
Prem : Happy birthday heer
happy birthday to u happy birthday dear heer happy birthday to u .
Heer: Are ye to prem ki awaz hai.
Prem:- Chonk gayi na tum meri awaz sun ke , tumien pata hai is pal tumahree chehre per herangi hai use dekhne ke liye mar raha ho per nahi dekh sakta chah ke bi nahi dekh sakta dekhna chahta ho tum is pal kaisi lag rehi ho per nahi dekh sakta heer kia kar rehi ho tum are kahien mat jana wahi karhi raho dekhoo is waqat tum mujhee nahi dekh pa rehi ho gi lakin agar tum apne qamree ki fav jaga per khari ho yani tumahri fav kharki ke pass to tumien meri awaz sub se achi tarah sunai de rehi ho gi bus ab kuch paloo tak mein jo kah reha ho jaisa keh raha ho wo dehan se sunoo tumien ne kaha tha na heer tumahree janam din pe mein tumien nahi dekh paoo ga aur tum mujhe apna chahra nahi dekhoo gi kyoun ke shagun theek nahi hai lakin mein ne bi soch liya hai tumahree saath tumharee janam din pe na bitane se to acha hai mein tum se wo sb karwoo jo shayed tum ne pehlee kabhi na kia ho haan kabhi kabhi karna zaroor chahti ho kyoun ke ye tumhra janmdin hai ye aaj hum dono i prem kahni ka akhari din hai .
Akhri din hai kyun ke kal se humari shadi ki kahni shuru hone wali hai mujhee pata hai heer tum shidat se kal ka intezar kar rehi ho aur mein us pal ka jab mein tumahree samne aao ga aur humesha ke liye tumien apna bana lo ga is pal mein kal ho na ho kal mein wo are pal ho gaye jo humare ho gaye wo pal jub mein tum se kahoo ga ke mein tum se kitna pyar karta ho , wo pal jab mein tum se kahoo ga mein tumharee bina nahi reh sakta , hum dono aik dosree ke dil mein rehtee hai heer , aik dosree ke pyar mein rehtee hai , aur us pyar ke saath tum sang aik nayi zindgi shuru ho gi , wo zindgi jene se pehle bi tumahree bina tumahree saath tumahree janam din ka ya pal jee lene do mujhee aaj na mein tumien dekhoo ga aur na tum mujhee dekh pao gi phir bi mujhee her pal mehsoos karo gi apna aas pass , aaj pal pal us prem ko jayeo gi tum marne ke baad bi shayed sadion tak nahi marta aaj tumahree janam din ko aik yadgar din bana do ga mein kyounke ye din un sare lamhoo ki shuruat hai jo hum ne aik dosree ke saath guzaree , aaj ai dosree ke diloo mein dhadke ge wo saree pal jo sangam se mile ge kal humarein pyar ko afsanz bana de gaye aur is liye humari prem kahani khatm hoti hai .
Aur saath aik kahani shuru aaj akhri din hai hum dono ki alag alag ki pehchan ka aaj mein prem juneja ho aur tum heer mann ho kal hum do se aik ho jayee ge heer mein aur tum hum ho jaye ge kyounke prem sub se zayda heer mein samya hai aur heer prem ko ora karti hai tumien jan ke herangi ho gi 40 qadmo ke baad us din ka pehla pal khara hai jo din hum saath bitaye ge aik saath ho jaye ge gate ki taraf tumien tumara us din ki shurat ka pehla qadam dikhe ga chalo chalo jaldi nikloo ghar se bahir nikloo ghar se bahir koi intezar kar raha hai tumhra

