(Tumko bhi hai khabar, mujhko bhi hai pata
Horaha hai juda, dono ka raasta
Door jaake bhi mujhse, tum meri yaadon main rehna
(Kabhi alvida na kehna) * 3) * 2
Jitni thi khushiyan, sab khochuki hai
Bas ek gham hai ki jaata nahi
Samjhake dekha, behelake dekha
Dil hai ki chain isko aata nahi, aata nahi
Aansu hai ki hai angarein
Aag hai, ab aankhon se behna
(Kabhi alvida na kehna) * 3
Ruth aarahi hai, ruth jaarahi hai
Dard ka mausam badla nahi
Rang yeh gham ka, itna hai gehra
Sadiyon bhi hoga halka nahi, halka nahi
Kaun jaane kya hona hai
Humko hai, ab kya kya sehna
Kabhi alvida, (Kabhi alvida na kehna) * 2
Tumko bhi hai khabar, mujhko bhi hai pata
Horaha hai juda, dono ka raasta
Door jaake bhi mujhse, tum meri yaadon main rehna
(Kabhi alvida na kehna)