The dialogues are scripted in English but are spoken in Hindi.
+++++
Library of Chhapra University, Kanpur
Vibhuti Narayan Mishra is sitting at a corner of a huge round table, not studying at all. He's busy in looking around, specially because a tremendously beautiful woman lit the chair next to him. Not that he was typically interested in a conversation, but he didn't leave any opportunity to steal glances time and again. Until...
Anita : Anita Gupta.
Vibhuti looks at her,confused, trying to judge whom she's talking to.
Vibhuti : Aapne kuchh bakaa? I mean, kahaa?
Anita : Ji nahi. Maine sirf apnaa naam bataya.
Vibhuti : Lekin kyun? Maine toh nahi poocha! (this guy leaves no stone unturned to display his attitude)
Anita : Poocha nahi, lekin poochna chahte ho. Isliye bol diya. (smiles)
Vibhuti : Kamaal hai!!! Aapko ye bhi pataa hai ki main kya chahta hoon???? (shaking his head and emphasising each word)
Anita : Aurton ko sab pataa hota hai. Tab se ghoor rahe ho, aur main ye bhi na samjhun ki tum kya chahte ho? Huh! (shakes her head)
Vibhuti : (slowly draws his jaw down in surprise) Main ghuuur raha hoon aapko? Main... Ghuuur... Raha... Hoon... Aapko ? Come on give me a break man! Main nahi, balki aap mujhe ghur rahi hain!!
Anita :( stares coldly) Excuse me! Main kya tumhe waisi aurat lagti hoon? Tumhe pataa bhi hai mere kitne deewane hain? (Tidies her locks) Aur main 'tumhe' ghuroongi? Tumhe? (with disrespect pointing with brows at Vibhuti) Huh!
Vibhuti : What do you mean by 'tumhe' in that thonee? ('tone' pronounced in style)
Come on don't tell me ki mere jaisa koi handsome bhi tumhara deewana hai. Honge koi gali ke leechar ghatiya aur nalle type ke log jinhe koi kaam dhandaa nahi hota hai toh line maar dete hain!
Anita : (jaw dropped, eyes wide) hawww! Tumhe main itni giri hui lagti hoon? Jo mere peeche sirf gali ke awaara log hi parenge? Hello! Tumko pataa bhi hai mere graduations me kitne marks the??
Vibhuti : Arre marks gaye ghuinye ke khet me!
( Anita utterly horrified)
Okay no, I don't literally mean that. But mujhe nahi lagtaa ki tumhare akal aur shakl se mujh jaise handsomeness aur intelligence ko koi fark parega. So... I'm sawwwry!
(Vibhuti gets up and walks away in his typical style, swaying)
Anita : oww myy gawwd! Ye kaisa behudaa insaan hai! Kitni beizzati kar gaya mera! Seriously? Aur maine iski baaten suni? Chup chap! Let me breathe.
(inhales exhales to control anger)
Vibhuti Narayan Mishra, tumhe pataa nahi hai tumne kisse pangaa le liya. Mere pairon ke samne patakkar tumse meri jooti na chataai na, toh mera naam Anita nahi!!!