hey friends..h r u all???😳
well Ff main bahot time se likh rahi hu but this is my first OS and ye maine swasan pe likha hai i hope u all like..plzz give ur comments..accha bura kuch bhi.😆
bahot time k baad kuch likha hai i dont know its gud or bad.
k so scene yaha se start hua hai swara kavita k aane k baad baadi chali gayi hai.
same night laksh apne room se bahar niklta hai and sanskar k room ka darwaza khula hua dekh k andar jata hai
laksh:bhai tu soya nahi??
sanskar:haa lucky...bas wo need nahi aa rahi thi.aaj jo kuch bhi hua.
laksh:ha maa ne bataya mujhe k tumhari papa k room main kya bat hui.so kya socha hai tune?
san:lucky kavita aaj bhi wahi khadi hai jaha main aur wo 5 saal pehle the..main use kaise batau k in 5 saalo main kya kuch ho gaya aur kya badal gaya.
laksh sanskar k shoulder pe haath rakhta hai
laksh:par bhai batana to padega,aur tujhe hi batana hoga.
san: lucky but main uska dil nahi todna chahta..main janta hu ye sab uske liye sunna bahot mushkil hoga.
laksh:to kya sab aise hi chalne dega ...kya ye sab sahi hoga??
san:lucky mujhe kuch samajh nahi aa raha ..kavita achaanak se aaj wapas aa gayi..wo kavita jiske liye maine apne pariwaar se nafrat ki
laksh:bas nafrat bhai???tune aur kuch nahi kiya??ek ladki k saare sapne sari dunia khraab thi??
sanskar laksh ki side dekhta hai.
laksh:kya galat kaha maine bhai...wo ladki k saath ye sab hua tha na?tu jo chahta tha wo tujhe mil gaya na
san:lucky ..tu ye..kya bol raha hai?kya chahta tha main?
laksh: kavita...usi k liye yaha aaya tha na?ab tujhe kya faraq padta hai wo ladki jeeye ya mare
san:LUCKYYY...
laksh:swara naam tha uska ...yaad hai ya kavita ko dekh k wo bhi bhul gaya.
san:lucky bas kar ..
laksh:bhai main bhi yahi bolna chahta hu bas kar de...bas kar de swara ko saza dena.
san:main swara ko koi saza nahi de raha.
laksh:saza de raha hai tu use bhi aur apne aap ko bhi..teri zindagi main aane ki saza tere pariveer ko bachaane ki saza tere pe yaqeen karne ki saza...aur TUJHSE PYAAR KARNE KI SAZA.
sanskar ki aakho main aasoo aa jate hai.
laksh:ha bhai tujhse pyaar karne ki saza.tu uska best F tha na.us pe trust karta tha ..uske khilaaf koi kuch bole to tujhe bura lagta tha na
aaj tu wahi sab kar raha hai usake saath ...koi bhi uski aakho main dekh k bata sakta hai k wo paaglo ki tarah pyaar karti hai tujhe se...par tu apni zidd aur gusse main itna
andha ho gaya hai k tujhe wo nazar hi nahi aa raha.usne ek baar nahi baar baar bola hai k wo tujhse pyaar karti hai
san:lucky tu kuch nahi janta.nahi karti wo mujhse pyaar.swara ko bas mahaan banna hai.wo to...
laksh:bhai ye to tu rahne hi de...main sabkuch janta hu tujhe bhi aur swara ko bhi...aaj tujhe kavita k liye bura lag raha hai k use sach pata chalega to wo tut jayegi
par tune swara k baare main ek baar bhi socha...bhai past main nahi jana chahta main but aaj tujhe sunna hoga,swara ki life bahot acchi thi jab tak tu uski zindagi main nahi aaya tha.
sanskar ye sunaka window ki side turn kar leta hai.
sach bura laga na bhai??...agar tu na aata to aaj swara bahot khush hoti.uski life main koi problam nahi thi.tu yaha aaya badla lene aur uski puri zindagi tabaah kar dee.khair wo past tha .aaj usake baare main baat kar k koi fayda nahi
.aurpar ek baat hai swara kabhi kisi rishtey k beach nahi aayi hamesha log usake rishto k beach aaye..pehle ragini aur aaj kavita,ha bhai tere aur kavita k beach to kabhi swara thi hi nahi...
kavita aur tere saath jo hua uski wajah kismat thi.tum dono alag hue is main swara kaha thi uska koi kasoor nahi tha..par aaj tere aur swara k alag hone main kavita hai.
san:lucky kavita aur mere beach kuch nahi hai..na kuch ho sakta hai.
lakh:to bhai tune ye tab kyu nahi kaha jab papa aur maa kavita se bat kar rehe the,tune swara ko kyu nahi kaha??roka kyu nahi use?
san:wo khudh yahi chahti hai...jana chahti hai mujhse dur.maine aaj use roka baat karna chahta tha but wo chali gayi.bina meri baat sune.
lak:ohh reallyy..kal tune uski baat suni thi jo aaj wo teri baat sunti.?bhai tu wahi galati mat kar jo maine ki thi.meri ek galti se aaj dekh main kaha aa gaya hu
..ja jakar baat kar puch usse dekh usaki aakho main.tujhe tere saare swalo k jawaab mil jayege.jaa bhai.
lakash ye bol k waha se chala jata hai.aur sanskar wahi khada swara ki saare baate yaad kar raha hai.swara ka baar baar usse bolna k wo uski baat sune aur sanskar ka gusse se jwaab dekar chala jana.
san:to him self:lucky sab janta hu main ,tune jo kaha wo bhi aur jo na kaha wo bhi.par kya swara mujhse ab baat karegi...jo kuch itne dino main maine usake saath kiya uske baad kya wo mujhe ek mauka degi
sanskar swara ko call karta hai but phone swich off aata hai.
san:baat to main tumse kar k rahuga swara aaj aur abhi.
next scene
swara apne room k bahar balcony main khadi hai.uski aakho main aasoo hai and suddenly wo realised karti hai k koi hanky se uske aasoo saaf karne lagta hai..wo turn karti hai uske saamne sanskar khada hai.
dono ka eye lock hota hai..and after some time swara apna face turn kar leti hai.
san:kya ab mera itna haq bhi nahi raha tum pe.
swa:...
san:swara plzz meri bat suno mujhe bat karni hai tumse.
swa:mr.maheshwari aap bhul gaye ho main ajnabi hu aapke liye bahar wali ,,aur bahar wale logo se baat nahi karte wo bhi is time.to behtar hoga ap apne ghar aapke apno main lot jaye.
swara waha se jane lagti hai aur sanskar uska haath pakadta hai
san:kuch kahogi nahi??kuch puchogi nahi mujhse?
swa:ab kya fayda sanskar..jab ye sab karna tha tab to kiya nahi..ab kyu??ab to sab khatam ho gaya.
san:meri baat sun lo ..ab agar nahi kaha na to kabhi nahi bol sakuga.i m sorry swara...sorry for everything tum pe trust na karne k liye tumhre pyaar pe yaqeen na karne k liye,tumhe jane se na rokne liye.
swara kuch nahi bolti bas halka sa muskurati hai..uski us muskuraahat main bhi dard hai
swa:...
san:kuch bolo swara ...mujhe tumhara aise khamosh rahna nahi saha jaa raha.
swa:maine tumhe maaf kiya sanskar ab plzz rat bahot ho gayi hai tum apne ghar jao.yaha kuch nahi rakha.jo tumhri aur meri kahani yaha se suru hui thi aaj wo yahi khatam ho gayi
san:kuch khatam nahi hua swara sab pehle jaisa hai.
swara:nahi sanskar pehle jaisa kuch nahi hai..naa tum naa main naa humara rishta ab bas yaade reh gayi hai, dekho na ye wahi jagah hai jaha tum mujhse pehli baar mile the...pehli baar isliye kyu k
tab first time tumhare andar ka sanskar yaha aaya tha apne andar ki nafrat ko chod k mujhe bachaane k liye...yahi se hum dono k beach ek rishta bana tha insaniyat ka rishta jo k baad main dard ka rishta bana phir dosti ka aur phir pyaar..
swara ki aakho main aasoo aa jate hai.aur sanskar k bhi
swara:tumne apna har rishta bahot imaandari se nibhaya sanskar...chahe wo nafrat ka ho ya pyaar ka.jab mujhse nafrat ki to tut k ki aur jab pyaar kiya to wo bhi tut k kiya.mujhe jeena sikhaya sapne dekhna sikhaya aur phir un sapno ko tod bhi dia.aur aaj isi jagah main tumhe saare rishto se azaad karti hu..tum pe koi
dabaav nahi tum free ho apni zindagi main jane k liye apne sacche pyaar k paas ..and belive me i m happy for u atlist tumhe wo life partner milega jisse tum pyaar karte the ho aur karoge..kavita bahot acchi hai bahot khush rahoge tum usake saath.
pata hai usaki sabse acchi bat kya hai.wo meri tarah mahaan nahi banna chahti..
swara apne aasoo saaf karti hai aur sanskar ki aakho main dekhti hai.
swa: dekho na kaise usne aate hi apna pyaar maang liya.apna haq jata liya tum pe ,,accha hai na tumhe aise hi jivansaathi chahiye tha na.main to aisi hu hi nahi kabhi tumhre pyaar tumhari feelings ko nahi samajha.hamesha use kiya tumhara ..apne faydo k liye apne rishto k liye.i m sorry sanskar i m sorry for everything
sanskar swara ki baato se wo sab yaad kar raha hai jo kuch usne swara ko kaha tha.
swara:par ek bat hai sanskar maine hamesha tumhe bolne ka mauka diya par tumne kabhi nahi ...tumne nashe main kaha tha yaad hai k tum mujhse pyaar karne lage ho..maine tab kya kaha tha ...maine kaha tha tumne mujhe dokha diya..main chahti to ye bhi bol sakti thi k ye pyaar nahi hai sanskar tumhara guilt hai..
kabhi tumhre pyaar ka mazaq nahi banaya maine..par tumne ..tumne to mere pyaar ka belive hi nahi kiya...mere aasoo tumhe nazar hi nahi aaye...maine chikh chikh k bola k maine divoce papers pe sign nahi kiya ..par tumne mujh pe nahi ragini ki bato pe trust kiya wo ragini jiski jaan lene lage the tum mere liye.
san:swara aisa nahi hai...tum galat samajh rahi ho.
swa:galat main nahi ..galat tumne samajha mujhe...tumne kaha tha k tum pe pura haq hai mera ..main jo chahu puch sakti hu..to maine usi haq se pucha tha tumse but tumne socha k main shaq kar rahi hu tum pe.khair ab un baato ka koi fayda nahi...ab sab sahi ho gaya hai tumhe tumhari nayi zindagi mubaarak ho..aur ha plzz mere liye
sorry feel mat hona k tumhare bina mera kya hoga and all..tumhe milne se pehle bhi meri life chal rahi thi aur aage bhi chalti rahegi..ha pyaar main tumse hamesha karti rahugi..aur ye mat samjhna k main ye sab mahaan banne k liye bol rahi hu...ye mera pyaar tha saccha pyaar jo k tum samajh hi nahi sake..aur na kahi samajh paoge.so gud bye
and best of luck for ur future.
swara ek aakhri baar sanskar ko dekhti hai aur apne har moments jo usne sanskar k saath guzaare the wo yaad karti hai...
TUM SAPNE DIKHAATE GAYE AUR MAIN SAPNE DEKHTI GAYI
LEKIN UN HAR SAPNO MAIN TUM THE AUR NAHI BHI THE
JAISE K TUM MERE LIYE SABKUCH THE BUT MAIN TUMHARE LIYE sirfff THIII...
swara apne room main chali jati hai and door close kar leti hai.and sanskar wahi khada ro raha hai.
hope u all like it..plzz do cpmments.
love u all
sana😊