T2: SARFAROOSH -WARRIORS OF THE NATION [COMPLETE]

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 11 years ago
#1




GUYS WELCOME TO THE SECOND THREAD OF MY

❤️FF SARFAROOSH - WARRIORS OF THE NATION ❤️

LOVE U ALL FOR YOUR SUPPORT 😃 & KEEP SHOWERING YOUR LOVE






Edited by GOLD.A - 11 years ago

Created

Last reply

Replies

518

Views

28.4k

Users

49

Likes

923

Frequent Posters

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 11 years ago
#2




PART 10----PAGE 2
PART 11----PAGE 11
PART 12----PAGE 21
PART 13----PAGE 30
PART 14----PAGE 37
PART 15----PAGE 48
PART 16 & EPILOGUE ---- PAGE 58







Edited by GOLD.A - 11 years ago
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 11 years ago
#3
NOTE OF THANKS : Guys we would like to thank u all for the beautiful response that u all have given to our this story we are here by starting a new thread of this Story n request u all to keep showering your love and comments like this thanks for ur overwhelming response love u all

Regards Goldie & Rimi 😊




Edited by GOLD.A - 11 years ago
skrafty thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#4
Congrats for the new thread Di
atharin thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#5
congrates for the new thread
Anika_PreRish thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
#6
Congratulations for the new and beautiful thread,Di.
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 11 years ago
#7


PART 10 A

Soon Sakshi came outside after treating Aisha properly & seeing her coming out all gathered around her & Abhi said, "Aisha kaise hai Sakshi?"

Sakshi said, "chot gehri hai Abhi, she is unconscious right now hosh main aane par hi kuch keh sakte hai aur khoon bahut beh chukka hai but she is strong enough"

Abhi nodded all were tensed about Aisha .

Arjun called up Shree,Liza & Riya to check the dead body they all arrived in next 15 minutes.

Liza looked at the dead body & started to analyze it & said, "sir isne synide ka pill khaya hai uski vajah se mar gaya, main ise lab main le jaati hoon aur test karti hoon koi unusual baat pata chalti hai to main aapko call kar doongi"

Arjun nodded & said, "Riya & Shree tum loog iski identity dhoondo iske paas se kuch nahi mila hai" both nodded & went back along with the body to ETF head quarters.

Here at the the academy Simran retired to her room.

After a while a man of 65 years of age with specs on his eyes & a fit thin body arrived at academy & flashed his card, guards saluted him & guided him the way inside the academy.

He asked the way to despensery & guard told him.

He reached there & saw Sameer, Abhi & Arjun sitting there he asked in a concerned voice, "Aisha kaha hai aur kaise hai?"

Sameer looked at him & said "sir aap kaun hai?"

Man in calm voice, "main Aisha ka pita hoon Brigadier Amar Kapoor aur shayad aap Sameer hai aapne hi bataya tha Aisha ko goli lagi hai"

Sameer said calmly, "yes sir I am really sorry ki hum Miss kapoor ko hurt hone se nahi bacha paaye, she is unconscious right now Dr Sakshi unhe treat kar rahi hai"

Amar said with smile, "you don't have to sorry Mr Rathod meri beti sipahi hai, ye sab to uske zindigi ka hissa hai"

After a while Sakshi comes out & informs to all that Aisha has gained her conscious back & is now out of danger.

All sighed in relief & Amar rushed to the Aisha who was in a drowsy state due to effects of medicines.

Amar with a soft voice asked Aisha, "Aashu beta kaise ho? Kaisa feel kar rahi ho ab?"

Aisha looked at Amar & said, "Papa aap yaha kab aaye? Aur aap meri chinta mat kariye main theek hoon"

Amar said with a smile, "main jaanta hoon meri beti bahut bahadur hai" & hugged her tight making sure not to hurt her.

Aisha said, "papa to fir aap aise kyu react karte ho hamesha"

Amar in a bit choaked voice, "Papa jo hoon "

Aisha smiled faidly & said "par aapko kaise pata chala ki mujhe goli lagi hai aur aap yaha kaise aaye?"

Amar said, "kuch nahi main tumhe call kar raha tha to tumne uthaya nahi, fir Sameer se baat hui usne bataya ki tumhe goli lagi hai"

Aisha makes a weird face & says, "wo main kisi ka peecha kar rahi thi papa, koi academy main ghus aaya tha iss liye usse tackle karte hue lag gaya, khair aap batayiye aap theek ho na"

Amar said, "haan main theek hoon, ab tum rest karo tumhe chot lagi hai"

Aisha nodded & Amar left the area.

As soon as he came out Sameer was talking to higher officials so Arjun said, "sir main ETF ka chief hoon Arjun, mujhe aapki help ki zaroorat hai?"

Amar looked at him & said, "Haan kahiye main aapki kya madat kar sakta hoon?"

Arjun said, "sir mujhe Arshad Khan ki information chahiye wo is waqt kahah hai?"

Amar with surprise, "Arjun aap mujhse uski detail kyu maang rahe hai? Aur main ab army intelligence chor chukka hoon aur yadi hota to bhi main nahi deta kyuki its highly confidential"

Arjun said, "I know sir aapka kehna sahi hai, par hame ek important kaam ke liye ye chahiye nahi to hazaaro jaane dao par lag jaayenge"

Amar said, "main samjha nahi aap kya kehna chahte hai ?"

Arjun took a deep sigh & told him everything & Amar was stunned at the dare of those fanatics.

Amar said after thinking, "well main surely aapki har tareeke se help karronga Arjun, par main ye nahi jaanta ki is waqt ye Arshad Khan kahan hai ? mujhe to retire hue 4 saal ho gaye mujhe aap thoda samay deejiye main sources ke through pata karvaane ki koshish karta hoon, I really feel sorry for Pratap he is a great solider aur inn sab main unko khaam kha ghaseta jaa raha hai"

Arjun said, "tabhi hum aapse help maang rahe hai sir taaki ye problem solve ho sake"

Sameer entered the area after finishing his call & saw Arjun & Amar indulged in some talks & said, "any thing serious Arjun?"

Arjun said, "nahi sam bas maine jo investigation ki hai usme shayad hame Arshad khan ki zarrorat pade aur brigadier Kapoor uski security incharge reh chuke hai to main sir se help maang raha tha ki waqt aane par hamara kaam aasaan ho sake aur sir ne kahan hai ki wo hamari madat zarror karenge"

Sameer said, "Thanks sir yadi aisa ho jaaye to hame bahut madat milegi "

Amar said, "don't worry u will get every possible help from me Sameer"

Sameer nodded in positive.














SCROLL DOWN FOR PART 10 B 😊
Edited by GOLD.A - 11 years ago
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 11 years ago
#8


PART 10 B

Amar made few calls for the help & returned back after few minutes & said to Sameer, "Sameer aapka issue maine sortout kar diya hai, Arshad Khan high security jail main band hai, Mumbai se 30 kms door Army intelligence ka cell hai waha pe usse abhi rakha gaya hai, aap jab chaahe waha se help aapko mil jaayegi appki pehchaan waha aapke ungli ke nishaan aur aankho ke retina se hogi, aapka data to record hoga hi wo main khud unhe dedoonga aapko khayaal rakna hai ki waha special cell main jo quadi rakhe jaate hai unke lock up ka code hota hai aur wo code har 2 ghante main badal diye jaate hai aur uska pata waha ke security incharge ko hota hai, aap jab bhi chahe aapki help ho jaayegi "

Sameer said, "thanks a lot sir aapki vajah se kaafi aasan ho gaya hai varna hum Arshad Khan tak itni aasani se nahi paunch paate"

Amar smiled & said, "isme thanks ki zarrorat nahi hai, hum sab is desh ke sipahi hai aur mujhe aapme se kisi ki kaabliyat aur wafadaari pe mujhe koi shaq nahi hai tabhi to maine aapko saari details de di jo mere paas thi aur main umeed karta hoon ki aap mera bharosa nahi todenge"

Arjun said, "of course not sir hum bhi ek khaas maksad ke liye hi chahiye warna kayi jaane dau par lag jaayengi"

Amar said, "Main jaanta hoon & all the best to you for your mission" with that he marched out of the academy & after a while Arjun too returned back to the office

It was complete darkness when a figure clad in black reached the parking of academy took out a car & moved out guard was bit surprised to see it in late hours, figure did the entry & zoomed off after driving for a while figure stopped at the deserted area in the outskirts of Mahabaleshwar.

Figure entered an old building & went to group of 20 people sitting inside with a bonfire.

A man wished the figure, "as-salam-walekum shehnaaz bi itni deer se kyu aayi?"

Figure said grinting her teeth, "aur kya karti kis ko bheja tha academy khabar lene, itna bada humgama ho gaya aur wo bhi jaan se gaya"

Man replied, "Maaf karna bi wo naya tha isliye use andaaza nahi tha, khair sab kaisa chal raha hai academy main?"

Figure said, "Haalat kaabu main hai ab ye batao files ko access kar paaye ya nahi"

Man said, "nahi wo protected hai hum abhi tak code crack nahi kar paaye hai"

Figure said, "to kya kar rahe ho tum loog, main jaan jokim main daal kar itna kuch kar rahi hoon ye sab sunne ke liye?"

Man said, "hum koshish kar rahe hai bi par kya aap pata nahi kar sakti ?"

Figure said, "nahi kar sakti yadi maine aur kuch kiya to main nazar main aa jaaungi aur uss Pratap ke siva isse koi access nahi kar sakta hai aur doosri baat Arshad bhai ko Pratap ne giraftaar kiya tha kisi ko nahi pata hai ki wo kahan hai hame uski zarrorat padegi "

Man said, "par aisa kya hai ki wahah hokar bhi aap kuch pata nahi kar paa rahi hai?"

Figure said girinting her teeth, "tum kya samajhte hoo maine koshish nahi ki, ye doono baap bete bade sakth jaan hai aur ye sab itna aasaan nahi hai ek galti aur saara khel khatam, badi mushkil se ye kaam maine anjaam diya hai, kadi negaahe rehti hai un dono ki aur jis maksad se hum ye kar rahe hai uske liye hame academy ke ander ki khabar chahiye, pehli seedi to hamne haasil kar lee hai ab intezaar hai to bas tabahi ka iss liye tum loog koshish karte raho ki jald se jald ye file khule"

Man said, "theek hai bi aap bhi koshish kariye hum bhi karenge, par jab codes mil hi chuke hai to aap khatra kyu utha rahi hai waha rehne ka aap waapis kyu nahi aa jaati"

Figure smiled & said, "tum kya samajhte ho mujhe khamkha ka khatra uthane ka shauk hai, par yadi main achanak in haalato main gaayab ho gayi to sabse pehle mujhpe shaq jaayega aur dosri baat code abhi mile hai access nahi hue hai uska password Pratap ke paas hai, yadi 2 din main code ka access nahi mila to main Pratap ko agwaah karke yaha le aaoungi aur fir tum usse codes ka access lena, bas wo Pratap apna mooh khole to Arshad bhai hamare saamne hoonge aur aadha hindustaan hamare kadmoo main, par tab tak hame hoshiyaar rehna hoga, mere bhi haath bandhe hai iss Pratap ne kisi ko kuch nahi bataya hai, pata nahi uske bete ko bhi nahi, iss liye hame kisi tarah bhi uska mooh kholne ke liye majboor karna hoga, ya to zoor zabardasti se ya dhoke se aur baaz ko maat dene ke liye usse bhi upar udna padta hai aur jald hi wo Pratap aur uska beta dono hamari muthhi main honge, waise tumhare call ka asar bada zabardast hua hai kaise machli ki tarhah tadap raha tha wo Pratap aur uska wo beta bhi"

& gives an evil smirk & continues, "accha main ab nikalti hoon koi contact shayad nahi kar paaungi, kyuki abhi bahut sakth pehra hai unhe shaq bhi ho sakta hai khudahafiz"

Man said, "par bi itni raat aap akele khatra ho sakta hai main chod deta hoon"

Figure smiled & said, "khatra to har jagah hai tum meri chinta mat karo"














P-RECAP: All getting deeper into the case & those people try to harm abhi & pratap too & much more 😉


So how was it guys please drop in ur comments as I write for u guys so please do let me know all ur bashing, feedback & suggestions are more than welcome excuse for typing & formatting errors love u all

EDIT CREDIT : Sneha 😊 Good work dear 😃

Regards Goldie & Rimi 😊😊

Edited by GOLD.A - 11 years ago
Anika_PreRish thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
#9
*unres*
superb and amazing update.
Loved it a lot...
Abhi tak criminal ka pata nahi chala...
Itna toh sure hai ki gaddar toh academy ke andar se hi hai...
Omg..
Bapusa ko threatening calls.. He is scared...
Aayesha is injured and her papa,Amar came to see her to the Academy...
He was worried yet he is proud that his daughter is brave and safe.
Amar uncle helped them in all ways he can...
Precap is amazing...
Continue sooonish...
Thanks for the pm.
Edited by ...anika... - 11 years ago
IArmageddonI thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
#10
Hey dear... sorry to have missed on commenting the previous parts...

Well I really loved this part...

Things are getting really interesting...

Well I really love the brains of the people no doubt!

You know am really waiting for the next part...

Awesome job!

Hats off dear!!!
Edited by Armagadon - 11 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".