the show kept me occupied in my tiring times, it diverted my attention and i made new friends..its aura was such that it created a world of its own...that magic that power was there once which now has vanished in the piles of politics..ego..and many more evils that surround the living beings..and now what is left is a skeleton which we can cherish and appreciate that it was also beautiful and full of life once..few lines from me as a tribute to the show which was once my darling and today i am crying over its slow demise...
bahadur shah zafar tha last mughal emperor's very own lines...
na kissi ki aankh ka noor hun
na kissi ke dil ka karaar hun
jo kissi ke kaam na aa sake
mein wo ek mushte ghubaar hun
na to mein kissi ka habeeb hun
na to mein kissi ka rakeeb hun
jo bigad gaya wo naseeb hun
jo ujjad gaya wo dayar hun
mera rang roop bigad gaya
mera yaar mujh se bichad gaya
jo chaman khiza se ujjad gaya
mein ussi ki fassle bahar hun
ae faate ha koi aaye kyun
koi chaar phool chadaye kyun
koi aake shama jalaye kyun
mein wo bekasi ka mazaar hun
na kissi ki aankh ka noor hun
na kisse ke dil ka karaar hun...