
Choda aapne hamara haath
Tab toota hamara saath
Marke bhi zinda bach gaye hum
Aapse ghumshuda ho gaye hum
Andhera din andheri raat
Kiya na kisi se baat
Phas gaye hum is narak mein
Aisa kyun paraya kar diya humein?
Saari duniya chod chale hum
Kasme-vade rishtey-naathey sab tod chale hum
Piya ke ghar jana hai
Unhein jhee bharke dekhna hai...par,
Thod diya aapne saare bhandhan
Ruk gayi saanse; hamari dhadkan
Ho gaye aap bewafaa jaisa
Kyun kiya aapne aisa
Khuli sachchai bhi kuch is tarah
Ek khatarnak raaz ki tarah
Jisko samjha humne piya
Woh toh tehra behrupiya
Saajna... aapko aazaad karenge hum
Chahe job hi ho jaye; aapki kasam
Jeena marna aapke hi saath
Le chale aap kahin bhi humein haaton haath
copyrights reserved!😊
