EPISODE 4
(rishabh muskaan ko dekhkar uski ankhon me kho jaata hai...aur bas use hi dekhta rehta hai...muskaan rishabh ko khud ko yu dekhta hua dekhkar khadi hokar use dhakka dekar kehti hai...)
Muskaan- how dare you to touch me...tumhari himmat kaise hui...jaante ho me koun hu...muskaan malik naam hai mera..tum soch bhi nhi sakte ho me tumhare saath kya kar sakti hu...
(par rishabh muskaan ki koi baat nhi sunta hai..bas vo muskaan ko bolta hua dekhta rehta hai...muskaan use kuch react karte huye nhi dekhkar gusse me kehti hai..)
Muskaan- stupid idiot...(aur vha se chali jaati hai...rishabh use jaate huye dekhta rehta hai...aur uske face par ek smile hoti hai...aur vo bas muskaan ko jaate huye dekhkar kehta hai..)
Rishabh- Muskaan...
(tabhi piche se koi rishabh ke shoulder par haath rakhta hai..aur vo apne khyalo se bahar aa jaata hai..aur piche mudkar dekhta hai..to Vha ananya hoti hai..)
Ananya- kha khoya hai tu rishu...mehmaan aana start ho gye hai.aur kuch hi der me mohurat ka time bhi ho jayega...jaa dekh armaan ready hai ya nhi..me riddhima ko dekhne jaati hu..
Rishabh- dont worry choti ma..me hu na...me abhi jaakar dekhta hu..ok...
(rishabh armaan ke room me pohchta hai..to vha armaan sherwani pehene huye betha huye kuch soch rha hota hai...rishabh andar aate huye armaan ko dekhkar kehta hai..)
Rishabh- aye hayee...aaj to by god hero lag rha hai...
(armaan rishabh ko dekhkar kehta hai..)
Armaan- tu phir shuru ho gya...
Rishabh- are yaar...sach bol rha hu..acha chal chod niche chal aunty ne kha hai...
Armaan- thik hai chal...
(armaan aur rishabh niche aate hai...armaan aakar padma aur shashank ka ashirwaad leta hai...phir vo chair par beth jaata hai...)
Padma- ananya riddhima ko lene gyi thi kha reh gyi...
Shashank- lo..aa gyi..
(shashank ananya aur riddhima ko ate huye dekhkar kehta hai...yeh sunkar sab unki taraf dekhte hai..par armaan nhi dekhta hai.. Vo bas niche zameen ko hi dekhta rehta hai..ananya riddhima ko armaan ke paas lakar bitha deti hai..aur kehti hai..)
Ananya- kitni pyaari jodi hai...khi nazar na lag jaaye...
Padma- sach bilkul shi keh rhi ho
(tabhi muskaan bhaagkar akar armaan ko hug kar leti hai ...aur kehti hai..)
Muskaan- bhaai...i missed u soo much..subha se aapko dhoond rhi hu par aap ho ke milte hi nhi ho where were you...
Armaan- vo sab chod..yeh bta kaisi hai tu..
Muskaan- u know na..i m just perfect...(riddhima ko dkehkar kehti hai..) hi riddhima right..hi I am muskaan...
Riddhima- hello...
Ananya- bas muskaan...ab baad me baat karna riddhima se..abhi mohurat ka time ho rha hai...rasm puri karte hai..
(ananya riddhima ko chunri pehna deti hai...( I dont know...the rituals sorry can't explain) aur roka pura ho jaata hai..shashank pandit ji se baat karkar akar btata hai..)
Shashank- mubarak ho..aaj se 3 din baad sagaai..aur phir ek hafte baad shaadi...(shashank riddhima ke sar par haath rakhkar niche jhukkr usse kehta hai..)tu khush haina ridhzi...
Riddhima- papa dont worry...me khush hu...(riddhima fake smile karte huye kehti hai.)
Muskaan- kya bhai...aapka roka aur na koi dance na music india me sab aise hota hai kya...?
Rishabh- ji nhi india me aisa bilkul nhi hota hai...abhi dikhate hai aapko india ki raunak
Muskaan- ji nhi please agar tum kuch na karo to better hoga..aaj bhaai gayenge...haina bhai.
Armaan- main ??nhi muskaan please no...
Muskaan- bhai please mujhe pta hai kitne saal ho gaye hai aapka gaana sune huye. Bhai plzzz mere liye sirf aaj...please.
Ananya- armaan muski itna keh rhi hai to gaa dena...
Armaan- ok..fine..
(riddhima apne dheere se kehti hai. )
Riddhima- ohh...to is khadoos ko gaana bhi aata hai...
(armaan riddhima ko sun leta hai aur kehta hai..)
Armaan- kuch kha. Tumne..
(riddhima dar jaati hai..)
Riddhima- nhi..nhi to...tumne kuch suna kya..?
Armaan(armaan baat ko ignore karkar muskaan ka diya hua guitaar pakadkar khada ho jaata hai..aur riddhima apne nail bite karte huye kehti hai..)
Riddhima- lagta hai..khadoos ne sun liya...sun liya to kya hua..darti thodi hu me usse...chlo ab thoda gaana shaana sunte hai...
(riddhima araam se bethkar armaan ko dekhti hai..armaan apni ankhen band karta hai...use sneha ka hasta hua face dukhayi deta hai...phir hospital me jab uski death ho jaati hai vo yaad aata hai..vo apni ankhen khol leta hai..aur gaana start karta hai..)
Kabhi aaine pe likha tujhe
Kabhi aansuon se mita diya
Kabhi khat samajh ke padha tujhe
Kabhi diary mein chhupa liya (x2)
Ik pal bhi tu mujhse, hota nahi hai juda
Aye khuda, aye khuda, aye khuda, aye khuda
Aye khuda, aye khuda, aye khuda, aye khuda
Teri tamanna aankhon mein leke
Parchhaiyon ka peecha kiya
Teri tamanna aankhon mein leke
Parchhaiyon ka peecha kiya
Har ajnabi se tera pataa
Deewaano ki tarah main poocha kiya
Deewaano ki tarah main poocha kiya
Tujh bin yun lagta hai
Dil hai kahin gumshuda
Aye khuda, aye khuda, aye khuda, aye khuda
Aye khuda, aye khuda, aye khuda, aye khuda
Tu ye na jaane kaise tere bin
Roya hai pal pal, ye dil mera
Tu ye na jaane kaise tere bin
Roya hai pal pal, ye dil mera
Aansu kisi ne, ponchhe na mere
Toh yaad aaya, aanchal tera
Toh yaad aaya, aanchal tera
Tanhaai mein aksar sunta hoon teri sadaa
Aye khuda, aye khuda, aye khuda, aye khuda
Aye khuda, aye khuda, aye khuda, aye khuda
(jab gaana khatam hota hai to saare ghar vaale sad khade hote hai...riddhima bhi chup chaap vhi..bethkr armaan ko dekh rhi.hoti hai...armaan sAbko aise dekhkar frustaration me ankhen band kar leta hai...aur kehta hai.)
Armaan- shit...kyu nhi control kar paaya me khud ko...
(armaan ko yu dkehkar shashank baat badal deta hai..aur clapping karne lagta hai..aur kehta hai..)
Shashank- kya baat hai armaan muskaan ne acha kiya jo.tumhare haath me guitaar pakda diya varna hume to pta hi nhi chalta.ki tum itna acha gaate bhi ho..
Padma- shi keh rhe ho.shashank
Ananya- chlo armaan aao ab tum riddhima ke paas betho...(ananya armaan ko lekar akar riddhima ke paas bitha deti hai...riddhima ka dupatta galti se armaan ke haath par chala jaata hai..armaan rudely.vo hata deta hai..jo.sab notice karte hai...par koi kuch nhi bolta hai...ananya baat phir badal deti hai..)
Ananya- chlo baccho tum dono ki shaadi pakki hui hai..ek dusre ka munh to meetha kardo..lo..
(ananya riddhima aur armaan ke haath me mithai pakda deti hai...riddhima mithai armaan ke munh ke paas laa hi rhi hoti hai ki armaan uthkar vha se roon me chala jaata hai...riddhima ko gussa aata hai...par vo khud ko sambhalte huye kehti hai..)
Riddhima- gusse ko control kar riddhima...vo thoda upset hai..sneha ki yaad aa rhi hogi use..mujhe samjhna hoga...par is khadoos ko bhi samjhaana to hoga...
(armaan ko yuh uthtkar jaate huye dekhkar rishabh uske piche jaa rha hota hai..ki riddhima use awaaz deti hai..)
Riddhima- rishabh...ek mint...kya me armaan se baat kar sakti hu..?
(rishabh ananya ko dekhta hai.ananya riddhima se kehti hai..)
Ananya- ha beta jaona...
(riddhima armaan ke piche chali jaati. Hai..armaan apne room me enter hokar gusse me table par rakha saman phek deta hai..tabhi riddhima bhi armaan ke room me enter hoti hai armaan use dekhkar kehta hai..)
Armaan- chali jao yha se...
Riddhima- nhi jaungi...jab tak baat nhi kar lungi nhi jaungi yha se chahe kuch bhi karlo..
Armaan(gusse me kehta hai..)- tum samjhti kya ho khud ko ha..?aur kis haq se ayi ho yha..?
Riddhima- pehle sawaal ka jawaab yeh ki me khud ki riddhima gupta smajhti hu jo ki me hu..aur doosre sawaal ka jawaab yeh hai ki...me yha tumhari. Abhi abhi nyi nyi bani mangetar hone ke haq se ayi hu.. Dekho..mujhe tumpr koi haq nhi jataana hai.. Bas ek baat karni hai...
(armaan riddhima ki baat ko ignore karkar room se bahar jaane lagta hai par riddhima bolna shuru kar deti hai to armaan vhi ruk jaata hai..aur uski baat sunta hai.)
Riddhima- me yeh nhi kehti hu sneha.ko bhool jao...me tumse sneha ki yaad door nhi karna chahti hu...me sirf tumse yeh kehna.chahti hu..ki hum kuch dino me hum ek nye rishte me bandhne jaa rhe hai..me jaanti hu tum mujhse pyaar nhi karte ho...me.bhi tumse pyaar nhi karti hu...me sirf itna kehna chahti hu..ki hamari famiky is rishte se boht khush hai... kam se kam unke saamne to aise behave mat karo...sab jaante hai hum mangetar hai...yeh sach sirf hum dono hi jaante hai..ki hum mangetar kyu hai...me sirf yeh chahti hu..ki tumhare aise behaviour ki vajah se meri ya tumhari family hurt na ho jaaye...so please kya sirf duniya ke saamne hum ek dusre se achi tarha behave nhi kar sakte hai...
(armaan riddhima ki baat sunkar use piche dekhta hai..phir bina kuch bole vha se chala jaata hai..)
EPISODE 5
(riddhima ki baat sunkar armaan room se chala jaata hai...uske jaane ke baad riddhima. Gusse me kehti hai..)
Riddhima- how rude of him...kitna acha explain kiya sab use phir bhi mujhe ignore karkar chala gya...is khadoos se to kuch aur expect kar hi nhi sakte hai...
(yeh kehkar riddhima bahar aati hai to dekhti hai ki sab mehmaan jaa chuke hote hai..aur armaan shashank se kuch keh rha hota hai..vo paas jaakar sunti hai...)
Armaan- I am sorry sir...i know jo mene kiya vo galat tha mujhe aise nhi behave karna chahiye tha...i promise aaj ke baad aisa kuch nhi hoga..
Shashank- koi baad nhi beta..me smajhta hu...
Armaan- ni uncle I promise aaj ke baad aisa kuch nhi hoga...
Padma- bas beta...jo hua so hua..
Ananya- ha jo hua so hua...chalo ab hum munh mitha kar lete hai...
Aao riddhima armaan ka munh to meetha kardo..
(riddhima ananya ki baat sunkar aa jaati hai..ananya use mithai deti hai vo amaan ko khila deti hai..phir armaan bhi use vhi mithai khila deta hai...aur dono saath ananya ka ashirwaad Le lete hai...muskaan vha khade hokar yawn karti hai..aur kehti hai..)
Muskaan- me to sone jaa rhi hu mom...i am tired...soo gud night...
(muskaan chali jaati hai...rishabh bhi sabki nazro se bachkar muskaan ke piche jaata hai..aur muskaan se kehta hai..)
Rishabh- muskaan.
(muskaan piche mudkar usse not so intrested tone me kehti hai..)
Muskaan- bolo...
Rishabh- pehchaana nhi mujhe kya..?
Muskaan- ha pehchaan liya hai..tum rishabh hi hona bhai ke chamche...
(rishabh is baat ko hasi me ignore karkar kehta hai..)
Rishabh- Ha rishabh hi hu tumhare bhai ka chamcha..
Muskaan- good.. Kuch kaam hai kya...
Rishabh- ha hai...
Muskaan- to jaldi bolo mere paas time nhi hai..
Rishabh- vaise bachpan se kaafi badal gyi ho..khoobsurat bhi ho gyi hi par..ek adat abhi bhi nhi badli...bhoolne ki...
Muskaan- kya bhooli me..?
Rishabh(kuch sochta hai phir kehta hai..)- kuch nhi mazaak kar rha tha...bas..
Muskaan- idiot..(yeh kehkar room me chali jaati hai..aur rishabh vhi khada hokar..apni pocket se ek earing nikalkar dekhta hai aur kehta hai...)
Rishabh- aaj bhi apni chiz khi par bhi bhool jaati hai..par aaj tumhe yeh earing lauta nhi paaya me...because...I AM IN LOVE WITH YOU MUSKAAN I LOVE YOU...
(rishabh earing ko dekhte huye yeh sab kehta hai..)
In MM Hall
(padma shashank riddhima ghar jaane ke liye tayyar hote hai...)
Shashank- acha bhabhi ab hum chalte hai..
Ananya- kuch der aur rukte na bhai saab..
Padma- bas ananya...ab hume jaane bhi do...hume bhi to engagemnet ki tayyari karni hai..bas 2 din baad hi to hai engagement ko...
Ananya- ha...ring bhi to leni hai..kal yeh bacche hi pasand kar ayenge ring unhe jaisi chahiye thik haina...
Padma- ha yeh thik hai aur vaise bhi riddhima ko to har chiz apni pasand ki chahiye..agar kuch ise iski pasand ka nhi milta haina to yeh aasmaan sar par utha leti hai.
Riddhima(embarrass hote huye)-mom
Ananya- koi baat nhi beta..aisa karte hai padma kal armaan riddhima chale jayenge...apni ring lene haina armaan...
Armaan- ji mom..
(riddhima Armaan ko aise har baat maante huye dekhkar shock hokar sochti hai.)
Riddhima- kya baat hai lagta hai meri baate... Is akdoo ke dimaag me kuch zyada hi asar kar gyi hai tabhi to har baat ek baar kehne me maan rha hai...
(riddhima soch rhi hoti hai ki ananya usse kehti hai..)
Ananya- riddhima beta tum jaogi na...
Riddhima- ji aunty...
Ananya- ok.. To phir yeh bacche hi apni apsand ki ring le ayenge.. Ek tension to kam hui...
Padma- shi kha...chlo ab hum chalte hai...armaan kal riddhima ko ghar se pick up kar lena..ok..
Armaan- ok aunty...
(gupta family chali jaati hai...armaan aur ananya bhi apne apne room me chale jaate hai...)
Muskaan's room
(muskaan change karkar aati hai..aur bed par apna luggage bag kholkar ek bear ka can nikalkr kehti hai..)
Muskaan- finally...aaj to ek bhi bear nhi pee...ab mauka mila.hai..
(muskaan bear ka can pee jaati hai...)
NEXT MORNING
(riddhima sokar uthti hai...nighty me hi vo brush karti huyi...niche aa rhi hoti hai..uski ankhen neend ki vajah se abhi bhi band hoti hai uske munh me brush hota hai aur vo chillate huye kehti hai..)
Riddhima- mummaaa...naashte me kya hai...ky
(vo aur kuch bolne hi wali hoti hai ki...saamne sofe par bethe insaan ko dekhkar vo shock ho jaati hai...saamne armaan riddhima ke papa mumma ke saath betha hota hai..aur riddhima ko aisi halat me dekh rha hota hai...riddhima bina kuch soche samjhe apne room me bhaag jaati hai..armaan use aise dkehkar apna sir hilate huye man me kehta hai...)
Armaan- crazy girl...
(padma riddhima ko gusse se dekhti hai...aur armaan se kehti hai..)
Padma- sorry beta par yeh aisi hi hai..tum kuch lona...me abhi aati hu...
(padma yeh kehkar armaan ko shashank ke saath chodkar chali jaati hai..aur riddhima ke room me enter hoti hai to dekhti hai..ki riddhima brush kar chuki hoti hai.aur towel se apna face saaf kar rhi hoti hai...vo gusse me akAr riddhima se kehti hai..)
Padma- tum kab sudhrogi riddhima aise koi night dress me.. Brush haath me lekar apne mangetar ke saamne aata hai kya..?
Riddhima- aur aise koi bina btaaye subha subha kisi ke ghar me aata hai kya..aap apne laadle sadu...i mean aap apne laadle armaan se yeh kyu nhi kehti..?
Padma- subha subha? Jaago..madam ..dopahar ke 12 baj chuke hai..aur armaan batakar hi aaya hai..kal raat mene hi use kha tha...vo har kaam time par karta hai..bas ek tum hi late lateef ho jiski.subha hi itni late 12 bje hoti hai..
Riddhima- kya 12 baj gye...
Padma- ji ha...ab jaldi tayyar hokar niche aao...armaan niche tumhara wait kar rha hai...
Riddhima- ok..aa rhi hu...
(padma chali jaati hai...niche armaan aur shashank buisness ke baare me shashank ki study me kuch baat kar rhe hote hai..ki shashank kehta hai...)
Shashank- armaan tumhe garewaals ki file dekhni chahiye its really good...mere room me hai me laata hu...
Armaan- no uncle...aap rukiya me le aata hu...
Shashank- are beta tum pareshaan hoge...
Armaan- pareshaani kis baat ki uncle..dont worry me le aunga..
(armaan shashank ke room se file lene chala jaata hai...vo file lekar use padta hua vapas aa rha hota hai..ki beech me riddhima apne room se bahar nikal rhi hoti hai..aur dono takra jaate hai..armaan ki file niche zameen par gir jaati hai...armaan riddhima ko dekhkar kehta hai..)
Armaan - not again...
(vo niche file uthane uthta hai..riddhima bhi uski help karne ke liye jukhti hai..armaan usse kehta hai..)
Armaan- tum dekh kar nhi chal sakti ho..
Riddhima- excuseme..tum bhi dekh sakte the na...?
Armaan- me file pad rha tha...
Riddhima- To...? Isme bhi meri galti hai..file tum pad rhe the...dekh kar tum nhi chale takraye tum..aur galti meri..?
(armaan file lekar khada hota hai riddhima bhi khadi ho jaati hai... armaan khade hokar usse kehta hai..)
Armaan- tumse to behes karna hi bekaar hai...
Riddhima- jab pta hai ki bekaar hai to start karte hi kyu ho...?
Armaan- ab nhi karunga...ab aap tayyar ho gyi ho...to chale mujhe office bhi jaana hai..
Riddhim- ha to mene kab roka hai..me to kabse tayyar hu aap hi yha mujhse baate kar rhe hai..(armaan gusse me riddhima ko ghurta hai..riddhima yeh dekhkar kehti Hai..)..chaliye...chalte chalte ghoor lijiyega...varna ghoorne me time nikal gya aur aapki koi meeting late ho gyi na..to aap to uska ilzaam bhi mujhpar hi daal denge...
(yeh kehte huye riddhima armaan ke aage chal rhi hoti hai..armaan uske piche aakar kehta hai..)
Armaan- kya tum chup nhi reh sakti ho thodi der har baar bolna zaruri hai..?
Riddhima- are...ab mere bolne se bhi problem hai aapko...?
(armaan kuch bolne hi wala hota hai ki shashank vha aa jaata hai aur armaan se kehta hai..)
Shashank- armaan file dekhi...are riddhima a gyi tum.?tayyar ho Dono jaane ke liye...?
Armaan- ha sir..aur mene file dekhi kaafi ache designs hai unke lagta hai..hume aur zyada mehnat karni padegi is baar...
Riddhima- papa ab hum jaye kya..vapas bhi aana hai..
Shashank- ha ha jao...
(armaan aur riddhima car me betkar gupta house se bahar nikal jaate hai...)
EPISODE 6
(armaan aur riddhima ek jewellery shop ke bahar rukte hai...riddhima car se utar jaati hai...armaan usse kehta hai..)
Armaan- tum andar chalo...me car park karkar aata hu...?
Riddhima- ok...
(armaan car park karne chala jaata hai..aur riddhima andar store me chali jaati hai...)
JEWELLERY STORE
(armaan car park karkar store me aata hai..to dekhta hai..ki riddhima bethi hui juice pee rhi.hoti hai..aur shop ki saare workers uske aage piche use ring dikha rhe hote hai..aur vo sab kuch mana kar rhi hoti hai..armaan yeh sab dekhkar surprise ho jaata hai...aur kehta hai..)
Armaan- kya ladki hai..yeh...
(riddhima jab armaan ko dekhti hai..to vo juice peete huye hi use hi ka ishara karti hai..aur uske paas akar kehti hai..)
Riddhima- kha reh gye the tum...i mean aap...kha reh gye the..pta hai..kabse me aapka wait kar rhi thi...
Armaan- ha dekha maine...(armaan juice ki taraf ishaara karte huye kehta hai...riddhima use ishara karte dekhkar kehti hai)
Riddhima- ohh yeh juice...vo na me to mna kar rhi thi..par yha ke manager hai..zabardasti de diya..aur me mana nhi kar paayi u know na..me kitni sweet hu...
Armaan- ha... Mujhse zyada koun jaan sakta hai..(armaan munh banate huye kehta hai..)ab tumhara juice ho gya ho to...ring dekhle..
Riddhima- ha mene kab mana kiya hai..me to kabse vhi kar rhi hu...
(armaan aur riddhima ring pasand kar rhe hote hai..ki tabhi riddhima ka phone ring hota hai...par riddhima cut kar deti hai..armaan yeh notice karta hai..par kuch bolta nhi hai...par thodi der baad.phir riddhima ka phone ring hota hai...aur riddhima phir cut kar deti hai..armaan phir notice karta hai..aur is baar riddhima se kehta hai)
Armaan- any problem...vo tumhara phone baj rha tha...
Riddhima(darte huye)- nhi..vo..bas..vo bas credit card waale...u know na kitna pareshaan karte hai..
Armaan- ohh..yaa...
(armaan aur riddhima ring pasnad kar lete hai...aur jaane ke liye store se bahar nikalte hai...tabhi armaan ka phine ring hota hai..vo riddhima se kehta hai..)
Armaan- tum car me jaakar betho...me baat karkar aata hu...
Riddhima- okk..
(armaan baat karne ke liye chala jaata hai..riddhima car ke paas pohch jaati hai..vo car open karne ki koshish karti hai..par car open nhi hoti hai..vo lock hoti hai...riddhima gusse me kehti hai..)
Riddhima- yeh sadu bhi na...car to lock kar rakhi hai..aur mujhse kehta hai..Car me jaakar betho.. Kaise bethu car me car ko to lock karkar rakha hai..ab jab tak sadu ki baat nhi khatam hoti hai..tab tak mujhe yha is dhoop me khada rehne padega...
"to aa jao hamari god me beth jao tab tak..hahaha.."
(yeh sunkar riddhima piche mudkar dekhti hai..to 4 5 ladke khade hokar yeh bolkar hans rhe hote hai..riddhima ko yeh dekhkar gussa aata hai...vo unke paas jaati hai..aur gusse me kehti hai..)
Riddhima- kya kaha tumne..?
Boy- are gussa kyu hoti ho..hum to bas yeh keh rhe the..(vo riddhima ke shoulder par haath rakhta hai..yeh dekhkar riddhima ko aur gussa aa jaata hai..aur vo uska haath apne shoulder se jhatakar ek thappad maar deti hai aur kehti hai..)
Riddhima- how dare you...tum kya smajhte ho... mujhe chedoge aur me dar jaungi...tum jaante nhi ho mujhe agar aaj ke baad kisi bhi ladki ko cheda na to by god...isse bhi zyada thappad padenge...
(riddhima yeh bol hi rhi hoti hai..ki tabhi jisko riddhima ne thappad maara hota hai..vo gusse me riddhima ka duppatta utaarkar phek deta hai riddhima shock ho jati hai...aur uska zor se haath pakadkar kehta hai..)
Boy- mujhe thappad maregi tu..ha..hume nhi pta tu koun hai..aur tu kya kar sakti hai..par ab me tujhe btaunga ki me koun hu..aur me tere saath kya...kya kar sakta hu..
( yeh kehkar Vo boy riddhima ki kamar pakad leta hai...riddhima dar jaati hai...par vo himmat karkar apne purse se us boy ko maarti hai...riddhima ke maarne par us boy ko aur gussa aa jaata hai...vo riddhima ke face par zor se thappad maar deta hai...vo itni zor se thappad marta hai..ki riddhima ke lips se khoon nikalne lagta hai...aur riddhima piche jaakar girne lagti hai..par koi use sambhal leta hai...riddhima face upar karti hai..to dekhti hai..ki vo armaan hota hai...armaan bas gusse me un ladko ko dekh rha hota hai...armaan phir riddhima se puchta hai...)
Armaan- tum thik ho...
(yeh puchne par riddhima ki ankh se ansoo gir jaata hai...yeh dekhkar armaan ko aur gussa aa jaata hai...vo riddhima ko side me khada karkar un ladko ke paas jaata hai aur uski neck pakadleta hai..vo boy dar jaata hai..aur apni neck chudaane ki koshish karne lagta hai...armaan use gusse me kehta hai...)
Armaan- teri himmat kaise hui use choone ki bhi...meri hone wali biwi hai vo..agar uski taraf dekha bhi na..to ankhen noch lunga...
(yeh sunkar riddhima emotionaly armaan ko dekhti hai...armaan us boy ko ek punch maarta hai..vo boy aur uske saathi dar kar bhaag jaate hai...armaan riddhima ke paas akar. Uska dupatta use udaakar kehta hai..)
Armaan- dont worry.. Ab sab thik hai...chale..
(riddhima ha me sar hila deti hain par vo armaan ko hi dekhti rehti hai...car me bhi riddhima baar baar armaan ko dekhti rehti hai..armaan car gupta house ke bahar rokta hai..aur riddhima car se bahar nikal jaati hai..armaan vha se chala jaata hai..riddhima armaan ki car ko jaate huye dekhti rehti hai...phir vo bhi andar chali jaati hai..)
(do din engagement ki tayyari Me guzar jaate hai...armaan aur riddhima ek dusre se mil nhi paate hai...par riddhima sirf aur sirf armaan ke baare me hi sochti hai..)
AFTER 2 DAYS
ENGAGEMENT DAY
ENGAGEMENT HALL
(riddhima tayyar hokar padma aur shashank ke saath hall me aati hai..ananya unke paas akar baat karne lagte hai..par riddhima armaan ko hi dhoondh rhi hoti hai...jo rishabh notice karta hai...vo riddhima ko tease karne ke liye kehta hai..)
Rishabh - kya baat hai..bhabhi kise dhoondh rhi hai aap..zarur armaan ko dhoondh rhi hogi..
Riddhima(nervously)- nhi vo to me...
Rishabh- koi nhi...mujhse mat chupaiye...devar hu aapka...chaliye me bta hi deta hu vo kha hai..vo rha aapka armaan...
( rishabh armaan ki taraf ishaara karte huye kehta hai...armaan ek corner me khada hokar mobile me kuch check kar rha hota hai..riddhima rishabh se smile karkar kehti hai..)
Riddhima- thanx...
Rishabh- ur most welcome...
(riddhima armaan ki taraf chali jaati hai...rishabh usko jaata hua dekhkar smile karta hai...ki tabhi vo muskaan kisi ko phone par ladte huye dekhta hai..use kuch sunai nhi deta hai...par vo uske expression se samjh jaata hai..vo uske paas jaata hai..tab tak muskaan phone rakh deti hai...risha h muskaan ko piche se kehta hai)
Rishabh- any problem?
(muskaan piche mudkar rishabh ko dekhti hai..aur use gussa aa jaata hai...vo rishabh se gusse me kehti hai...)
Muskaan- ha hai..tum...
Rishabh(flirty way me) acha..vo kaise...?
Muskaan- tumhari problem kya hai..kyu piche pade ho mere..me apni har baat kya ab tumhe btau...
Rishabh-chaho to bta sakti ho..
Muskaan(frustrate hokar)aaah...me nhi chahti hu tumhe bataana... U know what...go to hell..
(Yeh kehkar muskaan chali jaati hai..rishabh use jaate dekhkar smile karta hai..aur kehta hai..)
Rishabh- par me to chahta hu...Tumhe...
(rishabh bhi vha se chala jaata hai...idhar riddhima armaan ke paas aati hai...armaan riddhima ko dekhkar mobile band kar deta hai..aur usse kehta hai..)
Armaan- mm..vo tumhari chot kaise hai..?
Riddhima- ab thik hai...
Armaan- ok
Riddhima- thank you armaan
Armaan- thank you? Kisliye..
Riddhima- vo us din tumne mere liye jo kiya uske liye...thank u soo much ..
Armaan- tumhe uske liye thank you bolne ki zarurat nhi hai..
(armaan yeh kehkar chala jaata hai aur riddhima vhi khadi hokar sochti hai..)
Riddhima- tum boht acche ho armaan...
(sab engagment ke liye stage par aate hai..armaan aur riddhima bhi...armaan riddhima ko ring pehna deta hai...aur sochta hai..)
Armaan- yeh sab sirf tumhare liye hai sneha...yeh sirf ek samjhota hai...
(riddhima bhi armaan ko ring pehnakar sochti hai...)
Riddhima-yeh shuru tumhare liye hua tha sneha...par ab shayad aisa lagta hai..ki yeh smajhota nhi hai...
(ring ceremony hone ke baad armaan aur riddhima ek saath stage par khade ho jaate hai..sab unhe congratulate karte hai...muskaan gate par jaati hai..vha ek aadmi akar use...cigarette ka box deta hai..muskaan use chupaakar room me le jaane lagti hai...par riddhima muskaan ko chupkar jaate huye notice kar leti hai...vo armaan ko excuse dekar muskaan ke piche jaati hai...vo dekhti hai..ki muskaan apne room me jaakar gate band kar leti hai...vo vapas jaane lagti hai..ki tabhi vo window se muskaan ko dekhkar shock ho jaati hai..muskaan cegeratte pee rhi hoti hai..muskaan araam se cegeratte pee rhi hoti hai..ki tabhi uski window par Nazar jaati hai...aur vo dar kar cegeratte phek deti hain...riddhima gusse me gate kholkar andar akar muskaan se kehti hai..)
Riddhima- yeh kya hai..muskaan..
Muskaan(pehle darti hai..phir vo normal hokar kehti hai..)- vo...dekhiye its normal me bahar badi hui hu..aur canada me yeh sab normal hai..u know na..aap bhi to bahar se hi ayi ho...
Riddhima- ha me bahar se hu..but that does'nt mean..ki hum apne sanskaar bhool jaaye..tumhe pta haina..tumhare bhai ko sharab aur cegeratte se kitni nafrat hai..phir bhi...
Muskaan- ha...pta hai mujhe but me bhai ke saamne yeh sab nhi karti hu..yeh meri life hai..and aap koi nhi hoti hai..meri personal life me interfare karne wali.. mera jo man chahega me karungi...
Riddhima- tum aisa kuch nhi karogi..aur agar cegeratte ko tumne aaj ke baad haath bhi lagaya na..to me tumhare bhai ko sab bta dungi...yeh meri tumse first aur last warning hai..
(Yeh kehkar riddhima chali jaati hai...aur muskaan gusse me cegeratte ka box phek deti hai..aur kehti hai..)
Muskaan- how dare she...huh...itne din india ke bahar rhi phir bhi iski menatality vhi hai..such a middle class mentality..
EPISODE 7
(riddhima muskaan ke room se bahar nikalkar aati hai..aur sochti hai...)
Riddhima- yeh muskaan thik nhi hai...kya me armaan ko btau iske baare me...? Nhi...abhi nhi armaan muskaan ki in harkato ke baare me jaankar zarur hurt hoga...abhi nhi btati hu...par Muskaan par nazar rakhni hogi..
(riddhima yeh sochte huye hall tak pohch jaati hai...to dekhti hai...sab mehmaan jaa chuke hote hai..aur padma aur shashank bhi nhi dikhte hai...bs vo akar annaya se puchti hai...)
Riddhima- aunty...sab gye...?
Ananya...- ha beta kha thi tum sab to gye...aur padma shashank bhi gye...vo tumhe armaan ghar chod dega...
(Riddhima yeh sunkar khush ho jaati hai..ananya armaan ko awaaz dekar bulati hai...armaan akar puchta hai..)
Armaan- ha mom...
Ananya- zara riddhima ko ghar chod do...
Armaan- main?
Ananya- ha..tum..ab jao...acha riddhima beta good night...kal milte hai... sengeet ke liye...
Riddhima- ji aunty good night...
(ananya chali haati hai..armaan riddhima se akar kehta hai..)
Armaan- tum apne mom dad ke saath nhi jaa sakti thi...pta nhi kha chali gyi thi...meri neend khrab karwa di..
(riddhima yeh sunkar "0" shape me face bana leti hai...phir kehti hai..)
Riddhima-oye hello...kaam se gyi thi me...aur agar ek raat tum thoda Late so jaoge...to koi pahad nhi gir jayega...
Armaan- tum jawaab diye bagair nhi reh skati na..?
Riddhima- shi samjhe nhi reh sakti... Ab chale...
Armaan- chalo...
(armaan aur riddhima car me bethkar MM se nikal jaate hai...armaan aur riddhima car me bethe hote hai...riddhima car me bethi huyi bore ho rhi hoti hai...vo armaan ki taraf dekhti hai..par use sirf driving karte huye dekhkar munh bana leti hai..aur kehti hai. )
Riddhima- sadu bhi na...kabhi smile karta bhi hai ya nhi...har waqt khadoos ki tarha betha rehta hain...(riddhima phir armaan ko dekhti hai aur smile karte huye kehti hai..)..par jaisa bhi hai...itnaaa bura bhi nhi hai..
(aur hasne lagti hai..armaan use hasta hua dekhkar confuse ho jaata hai..aur kehta hai..)
Armaan- tumhari tabiyat to thik hai na...
(riddhima hasna band karti hai..aur kehti hai..)
Riddhima- ha..mujhe kya hua hai..
Armaan- to khud hi khud has kyu rhi ho...
Riddhima- nhi vo to bas aise hi...purana joke yaad aa gya tha..
Armaan(armaan dheere se kehta hai)- tumse bada aur kya joke ho sakta hai..
(par riddhima sun leti hai aur kehti hai..)
Riddhima- kya kaha...?
Armaan- kuch nhi...
(riddhima kuch aur bolne hi wala hoti hai..ki uska phone ring hota hai..vo phone dekhti hai..to dar jaati hai...aur armaan ko dekhti hai..phir vo phone kaat deti hai...armaan notice karta hai..aur usse puchta hai..)
Armaan- itni raat ko kiska phone hai..sab thik hai na...
Riddhima(ghabraate huye kehti hai..)- ha sab thik hai..kya hona hai...
Armaan- to tum ghabra kyu rhi ho...
Riddhima- me kha ghabra rhi hu...me thik hu..aur tumhe hua kya hai..aaj itne sawaal kar rhe ho...
Armaan- mujhe koi shouk nhi hai...tumse sawaal karne ka...lo ghar aa gya...
(armaan car gupta house ke bahar rokte huye kehta hai...riddhima utar jaati hai...aur armaan se kehti hai..)
Riddhima- good night...
Armaan - good night...
(armaan car start karne hi wala hota hai..ki riddhima phir bolti hai)
Riddhima- sweet dreams...
Armaan- u 2...
(armaan phir car start karne wala hota hai ki..riddhima phir bolti hai)
Riddhima- bye...
(armaan ko gussa aata hai aur vo kehta hai...)
Armaan- riddhima...tum chahti ho me jau..?
Riddhima(confuse)- ha..mene kab roka hai tumhe...
Armaan- itni der se jaane ki koshish kar rha hu..jab car start karne wala hota hu..tab bolti ho...
Riddhima- yaar tumhe mere bolne se itni problem kyu hai...
Armaan- mujhe tumhare bolne se nhi zyada bolne se problem hai...
Riddhima- tumhe lagta hai me zyada bolti hu...?
Armaan- koi shaq...chodo mujhe raat ko yha tumse behes nhi karni hai boht raat ho gyi hai mujhe subha jaldi bhi uthna hai..
Riddhima-kyu jaldi kyu uthna hai..
Armaan-kyuki mujhe tumhe subha mandir lekar jaana hai mom ne bola hai... Subha tayyar rehna..pichli baar ki tarha wait nhi karunga...in dino to driver bankar reh gya hu me...
(armaan yeh kehkar car reverse karkar vha se chala jaata hai..aur riddhima vha smile ke saath khadi hoti hai...aur excitedly sochti hai..)
Riddhima- subha armaan mujhe mandir lekar jayega..matlab mujhe armaan ke saath kuch waqt spend karne ko milega...(phir uski smile gayab ho jaati hai..aur vo sochti hai...) yeh me kya keh rhi hu...armaan ke saath waqt?...mujhe usme itna interest kyu aa rha hai...riddhima..lagta hai tu pagal ho gyi hai..vo khadoos hai..sadu hai.. I think mujhe boht neend ayi hai..mujhe sone ki zarurat hai..tabhi yeh ajeeb ajeeb thoughts mere mind se jayenge...
(riddhima yeh kehkar andar chali jaati hai...)
NEXT MORNING
(armaan gupta house me enter hota hai...vha koi nhi hota hai..vo ek servant ko rokkar puchta hai..)
Armaan- suno...uncle aunty kha hai...
Servant- saab vo to bahar gye hai riddhima baby ki shaadi ki shopping ke liye...
Armaan- aur riddhima baby...i mean riddhima kha hai...vo to nhi gyi na unke saath...?
Servant- nhi...vo to nhi gyi...
Armaan- thank god..vaise kha hai vo..?
Servant- riddhima baby to uppar so rhi hai...
Armaan(shock)- what???
(servant vha se chala jaata hai...aur armaan gusse me kehta hai..)
Armaan- yeh ladki kabhi nhi sudhregi mene isse bola tha ki tayyar rehna...par yeh ...agar aaj iske intezaar me ruka na to zarur late ho jaunga...aur meri meeting bhi nikal jayegi...kal hi mandir jaana padega...
(yeh kehkar armaan vapas chala jaata hai...)
MALIK MANSION
(idhar muskaan room me hoti hai ki tabhi use phone aata hai..aur vo phone aata dekhkar khush ho jaati hai..aur phone pick kar keti hai..)
Muskaan- hi baby...kaise ho...what... Really...tum aa rhe ho kab...kal...oh wow..me tumhe kal zarur lene aungi..bye..love you baby...
(muskaan phone rakhkar smile karti hai..)
GUPTA HOUSE
(idhar riddhima sokar uthti hai..aur kehti hai..)
Riddhima- armaan aata hi hoga..jaldi se tayyar ho jaati hu...uski nazar clock par padti hai..to vo shock ho jaati hai...)
Riddhima- what the..12 kaise baj gye..yeh clock khrab hai kya...ya sach me 12 hi baj rhe hai...oh shit...armaan to subha 9 baje aane wala tha...yeh usi ki galti hai..9 baje koun uthta hai...khi niche wait na kar rha ho..
(riddhima bhaagkar niche jaati hai to vha koi nhi hota hai..vo servant s puchti hai..)
Riddhima- kaka kaka...vo armaan aaya tha kya...
Servant- ha..
Riddhima- shit...kha hai vo
Servant- vo to kabke chale gye baby ji...subha 9 baje aye the vo...aapke baare me puch rhe the..
Riddhima- aapne bataya to nhi na..me so rhi hi..
Servant- mene to bta diya tha...
Riddhima- kya..bta diya tha..shit..kaka yeh aapne kya kiya...aaj to me gyi...
EVENING
SANGEET CEREMONY
(riddhima aur armaan ek saath bethe hote hai...par armaan asusual phone par buisness ke baare me baat kar rha hota hai..riddhima usko dkehkar sochti hai)
Riddhima- yeh sadu ne abhi tak subha ki baat par kuch kha kyu nhi...phone par busy haina...phone rakhte hi shuru hoga..
(riddhima yeh soch hi rhi hoti hai..ki armaan phone rakhkhar riddhima ko gusse me dekhkar kehta hai..)
Armaan- subha tumhare ghar aaya tha main...
Riddhima( man me sochti hai)- ho gya shuru...(phir vo armaan se darkar kehti hai..)are wah...aaj subha kyu..roz aaya kro na ghar...tumhara hi ghar hai...
Armaan- shut up...mene tumse kha tha na...ki me subha tumhe mandir jaane ke liye lene aunga tayyar rehna...par tum ...tum to so rhi thi araam se...
(riddhima apne aap ko bachaane ke liye kuch bolne hi waali hoti hai ki...rishabh stage par jaakar khada ho jaata hai..riddhima bachte huye dekhkar ek gehri saans leti hai..aur rishabh bolta hai..)
Rishabh- so friendzz Let start the sangeet of beautifull couple armaan and riddhima...aur aapke saamne sabse pehle aa rhe hai...mr and mrs gupta...yes our very own shashank uncle and padma aunty...
(shashank aur padma akar dance karte hai..is song par..)
Aate Jaate, Hanste Gaate
Socha Tha Maine Man Mein Kai Baar
Woh Pehli Nazar, Halka Sa Asar
Karta Hai Kyun Is Dil Ko Bekaraar
Ruk Ke Chalna, Chalke Rukna
Na Jaane Tumhe Hai Kiska Intezaar
Tera Woh Yakin Kahin Main To Nahin
Lagta Hai Yehi Kyon Mujhko Baar Baar
Yehi Sach Hai, Shayad Maine Pyar Kiya
Aate Jaate, Hanste Gaate
Socha Tha Maine Man Mein Kai Baar
Hothon Ki Kali, Kuch Aur Khili
Yeh Dil Pe Hua Hai Kiska Ikhtiyaar
Tum Kaun Ho Batla To Do
Kyun Karne Lagi Maein Tum Pe Aitbaar
Khamosh Rahun Ya Main Keh Doon
Ya Karlu Maein Chupke Se Yeh Sweekar
Yehi Sach Hai, Shayad Maine Pyar Kiya
Haan Haan Tum Se, Maine Pyar Kiya
(song khatam ho jaata hai..phir rishabh aur muskaan perform karte hai...is song par)
Male
Tum Hi Tum Ho Jo Rahaon Mein
Tum Hi Tum Ho Nigahon Mein
Kisi Din To Mere Dil Ko
To Khona Hi Tha
Tumhen Dekha
Tumhein Chaha
Tumhein Dundhaa
Tumhein Paya
Tumhein Pake Hua Hai Jo
Woh Hona Hi Tha
Chalo Ab Jo Bhi
Tum Haan Ya Na Kaho
Mere Dil Mein Tum Hi Tum Ho
Ab To Forever N Ever
[Bring It On 3 Jana
Ab To Forever
Bring It On 3
Ab Forever Sanam ]2
Female
Kabhi Koshish Bhi Mat Karna Mujhe Pane Ki
Mujhe Na Pa Sakoge Tum
Banake Surat Ghoomoge Tum Deewaane Ki
Kahin Ke Na Rahoge Tum
Male
Chalo Ab Jo Bhi
Tum Haan Ya Na Kaho
Mere Dil Mein Tum Hi Tum Ho
Ab To Forever N Ever
[Bring It On 3 Jana
Ab To Forever
Bring It On 3
Ab Forever Sanam ]2
Female
Bahut Hai Chahne Wale Mere Duniya Mein
Tumhein Dekhu To Kyon Dekhu
Zameen Aur Aaasama Mein Fasle Jitne Hai
Samjhlo Door Utni Hoon
Male
Chalo Ab Jo Bhi
Tum Haan Ya Na Kaho
Mere Dil Mein Tum Hi Tum Ho
Ab To Forever N Ever
[Bring It On 3 Jana
Ab To Forever
Bring It On 3
Ab Forever Sanam ]2
Tum Hi Tum Ho Jo Rahaon Mein
Tum Hi Tum Ho Nigahon Mein
Kisi Din To Mere Dil Ko
To Khona Hi Tha
Tumhen Dekha
Tumhein Chaha
Tumhein Dundhaa
Tumhein Paya
Tumhein Pake Hua Hai Jo
Woh Hona Hi Tha
Chalo Ab Jo Bhi
Tum Haan Ya Na Kaho
Mere Dil Mein Tum Hi Tum Ho
Ab To Forever N Ever
[Bring It On 3 Jana
Ab To Forever
Bring It On 3
Ab Forever Sanam ]2
(riddhima sabko dance karta dekhkar boht excited ho jaati hai..aur smke karne lagti hai Vo armaan ko dekhti hai..aur dekhti hi reh jaati hai..aur apne hi dream world me chali jati.. Jha armaan white shirt pehene huye riddhima ke paas aata hai...aur uske ears me kehta hai..)
Armaan- I love you
(riddhima sharmaake bhaagti hai...aur curtains me khelne lagti hai armaan bhi aa jaata hai..un dono ke beech curtains hote hai.. Riddhima song gaane lagti hai..)
Namkin Si Baat Hain
Har Nayi Si Baat Mein
Teri Khusboo Chal Rahi
Hai Jo Mere Saath Mein
Halka Halka Rang Beete Kal Ka
Gehra Gehra Kal Ho Jayega
Ho Jayega
Aadha Ishq Aadha Hai
Aadha Ho Jayega
Kadmo Se Milo Ka
Vada Ho Jayega
Aadha Ishq Aadha Hai
Aadha Ho Jayega
Kadmo Se Milo Ka
Vada Ho Jayega
(riddhima candle jalati hai armaan piche se aa jaata hai..aur use gaalo par kiss karta hai..riddhima gaati hai..)
Beshumar Raatein
Behisab Baatein
Pass Aate Aate Gum Ho Jati Hai
Bekhudi Mein Dhal Ke
Bekali Mein Jal Ke
Sau haazar Yaadein Nam Ho Jati Hai
Fika Fika Pal Betein Kal Ka
Behka Behka Kal Ho Jayega
Ho Jayega
Aadha Ishq Aadha Hai
Aadha Ho Jayega
Kadmo Se Milo Ka
Vada Ho Jayega
Aadha Ishq Aadha Hai
Aadha Ho Jayega
Kadmo Se Milo Ka
Vada Ho Jayega
Adha IShq
(riddhima khadi hoti hai armaan piche se akar uska haath pakadkar titanic pose bana leta hai...riddhima phir gaati hai..aur dono dance karne lagte hai..
Intezzaar Sa Hai
Imtehaan Sa Hai
Itminaan Sa Hai
Kya Hai Na Jane
ITraa Rahi Hai
Itna Hui Hai
Itraa Rahi Hai
Kaise Na Jane
Chalka Chalka
Pal Beete Kal Ka
Tehra Tehra Kal Ho Jayega
Ho Jayega
Aadha Ishq Aadha Hai
Aadha Ho Jayega
Kadmo Se Milo Ka
Vada Ho Jayega
Lyricsmasti.Com
Aadha Ishq Aadha Hai
Aadha Ho Jayega
Kadmo Se Milo Ka
Vada Ho Jayega
Adha Ishq
(riddhima sab armaan ko dekhte huye soch rhi hoti hai..armaan riddhima ko yuh khud ko dekhte huye uske saamne haath hilata hai...riddhima apne dream world se bahar aati hai..to armaan kehta hai..)
Armaan- kha kho gyi ho tumhari tabiyat thik haina...
Riddhima- ha..ha thik hu me...(riddhima man me sochti hai...)kya hua gya mujhe yeh kya sapne dekh rhi thi me... khi me...khi me..pagal to nhi ho rhi hu...ha me pagal hi ho rhi hu..
EPISODE8
NEXT MORNING
MALIK MANSION
(ananya saari tayyariya kar rhi hoti hai ki muskaan tayyar hokar bahar jaa rhi hoti hai...ki ananya use rokti hai...)
Ananya- mukaan kha jaa rhi ho...?
Muskaan(darte huye)- vo mom me apne friend se milne jaa rhi hu...
Ananya- tumhare friend yha india me...?
Muskaan- nhi mom vo canada ki hi hai...bas yha india me ayi hai...to me jaun?
Ananya- ruko rishu tumhe lejayega...
Muskaan- but mom kyu..?
Ananya- kyuki tum india me nyi ho...tumhe roads bhi nhi pta hai yha ke...now no more arguments rishu tumhare saath jayega matlab jayega..tum jao niche car me betho me rishu ko bhejti hu...
(muskaan gussa hokar vha se chali jaati hai...)
GUPTA HOUSE
(idhar riddhima bed par leti huyi armaan ke baare me soch rhi hoti hai ki...uska phone ring hota hai...vo uthakar phone kaat deti hai aur kehti hai..)
Riddhima- kyu baar baar phone kar rha hai yeh mujhe...
(riddhima ka phone ring hota hai vo gusse me phir kaatne waali hoti hai ki...vo dekhti hai..armaan ki call hai vo jaldi se uthakar kehti hai..)
Riddhima- hello
Armaan- jaldi se tayyar ho jao me tumhe adhe ghante me lene aa rha hu...
Riddhima- kyu? Kha jaana hai...
Armaan- mandir... Aaj hi jaana hai...kyuki phir mere paas time nhi hai jaldi tayyar ho jao...me last time keh rha hu me wait nhi karunga..
Riddhima- ok fine...ho jaungi...
(armaan phone cut kar deta hai...aur riddhima khush hokar jaldi se tayyar hone chali jaati hai...)
IN RISHABH CAR
(rishabh aur muskaan car me bethe hote hai ...rishabh baar baar muskaan ko drkh rha hota hai..jo muskaan notice kar leti hai...vo gusse me rishabh se kehti hai)
Muskaan- kya hai..?
Rishabh- kuch nhi..acha yeh btao jaana kha hai...?
Muskaan- airport...
Rishabh- airport kyu...?
Muskaan- kyuki mera boyfriend aa rha hai...
Rishabh(shocked)- what...?
Muskaan- isme shock hone wali kya baat hai...
(rishabh car rok kar muskaan se hurt hote huye puchta hai...)
Rishabh- tumhara boyfriend hai. ?
Muskaan- ha hai to..?
Rishabh- pyaar karti hl tum usse?
Muskaan- obviously boyfriend hai to pyaar karungi na..and mind you..agar tumne iske baare me bhai ya mom ko bataya to...ab jaldi car start karo...vo aata hoga.
(Rishabh chup chaap car start kar leta hai...uski ankh se ansoo girta hai..par vo muskaan ke dekhne se pehle use saaf kar leta hai..muskaan aur rishabh airport pohch jaate hai...muskaan niche utarkar bhaagkar ek ladke ko hug kar leti hai..rishabh vhi hurt khada use dekhta rehta hai aur piche mud kar apne ansoo saaf karne lagta hai. ...muskaan Sameer se kehti hai)
Muskaan- thank god sam tum aa gye...
Sameer- tum bulao aur me na aau aisa ho sakta hai kya...
Muskaan- no way...
Sameer- acha muskaan tumse ek help chahiye thi...
Muskaan- bolo na...
Sameer- kuch paise chahiye the..
Muskaan- acha ..btao na kitne chahiye...
Sameer- kuch 15 hazaar...
Muskaan- itna formal kyu ho rhe hi (purse se nikalkar paise de deti hai..) mera sab kuch tumhara hi to hai...ab chalo tum apne ghar bhi jaoge na..hum chod dete hai..chalo...
(rishabh sameer aur muskaan ko car me bithakar sameer ko uske ghar chod deta hai..aur muskaan ko MM lekar aa jaata hai...)
IN GUPTA HOUSE
(Riddhima kabse rayyar hokar gulta house ke bahar khadi armaan ka intezaar kar rhi hoti hai ki tabhi armaan apni car GH me enter karta hai..aur riddhima ko bahar wait karta dekhkar khud se kehta hai..)
Armaan- yeh aaj suraj kha se nikla hai...tayyar hokar intezaar kar rhi hai...
(armaan car rokta hai..riddhima car me bethti hai aur gusse se kehti hai...)
Riddhima- kitni der se wait kar rhi thi me...vaise to boht punctual bante ho ...aur aaj adha ghanta bolkar ek ghante baad aa rhe ho... Armaan- vo mujhe pta nhi tha na..ki suraj aaj apni galat jagah se nikalne wala hai... Mujhe to yhi laga tha ki aaj bhi tum mujhe wait hi karaogi isliye me khud hi late aaya...
Riddhima- par mene aaj late to karwaaya nhi...aaj hum tumhari vajah se late huye hai...
Armaan(taunt karta hai)-ha..tumhari vajah se late kaise ho skate hai..tum to kitni punctual ho Haina...?
Riddhima- ha vo to me hu..ab chale...
(Riddhima aur armaan mandir ke liye nikal jaate hai..)
IN MANDIR
(armaan aur riddhima mandir se prasad khati huyi Nikalti hai...aur car ki taraf badte hai...to riddhima ek gareeb bacche ko dekhti hai..vo kisi ke khane ko dekh rha hota hai..vo armaan ke haath se prasad cheen leti hai...armaan confuse ho jaata hai...aur kehta hai...)
Armaan- kya kar rhi ho?
(par riddhima bina jawaab diye vha se us bacche ki taraf chali jaati hai..aur us gareeb bacche ko prasad khilati hai...yeh dekhkar pure 1 saal baad armaan ke face par smile aa jaati hai...aur vo riddhima ko us baache ko prasad khilata hua dekhta rehta hai...par jab riddhima uske paas aane ke liye mudti hai to vo normal ho jaata hai...riddhima uske paas akar kehti hai...)
Riddhima- sorry vo bhuka tha na..isliye...
Armaan- chale...
Riddhima- ha chalo...
(armaan aur riddhima car me bethkar ghar aa jaate hai...)
AFTER 2 DAYS.
MEHENDI DAY
GUPTA HOUSE
(riddhima bethkar hatho me mehendi Lagwa rhi hoti hai..ki tabhi armaan thaal lekar gupta house me enter hota hai...riddhima use dekhkar khush ho jaati hai...jo padma notice karti hai vo armaan ke paas jaakar kehti hai..)
Padma- beta tum yha..?
Armaan- ha aunty vo mom ne yeh shagun ki mehendi bhijwayi thi sab busy the aur mujhe yhi paas me kuch kaam tha isliye me hi le aaya..)
Padma- oh ha..lao..
(tabhi riddhima ki kuch cousins kehti hai..)
Girl- jhooth kyu bolte ho jeeju hume pta hai..riddhima ke bina nhi rha jaa rha tha..na..
(yeh sunkar riddhima blush karti hai...par armaan ignore karkar chala jaata hai...aur riddhima mehendi lagwaane lagti hai..mehendi lagaane waali puchti hai)
Girl- kya naam hai aapke hone wale husband ka...?
(riddhima smile karkar kehti)
Riddhima- Armaan...A letter likhiye...
(mehendi lagwaakar riddhima apne room me armaan ke baare me sochti huyi jaa rhi hoti hain..aur. Vo khud se tensed hokar kehti hai..)
Riddhima- yeh kya ho gya hai...mujhe har pal armaan ka khyaal rehta hai...usse milne ke moke dhundti hu...vo door ho to bechaini ho jaati hai aur paas ho to ajeeb sa ehsaas.. hai kya yeh...kya mujhe.. Kya mujhe armaan se...kya sach me mujhe armaan se pyaar ho gya hai...ha..mujhe pyaar ho gya hai..par vo to sadu hai Mujhe usse pyaar kaise ho sakta hai...kyu nhi ho sakta..iska matlab hai I am in love.. I love armaan...tabhi to uske naam ki mehendi laga kar mujhe itni khushi hui...kal meri shaadi hai..us insaan se jise me pyaar karti hu I love you armaan I love you...
(riddhima khush hokar apne room me chali jaati hai...aur idhar armaan apne room se sneha ki photos hatakar ek box me rakhta hai aur kehta hai..)
Armaan- ab to tumhe yaad karne ka haq bhi nhi hai mujhe sneha..kyuki tumne khud mujhe kisi aur ko de diya hai...meri kal shaadi hai..sneha..riddhima se...me uska ho jaunga kal...par me tumhe nhi bhula paunga sneha kabhi nhi bhula paunga me tumhe...
do comment,.,.!
nikki
4