Originally posted by: diva82
No I dont agree that it's forced.. I believe it's fast paced yes,..but then I like that.
However, as someone quite rightly pointed out, this is Ekta's show, so even though it may be fast paced right now, she may slow it down.
yaar , fast paced alag hota hai aur forced alag hota hai ...
Jab dono ki shaadi hui ..tab me sochta tha ki bhala nandini ko chandra se kese pyaar ho sakta ...usse se jisne uske saare bhaiyo ko maar diya ...pita ko maara(actually dusri baar bhi marega😆)...me sochta tha ki ye to impossible sa hai ...par mujhe kya pata tha ki uss era me ladki patane ke itne simple steps hote hain - unko padhne likhne ki izzat aur female slavery ko band karvana ,chahe khud ku na use karo 😆...
I mean chandra ne abtak esa kuch nhi kiya itna bada ki nandini (note karna , kisi bhi ladki ki baat nhi ..nandini ki baat kar raha hoon) ..ki nandini ko usse pyaar ho jaye😛
I know pyaar bas ho jata hai ...par yar ...yeh cheez bhi tabhi applicable hoti hai jab dono ya to strangers ho ...ya friends ...
Ab koi kese expect kar sakta hai ki jo ek dusre ko itna hate karte hain vo dusre hi pal pyaar me pad jaye ..its quite unrealastic ...dont you think so.
Mene apne post me bhi kaha ki ...chahe chandra kitna bhi acha ho ...kitni bhi help ya support kare ...pyaar hona possible sa hi nhi lagta ...log to god ko hate karne lagte hain jab koi apna marta hai ...yahan to itne sab ko maar diya ...phir bhi itni jaldi aur asani se pyaar 🤔...baat hazam nhi hoti