Phir jab Gayatri saara Rajmata se discuss karti hai aur wo usay kehti hai keh Gayatri aap Savitri bunn k lautiiin hain aur aapko itni jaldi haar nahi maannni chayeee, aapko uth k larhna hi hoga apnay pyaar k liye aur phir Gayatri dobara strong hojaati hai keh wo Rageshwari ko Ranaji k kareeb nahi aanay day gi aur uskay partner ka bhi pta laga lay gi toh I was like "Gayatri tum jo keh rahi ho na keh uss waqt paahar main kaun tha Rageshwari k saath toh Rajmata ko atleast itna toh mention karna chaye keh jab wo waahan pohanchi thi tab budhi aur Rageshwari dono Ranaji jab behosh thay toh udher hi thiiin bas Gayatri nay UDHER KA UDHER HI SAMAJ JAANA HAI K WO SAALI BUDHI HI THIII JISNAY USAY MAARAAA...Rajmata ek dafa pleeease mention toh karo yeh...Aaap dono toh wo paahaaar wala scene detail se discuss kar hi nahi rahay ho...Aap khud hi socho jab sirf Rageshwari aur Ranaji gaay thay akelay toh budhi wahan kaisay pohanchiii, zaroor uska koi maqsad hoga...Apnay zehen main yeh angle laa k toh dekho, dekhna khud ba khud hi saari paheli sulaj jaay gi...Aur Gayatri tum itni toh strong ho hi keh iss gadhi Rageshwari ko ek hi baar main chittt kardooo...Toh abh toh Rajmata ka pyaar aur aashirwaad bhi hai tumharay saath toh bas phir kila fateh kar hi lo abh tum...!!!"😉😉😉
Phir aata hai Ranaji aur Rageshwari wala scene, jab Ranaji subah Rageshwari k liye morning tea lay k aatay hain aur wo hairaan reh jaati hai toh I was like "Ranaji zada horaha hai...!!!" Aur phir jab wo kehtay hain keh wo uskay saath akelay dinner karna chahtay hain toh uskay mooh se tea nikal jaati hai aur wo shock hojaati hai keh Ranaji uss k saath waqt bitana chahtay hain aur dosri taraf Gayatri bechari sub dekh rahi hoti hai aur phir Rageshwari maan jaati hai keh wo Ranaji k saath dinner karay gi aur wo yeh raat ko bahut special bana day gi toh I was like "Oyeee oulu di pathhhiii...Teri raat ko special bunnay se pehlay main tujhe na goli maar doon...Hain...!!! Nahi nahi balkay mujhse pehlay Gayatri zaroor tumhain zindaa jalla day gi...Mujhe poora yaqeen hai keh agar tumnay koi zada hanky panky karnay ki koshish ki toh wo tumhain choray gi nahi...!!! Toh free honay se pehlay soch laina k KISKAY pati k saath free horahi ho...!!!"😡😡😡
Jab Ranaji Rageshwari k kamray se bahir nikaltay hain aur Savitri se kehtay hain k tum hi saari arrangements karna toh I was like "Wah bahut khoob abh Gayatri apni hi saut k liye preparations karay gi...Wah wah wah...Bas yehi dekhna baaki reh gaya tha Ranaji...Ranaji bahut hoa...Gayatri abh tum zara Ranaji ko bhi dikhaa do k jab yeh ghani bawri ek baar bawri hojaay toh kia kia kar sakti hai...Waisay jab Ranaji nay kaha k tum khush nahi lag rahi aur phir jis tarha Gayatri wo fake smile dikhaati hai apni ufff uss waqt yaarooon kasam se bari hansi i...Bilkul bhi sahi react kiya tha Gayatri nay...!!! Bechari aaj toh bura phansi...!!!"😳😳😳
Phir jab Gayatri uskay dinner k liye tyaariaan kar rahi hoti hai aur Rageshwari aakar usay kehti hai k usko gulaab bahut pasand hai toh arrangements bhi uss hisaab se honi chayeee aur phir Savitri toh akhir Gayatri hi hai na maanay gi thori likin phir jab usnay kaha k yeh sub Ranaji uskay(Rageshwari) k liye hi kar rahay hain toh Gayatri ko waisa karna hi paray ga aur phir uss gadhi ka kehna k aaj wo tyaar honay main kaafi time lagaay gi aur phir wo Rageshwari ki end main pathetic walk aur phir Gayatri ka wo kailay wali baat kehna aur Rageshwari ki nikal utaartay dekh kar I was like "Superb Gayatri kia nakal utaari hai tumnay iss gadhi ki...Wah maza agaya...Abh toh mujhe poora yaqeen hai k tum iski yeh shaam kharaab kar k hi raho gi...Shabaash Gayatri...Lagi raho...!!!"😉😉😉
Phir jab Gayatri Ranaji ko dekhti hai k wo black suit pehnay kharay hain toh I was like "OMG!!! Yeh toh bahut hi dashing lag rahay hain...!!!" Aur phir Gayatri jis tarha unhain complex karti hai keh aap toh bay rang lag rahay ho aur phir wo apni taraf se kapray daiti hai aur kehti hai k aapka pyaar atrangi hai toh kapray bhi toh satrangi honay chaye aur aapko moor lagna chaye aur Ranaji kehtay hain k ussi ka toh darrr hai likin Savitri phir bhi force karti hai k jaaaye aur pehnyeee aur phir jab wo pehnnay chalay jaatay hain toh Gayatri kehti hai keh Ranaji yehi aapki saza hai toh I was like "Gayatri Gayatri Gayatri...Tum bhi na...Bahut kwwweeettt ho...Zaroor Ranaji ko ajeeb kapray hi diyee hogain tumnay, pta nahi kia bunn k niklay gay, waisay acha hai Rageshwari k saamnay bura tyaar hooon aur wo unhain dekh k darr kar bhaag jaay toh maza hi ajaay ga...Acha kiyaaa Gayatri, such main Ranaji aapki yehi saza hai k aap Gayatri k hotay hoy uss gadhi k saath time spend kar rahay ho...Huhh aisa toh nahi chalay ga Ranaji...Aur Gayatri zada dair tak aap dono ka drama chalnay nahi day gi...Dekhlaina...!!!"😛😛😛
Aur akhir main jab budhi ko btaati hai Rageshwari k Ranaji uskay saath aaj dinner karain gain tab hi budhi ko hota hai k Gayatri zaroor kuch uskay khilaaf plan kar rahi hai aur phir jab budhi warn karti hai keh Ranaji se aaj raat matt milo likin wo uski nahi sunti toh apnay dil mai kehti hai k tujhe nahi pta k Gayatri khud hi tujhe phansa rahi hai likin wo aisa kyun kar rahi pta nahi...Likin mujhe toh Rageshwari ko nahi...Gayatri aur Ranaji ko kareeb laana hai taakay Savitri ka bhaanda phoor sakoon aur udher hi drama khtam toh I was like "OMG!! Yeh budhi toh such main bahut hi khatarnaak khel khelnay wali hai...Yeh sahi nahi hai...Yeh toh aur bhi bura hoga...Ranaji toh toot jaay gain likin Gayatri ko apnay aapko expose honay se pehlay hi Gayatri ka impression acha create karna hi hoga tab hi kuch sahi ho sakta hai warna toh sub bura hi hoga...Budhiii tera plann I hope super wala fail ho...BAsss...!!!"😡😡😡
As far as the precap is concerned, my reaction is..."Pehli baar tu kuch sahi kar rahi hai budhi"...😆😆😆
Do share your thoughts guys😳😳😳
Thank you so much🤗🤗🤗