Chaliye iska Translation ye raha.
My Dream Main Juhi Parmar: Jitni khushi utna tension yani shadi.
Muje lagta hai shadi do logo ko milakar unhe pyar ke bandhan me bandh deti hai. Isiliye mere liye to shadi zaroori hi hai. Kyonki main manti hoon ki shadi admi ko andekhe suhane rango ki pehchan karvati hai. Usme sukh aur dukh ki matra lagbhag saman hoti hai. Par zindagi jine ke liye woh zaroori bhi to hai. Mere "Dream Man" ki sense of humour bahot acchi hogi. Woh muje main jaisi hoon waise hi apnaaye. Mujko kabhi bhi badalne ki koshish naa kare. Vaise to abhi to maine apne kaam se hi shadi karli hai. Main manti hoon ke shadi bina ka rishta dono logo ki aapsi understanding par hi chalta hai. Shadi ki rasm ka jitna mahtva hai utna hi usme risk bhi hai.Usme jitni khushi milti hai utna hi tension bhi milta hai. Kabhi kabhi hum jisko jante hi nahi uske sath hi poori zindagi bitani padti hai. To kabhi kabhi hum jisse bahot acchi tarah se pehchante hai woh bhi apna aisa roop dikhlata hai jiski hume kabhi khayal tak naa aaya ho. Aur phir aise vyakti ke sath hi apni zindagi guzarni padti hai. In short ye aise laddoo hai jo khaye wo bhi pastaye aur jo naa khaye woh bhi pastaye! Mera dream man hasnewala, jolly aur handsome hona chahiye. Main jisse pyar karoongi usse hi shadi karoongi kyonki bina pyar ke shadi ko main manti nahi. Kehlaya jaata hai ki shadi ki gadi pati-patni naam ke do pahiye pe chalti hai. Usme se ek bhi pahiya upar niche ho to car kaise chalegi? Main 'line in relationship' ki virodhi hoon. Shadi salamati deti hai. Jabki 'live in relationship' apni suvidha poori karti hai. Aaj kal shadi ke baad bhi pati-patni hone ke bavjood log zimmedar nahi rehte to phir 'live in relationship' to apni zimmedariyon se bachke apna swarth khojne ka hi ek rasta huvaa na? "Kumkum" me maine bahoo, patni, maa aur saans ke role kiye hai. Kabhi kabhi to muje khud hi surprise hota hai ki in sab rishto ke anubhav ke bina parde par main itni feelings kahaan se laati hoon. Par muje ye ek baat to kehni hi hogi ke jan ek aurat samajdar ho jaaye to usme kahin naa kahin ek maa, patni, bahoo ke bhav peda ho jaate hai.
............................................................ ....................................................
❤️ I love Juhiji very much. ❤️
Edited by janu_kumkumjuhi - 18 years ago