Diaries:An after marriage journey.. #Season 2 updt 17 pg 41 25/1/18 - Page 14

Created

Last reply

Replies

282

Views

23.2k

Users

21

Likes

349

Frequent Posters

Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: --GOLD--

Loved it Yashfeen
Awesome update
I just loved Zaroon banters... They were too cute 😊
So Kashaf called Osama and Asmara for dinner
Dono be bahut taareef kari Kashaf me khane ki
Zaroon ko dinner mehnga pad gaya 😆
Na biwi bhaav de rahi hai na dost 😆
I just loved POVs you penned
Thanks for the PM
Continue soon 😊


Zaroon ke decisions use humesha mahenge hi padte hai😆
Thanks😳

Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: pcnsb

Commenting for last two updates.. [ L]

Zaroon and Kashaf's banters are life!
And you totally ace in keeping them intact!!!
So claps for that!

Kahan se laati ho inke one liners?! They are damn witty!
Totally loved both the updates!

Kashaf's flour smearing on his face was so Kashaf! Romantic mood kaise kharab kiya jaaye yeh koi isse sikhe! 😆
Zaroon's Itna romantic toh woh mere khwaabon mein bhi behave nahi karti cracked me up real bad! How cute is this man?! I love him!!
Zaroon's last line made me blush! Subah zyada behtar thi..😳

Kashaf's part was amazing too. Asmara and Osama were too cute!
Her silent prayer to almighty was beautiful!
But her last line left me wondering..
I hope you're not planning to separate them.

Update soon!
Nandini


Kahan se laati ho inke one liners?! They are damn witty!
Totally loved both the updates!
haha..
pata nahi bas yeh sochti hoon woh is situation me kaise react karte to ajata hai😆

But her last line left me wondering..
I hope you're not planning to separate them.
separate them?Aisa kabhi ho sakta hai?
but pata nahi age kya ho.
stay tuned and thanks a lot😳
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: enthusiastic

awesome update yashu
loved it dear
thanks for the pm
waiting for next part
update soon...


thanks a lot😳
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: pihu2june

Too good. Loved it continue soo 😊


thanks a lot😳
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: pihu2june

Too good. Loved it continue soo 😊

thanks a lot😳

Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: tragedy.queen

ZAROON's part
Amazing
So cute.
Ata wala scene was great


thanks a lot😳
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: tragedy.queen

Kashaf's part
Very nice
Itni tareefein ki
End was cute an her wish also

thanks a lot😳
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

ZAROON 10TH MARCH


Aaj mujhe Kashaf ke kuch secrets malum huye hai. Haan aaj tak kafi ache tarah se usne mujhse saari baatein chupa kar rakhi thi. Aaj Pata nahi achanak mere dimag mein kya baat ayi toh maine Kashaf se dinner table par pucha

"Kashaf tumne aaj tak apne college life ke bare mein kuch nahi bataya."

"Kyun ki tumne kabhi kuch pucha hi nahi."

Usne ek casual way mein kaha.

"Haan sahi baat hai tum bina puche kuch todhi kehti ho. Humesha mujhe hi yeh takleef uthani parti hai."

"Agar yeh tumhe itni badi takleef lagti hai toh Khuda ke liye itni zehmat na karein."

Usne tanz karte huye kaha.

"Acha batao na kuch apne college life ke bare mein."

"Zaroon tumhe zara bhi tameez nahi hai. Khate waqt baatein nahi karte. Yeh bhi nahi seekha tumne?"

"Ab main tumhare samne bhi lehaz karun tab toh main zinda hi nahi reh paunga. "

"Tum muh band kar ke khaoge please?"

"le agar main muh band karunga toh khaunga kaise?"

Usne meri is baat ka koi jawab nahi diya aur uske expressions dekh kar meri age kuch bolne ki himmat nahi hui. Kabhi kabhi lagta hai Kashaf meri biwi nahi warden ho jiske hostel me main reh raha hoon. Aam tor par hostel chorne ke liye log humesha tayyar rehte hai par main chahun toh bhi mera dil mujhe iski permission nahi dega kyun ki yaha meri maarzi shamil hai.

Khate waqt toh maine use tang nahi kiya. Magar phir mujhe kuch to janna tha uske college life ke bare mein. Jab koi baat mere dimag mein ajati hai toh phir use nazar andaz karna mere liye bohot mushkil hojata hai. Khane ke baad jab woh meri bagal mein akar baithi toh maine phir se yeh baat cheri.

"Batao na Kashaf."

"Kya bataun?"

usne Tv par concentrate karte huye pucha.

"Apne college life ke baare mein."

Maine uske haath se remote cheena aur Tv off karte huye insist kiya.

"Please kuch batao na."

"Zaroon tumhe din bhar ke thakaan ke baad yeh saari chizon ke liye fursaat kaise mil jata hai."

"Jab aap kisi se mohabbat karte hai na toh yeh thakaan jaisi cheezein us insaan ko aur zyada kareeb se janne ke liye apko bother nahi kar sakti."

"Tumhe kya janna hai Zaroon?Meri college life hargiz tumhare tarah happeining nahi thi."

"Wahi toh akhir thi kaise mujhe yeh toh batao tum mujhe."

"Meri college life inteha boring thi. Ghar se college aur college se ghar. "

"Khair ab itni bhi boring toh nahi rahi hogi."

"Itni hi boring thi. Maine pehle hi kaha tha. Haan kabhi kabhi jab classes cancel ho jaya karti thi toh hum as pass ghumne chala jaya karte the bas usse zada kuch nahi."

"Acha agar main hota toh kabhi bhi Itni boring nahi hoti tumhari college life. Zara socho hum pehle mile hote toh cheezein kitni haseen hoti."

"Khair kitni haseen hoti yeh toh nahi pata par haan zindagi todhi zada mushkil hojati."

Usne haste huye kaha.

"Acha..kaise?"

"Waise main tumhari zindagi ki baat kar rahi hoon.Yaad hai na kaise maine tumhari zindagi azaab banai thi office mein."

"Maine kya tumhari zindagi kam azaab banai thi."

"haan banai toh thi."

"Acha Kashaf tumhe kabhi apne college life mein koi ladka pasand aya tha?"

Maine usse dheemi awaz main pucha. Bas jee chah raha tha. Uska jawaab toh main janta hoon par yeh sun kar acha lagta hai ki main uske zindagi mein ane wala pehla mard hoon.

Usne do minute kuch socha aur phir kaha

"Sach kahun?"

Sach kahun toh yeh sun kar kuch darr sa laga.

"Haan bilkul."

"You'll be fine with it, right?"

"Yea Of course."

Maine kuch hich kichate huye kaha.

"Ek ladka tha. Woh mujhe bohot pasand tha. Shayad woh mera pehla pyaar tha.Lekin.."

"Tumne kabhi usse yeh baat kahi?"

"choro na Zaroon."

"Kyun?"

maine kuch ankhein badi karte huye kaha.

"Kyun ki woh cheezein yaad kar ke mujhe sirf dukh hota hai."

Usne apni palke jhuka li.

"Nahi mujhe puri baat janni hai.Iske baad hum kabhi is baare mein baat nahi karenge but aaj puri baat karenge."

"Theek hai."

Usne zor se sans lete huye kaha.

"Woh mera senior tha. "

"naam?"

"Shahid. Maine bohot himmat juta kar usse uske farewell ke din yeh baat kahi par usne mujhe mana kar diya. Usse kisi aur se mohabbat thi."

"Tumne mujhse toh kabhi itna khul ke nahi kaha."

"Acha. yeh toh hargiz jhoot hai."

Usne glare karte huye kaha.

"Haan haan kaha hai par aise khud initiative toh nahi liya. Aur jab maine pehli baar kaha tha tab toh jawab nahi diya tha."

"Toh kya tum ab mujhse us baat ka badla loge? Zindagi bhar taana doge?"

"Mujhe neend arahi hai."

Main yeh keh ka bed par chala aya. Mujhe yeh umeed toh nahi thi. Kashaf ne mujhe kabhi bataya kyun nahi? Aur mujhe itna bura kyun lag raha hai? Meri bhi toh crushes rahi hai. Haan rahi hai par main yeh usse chupate todhi phirta hoon. Use mujhe yeh baat batani chahiye thi.


SCROLL DOWN FOR KASHAF'S PART😳


Edited by Bhatakti_atma - 8 years ago
Bhatakti_atma thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
KASHAF 10TH MARCH

Aaj Zaroon ka face dekhne layak tha. I am sure woh mujhse aisa koi jawab expect nahi kar raha tha. Sach kahun toh bohot hasi arahi hai par woh ab shayad mujhse naraaz hai.

Mera usse jhoot bolne ka koi plan tha nahi par woh mujhe yeh college life ke sawal ko le kar bore kar raha tha. Aur jab usne mujhse apne crush ke bare mein pucha to maine socha kyun na main Zaroon ki is baat ka todha faida uthao aur mujhse yeh intehahi ghatiya sawal puchne ke liye badla loon.Uske expressions mujhe abhi tak yaad arahe hai aur ab woh bacchon ki tarah kuch naraaz ho kar bed par sone chala gaya hai. Dekhti hoon kitna aitbaar hai use mujh par aur kitni dair aise gussa rehta hai. Zahir toh nahi kar raha woh apni narazgi par bewakoof toh nahi hoon main. Uski in harkatoon se ache se wakif hoon main. Khair aitbaar toh tha use mujh par tabhi toh usne us confidence se mujhse woh sawal pucha. Ab toh yeh dekhna hai woh akhir is cheez ko kis tarah handle karta hai. Irada toh ise zada dair tak chalane ka nahi hai. Magar dekhte hai age kya hota hai.

Poor Zaroon!

HOPE YOU GUYS LIKE THE UPDATE AND PLEASE DO SPARE A MINUTE TO LEAVE YOUR COMMENTS.😃😳
SORRY FOR THE MISTAKES, COULDN'T CHECK.
tragedy.queen thumbnail
Posted: 8 years ago
kashaf
naughty
she played with him
nice
thanks for the pm
update soon

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 5 years ago

Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22

Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.

Expand â–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: MidnightLibrary · 1 years ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand â–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".