Aaj jalal ne jo kiya hai wo sirf wohi kar sakta hai! đ
1.Jab akdha tent mein baat kar rahe the to jalal ne apna gussa kafi had tak kabu mein rakha aur jodha ko apni galti ka ehsas karwaya!Warna koi aur hota to apni biwi ko thppad mar chuka hota!
2.Jis tarah se wo kal bina kuch khaye piye jodha ko dhund raha tha aur aaj bhi usne kaha ki mujhe tum pe jara bhi shaq nahi hai ye sab dekh kar mujhe to jalal pe ab koi shaq nahi hai!
3. Jab akdha agra laute aur log ko jodha ke baare galal bolte hue jalal ne suna usne turant jodha ka haath pakda aur use andar le gaya taki koi bhi jodha par ungli na utha sake! đ
Mujhe nahi pata jalal aage kya karnewala hai but aaj jo usne kiya hai wo wakahi kabil-e-taarif hai đ
Aur wo ye sab sirf isliye nahi kar raha hai kyonki jodha uske bacchonki maa bannewali hai balke isliye bhi kyonki use jodha par bhrosa bhi hai aur use jodha ki phikr bhi hai
Last but not d least hats off to rajat for his mindblowing acting! đ
913