Here is another Os on KaYa... have a look...
Love Has No Boundaries... Kabeer Ananya... Os...
kabeer sharma... 28 year old nice sweet boy... kkn ka senior reporter... happy go lucky type banda jo kisi ka bhi dil jeet leta hai... sabka fav colleague hai... jiska sapna tha reporter banna... tabhi to apne dad ka bana banaya business chhod kar... apni business ki itani saari degrees ko alag rakh kar usne journalism ki padhaayi suru ki aur fir chhote - chhote newpapers me kaam kiya... finally use uska bada break mila hai... usne kkn join jo kiya tha...
wahin ek sweet aur cute si freind hai kabeer ki uski best frnd Sahana (played by divyanka tripathi)... kehne ko yeh dono alag - alag countries me hai... as kabeer hindustaan me hai... to Sahana pakistan me... actually inki dosti inke puston ki wajah se hui hai... kabeer ke par dada yani great grand father aur Sahana ke great grand father dono hi post independent india me padosi the... tab pakistan nahi bana tha... pura pakistan hindustan ka hissa tha... but after partition dono ki families alag ho gaye... kabeer ki family delhi shift ho gayi... aur Sahana ki family lahore... but but but... is family ki dosti bani rahi... jis wajah se humesha yeh sab milte aur jab kabeer aur Sahana paida hue to wo bhi phone pe bate karte jab bhi Sahana aur uski family india aate to we kabeer ke yahan hi rukte n vice versa...
aise hi haste khelte alag rehte hue bhi ek sath rehte hue... dono bade hue... aur inki dosti bani rahi aur mazboot ho gayi... har week sunday ko dono baat karte... aur facebook whats app me to har pal ki detail ek dusre ko dete... bechari Sahana jab dekho tab kabeer ki girlfrnds ke bare me sunti... use ideas deti...
on whats app chat...
kabeer:- main tujhe jaan se mar dunga... bata na... kya karun...?
Sahana:- main kya batau... tera office tere collegues hai tu jaan...
kabeer:- par yar she is my frnd too... bas jab chipakti hai na to lagta hai ki... upar se boss... usse achhi to trisha hai...
Sahana:- dekh kabeer... tujhe lagta hai ki malvika teri frnd hai par wo hai nahi... wo sirf tujhe pana chahti hai... like usne jaise manav ko apna chamcha bana kar rakha hai... waise hi tujhe bhi bana kar rakhna chahti hai... aur jitna tune mujhe uske bare me bataya hai... wo cheapo type ki hai... so door reh usse...
kabeer:- ha u r right...
Sahana:- waise yeh bata... koi mili ya nahi...
kabeer;- matalab...
Sahana:- are teri dream girl... teri real wali... yeh time pass wali nahi... jinke kisse tu mujhe sunata hai...
kabeer:- kaha yaar mujhe lagta hai... mere sapno ki rani mujhe yahan nahi milne wali... sali meri umra beet rahi hai,,,, 28 ka ho gaya hu... koi milti hi nahi...
Sahana:- achha to yahan aa ja... yahan teri setting kisi se kara dungi...
kabeer:- ha ha very funny... waise sach me koi khubsurat haseena hai kya wahan...??
Sahana:- hai na... mera bas chale to abhi teri shadi usse kara dun...
kabeer:- oh really... kaun...?
Sahana:- bada utavla hai...
kabeer:- are bata na...
Sahana:- hai mere padosh me rehti hai...
kabeer:- naam kya hai...
sahana:- kyun... kya karega...??
kabeer:- bata na... only naam bata...
sahana:- Ananya...
kabeer:- ananya... kaun ananya wo... teri woh dost... hat... mujhe laga tu serious hai... chhor... main kisi ko...
sahana:- oh hello hat kya ha... tune use dekha hai... nahi na... to chup kar... use dekhega na tab tujhe pata chalega.. she is really bful... un faltu ladkiyon se to bahut achhi hai... jinke peeche tu bhagta hai...
kabeer:- achha to photo dikha...
sahana:- aa gaya na line pe...hnn...
kabeer:- are dikha na...
sahana...:- no...
kabeer:- i knew it... wo jarur ko ugly si moti kali hogi.. tere jaise...tabhi nahi dikha rahi hai... tu na meri dusman hai...
sahana:- oh hello... main tujhe... ruk... (sahana turant ananya ki ek pic bhejti hai...)... dekh ab bol hai na meri jaisi... (kabeer pic open karta hai... aur dekhta reh jata hai... sahana ne ananya ki bahut hi jyada khubsurat pic bheji thi... jisme wo masum si bholi si dikh rahi hai... yahan sahana bole ja rahi hai... means msg pe msg aur kabeer ka koi reply nahi... tabhi sahana what app call karti hai... aur kabeer ko hose aata hai...
sahana:- kya hua...
kabeer:- ahh woh teri frnd ko taad raha tha main...
sahana:- kameena...
kabeer:- waise nature wise kaisi hai...??
Sahana:- bilkul waisi hai jaise tujhe chahiye thi...main jaise uski baat tujhse karti hun... waise hi teri baat usse samjha...
kabeer:- matalab tune use bhi mere bare me bata - bata ke paka rakha hai...
Sahana:- ha... aur wo usne tujhe dekha bhi hai...
kabeer:- kab kahan...? wahan kkn to nahi aata...?
Sahana:- are wo international debate hua tha jab,,,,, aur tune india se kkn ko represnt kia tha... tab... tab main aur wo sath hi wo program dekh rahe the...
kabeer:- oh i see... chal achha... main usse milne jarur aaunga... aakhir sach me tri yeh ananya hai kya cheez...
Sahana:- ok... means ab meri koi value nahi hai... sirf ananya ha...
kabeer :- ja ja...
Sahana:- chal ab soja... wo aate hi honge...
kabeer:- achha tere woh aane wale hai... unko humara dua salam bolna... bye... tc...
Sahana;- bye...
*****************************************************
aise hi kuchh din beet gaye... kabeer apne kam me busy rehta aur Sahana se baatien bhi karta par wo ek aur kam karta tha jo wo Sahana ko nahi batata tha... wo tha ananya ki photo ko dekhte rehna... usne Sahana ki profile se ananya ka fb me search kia aur use frnd request bhi bhej di... aur by his luck ananya ne accept bhi kar li... aur ab thoda - thoda inki chatting bhi suru hui... kabeer aur ananya bhi dost ban gaye the... aur kabeer ke dil me ek alag ehsaash paida ho rahe the... jinhe wo ananya ko batana chahta tha... par bata nahi pa raha tha... aur kuchh din baad finally kabeer ne Sahana ko bata dia...
on whats app chat...
Sahana:- kya... oh wow... waise mujhe yeh pata tha ki tu usse baat karta hai...
kabeer:- tujhe kaise pata chala...
Sahana:- tu bhool raha hai ki ananya meri pakistan me best frnd hai... jaise tu hindustaan ka...
kabeer:- oh ha... sorry sahana... wo main na confused tha... so...
Sahana:- mujhe pata hai mere ghochu...
kabeer:- to wo mere bare me kya sochti hai...??
Sahana:- mujhe kya pata...
kabeer:- are teri best frnd hai wahaan ki...
Sahana:- ha hai but mujhe usne is bare me nahi bataya... so yeh tujhe pata karna hoga,,,, dekh yeh tum dono ki life ka sawaal hai... i know tu yeh sab faltu hindustan pakistan war n alll me beleive nahi karta... na teri family... tabhi aaj hum dost hai... but yar wo bhi nahi karti par uski family thodi si... samajh raha hai na...
kabeer:- hmm samajh raha hu... chal achha bye...
Sahana:- tu...
kabeer:- m fine yar... khair... kabhi mila bhi nahi hu... sirf bat hi to karta hu... chhod bye... ( kabeer offline chala gaya...)...
Sahana to herself.:- i know u r not fine... maine hi kyun kia aisa...?
***************************************
kuchh hafto ke baad...
aaj Sahana ka birthday hai... but by chance Sahana ke husband yani Arman (Karan patel) ko duty ke liye jana pada so wo udass si hai aur kitchen me kam kar rahi hai... tabhi koi aakar use peeche se hug karta hai... Sahana thoda dar jati hai... bcz yeh uske sauhar nahi the... par jaise hi awaaz sunti hai... uski Sahana saatve aasmaan me thi...
Sahana:- kabeer...
kabeer:- happy birthday to u... happy birthday to u...happy birthday... happy birthday... happy birthday to u...
Sahana:- tu yahan... ( tabhi ananya kabeer ke peeche se aati hai...)...
ananya:- happy birthday sanu... ( both hugs...)
Sahana:- thanku...
kabeer:- mujhe kuchh nahi milega... ( Sahana hugs him too...) chal cake cut kar...
Sahana:- wo sab to theek but tu kaise aaya...
kabeer:- plane se...
voice:- inhe humne bulaya hai... (all turns n find arman)...
Sahana:- aap... aap to aaj duty pe...
kabeer:- are aaj inki beauty ka birthday hai... aur yeh duty pe jaye inki itani mazaal...
Arman:- yes... kabeer ka call aaya tha ki we aa rahe hai so... (Sahana becomes extra happy...)
fir sabhi mil kar cake cut karte hai... aur chit chat... lunch dinner ka maza...
ananya:- achha sanu main jati hu... ammi ne do bar bulawa bheja hai... bye all...
is pure din kabeer ananya sath the... aur nazare chura - chura kar ek dusre ko dekh rahe the... Sahana ne notice bhi kia par kuchh kaha nahi... par sach me kabeer ne Sahana ke birthday ke liye lahore aa kar use bahut badi Kushi di thi... wo dil se bahut khush thi...
******************************************************
agla din bhi beet gaya... sham ka waqt tha... Sahana ke ghar ke tarrece pe kabeer tehal raha tha... use kal ki flight se hindustaan lautna tha... isiliye wo ananya se milna chahta tha... usne annaya ko bulaya tha... ananya aati hai...
kabeer:- hi...
ananya:- salaam... aapne hume bulaya tha... koi baat karni hai...?
kabeer:- woh... ananya... wo... wo...
ananya:- are kahiye na... woh woh kya kar rahe hai...
kabeer:- woh... ( kabeer face turn kar leta hai... he is danm nervous... tabhi ek sabd aur kabeer ka nervous chehra khil utha...)...
ananya:- i love you kabeer... ( kabeer turned... badi wali smile... both hugs...)...
kabeer:- i love you too ananya... i love u alot... but tumne mujhe... i mean... mujhe... matalab...
ananya:- kal rat sanu ne mujhe bata dia tha ki aapke dil me kya hai... toh...
kabeer:- you know what jab sanu ne first time tumhari pic dikhai thi... tabhi tum mujhe pasand aa gayi thi... isiliye maine tumhe fb pe request bheji thi n all... main tumhe tab se chahne laga tha... aur tum...?
ananya:- jabse aapko tv pe dekha tha...
kabeer:- matalab kab... yahan...?
ananya:- ek bar bahut time pehle... sahana ne mujhe ek debate dikhaya tha... tab aapko dekha tha... aapki soch ko sun kar... mujhe aap achhe lage the... but kabhi uske aage ka socha nahi tha... par jab aapki fb pe request dekhi... aapse chat karne lagi... pata hi nahi chala... ( kabeer again hugs her... she too... with sweet smile...)...
kabeer:- oh i love u so much...
ananya:- i love u too...
kabeer ananaya ka hath pakad kar jhule ke pass le jata hai... aur dono hi baith jate hai... dono ke liye ehsaas bahut alag bahut suhana tha... dono hi aankhien band karke baithe the... ananya ka back kabeer ki chest pe tha... aur sayad dono hi ek anchue se khwaab me kho jaate hai...
kabeer:-
main barish ho jaaunga...
tum baarish ho jaogi...
dekh lena... dekh lena...
(kabeer aur ananaya kasmir me barf ki chadar pe khade hai... jahan kabeer ne black suit pehna hai... ananya ke white saree...)
itna tumko chahunga...
tum paagal ho jaogi...
dekh lena... dekh lena...
(ananya apna sir jhuka kar barf ki chadar ke upar baithi hai... aur kabeer side se use dekh raha hai...)
kehta hai sunn...
yeh dhoop kinara...
tera hua main...
sara ka sara...
dekh lena...
( suraj ki kiran ananya ke chand se chehre se ho kar guzar rahi hai... jo moti ki tarah lag raha hai... kabeer peeche se baithe hue use abmire kar raha hai...)
tere honthon pe humesha...
main hasta hi rahunga...
dekh lena...
bheegi jo teri... aankhien...
aankhon se main bahunga...
dekh lena...
(ananya kabeer ki taraf mudti hai... dono abhi bhi sitting position me hai... ananya ke honthon pe hasi hai... to aankhon me nami... kabeer uski palkon ko kiss karta hai...)
ananya:-
hmmm dil to hai.. har seene me...
hai pyar lekin mujhme...
sabse jyada...
dekh lena... dekh lena...
(kabeer wahi barf ki chadar pe late jata hai... ananya bhi... ananya ka sir kabeer ki tummy me hai... dono T for me late hue hai... aasman ko dekh rahe hai...)
apni lakeero mein... main...
likh lungi khud hi tumko...
hai mera wada dekh lena...
(ananya kabeer ka hath apne hath me leti hai... aur pyar se uske palm me kiss karti hai...)
kabeer:-
kehta hai sunn...
yeh dhoop kinara...
tera hua main...
sara ka sara...
dekh lena...
(kabeer aur ananya dono hi khade hai... kabeer ananya ka face apne hathon me leta hai...)
tere honthon pe humesha...
main hasta hi rahunga...
dekh lena...
bheegi jo teri... aankhien...
aankhon se main bahunga...
dekh lena...
(kabeer hugs her very tightly... dono ke honthon pe muskaan hai... they are loving the way they are...)
ananya:-
barso na bhuloge tum...
aisi kahaani tumse...
keh jaayeinge hum... dekh lena...
(anaya... kabeer ka hath pakad kar back side ko use dekhte hue chal rahi hai...)
aisa bhi hoga ek din...
dil ki jagah seene me...
reh jayeinge hum...
dekh lena...
(kabeer use apni ore pull karta hai... ananya uski chest se takra jati hai... aur uske dil ke pass apna sir rakh kar aankhien band kar leti hai...)
kabeer:-
kehta hai sunn...
yeh dhoop kinara...
tera hua main...
sara ka sara...
dekh lena...
(kabeer apni baahien fayla kar gata hai...)
tere honthon pe humesha...
main hasta hi rahunga...
dekh lena...
bheegi jo teri... aankhien...
aankhon se main bahunga...
dekh lena...
(kabeer ananya ke balon ko uske kan ke peeche karta hai... aur uske forehead pe kiss karta hai... ananya use tightly hug kar leti hai...)
tabhi ek cough ki awaaz aayi... dono hi hose me aaye... aur hadbada kar uth gaye... aur direction me dekha... Sahana aur arman khade the...
kabeer:- aap dono... woh...
ananya:- hum... hum chalte hai... (ananya jane lagti hai ki sahana uska hath pakad kar rok leti hai...)
Sahana (pass aate hue):- u know what mujhse kuchh nahi chhup sakta... aur main khush hu ki.. mere do sabse ajeej dosto ko pyar ho gaya hai... kyun sahi kaha na...
kabeer:- ha.. nahi...
armaan:- kya kabeer... humse kya chhipana... kyun ananya sahi kaha na...
ananya:- ji bhaijaan... (ananya was blushing)...
kabeer:- u know what sanu u r my bestest frnd indeed...
arman :- but ek problem hai tum dono ki love story me...
kabeer:- kya...??
arman:- ananya ki family...
kabeer:- unhe main mana ke rahunga...
ananya:- wo nahi maneinge...
kabeer:- bharosha hai mujh par...
ananya:- ha...
kabeer:- bas...
sahana:- achha ab chalo... kabeer kal tujhe nikalna bhi hai...
kabeer:- hmm...
***********************************************************
agle din kabeer aur ananya ne ek dusre ko bye kaha... aur kabeer india aa gaya... daily kabeer ananya ek dusre se chat karte vedio call n all... bas dono ka pyar abhi parwaan chad hi raha tha ki ananya ki family villian ban kar aa gayi... aur unhone anaya ka nikah tay kar dia... jab ananya aur sahana ne kabeer ke bare me bataya to we log nahi mane... yahan kabeer pareshan tha ki ananya itne din se usse baat kyun nahi kar rahi thi... aur sahana bhi baat nahi kar pa rahi thi... finally kabeer ne arman ko contact kia aur arman ne bataya ki kal ananya ki mangni hai... aur uska nikah hone wala hai... kabeer ko bahut gussa aaya...
kabeer on vedio call:- armaan main aa raha hun...
kabeer urgent visa lekar agle din lahore pahunch gaya... kabeer ananya se milna chahta tha... par uske pariwaar walon ne nahi milne dia...
**********************************************
sahana's house...
kabeer:- tune bhi mere sath...
sahana:- kya karti main... bata... himmat hi nahi hui... i m sorry... sab meri wajah se hua hai na main tujhe kabhi ananya ki pic dikhati na yeh sab... ab kya hoga kabeer... wo bilkul khush nahi hai... usne to mujhse yeh tak keh diya hai ki woh apni jaan...
kabeer:- nahi kabhi nahi... ab main ananya ko yahan se lekar hi jaunga...
arman:- kabeer... m with u... tumse jyada pyar use koi nahi kar sakta go ahead...
sahana:- mere paas ek idea hai... ( then sahana dono ko kuchh batati hai...)...
armaan:- r u sure... kahin sab ko hi badnaam...
kabeer:- i will take a chance...
*******************************************
engagement of Ananya...
ananya ne light blue color ka lehenga pehna hai...sir jhuka kar us ladke ke sath stage pe baithi hai... jiske sath uska nikah uske abbu ne tai kia hai... tabhi kabeer jisme black color ka suit pehna hai... wo dhol lekar sahana aur armaan ke sath ander aata hai... ananya ki aankhon se use dekh kar aanshun behene lagte hai... wo uthne wali hoti hai... ki ananya ki ammi uska hath pakad kar baitha deti hai...
kaisi sagaai hai... kiski sagaai hai...
hiieee...
kaisi sagaai hai... kiski sagaai hai...
jhuthi khabar yeh...kisne udaai hai...
ladki hai chup...rasamand nahin...
par logon ka muh to band nahi...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...hoye hoye...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...
ladki ko ladka pasand nahi...
(kabeer dhol neeche rakh kar gane lagta hai... aur bas ananya aur uske pariwaar ko dekh raha hai...)
kaisi sagaai hai... kiski sagaai hai...
jhuthi khabar yeh...kisne udaai hai...
ladki hai chup...rasamand nahin...
par logon ka muh to band nahi...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...hoye hoye...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...
ladki ko ladka pasand nahi...
(kabeer sahana aur arman ke pass jata hai... aur fir baki sabhi mehmaan ko point karte hue ga raha tha... ananya ki family gusse se laal ho rahi thi...)
janmo ka sath hai yeh... do din ka mel nahi...
koi mazaak nahi...yeh koi khel nahi...
jo chahe wo ja baithe...
jo chahe wo ja baithe...dil koi rail nahi...
chhuk chhuk chhuk...
aise safar mein...aanand nahi...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...
ladki ko ladka pasand nahi...
(kabeer stage pe jata hai... aur ananya ke aas pas gum kar ga raha tha... ananya ki aankhon se aanshun behne lagte hai... kabeer use na rone ka ishara karta hai...)
----------------------------------------
----------------------------------------
ladki ke hanthon me...bajti hai chudiyaan...
aankhon me aa gayi... dil ki mazburiyaan...
pyar na hone dega...
pyar na hone dega...yaaron me duriyaan...
di di di diwaare itani buland nahi...
hoyeee...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyee...hoyee...
ladki ko ladka pasand nahi...
(kabeer ananya ka hath pakad kar uske aanshun ko saaf karta hai... aur uske mangetar ko halka sa push karke ananya ka hath pakad kar le jane lagta hai... ki ananya ke abbu ananya ka hath pakad lete hai... ananya ka ek hath uske abbu ne pakda hua tha to dusra kabeer ne... kabeer ek smile ke apni pocket se ek ring nikal kar ananaya ki love finger me pehna kar use kiss kar ke... stage se utar jata hai...)
------------------------------------------------
hoyeee...
kaisi sagaai hai... kiski sagaai hai...
jhuthi khabar yeh...kisne udaai hai...
ladki hai chup...rasamand nahin...
par logon ka muh to band nahi...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...hoye hoye...
ladki ko ladka pasand nahi...
hoyeee...
ladki ko ladka pasand nahi...
(kabeer smile ke sath sahana aur armaan ke sath khada hai... aur dance karte hue ga raha tha... aur ananya bas apni ring ko dekh rahi thi... tabhi uske abbu aate hai... aur kabeer ko kheech ka chanta marte hai...)
A'f:- bahut ho gaya... bahut jaleel kar dia tumne hume... tumhe humne yahan aane diya kyuki tum sahana aur armaan ke kareebi ho... par tumne to... humari beti ke sath... tumhari himmat kaise hui...
kabeer (Stern voice looking at his eyes directly):- pyar karta hu main ananya se... aur use le jane aaya hu...
A''f:- aisa kabhi nahi hoga...
kabeer:- kyun sirf isiliye ki main hindu hu... ya isliye ki main ek hindustaani hun... iske alawa ek wajah bata de aap... man jaunga...
A'f:- ha... hum apni beti ko ek hindustani ke sath...
kabeer:- yahi baat hai na uncle,,,,, aapko apni beti ki nahi samaz ki padi hai... uski khushi kiske sath hai yeh aapko nahi dikh raha hai... samaz kya bolega yeh aapko dikh raha hai... dekhiye uski taraf... aaj uski zindagi ka itna bada din... par dulhan wali ek bhi baat nahi hai uske chehre me... sirf aapki wajah se... aap apni beti se pyar karte hai to uski khushi dekhiye... samaz ki nahi... chalta hun... kyuki aapki soch main badal nahi paunga... main ek sachha hindustaani hu... fakra hai is baat pe mujhe... apne pyar ke liye usse samjhauta to nahi karunga... (kabeer turns to go...)
ananya:- ek minute kabeer... (ananya dono ke beech me aake khadi hoti hai... aur apne abbu ka hath pakadti hai...)... abbu... aap sirf kabeer ko isiliye nahi apna rahe hai kyuki wo hindustani hai... hai na... to aap yeh kaise bhool rahe hai ki... 70 saal pehle aake purvaj bhi hindustani the... aap hindustani the... kya pakistan banne ke baad... sarhado ke sath dilon me bhi duriyaan aa gayi hai... kyun abbu kyun... sirf in logo ko dikhane ke liye na... aap meri shadi kabeer se nahi kareinge... aur main kisi aur apna nahi sakungi... (Ananya ki saansein bhari hone lagi thi...) pyar kia hai maine... aapme aur kabeer me se kisi ek ko nahi chun sakti... isse achha hai ki... main... (Ananya ki aankhien band hone lagi...kabeer ne ananya ko hold kia...)...
kabeer:- ananya... ananya... sanu... ise...
A'f:- ananya beta... beta aankhien khol... (ananya ke muh se jhag nikalne laga)...
sahana:- kabeer... isne... doc ke pass le chalo... (kabeer ananya ko pass ke hi clinic me lekar jata hai... dr uska ilaaz karte hai... )...
A'f:- dr sahab... wo meri beti...
doctor:- dekhiye humne unki body se poision nikal dia hai...
A'f:- jahar...
docoter:- ji ha unhone poision lia tha... yeh ek aisa poision hai jiska asar thodi der me hota hai/... khair sukar manaiye ki time se unhe le aaye warna.. aap apni beti kho dete... thodi der me unhe hose aa jayga kal hum unhe discharge kar denge...
kabeer in his mind:- yeh tumne kyun ananya... kyun ek baar bhi mere bare me nahi socha... sab meri wajah se hua... sab...
sahana to a'f:- ab khush hai aap... ab kar dijiye uska nikah ki musalmaan se ya kisi pakistani se... fir bhi aap ananya ke dil se kabeer ko nahi nikal payeinge... kabeer tum india laut jaao... aur khabar dar jo bhool kar bhi is watan aaye... aur aap apni beti ke janaze ki taiyari karke rakhiyega...
a' ammi:- sahana yeh kya... (she is crying...)
sahana:- sahi keh rahi hu... ek bar aisa kiya hai... dubara bhi karegi... chaliye armaan... chalo kabeer,,,,,, (sahana arman aur kabeer ka hath pakad kar le jati hai...)...
*******************************************
next day,,...
sahana's house...
kabeer:- chalta hun... m sorry meri wajah se tum dono ko bhi... but i promise ab kabhi bhi meri wajah se...
sahana:- chup... tum galat nahi ho kabeer... badnaseeb hai ananya... aur uske ammi abbu aur jyada... tu ja... tu yahan rahega to dukhi hoga... aur sayad ananya bhi aage na badh paaye... sab meri wajah se hua... ja aur india me kisi achhi si...
kabeer:- nahi... main pyar liya hai... mujhse nahi hoga... tum dono khush raho... ananya khush rahe bas,... chalta hun...
kabeer apna samaan lekar ghar ke bahar chala jata hai... tabhi peeche se ananya ke father ki awaaz aati hai...
a'f:- kabeer... (kabeer turns at looks at him... shocked to see ananya with him,... ) akele hi chale jaaoge... apni ananya ko lekar nahi jaoge...
sahana:- armaan yeh...
armaan:- mujhe yakeen nahi ho raha...
ananya ke father uska hath pakad kar kabeer ke pas laate hai... aur ananya ka hath kabeer ke hathon me de dete hai...
a'f:- jaao aur khush raho...
kabeer:- yeh... matalab...
a'f:- ananya meri ikaluti beti hai... aur kal jo isne kadam uthaya... main ise kho nahi sakta... iski khushi tumhare sath hai... le jaao ise,,,,, main samjhunga maine apni beti ki vidaai kar di,...
ananya:- thanku abbu...
a' ammi:- dono khush raho... aur milne aana... (kabeer aur ananya unka ashirwaad lete hai... aur fir sahana aur armaan ke gale lagte hai...)...
sahana:- ab jaao... par ananya ka visa...
ananya ka face utar jata hai...
kabeer:- mere pass hai... hindustani tarika...
arman:- kya...
kabeer bagal me window ke pass jata hai... aur apna thumb injured kar leta hai... bleeding hone lagti hai...
ananya:- kabeer yeh...
kabeer:- chill... ( showing his thumb) yeh hai visa... aur... ( ananya ki mang bhar deta hai...) yeh lag gayi seal... ab yeh meri biwi hai... ise visa ki jarurat nahi... (ananya hugs him... baki sabhi smile ke sath unhe vida kar dete hai...)
kabeer apne pyar anannya ko apni patni bana kar hindustaan lata hai... aur kabeer ke parrents ananya ka dil se welcm karte hai... aur fir india me dono ki shadi ho jati hai sabhi rasmo aur riwaazo ke sath... aur dono hi apni duniyaan me khush hai...
*************************END************************
*********************************************************
press like if u really liked it...
do comment...
love chandni...
Edited by rkchandni - 8 years ago
55