless and gasping.
He joined his forehead against hers lightly caressing her cheeks and Keerti just smiled finally feeling complete and happy.
*********************
145