Phir jab Rageshwari Ranaji k saath free horahi hoti hai aur Ranaji ko achanak hosh aata hai keh yeh ghalat horaha hai and all aur phir yeh kehna keh humara dil pta nahi kyun yeh keh raha hai keh hum tumharay paas kabhi aye hi nahi thay aur waisay bhi jab tak humari dil gawaahi nahi daita hum door hi theek hain toh I was like "Aur aapka dil kabhi koi gawahi day ga bhi nahi Ranaji...Yeh jhooti bas aapkay kaan bhar rahi hai aur kuch bhi nahi...Acha hoa jo aapkay dil nay khud se isko door karnay ka faisla karliya warna abhi shaid Gayatri ko kuch karna parhta...Rageshwari madam aapka koi chance nahi hai toh aap koshish bhi matt kijiye flirt karnay ki...Door raho gi tumharay liye acha hoga...Paas aao gi toh sirf pittto gi hi...!!!"😡😡😡
Phir aata hai budhi-Coca Cola aur Kunwarji wala scene, jab budhi kehti hai keh yeh Rageshwari bahut tezz hai yeh Ranaji k nazdeeq ja rahi hai aur wo din door nahi jab wo waaris day day gi aur phir Kunwarji ko wo kehti hain keh tum Lakhan se kaho keh wo jaldi kuch karay tab tak wo Rageshwari k saath deal karti hai toh I was like "Teray saath masla kia hai budhi? Ek taraf pehlay tum Rageshwari ko Ranaji k saath set kar rahi thi aur abh khud door karna chahti ho...Matlab tum toh khud hi itni confused ho toh yeh Ameerkot kia sambhaalo gi...Huhhh I bari...Bhool jaooo...Tumse kabhi kuch nahi ho sakta budhi tu try hi kyun karti hai pta nahi...Humesha bas subko control karna chahti hai...EK dafa Gayatri ko tumhara pta chal gaya na toh phir wo tujhe control karay gi...Waisay ek lihaaz se acha hai Rageshwari aur teri agar aisay hi tu tu main main chalti rahi toh Gayatri ko kuch bhi nahi karna paray ga tum dono khud hi ek din ek dosray ko jaan se maar do gay...!!!"😛😛😛
Phir aata hai Rageshwari wala scene, wo raat ko chupkay se uth kar apnay wafadaar Bhairav Singh k paas jaati hai milnay aur usay kehti hai keh budhi aur Coca Cola aur Kunwarji pe khaas nazar rakhay kyunkay wo uskay khilaaf zaroor kuch plan kar rahay hain toh I was like "Chalo ji yeh budhi aur yeh Rageshwari toh dono milkay apnay aap hi Gayatri ka kaam asaan kardain gain...Lagay raho tum dono...Ek dum khud hi dooba do ek dosray ko dekh laina...!!!"😆😆😆
Phir jab Lakhan Kunwarji ko kehtay hai keh aaj kaam nahi ho paay ga kal ka din acha hai toh main kal hi kuch kar paao ga aur phir upper se Lakshraj aur Gayatri sub sunn rahay hotay hain aur Lakshraj ko yaqeen hojaata hai keh Gayatri such main uska saath day rahi hai aur phir Gayatri Lakshraj se kehti hai keh usko uskay liye ek kaam karna hoga wo yeh keh saaray mehel k logoon ko ghar se bahir bhej dijiye taakay wo maximum time Ranaji k saath bita sakay aur phir jab wo kehta hai keh yeh zada maang liya hai tumnay toh wo kehti hai keh qeemat bhi toh bari day rahi hooon wo yeh keh Lakhan tum logoon k aanay tak mehel chor kar ja chuka hoga aur phir Lakshraj wahan se chala jaata hai khush ho kar aur phir Lakhan aata hai aur Gayatri se kehta hai keh toh aap waqai mujhe iss mehel se bhejna chahti hain aur wo chali jaati hai aur Lakhan ghussa karta hai toh I was like "Lakhan tumhain pta hai Gayatri kabhi kuch ghalat nahi karay gi pleeease uspe bharoosa rakho...WO aisa kar rahi hai toh zaroor kuch soch samaj kar hi kar rahi hogi...Pleease Lakhan tum relax raho...Aur Lakshraj tumhari khushi zada din tak nahi tikay gi kyunkay Gayatri ko pta hai keh Swarna ko kaun pasand hai aur wo waqt aanay pe tumhain bakra bana kar hi choray gi...Gayatri I trust you! Mujhe poora yaqeen hai keh tum jo karo gi sahi hi karo gi...!!!"😃😃😃
Phir aata hai dining table wala scene, jab Lakshraj subko kehta hai keh usnay ek trust banaya hai ghareeb bachoon k liye toh aaj aap sub ka jaana bahut zaroori hai likin wo Ranaji ko rukhnay ko keh daita hai Rageshwari bhi rukna chahti hai likin phir budhi Ranaji k through usay indirect aanay k liye khelwa hi daiti hai toh I was like "Wah Gayatri yeh toh ek dum set hogaya...Tumhain Rageshwari ko hathana hi nahi parha...Budhi nay apnay aap hi usko side pe kardiya...Yeh dono churailain ek din such main ek dosray ko shoot kardain gi...Bara hi maza ayega jab yeh din dekhna ko milay ga...Gayatri abh tum araam se Ranaji k paas reh sakti ho...!"😉😉😉
Jab Swarna doondh rahi hoti hai Lakhan ko aur Lakhan usay kahin nahi milta toh Lakshraj usay phir apnay saath lay jaata hai aur khush hojaata hai keh Gayatri nay uski baat maan li...Phir jab Gayatri Lakhan k paas aati hai toh dekhti hai keh wo apna saamaan pack kar raha hota hai aur wo usay kehta hai keh wo ja raha hai aur phir Gayatri usay kehti hai keh wo acting kar rahi thi Lakshraj k saamnay, aur wo khush hojaata hai aur kehta hai keh aap abh Ranaji k paas jaao abh toh pooray mehel main iss waqt koi bhi nahi hai toh I was like "Lakhan dekha maine kaha tha na Gayatri pe bharoosa rakho wo sub theek karday gi, tumhain kabhi Swarna se door nahi karay gi aur wohi hoa...Abh Gayatri pleeease Ranaji ko jitna tum pichla yaad dila sakti ho dilaaao likin dayhaan se iss baar wo dobara bharaknay nahi chaye...!!! Aur Lakshraj tu bas awaiin khush hota rahay, tu bas jhoot main hi khush hotay ja k wo mehel main nahi hai halaankay Lakhan apni Swarna ko chorh k kabhi jaay ga hi nahi, kabhi nahi...Dekhlaina tum...Aur tum rotay peetthay raho gay aur tumhain pta bhi nahi chalay ga keh kab Swarna Lakhan k sath set hogai...!!!"😆😆😆
Aur akhir main jab RaGa ka locket wala scene aata hai aur phir wo diye wala scene hayyy aur phir Gayatri ka usko samjhaaatay rehna dekh kar I was like "Good job Gayatri...Ranaji ka such main chehra dekhnay wala tha jab unho nay wo locket ko khola aur phir wo diye ka reaction, aur phir wo tumhari story btana matlab sub bahut hi acha hogaya...Bas abh Ranaji k mann main jaldi se Gayatri k liye pyaar jaag jaay phir dekhna sub theek hojaay ga...Aur ek dafa Ranaji poorani form main agay na toh bas God hi jaanay inn choozooon(budhi, kunwarji, coca cola aur Rageshwari) ka kia hashar hoga...Maza ayega jab wo dhakkay aur danday maar maar kar inn subko mehel se dafa karain gain...Scene dekhnay wala hoga...Bas yeh din jaldi se ajaaay...!!!"😃😃😃
As far as the precap is concerned,
my reaction is..."😉"...
Do share your thoughts guys😳😳😳
Thank you so much🤗🤗🤗