

ONE CHANCE GIVEN 2.8
71st National Film Awards (Celebrating 2023)
CID Episode 65 - 2 August
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 02 August 2025 EDT
YRKKH SM updates, BTS and Spoilers Thread #124
Congratulations SRK National Award
Makers mission to prove Navri incompetent in all aspects.
A joke called National award
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 03 August 2025 EDT
🎉 Book Talk Forum July 2025 Reading Challenge Winners👏
Asli Gunehgar
ONE MONTH TIME 3.8
Saiyaara Male lead is overrated!!!
Congratulations National Award Winning Actress Rani Mukerji
Anupamaa 02 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Theme for September
Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani (x2)
Jab ghaayal huaa Himalaya
Khatre mein padi aazaadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo
Phir apni laash bichhaa di
Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidaani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Jab desh mein thi Diwaali
Wo khel rahe the Holi
Jab hum baithe the gharon mein
Wo jhel rahe the goli
Thay dhanya jawaan wo apne
Thi dhanya wo unki jawaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Gorkha koi Madrasi
Koi Gorkha koi Madrasi
Sarhad pe marane waala
Har veer tha Bharatwasi
Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha Hindustani
Jo shahid huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani
Thi khoon se lath pat kaaya
Phir bhi bandook uthaake
Dus dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh ganwaa ke
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hain
Ab hum to safar karte hain
Kya log thay wo deewaane
Kya log the wo abhimaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Tum bhool naa jaao unko
Iss liye kahi ye kahaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind... Jay Hind ki senaa
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,
Saans thamti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar hamaare, toh kuch gham nahin
Sar Himalaya ka humne na jhukne diya
Marte marte raha baankpan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Zinda rehene ke mausam, bahut hai magar
Jaan dene ki rut roz aati nahin
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawaani jo khoon mein naahati nahin
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Raah qurbaaniyon ki na veeran ho
Tum sajaathe hi rehna naye kaafile
Fathe ka jashn is jashn ke baad hein
Zindagi maut se mil rahi hai gale
Bandlo apne sar se kafan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..
Khench do apne khoon se zameen par laqeer
Iss tarah aane ne paaye na raawan koyi
Tod do haath agar haath uthne lage
Chhune paaye na Sita ka daaman koyi
Ram bhi tum, tumhi Lakshman saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon...
Tujhpe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan (x2)
Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Choom lun main us zubaan ko jisape aaye teraa naam
Sabse pyaari subah teri
Sabase rangeen teri shaam
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan
Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Aur kabhi nanhi si beti ban ke yaad aata hai tuu
Jitna yaad aataa hai mujhako
Utanaa tadpata hai tu
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan
Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Phir bhi hai ye hi tamanna tere zarron ki qasam
Hum jahaan paidaa hue
Us jagah pe hi nikale dum
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan
Mitta ne se nahin mitte darane se nahin darte
Watan ke naam pe
Watan ke naam pe hum sar katane se nahin darrte
Mitane se nahin mitte
Desh mere, desh mere.. meri jaan hai tu...
Hazaron khwaab roshan ke sulagti si nigaahon mein
Sulagti si nigaahon mein
Kafan hum baandh ke nikle hai azadi ki rahon mein
Kafan hum baandh ke nikle hai azadi ki rahon mein
Nishaane pe jo rehte hai nishaane se nahin darrte
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Hamari ek manzil hai hamara ek naara hai
Dharm se jaat se zyaada humme yeh mulk pyaara hai
Dharm se jaat se zyaada humme yeh mulk pyaara hai
Hum is pe zindagi apni mittane se nahin darrthe
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Mitta ne se nahin mitte darrane se nahin darrte
Watan ke naam pe
Watan ke naam pe hum sar katane se nahin darrte
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri jaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu
Desh mere desh mere meri shaan hai tu (x2)
Jashn e Azadi Ko Manana Doston
Jashn e Azadi Ko Manana Doston
Khushyun Ky Dipaak Bhi Jalaana Dostoon
Guzrish Yhi Hy, Na Apny Diloon Sy
Shaheedon Ki Shahadat Ko Bhulana Dostoon
_________________________
Yeh Baat Hwao Ko Batye Rkhna
Roshni Hoogi Chirgoon Ko Jalye Rkhna
Lahoo Dekr Jisski Hifazat Humny Ki Isy
Tiraangy Ko Sadda Dil Mein Basye Rkhna
__________________________
Watan Hmara Isy Na Choor Paaaye Koi
Rishta Hmara Isy Na Tooor Paaaye Koi
Dil Hmara Ek Hy Ek Hy Hmari Jaaan
Hindustan Hmara Hy Hum Hy Iski Shaaan..!!!
______________________________
Kchh Naashaa Tiraangy Ki Aaan Ka Hay
Kuch Naashaa Matrbhomi Ki Shaaan Ka Hay
Hum Lahrayngy Hr Jagahan Yeh Tiraanga
Naasha Yeh Hindustan Ki Shaaan Ka Hay..!!
__________________________________________________
Aao Desh Ka Samman Kare
Shahido Ki Shahadat Yaad Kare
Ek Baar Fir Se Rashtra Ki Kamaan..
Hum Hindustani Apne Haath Dhare..
Aao.. Swantantra Diwas Kaa Maan Kare...
______________________________________________
__________________________________________
__________________________________________
__________________________________________