HEART OF INDIAN OCEAN

jayati.patel1 thumbnail
Posted: 8 years ago
#1


❤️HEART OF INDIAN OCEAN ❤️

Part-1

(RAINA TS)

Terrorists aur terrorism ke dil aur deemaag par sirf aur sirf ek hi naam haavi tha...aur wo koi aur Nahi sirf aur sirf CAPTAIN RAJVEER SINGH SHEKHAWAT...

Unke area me INDIA ke water boundary means Indian water territory which is about 200 notical miles + oil rigs se kisi bhi terrorist ki entry ho jaye ye impossible hai...wo INDIAN Navy ke janbaaz captain hai... inke aatank se atankwaadi bhi tharraate hai... koi unki dharti Maa ki taraf nazar bhi uthaye to uski aankhein nikl de ye junoon tha unme... terrorist agar pakda jaaye to sawaal jawab ka to pata nahi but higher authorities ke paas yahi report jaati ki terrorist encounter kar diye gaye kyunki pahle Udhar se firing hui thi... personality wise to kya karu taareef inki...inke saamne ache achon ki personality tel lene Chali jaati hai...aur jab ye uniform me hote hai to mashallah qahar hi dhate hai... ladkiyan to dekh kar hi behosh ho jaati hai jinhe seedha teen din baad hi hosh ata hoga...

March 30...2:00am...
Palk strait...
INS Rustam-e-Hind
Ise log Heart of Indian ocean bhi kahte the...

jinki night shift thi wo chaukas the... sab jagah nazar banaye hue the...aur jinki din me duty thi wo is waqt araam kar rahe the...akele captain Shekhawat hi hai Jo pure 24 ghante me sirf 2-3 ghante hi rest karte hai...aur fir bhi zindadil insaan...shikan ki ek lakeer tak nahi...isliye ye HEART OF RUSTAM-E-HIND bhi kahlate the aur Rustam-e-Hind to heart of indian ocean tha isliye ek tarah se heart of Indian ocean...captain Rajveer Singh Shekhawat ko bhi kah sakte hai...abhi wo apne cabin me baith kar lemon tea enjoy kar rahe the aur table pe rakhi tasveer ko nihar rahe the...unki shaadi ki tasveer...badi hi khoobsurat biwi hai unki...chehre ka noor chupaye Nahi chupta...wo kuch hi din pahle mil kar aaye the unse...wo bhi Indian Navy me lieutenant hai...par filhaal chhuttiyon pe hai...wo aise hi chai ki chuskiyon ke saath us tasveer ko niharte rahe aur apne wo din yaad karne lage jab wo pahli baar us se mile the...

Jab wo us se pahli baar mile the...jab unhone usko pehli baar dekha tha...
...
FLASHBACK...

Indian naval Academy, Ehzimala, Kerala...Asia's largest naval Academy...

Principal's cabin...

Admission session...

A girl- may I come in sir...

Captain Shekhawat ( principal's assistant for new admission )

Princi(imagine BC)- come in...

Girl enter karti hai ...capt. Shekhawat apni kuhni( elbow) table pe tikaaye hote hai..ki ladki ko dekh unki kuhni ladkhada jaati hai...ab aap khud hi andaza lagayiye ki kitni khubsoorat hai unki beloved...

Princi- captain...( no response..Capt Shekhawat to sirf ladki ki taraf hi dekh rahe the...princi hairan... aisa to rare hi kabhi hota hai...unki bat ko Capt Shekhawat response na de...princi again called now in little louder tone)... captain rajveer Singh Shekhawat...

Capt Shekhawat- (Capt Shekhawat regain his senses) ye...yes..sir...

Princi- aap inka intro lenge ki mujhe kasht karna padega...

Capt Shekhawat- no...no...sir ... I'll manage...

Capt Shekhawat- ( ladki ki taraf dekhte hue..wo kaafi attract ho rah the isliye wo is emotion ko hide karne ke liye apni awaz me rudeness le ata hai) poochna padega...

Girl- no..no sir...
My name is Naina Singh ahluwalia
From nainital...

Par koi fayeda nahi kyunki wo jaise hi bolti hai wo uski aawaz me kho se jaate hai... uske naam "NAINA" ke Aage Capt Shekhawat ko kuch sunai Nahi de raha tha...wo to uski awaaz me hi kho gaye the...

Naina-...bla...Bla...that's it sir...

But capt Shekhawat again apni hi duniya me...princi hairaan pareshaan...again shouts...

Princi- captain rajveer Singh Shekhawat...!!where did you lost...??are you listening me...?? captain rajveer...!!

Capt Shekhawat- ye...yes sir...!!

Naina ke face pe halki si smile aa jaati hai...use bhi ehsaas hone lagta hai...ki capt Shekhawat ke deemaag me shayad wahi haavi ho gayi hai...

Princi- now, you are going to our next cadet...ab hum aapke saahas aur shaurya ko field me tay karenge ki aap humare cadet ban ne layak hai ya Nahi...tyar hai na sahi maiyno me apna parichay dene ke liye...Miss oh cadet ahluwallia..

Cad ahluwaliya - yes sir...(she leaves the cabin)

Princi- where was you lost Capt Shekhawat...??what kind of behavior is this...??

But Capt Shekhawat to jaise abhi bhi khoya hue the...wo bina kuch bole bina kuch react kiye waha se uth kar chal dete hai...princi was hell shocked..."...

Wo naina ke peeche jate hai aage seedhiyan hoti hai wo ladkhada jate hai...naina palat ke dekhti hai... Capt Shekhawat girne hi wale the ki wo unhe Sambhal leti hai...

Naina- "sir Sambhaliye khud ko...aap gir rahe hai..." aur wo waha se Chali jaati hai...

Capt Shekhawat naina ko yunhi jaate dekhte rah jaate hai...unki aankhon se naina dhundhli hoti Chali gayi aur uski kahi hui bat gahri hoti Chali gayi...

"sir Sambhaliye khud ko...aap gir rahe hai..."

ye baat shayad unke ladkhadate hue kadmo ke liye Nahi kahi thi naina ne...fir kya samjhdaar ko ishara hi kaafi tha...Capt Shekhawat ke dilo deemaag pe ye bat haavi ho gayi jisne naina ke chehre ko dhoondhla kar diya tha... Capt Shekhawat samajh gaye the...

Aise hi kaafi din beet te chale gaye... Cad ahluwaliya ne apna saahas aur shaurya har field me dikhaya jis se sabhi impress the...par jis field ke maahir Capt Shekhawat the usme Cad ahluwaliya ko kuch nahi ata tha...Capt Shekhawat ko bahut gussa ata tha jab koi cadet unki field me kacha nikl jaye...wo Cad ahluwaliya ko bahut daant te aisa Nahi tha ki Capt Shekhawat bahut sakht mentor the... unke training ka tareek jarur sakht tha but dil ke wo bahut soft the...isliye wo Cad ahluwaliya ko samjhate hue har baar yahi kahte...

"BELIEVE IN YOURSELF NAINA BECAUSE I BELIEVE IN YOU"...

Capt Shekhawat outdoor training aur khaas kar 'marinised camps' me maahir the...

Cad ahluwaliya swimming champion to thi but Pata nahi Capt Shekhawat ke saamne us section me bhi kuch khaas Nahi kar paati thi... shayad uski kahi baaton ne ladkhadte hue Capt Shekhawat ko to sambhalne pe majboor kar diya tha par Cad ahluwaliya ab khud hi fisalne lagi thi...

Aise din beet rahe the...Cad ahluwaliya daant khaate khaate bahut kuch seekh chuki thi... August ka mahina chal raha tha...us saal aur saalo ke apeksha jyada barish hui thi...sab jagah paani hi pani...waise to Kerala me rare hi kabhi baadh aati thi par jab bhi aati to sab jal-magn (submergence) ho jata...Arab saagar (Arabian Sea) ke kinare hone ke kaaran ye haal tha...aur is baar ki baarish Jo 4 weeks se lagataar ho rahi thi...pura Kerala pani me doob gaya tha...aur is waqt pure Kerala ko 'marinised camps' me maahir navy hi unhe bacha sakti thi...ye Indian Navy pe aayi aaj tak ki flood se related sabse badi problem thi...

Indian Navy ne is field ke maahir kayi officers ko Kerala bheja... Navel Air Force ne bhi unhe join kiya... Capt Shekhawat ne strategy plan ki...kaafi saare groups banaye...aur sabhi groups ko operation 'kerala flood' pe tainaat kar diya...khud unhone apne honhaar cadets ke saath ek team banai...jisme naina ko sirf is purpose se rakha ki wo use waha bahut kuch seekha sakte hai...kyunki wo jaha jaa rahe the...waha ki haalat bahut hi badttar thi...river pamba ke aas paas ka ilake me unhe Jana tha...mana jata hai ki wo Kerala ki sabse gahri nadiyon me se ek hai aur flood ke dauran waha ki haalat aur jyada bhayanak ho jaati hai...

Capt Shekhawat aur unki team gayi waha pe... Capt Shekhawat jis boat pe the uspe Cad ahluwaliya aur ek cadet aur tha aur unke peeche 4 boats aur thi...kaafi log Fase hue the...unhone kaafi mushtaidi se sab kuch sambhala...wo sab ko nikaal rahe the aur ek chote wale ship me sab ko pahuncha rahe the...musibat sirf yahi Nahi thi ... mausam bhi itna kharab ho chuka tha ki usme ye operation fail hota hua nazar aa raha tha...par Capt Shekhawat ne sabko himmat de rakhi thi...

Ki achanak pata nahi kya hua ki Capt Shekhawat ki boat dagamagaane lagi...unki najar boat ke floor pe gayi jaha se dheere dheere paani andar aa raha tha...unhone apne dono cadets ko agaah kiya ki boat me paani bhar raha hai...itne me hawa bhi tez hokar toofaan ka roop lene lagi aur barish bhi hone lagi...unhone nazar daudai...to dekha unke boat ke thodi hi door pe ek boat thi...jisme shayad ek extra bande ki gunjaish ho sakti thi...Capt Raj ne whistle bajayi jise sun wo boat unki taraf aane lagi aur ye bhi us taraf badhne lage...

Capt Raj - go Cad ahluwaliya...save urself

Cad ahluwaliya- no sir...i will not go...

Capt Shekhawat - zid mat kariye Cad ahluwaliya...ye boat kisi bhi waqt doob sakti hai aur yaha aas paas kuch bhi nahi hai siwaaye pani ke aur jaha tak mai janta hu iski gehrayi bahut jayada hai...aur is toofaan aur flood ki wajah se andar bahut sari aisi chije ho sakti hai jisme agar fas gaye to koi bachane wala Nahi aur yaha koi sun ne wala bhi nahi hai...aur humare paas Jo walkie talkie hai uska signal pahle hi toot chuka hai...

A cadet on another boat- sir hamara walkie talkie kaam kar raha hai...aap use kar sakte hai...hum baaki sab ko lekar ship tak pahunchte hai aur ship idhar lekar aate hai...

Capt raj- good cadet Kumar...ab aap jaiye Cad ahluwaliya...

Cad ahluwaliya - no sir I can't...aap mujhe yaha isliye laaye hai na ki mujhe kuch Sikha sake...to aapki cadet tyaar hai sir...koi bhi situation handle karne ke liye ready hai...aap hi kahte hai na sir..."BELIEVE IN YOURSELF NAINA BECAUSE YOU BELIEVE IN ME" to aj kya aapko mere pe believe Nahi hai... believe me sir... sir I I'll not disappoint you...

Cad ahluwaliya ke saamne capt Shekhawat ki ek nahi chalti aur majbooran unhe us boat pe wo dusre cadet ko bhejna padta hai...wo boat waha se dusri taraf Chali jaati hai...

Dheere dheere us boat me kaafi paani bhar gaya tha...aur ab wo kisi bhi waqt doob sakti thi...kuch ho is se pahle wo apni condition aur position Indian Air Force tak pahuncha dena chahte the...but is waale walkie talkie ka bhi wahi haal tha... actually mausam itna kharab tha ki signal hi nahi the...

Capt Shekhawat- Cad ahluwaliya is se pahle ki boat doobe aur hum iske saath andar kahi fas jaaye... hamara paani me utar kar paani ke satah pe rehna jyada safe hoga...paani ke andar agar gaye to koi bhi chij me ulajh kar doob sakte hai...

Cad ahluwaliya - yes sir...u are right...

Wo dono paani me utar jaate hai...wo kuch nahi kar sakte the siwaye swimming aur sirf swimming ke...unke paas lagataar tairte rahne ke siwaye koi option Nahi tha...ship ka bhi koi ata pata nahi tha aur na hi helicopters ka...naina ko pura yakin tha ki unhe kuch nahi hoga...aur aisi hi kuch captain Shekhawat bhi soch rakhte the... takreeban 2-3 ghante ho jaate hai... unki taraf na to wo ship aayi aur na koi aur mila... shayad har taraf paani aur ek jaisa dikhai dene se wo hi rasta bhatak chuke the...ki unhe achanak dur pe kai ped nazar aate hai...

Capt Shekhawat- Cad aapko wo ped nazar aa rahe hai...

Cad ahluwaliya - yes sir...

Capt Shekhawat - to der kis bat ki chaliye waha shayad paani kam ho aur hum khade ho paaye...agar jameen Nahi mili to ped ke upar hi chadh jayenge aur wait karenge kahi se koi help mil jaye...

Cad ahluwaliya- ok sir..

Capt Shekhawat- but cadet bilkul hoshiyaari se Sambhal kar kyunki jaise hi gahrai kam hoti jayegi pani ke andar pade samaan ki Sankhya(count) jyada hoti jayegi...hum usme ulajh bhi sakte hai...

Cad ahluwaliya- ji sir... I'll manage...

Capt Shekhawat- good...waise kehna padega aapne kaafi bahaduri dikhayi hai...pahle to wo casualties me baaki logo ko bachane me aur ab khud ko bachane me...( man me hi...aur mujhe bhi...agar tumhe kuch ho gaya to mai kaise zinda rah paunga...)

Cad ahluwaliya- Thanku sir...

Wo jaise jaise un padon ke nazdik aa rahe the...unhe thodi zameen dikhai dene lagi thi...just like a small "INLAND ISLAND" aur uske charo taraf paani...wo bahut hi Tezi se aage badhne lage...aur naina ek best swimmer ki tarah bahut dhayan se aur samjhdaari se aage badh rahi thi...wo Capt Shekhawat se aage nikl gayi...uska pura dhyaan apni swimming pe tha...jabki Capt Shekhawat thoda thak chuke the kyunki casualties ke waqt unhone kaafi jayada energy waste ki thi...par naina ko is tarah dekh unhe bhi Josh aa gaya...aur usi Josh me capt Shekhawat khud hosh kho baithe...unka pair kab paani ke andar pade ke machli ke jaale me fasa ki unhe bhi pata ni chala...aur use chudane ke liye unhone paani ke andar gota lagaya...paani abhi bhi gehra tha lagbhag 8- 9 foot...

Idhar jab naina ko koi aahat Nahi sunai di to wo peeche mudkar dekhne lagi...aur tab uske hosh ud gaye...peeche koi nahi tha...wo jor se chilllai...
"RAJVEER SIRRR..."

...

Aur idhar ek jordaar dhamake se captain Shekhawat ka flashback end hota hai... Capt Shekhawat jab tak kuch samajh pate tab tak ek aur blast ...aur fir ek aur lagatar 3 blasts...


Created

Last reply

Replies

11

Views

1.6k

Users

10

Likes

30

Frequent Posters

RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#2
Awesome rd
Loving it
Continue soon and thanks for the pm
rajeeviansonai thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#3
Mindblowing story dear.keep it up.
Avinanda120 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#4
Hi
PJ


Very nice & beautiful start.

Mervellous.
Raj is in nevy.

Very good dear.

Keep it up girl. U are the best.
jayati.patel1 thumbnail
Posted: 8 years ago
#5

❤️ HEART OF INDIAN OCEAN ❤️ -2

Captain Shekhawat bahar nikl kar dekhte hai...kuch samajh paate itne me ek aur blast...aur fir ek aur... lagataar teen blast...blast ki intensity jyada Nahi thi par is blast ne nuksaan kaafi kiya tha...Capt seedha control room me gaye but unse pahle hi waha capt Chauhan (capt abhimanyu rai chauhan jinhone unke saath hi training li thi aur ab unke saath hi RUSTAM-E-HIND pe duty de rahe the..) pahle se hi control room me pahunch chuke the...us waqt unki duty ka hi waqt tha..

Capt Shekhawat- ye kya ho raha capt chauhan...kuch Pata chala iski position ka ki ye kaha se...

Capt Chauhan- nahi Capt...kuch samajh hi nahi aa raha...

Capt Shekhawat bhi monitor ke kareeb jaate hai...fir kuch der me Position show hone lagti hai ki ye kaha se hua n all..

Capt Shekhawat baahar jaate hai waha dekhte hai commodore Khalid sheikh ne pahle se hi position le rakhi hai apne lieutenants, petty officers n seamen ke saath...

Is se pahle ki unhe koi dekhe wo chupke se waha se khisak lete hai...apna swimsuit nikalte hai oxygen cylinder ke saath ship ki dusri side se dive karte hai...

Comm. sheikh ko jab tak yaad ata tab tak to wo nikl chuke the...

Comm. Sheikh- ( wo turant Capt. Shekhawat ke cabin me jaate hai..) Capt Shekhawat...!! Capt Shekhawat...!!(Capt Shekhawat ko unke cabin me search karte hai but wo nahi hote...) oh no...hope he will be fine...but this time no more excuses I have to tell all these to authority...

Idhar Capt Shekhawat... swimming me maahir us direction me chal dete hai jidhar se hamla kiya gaya tha...har baar unka yahi kaam hota kahi se bhi koi problem nazar aati thi ya koi water boundaries ke kareeb bhi fatakta nazar ata tha to Capt Shekhawat waisa hi karte... aur terrorist ya shaq ke ghere me aya hua insaan Capt Shekhawat ke hathe chad jata tha...aur fir yahi se puchtach ka silsila shuru hota aur usko maut ke ghat utaar dene se khatam...

par shayad is baar honi ko kuch aur hi manzoor tha... wo jaise hi unki streamer/boat ke nazdik pahunche...wo ek jaal me fas gaye...ya yun kahiye ki kisi ne fasa liya tha...Capt ne kaafi chudaane ki koshish ki but wo nahi chhuda paye...Capt ne apni knife nikali aur jaal ko kaatne lage...but pata nahi net kaun se material ki thi jo kat hi nahi rahi thi... shayad specially isi kaam ke liye banawayi gayi thi...shayad wo log bhi jaante the ki Capt jaroor ayega aur wo use is tarah fasa lenge...shayad wo hamle (blasts) ke peeche bhi yahi maqsad tha...

Kaafi jaddojahad ki par koi fayeda ni hua...par Capt ko hairaani is bat ki ho rahi thi ki koi dikh kyu ni raha ...ye aise to apne aap uljhata hua lag ni raha tha...kaafi koshishon ke baad kuch samjh ni aa raha tha ...koi rasta nazar ni aa raha tha to wo shant ho jaate hai...Khud se hi kahte hai...Ki

"energy store kar ke rakhna jyada jaruri aur agar shant raha to shayad koi saamne aa jaye..."

fir Kya tha wo Aankhein band kar ke shaant h gaye aur apni beloved wife ko yaad karne lage...aur unhe bas wahi scene wahi manzar yaad aane laga...us samay bhi to kuch aisa hi hua tha...Bas farq itna tha ki... (aap khud dekh lijiye...)

****
FLASHBACK

Capt Shekhawat buri tarah se ek fish net me ulajh jaate hain...aur wo net ko chhudaane ke liye gota lagate hai aur apni knife nikalte hai...but itne mitti...kichad se bhare pani me unhe kuch ni dikh raha tha sab kuch andaaze se hi karna pad raha tha...ki achanak capt Shekhawat ki knife bhi gir gayi wo itni buri tarah se uljhe hue the ki ab paani se baahar bhi nahi nikl paa rahe the... ki tabhi unhe feel hota hai ki waha koi aur bhi hai Jo unhe chhudane ki jadozahad kar raha hai...((haa wo Cad ahluwaliya hi thi...jab usne palat kar dekha tha to peeche Capt Shekhawat ko na dekhkar chilllai jarur thi par bina ek pal gawaaye wo samajh gayi thi ki kya hua hoga...usne usi waqt dive kiye aur kuch hi palon me Capt Shekhawat ke paas pahunch gayi...))

Cad naina badi hi sujh bujh aur chalaki se wo net ko kaat ti hai... mainly dive karne se pahle usne apne water goggles pahan liye the is liye use kuch kuch dikhayi de raha tha...wo Capt Shekhawat ko paani se baahar nikalti hai...

(Haa farq bas ye tha ki yaha unki oxygen unki ye jaan NAINA thi Aur waha wo bejaan oxygen cylinder)

Cad ahluwaliya dekhti hai ki capt Shekhawat buri tarah se exhaust hone kaaran behosh hote jaa rahe hai...unhone apna hath pair chalna bhi band kar diye tha...Cad ahluwaliya ghabra jaati hai...

Cad ahluwaliya - sir...sir...!!

Par captain ki ek bhi aahat nahi... koi awaaz nahi...wo himmat ni haarti...wo ek hath se captain Shekhawat ko hold karti hai aur tairti hui waha pahunch jaati hai...jaha thodi se jameen dikh rahi thi...

{{actually ye badi badi nadiyaan aisi hi hoti hai...maidaani ilaakon me jab in nadiyon me baadh aati hai to samandar jaisa ban jata hai... actually us se bhi khatrnaak kyunki iska bahaaw (flow) bahut tez hota hai...kahi thodi si ...bahut thodi si jagah unchi hoti hai Jo inland island ki tarah kaam karti hai }} aur ye Cad ahluwaliya Capt Shekhawat ko lekar ek aise hi inland island pr pahunch gayi thi...

Cad ahluwaliya ne behosh pade capt Shekhawat ko waha letya...use samajh hi nahi aa raha tha wo kya kare...uski to jaan nikl rahi thi...saansein simat rahi thi...ab use samajh aa gaya tha ki wo Capt Shekhawat ki taraf itna kyu jhukti jaa rahi thi...??? kyu uske dillo deemaag pe sirf ek hi naam ek chehra chhappa hua tha...?? wo Mar rahi thi har pal...pal pal Capt Shekhawat ko is haal me dekhkar... use kuch sujh hi ni raha tha ki wo kya kare...fir use yaad ata hai ki academy ki training me unhe ghayal saathi sipahi ki help ke liye first aid ke under bahut kuch sikhaya gaya tha...

Cad ahluwaliya- sir...rajveer sir...!!(palms ko sahlaate hue...rub karti hai badi Tezi se...)rajveer sir ...!!rajveer sir...!!

Wo darte darte ( with fingers crossed.. Capt Shekhawat ki chest pe kaan lagati hai...Unki dhadkano ko sun ne ke liye...)thank God yahi bola hoga usne dil me kyunki usne yahi expressions ke saath upar dekha tha...

Wo Capt Shekhawat ke joote kholti hai aur fir pair ke talwe rub karti hai hai...

Cad ahluwaliya - sir...sir... !! please uthiye rajveer sir ...hosh me aayiye... please sir...aap is tarah mat daraiye mujhe...plz sir uthiye...

But no response...

Cad ahluwaliya Capt Shekhawat ke face ke nazdeek jaati hai...aur khud se...

Cad ahluwaliya - uff mai ye kaise bhool gayi...( wo apni 2 fingers Capt Shekhawat ke nose ke paas le jaa kar feel karti hai...)oh God...inki to saanse ruki hui hai...

fir wo pulse rate check karti hai...pulse continually down means slow hoti jaa rahi thi...wo immediately apne dono hands set karti hai aur chest ke beecho beech dabati hai lagataar dabaye jaa rahi thi...means sahi shabdo me kahe to wo unhe CPR de rahi thi...lagataar press kiye jaa rahi thi but fir bhi koi asar nahi ho raha tha...fir wo Capt ke face ke paas jaati hai...unke face ko cups kar...

Cad ahluwaliya- sir utho na aapko kya ho gaya hai...ap ko mai kuch nahi hone dungi... har haal me aapki saanso ko waapas ana hoga...chahe meri hi saanse kyu na chali jaaye...sir please...please utho...

Aur wo fir se chest press karti hai...3-4 baar karne ke baad jab koi result Nahi ata to wo fir se Capt Shekhawat ke face ke paas jaati hai...unke chin ko pahle upar ki aur pull karti hai head ko niche ki aur fir chin ko niche ki taraf push kar capt Shekhawat ka mouth open karti hai...nose ko apni thumb and forefinger ki help se band karti hai... aur ek gehri saans le kar unke mouth ko apne mouth se lock kar apni breath unke andar blow karti hai...ek baar me jab Kuch nahi hua to aisa wo fir karti hi hai ki capt Shekhawat khaanste hue hosh me aate hai...

Cad ahluwaliya ke to jaise jaan me jaan aa gayi...wo ek dum se Capt Shekhawat ko tightly hug karti hai... Capt Shekhawat ko kuch samajh hi nahi ata ki hua kya... Capt Shekhawat hug break karne ki koshish karte hai par wo nahi karti... upar se wo roye bhi jaa rahi thi...

Capt Shekhawat- kya hua aapko cadet ahluwa...

Itna hi capt bol paye the ki wo hug break kar jordaar ek chanta gaal pe dhar deti hai...

Capt Shekhawat apni gaal pakad ke wo Cad ahluwaliya ko shocked ho kar dekhte rah jaate hai...unhe samajh hi nahi aa raha tha ki wo kya bole...

Cad ahluwaliya- aise kyu dekh rahe hai si...(sir kahne jaa rahi thi but ) nahi...Captain Rajveer Singh Shekhawat...

Capt Shekhawat is baar dusra bada shock laga... wo bas Cad ahluwaliya ko dekhte rah gaye...

Capt shekhawat- ( in his mind..) what the hell..Isne mera naam liya...

Koi jwaab ni ata to Cad ahluwaliya fir bolti hai...

Cad ahluwaliya - mai aap hi se bat kar rahi hu Rajveer Singh Shekhawat

Capt Shekhawat -( in his mindwhat the ..is baar Capt bhi nahi bola...) ye kya bol...(bole jaa rahi hain...kehna to bas rah hi gaya tha..kyunki)

Is se aage capt Shekhawat kuch bol paate ki Cad ahluwaliya ne kuch aisa kiya ki wo Cad aur mentor ka rishta wahi khatam ho gaya...

Rajveer kuch bol hi pata ki

naina... !!

Ki naina... !!

Ki naina...!!

ek dum se captures his lips with her...rajveer peeche hone lagta hai but she places her hand behind his head n slightly pushed his head towards her so ...

she can eat 😉no...no..!!

i mean chew😛no...no... !!

I mean gulps😃no...no..!!

I mean suck😆...no...no...!!

means she can smooch passionately... now rajveer involves in it with same passion n zeal..

Aaj...isi waqt se dono ka mentor aur cadet wala wo rishta khatam ho gaya tha...kyunki ab to ye pyaar ka rishta duniya ka sabse bada rishta Jo jud gaya tha...

Naina- I love Rajveer...I love u more than anything...more than everything...mujhe aaj ehsaas hua ki mai aapke baare me humesha kyu sochti rehti thi... Mujhe Aaj ehsaas hua... jab mujhe ek pal ke liye laga ki maine aapko kho diya...

Rajveer-i love u too naina..I love u more...i love u humesha...tumhe kab ehsaas hua iska to mujhe Nahi Pata but main to tumpe pehli nazar me hi Mar mita tha...

Naina- pata hai... pata hai... wo to mai kabhi bhool bhi nahi sakti...

Aur hasne lag jaate hai...😆🤣

Rajveer- very funny... ha ha ha... dekho mujhe bhi kitni hassi aa rahi hai...😕ab bataogi ki mujhe hua kya tha...

Naina saari bat batati hai...

Rajveer- acha 😲 to tumne mujhe behoshi me hi apni 'hawas ka shikaar' 😉bana liya tha...mujhe ni Pata tha tum itni cheap ho sakti ho 😆..

Naina- rajveer...!!!😡😡

She punches on his chest...

Rajveer hold her arm..use apni taraf kheenchta hai aur tight hug karta hai...kafi der tak dono bina kuch bole waise hi ek dusre ko hug kiye hue rahte hai...ki tabhi kisi cheez ki awaaz aati hai...wo dono upar dekhte hai...it's helicopter...

***

Ki idhar Capt Shekhawat ko bhi hosh ata hai kisi ki aahat se...wo apne khyalon se bahar aatein hai... to dekhte hai ki saamne ek aadmi tha jo... ajeeb se material se bani hui us net ko kheenchte hue wo unhe upar ki ore le jata hai... wo Capt Shekhawat ko ek choti si ship ya kah lo badi si boat pe le jaate hai...jaha 6-7 log pahle se hi khade the...aur sab ke hath me AK47 thi...aur sab ne apne chahre cover kiye hue the...

Man1- jara bhi chalaki karne ki koshish ki...to tum soch bhi nahi sakte ki hum kya karenge...

Capt Shekhawat - tumhari in khokhli dhamkiyon se tumhe kya lagta hai mai dar jaunga...

itna bol capt Shekhawat apni chhupi hui gun nikalne hi lagte hai ki man1 ke ishare se man2 apni AK47 ko ulta kar capt Shekhawat ke lag pe jor se marta hai...jiske chalte wo gir jaate aur pistol bhi nikl kar gir jaati hai...wo apni pistol uthane ke liye hath aage badhate hi hai ki...man1 unke hath ko apne jooton se jor se masal deta hai... Capt Shekhawat ke hath zakhmi ho jaate hai...

Man1- maine kaha tha na...par tu Nahi ruka...

Capt Shekhawat - tum mujhe maar bhi do to koi gham nahi hoga...par pahle apna ye odha hua qafan hata kar chehra to dikhao...kam se kam mai upar jaa kar tumhe bhi waha jaldi bula saku...

Man2- tujhe kya lagta hai tujhe itni jaldi upar pahuncha denge ...

Capt Shekhawat- agar apni jaan pyaari hogi to mujhe jarur maar doge...

Man1 chidh jata hai fir wo apni gun ulta kar capt ko marta hai...aur capt Shekhawat ko to jaise farq hi nahi pad raha tha...ek banda us chhoti si ship ko chala kr kaafi aage srilankan water boundaries ke paas pahunch jata hai...

Man1(har baar wahi bol raha tha order de raha tha shayad wo boss tha...)- usne 2 aadmiyon ko ishara kiya...aur fir wo bhi maarne lage capt ko...bahut berahami se maar rahe the humare nihathe captain ko.. humare jawaaz soldier ko...

Idhar ghar me chain se so rahi naina achanak bechain ho "Rajveerrr" chillate hue uth ke baith jaati hai...wahi bagal me so rahi rajveer ki maa uske baalon ko sahla kar sulane ki koshish karti hai...par wo bahut bechain ho rahi thi aur bechari bechain ho bhi kyu na idhar uske pati ki ye terrorist aisi haalat Jo kar rahe the...

Idhar Rustam-e-Hind pe bhi sab capt Shekhawat ke liye itne pareshaan ho rahe the...comm. sheikh aur Capt chauhan ko bahut chinta ho rahi thi unhe ajeeb hi feel ho raha tha...

Idhar ye terrorist log Capt Shekhawat ko berahamo ki tarah maare jaa rahe the...har jagah se bleeding ho rahi thi...

*
Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale watan saathiyon...

*

Man1- tumne mere bhai ______(kisika naam leta hai but mai nahi bataungi kyunki mai yaha kisi terrorist ko koi naam nahi dena chahti...) ko Mara tha na...ab tumhari Khair nahi...

Capt Shekhawat- acha wo...use to maine bahut berahami se mara tha maut ki bheek maang raha tha kamina...

Man1- to tumhe kya lag raha hai tumhe chhod denge...tumse bhi maut ki bheek mangwayenge... tumhari halat itni badttar kar denge ki Teri ruh bhi kaamp jayegi...(fir saare behrahmo ki tarah maarne lagte hai...aur capt Shekhawat ke paas koi option bhi nahi tha...wo peeth dikhane waalon me se nahi the...itna sab kuch hone ke baad bhi muskuraye ja rahe the..)

*

Saans thamti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar hamare to kuchh gham nahin
Sar himalay ka humne na jhukne diya...
Marte marte raha baankpan saathiyon

*

Rajveer ki mom badi mushqil se apni pyari si cute si bahu ko sulati hai...

Idhar Sabhi terrorist chid gaye Capt Shekhawat ke is andaaz ko dekhkar...unhone maarne ki sabhi seemaayien langh di... Capt Shekhawat ka chehra pura zakhmi kar diya...koi pehchaan bhi na Pata ki ye captain Shekhawat hai...

*

Ab tumhare hawaale watan saathiyon
Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale watan saathiyon...

*

Tumhe bahut shaunkh hai na humare saathiyon ka huliya bigaadne ka le ab tera bhi yahi haal kar diya...chal ab maang bheekh...

Capt Shekhawat- kabhi Nahi...mai tum bhediyon ke saamne jhuk jaun ye kabhi Nahi hoga...

Idhar Rustam-e-Hind pe Capt chauhan aur comm. sheikh bahut tension me the...kyunki ab monitor pe unki position show nahi ho rahi thi...

Comm. Sheikh- I hope sab theek ho...ye capt har baar Hume chakma de kar faraar ho jaate hai...apni jaan to hatheli pe rakhi hi hoti hai aur hume bhi heart attack karwa dete hai...

Capt chauhan - aaj pata nahi kyu kuch bhi theek Nahi lag raha ...

Aur theek lage bhi kaise idhar Capt Shekhawat to khoon se nahaye hue the...

*

Zinda rehne ke mausam bahut hain magar
Jaan dene ki rut roz aati nahin
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawani jo khoon mein nahaati nahin
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawaale watan saathiyon...

*

Jab maarte maarte wo log thak jaate hai aur capt Shekhawat ko adhmara kar dete hai ...tab Capt Shekhawat niche gir jaate hai...

Man1- ab bol ki tujhe maut chahiye...

Capt Shekhawat- ( dheere se bolte hai...man2 paas jaa kar sunta hai...) thak gaye tum log aur fir smile karte hai...

*

Kar chale hum fida jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale watan saathiyon...

*

Lastly jab unhe samajh aa jata hai ki ye Mar jayega par jhukega nahi...to captain Shekhawat ko ek srilankan island pe fenk dete hai...

(Kai srilankan machuaron ke saath unki dosti hoti hai unhi ke saath milkar ye kaam kiya tha in terrorists ne...)

Man1- saale Teri yahi saza hai...tu itni asaani se nahi marega...tu jab yaha ki jel me sadega na tab samajh me ayega ki humse maut ki bheek maangne me jyada samajhdaari thi...

Unhi machuaron ne jaise un terrorists ne kaha unhi ke anusaar srilankan navy ko khabar kar di thi...kuch officers capt Shekhawat ke paas gaye par unhe pata nahi chala ki ye kaun hai kaha se hai kisne iski aisi haalat ki hai... machuaron ne bhi aage kuch ni bataya tha...kapdo se lekar huliya tak bigaad diya tha un berahmiyon ne...

Officer- (wahi ki language me bolte hai but mai apni hi language use karungi) pahle ise hospital bhejna padega Tabhi kuch samajh me ayega...

Wo log unhe naval hospital bhej dete hai...naval hospital me ek badi hi pyaari si... sundar si... sab ki jindagi Raushan karne waali ek doctor jo India se hi hai...(uske papa bahut saal pahle yaha business ke silsile me settle ho gaye the...aur ye madam ko bahut shaunkh tha defence ki doctor banane ka to isliye inhone srilankan naval join kar liya doctor ki degree lene ke baad...) doctor nidhi verma (kritika kamra) ji sahi suna aapne dr nidhi verma aur abhi yehi night duty pe thi...Capt Shekhawat ki ye haalat dekh kar wo dar jaati hai...

Doctor - kisne ki hai inki ye haalat...aur ye kaun hai...

Seaman- don't know doctor...ye Hume aisi hi haalat me mila tha...

Idhar saari raat beet jaati hai par Capt Shekhawat ke Lautne ka koi pata nahi...comm sheikh...Capt chauhan aur baaki ke bhi sabhi members ko kaafi fikr hoti hai...

Comm sheikh - ab to authorities ko batana hi hoga...

Capt chauhan - yes sir...!! search operation jaari karna hoga...

Comm. sheikh- what about his wife... lieut ahluwaliya unko kya bolenge...

Capt chauhan - filhaal unhe kuch nahi batayenge...

Ye khabar authorities tak pahunchti hai...wo comm sheikh pe jaise bijli gira dete hai...itni fatkaar shayad hi unhone kabhi khayi ho...

Search operation jaari kiya jata hai...pure 5 din tak chalta hai par jaise saari umeedon pe paani firta hua nazar ata hai...

Idhar search karne me samay beet'ta gaya aur is beech Udhar capt Shekhawat ki haalat me kuch to sudhar aa hi gaya tha...

*

Par haa idhar ocean ke tal pe kuch aisi nishaniya jarur milti hai ki jis se pata chal sake ki wo yaha aaye the...jaise wo oxygen cylinder aur kuch equipments...knife...even unka pistol...

10 dino tak search operation chalta hai...is beech naina ka capt Shekhawat ke liye kai baar call ata hai but har baar Capt chauhan unhe koi na koi bahana bana dete...

Yunhi kuch 15 days waste chale gaye the...itna sab Milne ke baad capt Shekhawat ka jab kuch ni pata chala to authorities ke kuch alaa officers me bahas chhid gayi ki unhe dead karaar diya jaaye ya Nahi...par Aakhir kar faisla hua ki unhe shaheed ghoshit kar diya jaaye... generally ye Nahi hota tha but situations yahi ishara kar rahi thi...

Rustam-e-Hind ke saare members officers koi bhi yakeen karne ko tyaar Nahi tha...sab ek ummeed me hi the...ki kuch dino me hi capt Shekhawat jarur laut kar aayenge...

Captain abhimanyu rai chauhan ye khabar le kar pahunche Shekhawat house...15 April ko...

Jaise hi ye khabar batayi rajveer ke maa Papa dono ek dam se statute ban ke baith gaye...unki aankh se ek katra aansoo na gira...par naina uska kya...wo to maan ne ko tyaar hi nahi ho rahi thi...

Capt chauhan - lieut ahluwaliya ye sach hai...aap maan kyun nahi rahi...

Naina - nahi aap jhuut bol rahe hai ...boliye na ye jhoot hai ...ye sach ni ho sakta mere rajveer mujhe aise chhod kar nahi jaa sakte unhone to wada kiya tha ki wo humesha mere saath hi rahenge...nai sir aisa Nahi hua hai...ap mazaak kar rahe hai na...

Lagataar aise hi bolti Chali jaa rahi thi ...bar bar bol rahi ki mazaak kar rahe hai... Capt Chauhan ne naina ko kheench kar ek thapad mara...kaha

Capt chauhan - ye mazaak karne ki baat hai...

uski haalat aisi thi ki uska jyada panic hona uski sehat ke liye theek Nahi tha...wo 3 and half month pregnant thi...ye kaafi nazuk samay tha uske liye...naina rone lag gayi...rajveer ki mom ne use hug kar liya...

((((pure ghar ka Jo mahaul tha.. use bayan karne ke liye mere paas shabd nahi hai...ye shayad wahi bata sakta hai jiske ghar aisa hua hoga...meri to ruh kaamp jaati hai wo manzar ko imagine kar ke...kaise humare shaheed soldiers ke pariwar waale us dard ko jhelte hai...mera unko shat shat naman hai...mai ye scene se bhagna chahti hu...kya karu bola na ki mere pas shabd nahi use bayan karne ke liye...))))

Idhar naina ki ye haalat thi to wahi rajveer ki bhi haalat kharab hone lagi...head injury nikl aai thi...jiska operation hona tha...

Idhar Capt Shekhawat ki atma ki shanti ke liye hawan chal raha tha aur Udhar srilanka me unka operation...

Idhar hawan pura hua aur Udhar operation...that was successful... Capt Shekhawat ki bahut baar surgery ho chuki thi...ab to unki haalat me kaafi sudhar aa gaya tha...

Jaise jaise din beetne lage waise waise wo theek hote chale gaye...aur idhar sab ye maan ne pe akhir kar majboor ho hi gaye ki Capt Shekhawat ab shaheed ho chuke hai...

naina ne jeene ki aas hi chhod di thi wo rajveer ke Maa papa hi the jinhone use hausla diya hua tha...aur wo hamesha kahte ki...

" humne ek beta kho diya par hum dusra beta is tarah se Marne nahi dena chahte agar hona Hi hai to shaheed ho jao apne watan ke waaste jaise wo ho gaya...apna farz nibhate hue...jaise mera rajveer hua hai..."

Capt Shekhawat theek to ho gaye the...unhe hosh bhi ata tha but wo kuch batane se pahle hi fir se behosh ho jaate...bas itna hi bataya tha ki wo Indian Navy me captain hau...dr nidhi sab kuch kar ke dekh chuki thi par unki samajh me kuch ni aa raha tha ki Unhe gosh kyu ni as raha...dr nidhi ko pata nahi kyu unse ek attachment ho gayi thi...((Shayad wo isliye ki wo bhi Indian defence me shamil hona chahti thi but kinhi nizi karno se nahi kar paayi thi...)) isliye to jab bhi koi officer ata to wo use ye kah kar Milne se rok deti ki wo abhi theek Nahi hue hai...

Wo jaanti thi ki agar kah degi theek ho gaye hai tab unhe wo log cell me daal dete.. aur waha se niklna namumkin tha...waise bhi sahi hi to kah rahi thi... Capt Shekhawat ko puri tarah se hosh kaha ata tha...Pata nahi kyu usko Capt Shekhawat kaafi genuine lagte the..

Dekhte dekhte 5and half month beet gaye the...aaj 16 October tha Matlab Capt Shekhawat ka janam din...but kisi ko Nahi bataya ki bday hai...ab captain rajveer Singh Shekhawat bilkul theek ho chuke the...aur idhar naina ki delivery ke liye sab hospital gaye hue the...aur wahi 16 Oct ko naina ne ek bahut hi cute se bete ko janm diya...saare is bat se khush the ki baap bete ka birthday ek hi din hai...Sabko Aisa laga ki rajveer waapas as gaya apne bete ke Roop me...par NAINA kaafi kamzor ho gayi thi aisa lag raha tha sirf aur sirf is bache ke liye Jee rahi thi...

Jab Capt Shekhawat waha puri tarah theek ho gaye tab unhone apni puri story batayi...Naina se mulaqaat se lekar us raat waale hamle tak ka Bayaan...dr nidhi to unki ye kahani sun kar rone hi lag gayi...

Fir dono ek saath bolte hai...

Tab to naina ki aaj kal me delivery ho jayegi...

Dono khush ho gaye...dr nidhi ne turant unke ghar phone kiya...par waha ke watchman ne phone uthaya...usne bataya ki aaj naina ki delivery thi isliye sab hospital me hai...

Dr. Nidhi- to delivery ho gayi kya...

Watchman- ji...unhe beta hua hai...par aap kaun hai..

Dr. Nidhi- mai...mai unki pardaadi swarg se...😆🤣(aur fir nidhi ne fone kaat diya...)

Ye bat sun Capt Shekhawat humesha ki tarah apna sar left right node karte hai..

Dr nidhi Capt Shekhawat ko batati hai...Capt Shekhawat ki to khushi ka thikhana nahi raha...dr nidhi ne jaise hi bataya waise hi Capt Shekhawat use hug kar lete hai...dono ke liye kaafi awkward tha but dr nidhi jaanti thi... samajhti thi...

Capt Shekhawat - pata hai doctor aaj mera bhi birthday hai...

Dr nidhi - that's great...papa aur beta saath janme...cake katna to banta hai boss...dr nidhi poore hospital staff ko ikatha kar dono baap bete ka birthday celebrate karti hai...

Next day...

Dr nidhi ne srilankan naval authorities se bat ki ...Capt Shekhawat ki detail me puri story batayi... use jitne bhi proof internet se mile the sab ikatha kar unhe dikhaya... ye sab itna asaan Nahi tha pure 10 din lag gaye ye sab karne me...saari news Jo peechle lagbhag 6 mahine se India me Capt Shekhawat ko lekar chal rahi thi...wo sab ki recordings bhi dikhayi...ek tarah se kahiye to dr nidhi ab Capt Shekhawat ki lawyer ban chuki thi...

srilankan defence ministry ne Indian defence ministry se contact kiya Capt Rajveer Singh Shekhawat ki inquiry ki fir uske baad unhe unka sach bataya... Indian defence ministry me jaise khushi ki lehar daud gayi...ek soldier jab kho jaane ke baad jab waapas milta hai uski khushi defence ministry us soldier ke gharwaale dost saathi hi bata sakte hai...Hum to is khushi ka ehsaas bhi nahi kar Sakte...

Authority ne ye baad turant Rustam-e-Hind pe duty de rahe waha ke head Comm. Sheikh ko batayi...unhe to maano pankh lag gaye the...

Comm sheikh- aapne unki family ko inform kiya...

Officer-( from defence ministry) no sir abhi nahi kiya...

Comm sheikh- good ...to kijiyega bhi mat...kal jaante hai na kya hai... Diwali...aur Diwali par jaise RAM bhagwaan apne rajya Ayodhya pahunche the waise hi Capt Shekhawat lautenge...tab sochiye ki unke gharwalo ki khushi asaaman chuegi...

Next day

DIWALI...

Subah 6 baje ki flight se hi chale the Capt Shekhawat...8:30 ho chuke the flight ab land hi karne wali thi... Capt Shekhawat ko recieve karne comm sheikh... Capt chauhan aur ...aur bhi kai officers the...sabhi kaafi khush hue...airpot pe kaafi shaandaar welcome hua unka...

Capt chauhan ne Capt Shekhawat ke papa ko subah hi phone kiya unhe ye news di aur kaha ghar ko dulhan ki tarah sajaiye...10 baje tak humara rajveer apne ghar hoga...but Capt chauhan ne unhe ye baat naina aur aunty se chupane ko kaha...

Rajveer ke papa ki to khushi ka maano thikhana hi nahi raha...aaj unke Ram wapas aa rahe the...isliye unhone koi kasar nahi chhodi...pure Ghar ko Dulhan ki tarah sajwa Diya wo bhi itni jaldi...itni sajwat dekh kar rajveer ki maa ne kaha...(mai bayan ni kar paa rahi guys kitni khushi hui hogi...)

Maa - ye aapko ho kya gaya itna kyu decorate karwa rahe hai...

Naina- haa papa ye sab aap kyun karwa rahe hai...

Papa- are humare Ram bhagwaan waapas aayenge to Hume to ghar sajana hi chahiye... kisi ke rahne nahi rahne se kya farq padta hai...ab bhagwaan ke kaam me hum dakhal kyu de...aur usi tarah hum apne kaam se peeche kyu hatein...(indirectly sab bata diya par unhe samajh hi nahi aya ..)

Naina apne father in law ko salute karti hai...par use kya pata tha ki uske ghar ke hi Ram laut rahe hai...

Rajveer ke papa ne naina ko ek red saaree di aur bola ki ise pahan ke aau...NAINA nahi maani... bahut manaya fir bhi...jab nahi maani to unhone kaha...

Papa- tum meri bahu nahi beti ho...aur jis tarah ghar ki betiyaan deewali pe ready hoti hai usi tarah tum ho kar aao...

Aur rajveer ki maa se bhi kaha ki ache se tyaar hokar aaye...nanhe mehmaan ko bhi ache se tyaar karwaya aj wo pure 2weeks ka ho gaya tha...

Captain Shekhawat jaise hi aaye pahle to watchman dekhkar stabdh rah gaya...rone lag gaya...aur jhat se aakar captain ke pairon me gir gaya...

Watchman- aaj Diwali hai sirji aur humare yaha sakshat bhagwaan RAM aa gaye ...apna banwaas kaat kar...

Capt Shekhawat - bhagwaan ki jagah mat do shyam (watchman)... hum to insaan hai... sirf thoda sa naseeb bhagwaan wala mil gaya...

Andar rajveer ke papa besabri se intezaar kar rahe the... chakkar kaat rahe the idhar se udhar... rajveer ki maa aur naina dono is tarah unhe dekh hairaan pareshaan ho Rahe the...ki tabhi doorbell baji..

Pahle wo khud door ki taraf badhe par fir ruk gaye fir naina se kaha ...

"Beta door kholo..."

Naina n rajveer ki maa dono hi unke ye behavior se subah se hi hairaan the...

Naina door kholti hai but wo abhi bhi Maa ki taraf hi dekh rahi thi saamne dekha hi nahi...Maa aur papa dono ne saamne dekha papa ko to pahle se hi pata tha isliye wo sirf khush... bahut khush ho rahe the...baaki Maa to hairaan ho gayi...ek dum statue ban gayi...naina be kab unko itna hairaan hote dekha tab usne saamne dekha to bas dekhti hi rah gayi...uski khushi ko shabdon me byaan karna mushqil hai...itne me rajveer ke dad aaye aur apne rajveer ko tightly hug kar liya...

Raj's dad- tum kaha chale gaye the beta...saans le rahe the...jeene ki khwahish to kab ki dafn ho gyi thi...

hug break kar rajveer ke papa uske forehead pe kiss karte hai...rajveer bhi unke pair chhutein hai..

Rajveer ke dad... Maa aur naina ki taraf ishara karte hai...

Naina abhi bhi statue bani khadi thi...rajveer aage badhte hai aur ek pal ke liye apni jaan naina ke paas khade hote hai...naina lagatar rajveer ki aankhon me dekhe jaa rahi thi...fir wo aage badh apni mom ke paas pahunchte hai...

Maa ki aankhon me aansoo the jo lagatar bahe jaa rahe the... pahle wo Maa ke paaon chu aashirwaad lete hai maa sar pe hath rakh deti hai... fir wo upar uth Maa ke aansoo saaf karte hai fir maa ka face cups kar unke forehead pe kis karte hai...fir hug karte hai...maa rone lag jaati hai aur beintehaan roti hai...apne bete ko khone ka gum peechle 6 mahino se sah rahi thi... wo sara dard un aansoon se bah kar nikl raha tha...

Rajveer- mai aa gaya hu Maa ab to Rona band kar do ab mai aa gaya hu...

Maa chup hoti hai...apne bete ke face ko cups kar forehead pe kis karti hai...aur fir naina ke paas jaane ko kehti hai...par naina waha se jaa chuki thi...

Maa- naina...!! Kaha gayi bacha...??

Rajveer- rahne do Maa mai us se baad me mil lunga...pahle mere bete se to milwao...

Maa- (hairan hote hue...) tujhe Pata tha...??

peeche se baaki sab I mean comm sheikh n Capt chauhan...
"Par humne to bataya hi nahi..."

Peeche se ek aur awaaz aati hai...
"Ye humne bataya tha..."

Ek ajnabee si awaz sun sabhi peeche mudte hai to dekhte hai ki ek cute si bubbly gurrl khadi hai...wo aur koi Nahi Dr nidhi verma hai...

Capt chauhan- (😳 ke man me expression chal rahe the) aapki taareef...??

Capt Shekhawat- aap kab aayi...??

Dr. nidhi- Are yaar question pe question...ye acha nahi kiya captain Saab aapne ( Capt Shekhawat ki taraf dekhte hue...) apni DIWALI gift ke baare me hi kisi ko Nahi bataya...mai to apke peeche wale flight se hi aa rahi thi...

Capt chauhan - kaun si Diwali gift...

Dr. Nidhi- are mai aur kaun...

Capt chauhan man me hi shayad ye mera Diwali gift hai Jo humare dost humare liye laaye hai...

Saare hairaan ho use dekhne lag jaate fir rajveer ko dekhte hai...

Capt Shekhawat- are aap sab in nazron se mat dekho mujhe...ye wo dr hai jinhone mujhe maut ke muh se kheench kar nikala hai...

Fir rajveer sab se milwate hai...uske baad sab mil kar chhutku rajveer se milte hai...rajveer ki aankhon me khushi ke aansoo aa jate hai...wo use god me uthate hai aur fir bade pyar se dekhte hai...

Dr. Nidhi- bas.. bas.. proud father ab aapka time khatam...ap jayiye koi aur aapka intezaar kar raha hoga...

Rajveer ka dhyan ekdum se bete Par se hat naina pe jata hai...wo idhar idhar Dekhte hai jaha tak bhi nazar jaati hai...Par wo nahi milti fir wo apna bedroom check karte hai ...Waha bhi Nahi milti to seedha terrace pe jate hai...

Naina wahi pe thi humesha ki tarah...Jab bhi Wo rajveer se naraaz hoti to terrace pe hi hoti...Wo naina ke saamne jaakar khade ho jaate hai...

Rajveer- kya hua naina kuch bolegi nahi kya...(naina kuch ni bolti...wo waise hi statue bani hui thi...rajveer uski dono arms pakad kar hilate hai...) kuch to bolo naina...

Naina rajveer ko kheench kar chanta lagati hai...

Rajveer- (patting his cheek)fir se..

Naina- aapne bhi to fir se kiya...us din to kuch der ke liye but is baar...aapko andaza bhi hai is baar aapne mujhe kitna rulaya hai...har pal Marti rahi ...kaun sa aisa pal nahi tha jisme aapko yaad nahi kiya...hazaar mautein mari hu...

Bas bolti hi jaa rahi thi... Rajveer bas uski lips ki aur hi dekhe jaa rahe the...

He closes his eyes aur naina ke kareeb jaa kar ...he capture her lips with his...naina jaise hi hatne lagti hai kabir uski head ke peeche apna hath rakh apni aur halka sa push karte hai...so ...

he can eat 😉no...no..!!

I mean chew😃no...no..!!

I mean gulp😆no...no..!!
I mean suck😆...no...no...!!

means he can smooch passionately... naina pahle khud ko chhudane ki koshish karti hai but shayad wo bhool gayi thi ki rajveer ki pakad se niklna mushqil Hi Nahi namumkin hai...haar ke she too involves in it with same passion n zeal...after some time

Rajveer- I love you naina...

Naina- I love you too...humesha...

Rajveer- humesha...

*********************************

Here ends my Two shot
"HEART OF THE INDIAN OCEAN.."

WRITER'S POV...
Kaash aisa hi kuch hota humare soldiers ke saath Jo shaheed ho jaatein par ye sirf kahani ya drama me hi hota hai...reality me to sirf aansoo hi hote hai...

Mai ye special TS duniya ke har us soldier ko dedicate karti hu Jo apno se door rah kar bina apni nizi dushmani ke.. Dusron ke liye apni jaan tak qurbaan kar dete hai...Jo apni janm aur karm bhoomi ke liye haste haste shaheed ho jaate hai... hum soch bhi nahi sakte ki unki family kitna dukh jhelti hai...ye TS maine usi taqleef ko mehsoos karne ke liye likha hai...Agar ek bhi aansoo laa paayi houngi aapki aankho me to samjho mera ye TZ likhna safal ho gaya...plz jarur batana...kya mai safal hui...

Ye ek chhoti si bhent hai meri ore se mere desh ke un jaanba az jawano ke naaam...who only n only fight for us...N sacrifice themselves only for us...

Mera shat shat naman har jawaan ko...

Jay jawaan...
Jai hind...
Edited by jayati.patel1 - 8 years ago
yoginisahakari thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
#6
Mind blowing update
Too good
Excellent presentation
Keep writing more
Waiting for ur next

Love and prayers always
Yogini
Prasu1095 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
#7
Outstanding nd mind blowing
Pls write more
MANNNAYAK thumbnail
Groupbie Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#8
Hey
Great story.
You have described the emotions of raj and naina very beautifully.
Too emotional
Thanks for the pm
keep writing this type of beautiful fan fictions
Kool11 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#9
Nice very nice
Dear.

Exlent story. U are a good writer.
shilpa_akki thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 8 years ago
#10
First of all I really want to salute my Indian soldiers who r doing their job fearlessly for us...n u dedicated ur story on them it's really proud...N coming Raj naina it was awesome as usual...cute role of Dr nidhi was also fab.. .
Do write more stories on raina

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

27 days ago

Churake dil mera...Stealing my heart...Abhilash Hima OS

Churake dil mera...Stealing my heart... I dedicate this OS to parthz who requested me to write on AviSha. Hima went to a park and looked around....

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: priya185

3 months ago

International Booker Prize 2025: Indian author Banu Mushtaq

International Booker Prize 2025: Indian author Banu Mushtaq...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".