Home part 21
Ghotalas power start to fluctuate and they leave for ghotala house...
At ghotala house...
After they become normal..
Hemant starts doing hafu hafu.
Hemant- ( crying and doing hafu hafu) papa...
Vasant is surprised to see hemant crying ..
Vasant- aeee hemant tu kyu ro raha hain
Hemant- papa woh dekhiye mummy ro rahi hai...
Varsha was emotional ..and was lost in her thoughts..
Vasant comes towards varsha..
Vasant- varsha ...kya hua..tum...ro kyu rahi ho...
Varsha - ( with tears) vasant mujeh 2015 ki bahut yaad aa rahi...
Varsha starts crying...
Vasant was emotional too ..
Vasant - varsha please mat ro..mein jaanta hoon.mujeh bhi bahut yaad aati hain 2015 ...par
Varsha starts to cry more loudly...
Vasant- dekho chup hojaao varsha yeh..dekho hemant ne bhi Rona start kar diya..
Hemant-(crying) papa..mein mummy ko company doon..mujeh bhi bahut yaad aa rahi hain bhaiya ki...
Varsha- (crying) aaja hemant beta
Hemant sits besides varsha and start to cry...
Soon shishir sharad and Jacky joins them..as they were also missing 2015...
Vasant couldn't control his emotions too..
Vasant- (emotional ) ruko...ek min...
Sharad-(with tears) kya hua bhaiya..
Vasant-mujeh bhi yaad aa rahi hain 2015 ki..varsha thoda side mein hojaao mujeh bhi baithna hain..
All starts to cry...
Vasant opens his. Family photo...
All takes 2015 ki balayein.. in alien style...
Vasant - varsha yaad hain 2015 jab chotta tha aur mein usse space ship ko chunne se manna karta tha aur tab uska ka right wala aar kitna ruth jataa tha ...
Varsha( crying)- haan yaad hain mujeh.vasant...aur patah hain .2015 kitna tang karta tha kitni shaitaani karta tha..
Sharad(crying)- haan bhabhi..aur hum dono ne saath mil kar kitna pareshan kiya karte the.. kitni shaitaani karte the aur utni daant bhi khayi aapse aur bhaiya se..
Hemant - (crying) aur bhaiya hamesha meri side lete the...jab bhi papa mujeh daant te the .
Shishir -(crying) 2015 bhaiya hamesha mujeh aur 333 ko naye naye gadgets banna kar dete the..kash hamare paas aisa koi gadget hota ki abhi hum turant bhaiya ke paas chale jaate..
Jacky(crying)- aur mein aur 2015 toh 555 nani toh bahut tang karte the..aur ek baar 555nani.ko bahut daraaya bhi tha..mein ne aur 2015...
Vasant- (crying) acha ..aisa kya kiya tha tum dono jaraa mujeh aur sharad ko bhi batana..taaki hum log try kare...
Varsha - vasant !!!!kya abhi aise baat kar rahe hain aap..
Heeein
At bhatt house...
Ronnie- Bhavna aunty tum worry.mat karo hum log sab milke bhadresh ko wapas laayega...bhadresh ko samjhayega man. .usska woh ba woh ba woh ba..
All- tch tch tch..
Liza- ab mein tum ko nahi chodega man..bahut hua..Ronnie tumhe sharam nahi aata tum kitni baar atak ta hain man..abhi tum kam se kam Aaj tum 10-11 baar aataka hain man aur woh bhi Bhavna aunty ke ghar mein..
Ronnie- liza sorry..tum please mera help karo na please..
Liza- last time tumhari help karega man...bolo Jo bolna hain
Ronnie - haan woh ba woh ba..haan drought ko dusre word mein kya kehte hain
Liza - famine...
Ronnie- Hindi ..mein kya kehte hain..
Ohja - akaal.!!
Ronnie - haan toh hum woh bhadresh ka akaal thikane laana padega.. issliye abhi mein ohja uncle aur woh vasant ghotala ko leke row house no 3 mein jaa raha hain.
All looks angrily at Ronnie..
Liza- Ronnie this is the limit..this is the limit ..tumne akal ka akaal kiya..Ab mein tumhara akaal thikane jaayega..
Anna - liza Bhabhi shaant hojaaye hum yaha bhavna aunty ke ghar mein unka matter thik kar rahe hain..
Liza- nai..anna.nai..yeh Aaj nahi bachega...aise time pe ek baad ek atak ta hain yeh
Ohja - areee jhallar tu thodi der kuch bol mat chup hojaa...
Liza- mein tum ko nahi chodega Ab..
Bhavna- aeee manav yeh dekh na beta sab chalu hogaye..aur yeh Ronnie bhi abhi hi atak na isse...aur chakudi jaa mere liye pine ka. Paani le aa..dawaai leni hain.. bahut sar dard ho raha hain.aur haan sar darad mitane wali dawaai laana gadbad mat karna..
Bhairavi - toh barobar
Manav- Ronnie bhaiya..papa..shaant hojaaye..bhavna kaki ko sar dard ho raha hain.. Papa.. Ronnie bhaiya..liza bhabhi..
No one is listening to manav as everybody are busy scolding Ronnie
Lajo- areee manav shaant kara in sab ko..
Manav - bas...!!! aap sab log shaant rahenge kya aap log sab topic se hat jate hain. abhi Jo matter hain uss pe aaye...
Ohja- areee jhallar mujeh kya bol raha hain..hum sab toh yaha hain par woh ghotala express kaha hain..kahi dikhai nahi de rahe..lagta hain ghar mein bartan dhone baith gaye..he he he..
Ohja uncle,Ronnie and manav goes to ghotala house...
At ghotala house...
All 3 enters and is shocked to see everyone are crying.
Manav- vasant bhaiya kya hua aap kyu ro rahe..hain...hemant kya hua ro kyu rahe ho... varsha bhabhi aap to kyu rahe ho..
Hemant - manav bhaiya woh mummy emotional hogayi issliye company de rahe hain hum
Ronnie- kaisa log hain man..tum sab rone mein company de raha hain...
Ohja- wohi toh dekh Ronnie . Varsha ro rahi aur yeh log usse chup karvane ki jagah company de rahe hain..hi hi...jhallar.
Ronnie- ek min..ohja uncle ..unse wajah toh pucho..vasant tum sab kyu ro raha hain
Vasant -ronnie woh hum thoda matalb kuch zyada hi emotional hogaye the..bhavna aunty ke liye issliye ro rahe hain...kuch kaam tha...
All stops crying..
Ronnie- areee haan woh..bhadresh ko samjhane ko maangta hain..usska akal thikane lagnaa hain.. Tum chalo hamare saath...
Vasant- haan chalo...mein aata hoon... varsha
At row house no.3..
Ramniklal was not present so all finds it opportunity to talk with bhadresh...
Ohja- areee bhadresh taarehi tape abhi bhi kyu waha ataki hain ki Bhavna bhabhi ne dhokha diya hain..aree jaraah dimaag chala ..aur soch ke bhavna bhabhi aisa kyu karenge..
Ronnie - haan bhadresh man.. tum ko hum sach batayega...tumhare dad ke baare mein...
Bhadresh - kaise sachaai kaka murli..Ronnie sab sach bahaar aagaya..hain..Ab kaise sachai..
Vasant - areee bhadresh yeh tumhare papa ne Jo kuch kaha hain na woh sab jhut hain...woh tumhe aur bhavna aunty ko alag karna chahte hain.
Sharad - haan bhadresh bhaiya ... bhavna aunty ne hame saari sachai batayi hain..aap ek baar bhavna aunty se saari sachai sun lijiye..aap chaliye abhi hamare saath..
Vasant - bhadresh dekho please tum ek baar bhavna aunty se baat karo tumhare Jo bhi sawal hain tum.unse pucho Jo bhi problem hain pucho tum..aur sab solve karo aise gusse mein aake kuch bhi galat mat socho
Bhadresh - chalo mein manna ki mere Papa fraud hain... lekin proof kya hain ki woh fraud hain.aap log gawaah leke aao ke yeh mere Papa fraud hain unhone fraud kiya hain...mujeh sabit karke dikhye
Before anyone could say further..
Vasant- thik hain bhadresh .agar tum yahi chahte ho toh thik hain mein proof doonga..
At ghotala house...
Ohja and Ronnie are angry with vasant...
Manav and liza are trying to calm them down
varsha was in kitchen ...
Ohja- Ronnie kuch bol ..yeh ghotala ..Ab hum kya karenge
Ronnie was going to speak but sharad speaks in
Sharad - Ronnie bhaiya ..logically bhaiya ne kuch galat nahi kiya phir aap in par gussa kyu ho rahe hain.
Ronnie again open his mouth...to speak...
Ohja- areee logical jhallar taareh ko patah hain ki taareh bhai ne kya kiya hain..
Sharad-lekin bhaiya ne thik hi toh kiya bhadresh bhaiya ka challenge accept karke..unhone galat kya kiya
Manav - sahi kaha sharad ne ..hamare pass aur koi option bhi nahi hain. Kyuki bhadresh bhaiya toh hamari kya bhavna kaki ki bhi baat sunn ne ke liye tyaar nahi hain. Toh agar hum unhe proof dete hain toh unhe hum par yakin hoga aur hum sabit bhi kar paayenge ki ramniklal fraud hain..
Vasant- haan sahi keh raha hain manav issliye mein haan kardi..
Ohja- dekha maara beta ..maarah beta ne samjhdaari wali baat ki..na toh dedo khushi se 501rs..
Manav- papa aap aise waqt pe yeh kya bol raha hain..
Ronnie- (showing his fist)ohja uncle mein tum ko deta hain 501 rs
Varsha comes with some kind of juice ..and chaai..
Varsha- Ronnie bhaiya yeh lijiye aapki chaai..
Ohja- areee yeh naya kya hain ..haan varsha ghotala maareh ko bataya bhi nahi...tum log kuch naya juice laaye aur mujeh bola bhi nahi
Hemant- heeein areee ohja uncle aap try kijiye yeh ek dum mmm hain..
Vasant - areee ohja uncle yeh pi ke ek dum taazgi mehsoos hogi...hain na hemant..
All ghotala's do their taazgi mehsoos hogi wale exp...
Hemant - ek dum heeein mehsoos karenge..ohja uncle..
Varsha - areee manav tum bhi lo. yeh...drink ek dum mmm hain yeh..
Manav- nai varsha bhabhi mein chaai hi loonga...
Liza- mein bhi chaai hi lega..
Ohja- areee par yeh hain kya pila pila aur isse mein ke dala hain tune...yeh koi naya invention hain...kya
Jacky- ohja uncle yeh pila pila na actually .woh..
Ohja- areee rehne de mein pehle pita hoon phir batana ...
Ohja uncle takes a sip ..and give weird expression..
Ohja-ke ke ke ke ke ke hain yeh..areee jhallaro yeh kya tha yeh itna kadwa swaad.
Hemant- ohja uncle yeh sarso ka tel tha aur ander bournvita daala hai mummy ne..
Vasant -hui na taazgi mehsoos ohja uncle..
Ohja- ke taazgi areee maareh muh ka swaad bigaad diya
Liza- kya varsha yeh sarso ka tel hain..aur Tum log sarso ka tel pita hain aur woh bhi bournvita daalke.
Vasant - haan liza woh kya hain na dhoodh mein bournvita daalke dete hain haroz .. toh thoda sa kabhi kabhi change ke liye hemant aur shishir ko dete hain
Varsha- haan aur issliye yeh sarso ke tel mein bournvita daalke deti hoon...
Liza - oh my god mein yaha nahi ruk sakta mein jaa raha hain warna mein pagal hojaayega..mein Bhavna aunty ke yaha jaa rahe ..
Liza leaves
Varsha - yeh liza ko kya hua..woh chali kyu gayi.
Vasant - lagta hain kuch kaam hoga varsha..
Ronnie- areee yeh sab baat ko chodo main point pe aao sab..vasant tumne haan toh bol diya par hum Ab proof kaah se laayega ..
Vasant- Ronnie kuch sochte hain..hum...
Sharad -aur bhaiya hame gawaah bhi toh chahiye na..yeh saabit karne ke liye woh ramniklal fraud hain. Hum gawaah kaha se laayenge..
Manav- ek raasta hain...
Jacky -kaisa raasta manav..
Manav- hume ramniklal par nazar rakhni hogi..
Hemant - nai nai manav bhaiya woh nazar nahi
Woh azhar hota hai..
Vasant to varsha - Ab yeh hemant ko abhi gadbad karni thi...
Manav- nai hemant woh nazar hota hain azhar nahi..
Hemant-nai nai manav bhaiya aap galat ho
Vasant- areee gende woh azhar nahi nazar hota hain..manav sahi bol raha hain...'n' hain aage 'a' nahi hain
Hemant- nai nai papa aap galat bol rahe ho .woh azhar hain woh movie aai thi na azhar woh wala azhar...mein ne Hindi mein course kiya hain ..mein sach bol raha hoon..
Vasant- areee hemant woh tere Hindi ke. Course ko khade mein daal...
Hemant - hawww.m mein sach keh raha hoon..
Vasant- hawww kya kar raha hain haan..Ab ek bhi gadbad ki na toh woh hi khade mein tujeh daalke aise uss par jhappa jhappa karunga.
Varsha and other ghotala's gets shocked ..
They immediately save situation..
Varsha - vasant ..shaant hojaaye ..bhola hain..woh..shaant hojaaye..aap
Ohja- yeh jhappa jhappa kya bola...
Hemant-ohja uncle woh .hamre .. Ali. ..
Before hemant could say..
Jacky- woh mein bata hoon na. ..woh jhappa jhappa ka meaning ..haan woh hamre suryanagar ki local language hain..
Varsha -(whispers to vasant)areee aap kya sab ke saamne alien Language mein baat karne lage aur abhi hi aapko apni paathshala kholna zaroori hai
Vasant - areee par kya karu varsha tum mujeh kyu daat rahi ho. yeh hemant dekho na bolne mein kitni mistake karta hain..
Varsha- haan toh aap baad mein bhi sudhar sakte hai uski Hindi abhi zaroori hain..?
Varsha - hemant beta jaa woh khidki khuli hain na usse company de...
Hemant goes to give company to khidki..
Ronnie- bas .. kya hum log kabse time pass kar rahe hai..Ab main point par aao..ooo ohja and son bolo tum kya bol raha tha.
Manav -mein yeh keh raha tha ki hame nazar rakhni hogi ki ramniklal kisse baat karte hain..kaha jaate..tabhi hame koi proof milega ..
Sharad- manav yeh sahi hain par kahi unhe shaq hogaya hum par toh...
Manav- haan sahi kaha sharad par abhi jab tak hame aage koi aur proof nahi milta tab tak hame unpar nazar rakhni hogi...
Vasant- yeh best hain..aur hum bahaana bhi banaa sakte hain unke ghar ke ander jaane ke liye ki jaise ki hum khaana leke aaye hain...
Ronnie- haan toh kal se hum un par nazar rakhna start karega...man..hoon?
All- hooon
All leaves
Next day ..
At market..
Vasant- yeh high command bhi shaanti se grah nahi sambhal sakte .. thama di itni lambi list khaane..ki
Sharad- haan bhaiya mein toh kabhi kabhi yeh sochta hoon ki apne high command grah chalte kaise hain.kyuki logically woh saara waqt toh khaana khate hain ya bannate hain..
Vasant - mujeh bhi yahi doubt hota ..sharad..aur yeh dekho tumhari megha. Ne bhi lambi list thama di..
Sharad- yayayayayayayy..
Vasant- ae baniyan lehrana bandh kar megha ka naam sunta nahi ki lehrana shuru..
Sharad - kya bhaiya aap bhi..bichari ne pehli baar hi toh kuch mangvaaya hain...
Vasant- haan thik hai Ab lehra mat..waise tum dono sahi mein ek dusre ke liye banne ho...woh bhi teri tarah lehraati hain jabhi sharmati hain ...
Sharad- yayayayayayayy..
Suddenly sharad sees a bag which is similar like their ...
Sharad- bhaiya..bhaiya woh bag..bhaiya woh bag..
Vasant sees towards in the direction in which sharad told..
Vasant- yeh toh hamare jaise bag hain...kahi yeh hamara 2015 toh nahi. Chal sharad..
At colony garden..
Pritesh- hemant bhaiya.. padmavati
Padmavati - padmavati devi kaho.. pritesh.
Pritesh- areee ha bhai ha padmavati devi ..lekin sabko samjh aaya na kya karna hain.
Hemant- lekin pritesh agar kisi ne hame dekh kiya toh aur hame daant padi toh...
Pritesh- hemant bhaiya uski tension mat kijiye mitesh bhaiya hain ..na..aur bas yaad rakheyi aapko kya karna hain hoon?
Hemant- hooon..
Pritesh- (in mind) Ab dekhiye dadaji yeh pritesh aapko aapki dadi ma kaise yaad dilaata hain...
At row house no.3
Pritesh enters ...
Ramniklal was talking with someone on phone.. he sees pritesh and cuts the call..
Pritesh-(acting and in most sweet tone) dadaji...
Ramniklal - areee tu toh sabse chotta hain tera..naam kya tha..haan pritesh...
Pritesh- yeh kya aap mera naam bhul gaye...mein yaha aapse milne aaya hoon dadi se chupte -chupte ..aur aap mera naam bhul gaye...(starts fake cry)
Ramniklal -..areee ro mat beta ..tu apne dadaji se milne aaya hain na..maaf karde mujeh ..Ab mein nahi bhul lunga tera naam...idhaar aao dadaji ke paas aao..
Pritesh - nai mein nahi aaunga aur mein aapko dadaji bhi nahi bulaaunga sirf ek shart par mein aapko dadaji bulaaunga
Ramniklal - kaisi shart?
Pritesh- shart yeh hain ki aapko mujeh padna hoga..mein yaha se run karunga aur aapko mujeh pakdna hoga.. aur agar aapne mujeh pakd liya toh mein aapko dadaji kehke bulaaunga..
Ramniklal - areee yeh toh ek dum simple hain chalo mein tumhe pakd ke loonga.
.pritesh- thik hain ..ready steady and go...
Pritesh runs in hall area as fast as he can and then run towards colony garden...
Ramniklal - (in mind)yeh pritesh kitna bhaga raha hain. Mujeh..
Pritesh- areee kya hua dar gaye aap. Thak gaye aap ...pakdiye mujeh..
Ramniklal - areee mein dara nahi aur na hi thaka hoon. Mein abhi tujeh pakdta hoon...
Pritesh again runs from here and there for some time ..Here padmavati and hemant gives signal from ohja house balcony and pritesh runs inside ohja house...
Ramniklal -areee yeh kaha chala gaya .abhi toh yahi tha...
Padmavati -ready hemant bhaiya?
Hemant- haan haan padmavati devi full ready...
Padmavati - okay then 1,2,3..daalo sab...hemant bhaiya.
Hemant and padmavati Devi throws all kachra and mud from balcony on ramniklal..
Ramniklal - areee yeh sab kya hain..kisne kiya yeh..kon hain upar ...niche aao ..abhi ke niche aao..kiski himmat hui.
Ramniklal sees towards balcony but no one was there...
Ramniklal angrily goes to row house no.3
Here vasant and sharad were following the two thief's (T1 &T2)who had the bag..
Finally they catch the thief's..
.vasant-dekho yeh bag hame dedo...
T1- nahi denge kya kar loge...
Vasant-dekho hame bag dedo..iske badle mein tumhe Jo kuch chahiye woh hum tumhe denge..
T2(whispering) - boss muejh lagta hain iss mein kuch kimti saaman hain...issliye yeh log maang rahe hain..mein kholke check karta hoon..
Sharad- dekho tumhe jitne bhi paise chahiye hum de denge tum hame yeh bag dedo .
T1- nahi denge hum yeh bag..kya kar loge..air tu kholke dekh zaraa usme aisa kya hain
Vasant and sharad tries to stop but T2 opens the bag and is surprised to see a broken screen appearing in front of them..
Sharad- bhaiya yeh toh..
Vasant -haan sharad yeh shayad hamare bte ka bag hain. ..yeh log ko sachai paatah chale usse pehle hame Lena hoga..yeh bag unse.
Here T2 press some buttons and a broken spaceship comes out...
Both thiefs gets scared..
Vasant and sharad immediately uses their powers.. .And Sharad hypnotise both the thief's..
Sharad - Ab batao tumhe yeh bag kaha se mila..
T1 - hume yeh bag kal ek ladka jaa raha tha toh tab uske pass se chura kar bhaage the..
Sharad- thik lekin Ab tum dono Ab y eh bag ke baare mein bhul jaaoge aur yaha Jo kuch tumne dekha woh sab bhul jaaoge. Aur jabhi koi tumhe bag ke baare mein puchega toh tum dono kahoge ..ki hame police ke hawale kardo hum dono chor hain..hoon?
T1 &T2- hooon
Vasant and sharad leaves from their with the help of their flying superpower.
Here karthik and manav were running after the two thief ..
Edited by Krish58 - 9 years ago
136