Shehansha-e-hindi (Jalal)
Malika-e-hind (Jodha)
Rajat And Paridhi is biggest reason of JA hit and many people are watching JA just becoz of parijat
Sizzling chemistry
AVIS CREDIT :
pratsy, AreYaar,Tohru,BornThisWay
Mohabbat ki aisi ek dastan hai Suhani
Puri ki hai Do saal jiski ek anokhi Nishani
Aao karte hai us Prem Ko Naman
Jisne Layi thi Bharat main chain aur aman
Jung Jeetne Ka jisko tha suroor
Baaton Main jiske tha Guroor
dehshat tha jiska dusra naam
Par asal main tha Woh Hindustan ke liye sab se bada innaam..
Yeh kahani hai Uska jise khoon ki nadi bahane par bhi raheta na koi malal
Tabhi kahelata tha woh Khauf-E-Jalal..
aur Jodha
Registhan ki Gulab thi woh..
Subha ki pehli Kiran thi woh..
Thi Hirni Jaisi Bari Ankheen uski..
Aur komal si naram Hriday uski..
Daya aur karuna ki woh ek mewa Adhar..
Prem aur Samman se karti jo sab ka satkar..
Seekha na jisne Daheleez main rahena..
Swapna tha jiska swatantra bharat ko dekhna..
Mahila hoke bhi thi ko veer yodha..
Tabhi Woh kahelati thi heer kuwari Jodha..
Alag thee dono jaise purab aur paschim Milna tha phir bhi yeh tai tha ye lekin
Bhasha Alag tha, thi alag dono ke dharam...
Phir bhi saath laye dono ko ek dusre ka karam...
Bandhe dono saath Janmo ki Dor se
Khoye the phir bhi nafraton ke shor main
Bane the dono ek dusre ke humkadam
Par ban na sake ek dusre ke humdum
Ghrina ki iss Andhakar main ayi Umeed ki ek nayi Kiran
Jab saath main dono ne ki Khuda ko naman
Hui Mohabbat ki pehli imtehan
Jab khatre main Pare Jalal ki Jaan
Ghatne lagi thi Ehesaas -E-Nafrat Jab milke ki Sukanya ki vivha main shirkat
Tu tu main main khate meethe jhagre the hazar
Phir bhi deedar ko thi naazre bekarar
Kehte hai dosti hai pehli charam
Tabhi bane lage the dost bhool ke nafraton ka bharam
Dhund Ne lage thee Dill ek dusre se mill ne ka bahana
Kiyun ki lagne laga tha dono ko ek duje ka saath suhana..
Judne laga tha Dill iss kadar chup ke chupke..
Jaise Waqt ko bhi Khabar na ho lamhe ke karwat Badal ne ke khabar
Bin Jane jab hui Izhar -E-Mohabbat..
Tab mili na usko uski Maan ki chachat
Ansoo Banke jo dard Ankhoon main hai samaya
Karwahat banke woh zuban par hai aya
Shuru hua phir se dard lene aur dene ka dastoor
Na Jane Kiska the Gunha aur Kiska tha kasoor
Ek taraf ranjeeshen aur Tagaful ka alam raha
Aur dusri taraf dushmano ne karna vaar chaha
Bachane apne pati ke praan
Deni padi Jodha ko apne praano ka balidaan
Hua tha ab woh Ehesaas -E-Ishq ki pehchan
Jab mitne lagi thi Jodha ki haar nishaan
Cheda tha usne kismat se Eilan-E-Jung
Taki Choote Na Kabhi Uske Meet ka sang
Jude tab woh saanson ki dori se
Mile Jab unke Dill chori se
Maut se ladke mila dono ko Jeevan naya
Pyaar aur vishwas se anokha Sukh hai paya
Mohabbat ke giraft main ake kiya gulami pratha ko door
Taki Milte rahe praja ko khushiyan bharpoor
Ek taraf Dill Main thi Izhar -E-Mohabbat
Aur dusri taraf hai honto pe Inkar -E-Ulfatt
Prem Aur Viswas se jo Rishta tha jura
Shak ke tufaan ne kiya dono ko juda
Na Suni Jodha Ne Apne Dill ki pukar
Abhiman main ake kiya sang ane se Inkar
Karta raha woh phir na Maan ke haar
Suni na phir bhi Jodha ne uske Dill Ka guhaar
Lauta woh Agra Akele hi tab
Phir bhi choda na Umeed Khoo kar hai sab
Rajpath main jab Maan hai lagaya
Teerth Kar ka uljhan samne hai aya
Bandh kiya jab Ishwar ko tolna Sikkon se
Bhaar gaya daman tab Jodha ke ane ki khushiyon se
Ayi hai jaise milne sagar se nadi
Atma ko Atma se hai Mohabbat ne bandhi
Milan ke bela main Mili do taan Maan kuch aise
Sur Se sur milke banhi hai sargam jaise
Jodha ke Mohabbat ne banaya ek Jallad ko insaan
Tabhi Bana woh Khauf-E-Jalal se Akbar Mahan
Anth nehi hai yeh is Afsane ka
Abhi toh absar bohot hai ruthne manane ka
Ayi hai Iske Baad bhi bohot Utar charav
Lekin kaam na ho payi unke Dill Ka laagav
Karna Tha Jalal ko jis par Raj
Bees saal baad bhi banke baithi hai uske sir ka Taj
Saath Janmo ki thi yeh bandhan ruhani
Ab se mill ke chaudha Janmo tak hai yeh vachan nibhani
Saare Charsoo Saal thi yeh Purani
Dohrai thi aaj jo phir se yeh kahani
Mill ke aaj yeh Vaada hai dena
Jodha Akbar ka saath Humesha hai nibhana
Edited by susantogiaa - 10 years ago