Rishton Ka Chakravyuh...
Rishton ka Chakravyuh hai ye, bhedna hai agamya
Iss rishton ke bhanwar mein, sab dhoondhtey hain apna lakshya
Apne hue paraye, aur paraye hue apne
Samajhne mein lag jayega na jaane kitna samay
Ek aandhi chalegi, aur ek toofan aayega
Samay sabko apna apna sthaan dikhayega
Apne karma ki sabko chukani padegi paai paai
Apni karni ki sabko karni padegi bharpaai
Saarthi hai koi, toh hai koi ranveer
Bahega lahoo, aur bahega kahin neer
Jeevan ka sangharsh hai ye, Mahabharath hai
Issey prithvi ka har praani avagat hai
Dharma aur karma karne waalon ki hi jaijaikaar hai
Vijayee hga woh jo satya ke saath hai...
Bhedna= To penetrate
Agamya= impassable/impenetrable
Bhanwar=whirlpool
Lakshya= Aim/Target
Paraye=others
Aandhi=storm
Toofan=typhoon
Sthaan=place
Chukani=to pay
paai-paai=each penny
Karni=deeds
Bharpaai=to pay/replace
Saarthi=Charioteer/one who drives Chariot (Shri Krishna in Mahabhrat)
Ranveer=battle hero
Lahoo= blood
Neer=water (tears)
Sangharsh=struggle
Prithvi=Earth
Praani=human being
Avagat=aware